Google me website ko index karane ke liye sirf google webmaster tool me site ko submit karna kafi nahi hota balki google search engine se better results pane ke liye aapko kuch or bhi most important tips follow karni hoti hai. Jisse blog content search engine me fast index hota hai or site par organic traffic jyada aane lagta hai.
It is possible, Aap sirf 1 article likh kar use kuch hi time me google search engine me top position par show kara sakte ho. Kya wakai aap aysa chahate ho agar ha to is post me btayi information aapke bahut kaam aa sakti hai. So read carefully and follow tips.
- Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
Google ki terms time to time change hoti rahti hai isiliye aapko google ki latest update ki notification rahni chahiye kyuki OLD SEO tips se aap apne pages ko google search engine me first page postion me nahi la sakte. Old SEO ko follow karna black tricks, black hat SEO me aata hai. Iske liye aapko google SEO ke naye rules follow karne honge.
Yaha mai aapko jo tips bta raha hu wo ek new blogger ke liye bahut jaruri hai. Ye thodi hard tips jarur hai but i sure inse aap blog ki position ko better kar paoge.
New Website Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki 5 Jabardast Tips
1. What You are Targeting:
New website banane ke bad use search me lane ka sabse acha tarika hai apni site ke liye target choose karna ki aapko kis country se traffic chahiye. Ye aapki site ko proper first page par lane ki success tips hai. Aapko tay karna hai ki aap kis liye blogging kar rahe ho or aap kis type ke keywords use kar rahe ho or aap blog par kis type ki information provide karte ho.
Aap google search console me blog ke liye main target select kar sakte ho iske bare me main already Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare post me btaya hua hai. Second aapko post content target karke likhna hai. Examples jaise mai ye post new site ko google search engine me index karane ke bare me likh raha hu. Isme mera target new site ko google me fast index karana hai.
Aap jab bhi content likho to usme Long Tail Keywords ka istemal kare kyuki long tail keyword use karne wale 80% contnent ko search engine se badiya traffic milta hai. Sath hi humesha keywords research karke post likhe. Bina keywords use karne ki jankari ke post content ko quality content banana mushkil hai.
2. Make Sure You Have a Search Optimized Foundation:
Only search engine optimization ke bare me basic information rakhne se aap high quality content nahi likh sakte. Agar aapko SEO ki achi jankari nahi hai to aap ulta low quality content likh baithoge. CMS (Content Management System) SEO ki foundation hai. So aapko ye achi tarah pata kar lena chahiye ki aapko search optimizing foundation ke bare me full information hai or aap isme expert ho.
Mai aapko suggest karunga ki aap new post content likhne ke bad uski keyword density check kare. Ya fir agar aap WordPress user hai to Yoast SEO plugin use kare jo aapki CMS me bahut badiya help karta hai. Yoast mera favorite SEO plugin hai or mere alawa bhi bahut se blogger ise pasand karte hai. Agar aapko abhi tak iske bare me pata nahi ho to ab try kar sakte ho.
Content Management system me blog ki theme / template yani blog ka design major role play karta hai. Aap apne blog ke liye koi badiya design choose kare jo mobile friendly ho, Full responsive ready ho or SEO ke liye better ho. Agar aap free theme use kar rahe ho to aapko use optimize karna hoga ya fir aap kisi site developer or designer se blog ki template design karwa sakte ho.
3. Write Powerful Content:
Success blogger kahte hai ki 5-10 effective post 100 simple post se jyada behtar sabit ho sakti hai. Is bat me koi fark nahi hai. Aapki post jitni badiya hogi visitors or search engine use utna hi jyada pasand karte hai. So apni site par itna powerful content likho jo puri duniya me viral ho jaye. SERPs me achi postion ke liye aapko quality content likhna hoga.
Maine ke post me btaya tha ki sirf post me bahut sare words use karne se wo quality content nahi ban jata hai. Iske liye aapko gagar me sagar bharne jaisa kaam karna hoga. Aysa content likho ki 1000 words ki post me hi 10,000 words ki information mile. Agar aap 2,000 words ki badiya post likh sakte ho to aapki post 101% google search engine me first position par show hogi.
