Godaddy par domain ko ek account se dusre (Another) account me trasnfer karne ki jarurat tab padti hai jab hum do alag alag email account se godaddy se domain register kar lete hai. Par kya aapko pata hai ki aap apne sabhi godaddy domain ko ek hi account me transfer kar sakte hai. Yes, is post me hum isi ke bare me bat karenge.
Agar aap godaddy se domain lena chahate hai to aap Godaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise Kare post padh kar godaddy se domain register karne ki puri jankari pata kar sakte ho.
Is article me hum sikhenge ki godaddy par ek account se dusre account me domain transfer kaise karte hai. Isse aapko godaddy par domain manage karne me aasani hogi. Or aapa alag alag email id se kharide gaye domain ko ek hi email id par manage kar sakoge.
Agar aap chaho to godaddy par alag alag email id se godaddy offer se domain buy karke apne main godaddy account par domain trasfer kar sakte ho.
Godaddy Domain Kisi Aur Godaddy Account Par Transfer Kaise Kare
Mai is post me aapko images ke sath simple step bta raha hu jinhe aap aasani se follow kar sakte ho. Or agar fir bhi koi poit samajh na aaye to niche comment me puch sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle aap Godaddy site par jaye or apni log in id se log in kare.
- Apne name par click kare.
- Visit My Account par click kare.
Step 2:
- Domains par click kare.
- Domain settings par click kare.
Step 3:
Aab scroll down kijiye or Additional Settings ke “Transfer domain t0o another godaddy account” par click kijiye.
Step 4:
Ab ek popup windows khulegi or agar nahi khule to aap ” Account changes” par click kare.
Yaha par aapko us godaddy account ki account information bharni hai. Jis par aap domain transfer kar rahe ho. Bahut simple step hai. Aap aasani se follow kar sakte ho.
Step 5:
- Aap domain ko kisi or godaddy account par transfer kar rahe ho. So yaha diye terms ache se padh le. Uske bad aapko domain transfer karna hai to yaha tick kare.
- Finish par click kare.
Ab aapko right side me aapke name ke niche “Your rquest has been submitted. Changes may be take a few momwnts to take effect” ka ek message dikhayi dega. Ab aap 1-2 minutes wait kare.
Step 6:
Ab aapko us godaddy account par jana hai. Jis par aapne domain transfer kiya hai or manage domain par jaye.
- Domain par click kare.
- Ab drop down menu me “Pending Account Changes” par click kare.
- Ab “Incoming Account Changes” par click kare.
- Ab yaha aapne jo domain transfer kiya tha us par click kare.
Step 7:
Ab ek pop up page khulega. Usme aap sabhi terms ko ache se padh kar ok par click kare.
- Sabhi terms ko ache se padh kar sabhi par tick kare.
- FInaly OK par clic kare.
Ab right side me successfully account changes ka message show hoga. Thodi hi der me aap apne godaddy account me dekh sakte hai. Aapka domain transfer ho chuka hoga. Proof ke liye aap apne us account me domain check kar le jisme aapne godaddy domain move kiya hai. Is tarah se aap godaddy domain ko kisi or godaddy account par transfer kar sakte ho.
- Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se Kaise Kharide – What is Hosting
- Blogspot Blog Ke Liye Custom Domain Name Kyu Jaruri Hota Hai
Agar aapko ye janakri achi lage to ise social media par apne friends ke sath jarur share kare or iske bare me other blogger ko bhi jarur btaye.
Sehrish Anmol
Sir Mera domain 30 july ko expire hone Wala h Kiya ab me us ko without renew kiye namecheap par transfer Kar sakti Hun Kiya domain usi waqat transfer ho jayega
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
naeem ahmad
Dear sir
Mets blog world press per hai domain or hosting godaddy ki use karta hu kya main apna domain change ker sakta hu iske liye kya karna padega
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho. New domain le kar wordpress install kaor or usme old blog ka backup import kar do.
Yuva Thakur
Brother Kya Domain Name Mein Numeric Hone Se Traffic Par Bahaut Fark Padata Hai Kya
Jumedeen khan
Nai bhaut fark nahi padta but without numeric domain best hai. Jarurat hai to use kar sakte ho.