Neil Patel jo ki ek VIP blogger hai ka kahna hai ki long content search engine me achi position banane ka simle or free tarika hai. Long content ki search me higher rank hoti hai. Magar yaad rahe aapki post ka all content audience ke liye helpful ho or har paragraph me high-quality and relevant information ho.
4. Create Fresh Content:
Agar aap dusro se related ya simple content likh rahe ho jo ki pahle se internet par same to same available ho to aapki site ko google search engine se jyada clicks recieve karna mushkil hoga. Kyuki googlebot freshless content ko avoid karta hai or ayse content ki search me achi position bana pana bahut mushkil hai.
Second agar aap khud ka original content likh rahe ho or aapke content me dusro se bilkul alag information hai to na sirf google aapki post ko pasand karega balki aapke readers post ko padhne ke sath share bhi karenge. Jisse aapke blog ka free promotion bhi hoga. Fresh content likhne ke liye mostly google me better position banane ke liye sabse acha tarika hai aap google webmaster guidlines and google algorithms ko follow karke content write kare.
Examples, Aap jis topic par post likh rahe ho use google me search kare or top position me show hone wale ek do content ko check kare ki unme kounsa keyword highlight ho raha hai jisse ye content first page me show ho rahe hai. Isse aapko post likhne ka ek new idea milega.
Ye neil patel ki btayi huyi trick hai or mai ise pichle bahut time se use kar raha hu. Jab mai unhe janta bhi nahi tha. Keyword research me google search mere liye sabse badiya tool hai jo hume baki sabhi tool se better idea offer karti hai. Bas hume ise sahi tarike se use karne ki jankari honi chahiye.
5. Promote Your Content:
Finally, Upar di gayi tips ko follow karne ke bad aap easily quality content likh loge to ab aapko jarurat hai content ko padhne ke liye readers ki jisse aapko post promotion bhi mil sake. Ye free way hai. Bahut bar badiya post likhne ke bavjud wo google search engine me jaldi index nahi hoti hai. Iska main reason hota hai post content ka social media sites par promotion nahi karna.
Google social site par share kiye gaye pages ko bahut jald index karta hai jisse hume site post ko jaldi indexed karane me help milti hai. Isliye post likhne ke bad use social networking site par share jarur kare. Jab google aapki site pages ko index karta hai to ise lagbhag 200 factors se pass hona padta hai. Iske bare me maine Google Search Work Kaise Karta Hai? post me btaya hua hai.
Jitne jyada log aapki post par soical media or search engine results me click karenge aapki post ki ranking utni hi badiya hogi. So jitna aapse ho sake apni post title ko eye catching banaye jis par jyada se jyada search user click kar sake. Content promotion ke liye aap ye tarike try kar sakte hai.
- Facebook par ads promotipn kare.
- Blog par email nresletters service use kare.
- Apne readers ko post share karne ke liye kahe.
- Facebook, google plus, twitter and other social site par apni post share kare.
- Post images me pinterest share button add kare.
- Question answer form me apni post ka link mention kare.
- Comments me readers ki post link bta kar help kare.
Kabhi bhi apne blog ke liye paid traffic buy na kare. Mostly, jab aap AdSense user hai to bilkul bhi traffic na kharide. Jitna ho sake apni mehanat par apne blog ka promotion kare or google search engine se adhik traffic handle karne ke liye google ki terms ko ache se follow kare. Mai aapk ek bar fir se kahna chahunga ki google search me better postion ke liye google algorithms ke bare me jankari recieve karte rahe.
Conclusion:
Sirf aap hi nahi or bhi bahut sare blogger aapki tarah hard work karte hai or wo sabhi bhi chahate hai ki unka content google search engine me first page par show ho. Google ek page me only 10-12 results show karta hai jabki internet par million website owner or blogger hai. Socho aapko apni post ko first rank me lane ke liyew kitni mehanat karni hogi. Iska ek free or simple tarika bhi hai ki aap hard work ke sath smart work bhi karo ye soch kar ke aapko un sabhi se behtar karke dikhana hai or apne content ko top position me lana hai. I sure aap aysa kar sakte ho.
- Google Custom Search Engine Blog Me Kaise Add Kare
- Google Analytics Performance Reports Check Karne Ki 7 Tips
I hope aapko ye post pasand aayegi or isme helpful information milegi. Is post ko social media par apne friends and other blogger ke sath sahre jarur kare.
mahendra kumar
hello sir, Affiliate Marketing ke liye amzone se add kaise lete hain….mujhe amzone ka banner apne blog me lagana hain….??
Jumedeen Khan
Aap amazon affiliare likh kar google me search karo aapko iski terms mil jayegi usme iske bare me sabkuch details me btaya hota hai.
Gaurav
sir aapne ye uper ka header kese banaya jisme date,wp guide,blogging guide etc aa ra hai ? or isme date kese set ki jo utomatic change ho jate hai..?
or menu me submenu’s kese add karain? WordPress me… @detail me bataye pls…
Jumedeen Khan
Ye sab coding se hota hai. Aap kisi blog designer se design karwa lo.
ujjal
Ma Mera blog ma infolink ka ads lagana cahta hu…2,3 Post Likhe kar use kar sakta hu keya?Daily Visitor Kitini Hona Paranga?
Jumedeen Khan
Abhi aap apne blog par traffic badhao. kam se kam 500 pageveiws daily ke honge to hi kuch earning hogi.
Md saban
Sir…apki ek help chahiye…. Sir maine godady se ek .com domain kharida hai aur hostgator par maine Rs1 ki hosting kharidi hai….please mujhe bataye ki main WordPress kaise install karu…..
Jumedeen Khan
Maine iske bare me post ki hai aap WordPress se related post padho or sath hi comment policy bhi padh lo.
Nadeem
आपकी पोस्ट काफी अच्छी है और आपने बहूत सही ढंग से guide किया realy you are best blogger…
आपकी जितनी भी तरीफ की जाए कम है….
मैं भी एक ब्लॉगर हूँ….और आपकी इस पोस्ट को पढ़कर काफी कूच सीखने को मिला….
……
Vishnu Kant
Bro hamane blogger se WordPress par successfully sift to kar liya hai par kuch post ke image import nahi huye hai to ab kya kare?
Jumedeen Khan
Wo image aapko manually upload karne honge yani fir se upload karni hogi.
vijay panara
Jdk sir bahot badiya post hai new blogger ke liye bhai hum post ko upload karne se pahle kaise pata kar sakte hai ke ye SEO Ready hai hai ke nahi..
Jumedeen Khan
Post content ki keyword density check kiya karo.
vivek choudhary
jumedeen ji header ke neeche ad kaise lagate hai.
Jumedeen Khan
index.php me first 3 lines ke bad ads code paste karo.
abhisek mohanty
bhai mujhe aap ki jaroort hai.
so plz aap mujhe aapna whatsaap no. de sakte ho.
nhi ta aap mujhe mere wa no. 8018734087 pe msg karsakte ho.
kuch jankari lenatha aap se.
Jumedeen Khan
Abhishek aap yaa comment me apne sawal puch sakte ho, contact form me message kar sakte ho, facebook par message send kar sakte ho.
Umesh Chavan
Bro Maine Kal Rat Bhar Youtube pe search kiya ki AdSense ki ads blank kyon show ho rahi hai. Waha pe maine jitne bhi video dekhe usme yahi script di hai. aur ye work bhi hoti hai, text/images ads ke liye but kya yesa karana sahi hai ya galat. Kyon ki normal code se meri site pe ads show nahi ho rahi hai. Please help me.
google_ad_client=”AdSense id”;
google_ad_host=”AdSense id”;
google_ad_width=728;google_ad_height=90;
google_ad_type=”text_image”;
google_color_border=”FFFFFF”;
google_color_bg=”ffffff”;
google_color_link=”0000ff”;
google_color_text=”000000″;
google_color_url=”008000″;
google_page_url=”site name”//–>
Jumedeen Khan
Google ads code ko edit karne ki permission nahi deta. Agar aap fir bhi aysa karna chaho to apni risk par kar sakte ho.
surendra
Bro AdSense ne pin bheja ya nahi, Koi revived kiya ya nahi , ye kaha dikhayega, Adsense me , ek AdSense me message ka options aata hai,jaha batata hai, AdSense Ka koi message nahi hai, Aap hame bataye ye kaha pe likh hoga, AdSense pin bheja gaya ya nahi
Jumedeen Khan
Aap AdSense me payment option me check karo waha pin send karne ki date likhi hoti hai.
vakil shaikh
bahut badiya jankari di hai aapne jumedeen bhai thanks
prasad surase
sir, bahoot achhi janakari share ki aapane. me ise jaroor follow karunga. taaki hamari posts bhi Google me top par aa sake. sir hamane abhi WordPress par shift kiya hai. Aur hame aapaki ye theme bahoot pasand aayi hai. muze lagata hai ki ye ribbon theme hai.. hai na.? sir kya aap muze is theme ka pura name bata sakate ho. mene ribbon likhakar search kiya toh vaha par aisi koi theme nahi dikha rahe. me kya karu. plz full name batana sir isaka.
Jumedeen Khan
Mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu.
surendra
Hello bro maine Adsense apply kiya tha, us time maine galat address de diya, Aur pin veryfi me bhi Wahi tha, Uske Bad maine change kar diya, Ab ye confused hu, Hai kahi wrong address pe pin bhej diya gaya ho to, ab mai kya karu, naya address pin verify me avi maine apna original address diya hai, Ab kya hoga, agar hame AdSense Ka pin nahi milega, to mai kya karunga. Please help me.
Jumedeen Khan
Aap AdSense par ja kar check karo ki pin post send ki gayi hai ya nahi agar kar bhi di hai to aap new address par dusri pin ke liye apply kar sakte ho.
deepesh
hello jumedeen sir bahot badiya information di hai apne sir WordPress blog me nevigation kaise sett kare
Jumedeen Khan
Aap aysi theme use karo jisme pahle se navigation menu ho ya fir aap navigation menu ka plugin user karo.
deepesh
sir me ribbon theme use kr raha hu kya esme pahle se navigation nahi hota h
Jumedeen Khan
hota hai aap iska demo dekh sakte ho.
Umesh Chavan
agar mai dusari template upload karata hu aur maine pahale template ka backup le rakha hai. Mujhe nayi template pasand nahi aayi maine purani template phir se upload ki to kya mujhe sabi code phir se lagane hoge jaise google analytic, meta tag, alax verification etc
Jumedeen Khan
Nahi wo sab already aapke backup me rahte hai.
Rusheek
Bro
मैंने आपके कांटेक्ट पेज पर एक ईमेल भेजा है प्लीज जितना हो सके उतना जल्दी उसका रिटन जवाब दीजिए
Jumedeen Khan
Rusheek abhi mai busy hu or aapka kaam nahi kar sakunga. Aap kisi or blogger se contact kar sakte ho.
pradip mandal
maine mara blog helpchahiye.com ke template change kye tha. Ab Problems he ki jab Post ko Facebook me share karta hu to link me post ka Fast photo show nehi hota. Third ya forth Number photo show hoti hai. please help me
Jumedeen Khan
Aapki template me coding problem hai or aap agar alag se sharing button use kar rahwe ho to usme problem hai.
Himanshu
Nice post bro, mujhe apse h1,h2,h3 in sabke bare me puchna h ye mere samj me nahi arhe jaise apki ye post me h1 konsa h h2 konsa h or h3 konsa h muje ye smj nhi ata.
Jumedeen Khan
Aap ye post padho isme maine iske bare me details se btaya hai on page seo tips
Harpreet Kumar
achi janakri batati hai apne bhai. google search engine me agar galti se 2 baar ek hi hi link submit kar de toh kya koi problem ho ti hai bhai?
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai.
Harpreet Kumar
ok bro. par kabhi kabhi new post publish karne ke baad jab webmaster tool me aubmit karta hu toh eror a jata hai aisa kyu.
Jumedeen Khan
Kya error aata hai. Plz full question post kiya karo.