Yuva Thakur
Brother Agar Main GoDaddy Se 9helper.com Domain Kharidta Hoon To Kya Is Naam Ka Domain Kharidna Sahi Rahega
Jumedeen khan
Achha domain hai but domain me numeric na ho to achha hai.
sourav
sir maine kal ek domain buy kiya hai,ab kaise usko apne blog me add kare,pura detail’s se bataiyega plz/
Jumedeen Khan
Check this post Blog में Blogspot.com को हटा कर अपनी पसंद का Domain कैसे Use करे
Ramniwas kirdoliya
Hallo sir ji godaddy se domain khridene pr payment kaise kre flz ditel se btana ji
Jumedeen khan
Credit card, debit card, net banking, paypal etc. kai sare tarike se kar sakte ho.
Anil Sahu
Useful information.
vijendra singh
hello bro.
mujhe aap bahut sare sabal puchhane hai
isase pahale bhi me aap se comment kar
chuka hu lekin mere sabal ka aapne jawab
nahi diya diya hoga to mujhe abhi tak aap
ka bo topic nahi mila jisme aapne jawab diya hoga sir new topic dekhane ke liye
google per kya likh kar sarch kare ki jisme
mera jawab mil jaye me new visiter hu
aap anurodh ek bar ye jankari plz mere
gmail per bheje uske bad me aap comment
ke hi dwara jabab pad liya karunga
is bar me aap koi sabal nahi karunga
mera name vijendra singh
Jumedeen Khan
Aap please is link par apne sawal puch sakte ho. https://www.supportmeindia.com/sawal-jawab/
Uttam
Well satisfy Contents
Hello JUME DEEN ji
Me bhaut time se Search kr rha tha bt vo jo me janna cha rha tha vo mujhe nhi mil paya
Me yen puchna Cha rha tha Mere blog pe domin phle. Techimos.tk tha
av mene Domin buy kia hai Techimos.com
bt av kya mujhe .com domin pe dubra contents likhna hoga Jo phle domin tha .tk kya uske contents me .com pe Shift Nhi kr shkta .
Mujhe dubra Contents likhne honge .com pe.
Please Tell me Av me kya krun jisse Sare content new domin pe shift kr shaku.
Jumedeen Khan
Nahi dubara likne ki jarurat nahi hai. Aapne blog ka domain change kar diya hai na to autmatically sabhi post new domain se open hogi apa bads blog post me add internal links ko change kar lo.
Vaishali
Dear jumped in khan g Maine kuch domain purchase Kiyee hai or a I mujhe unki jarurat Nahid hai plz help me ki ham Apna domain bhech Saket hai Kya or if yes then how plz help.
Jumedeen Khan
ap google me “How to sell unused domain” likh kar search karo aapko iske bare me articles mil jayenge.
Shfaat Khan
Dost Kya tum ye btaa saktey ho ki tumne apni site me konsi theme Use ki hai ??
Jumedeen Khan
Gebesis framework
yash
Sir m hostgater.in par jata hu to uska copyright 2014 lika ata h kya vo shi h?
2. Or sur agr m hostgater.in se hosting leta hu to kya visitors sirf India k hi aenge mere blog par ya khi se bi a skte h?
Jumedeen Khan
Aap browser ki history delete karke use karo ya private browsing me try karo.
Visitor to worldwide aayen ge but india me aapko better speed milegi.
Mukesh poonia
Bro mene godady se domain le rakha h ab me us domain ko wapka ki website pe transfer karna chahtaa hu mtlb meri wapka ki website mukeshpoonia.wapka.me he aur mera godady ka domain h jaatmusic.in to isko kese add karu wapka me plz bro help me
Jumedeen Khan
Sorry mai aapk wapka ke bare me nahi bta sakta aap google me search karo iske bare me post mil jayegi.
Ramesh Singh
bhai kya hum iss process ko karne ke baad cancel bhi kar sakte hai agar ha to kaise??
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
Ramesh Singh
bhai organization me kya dalna hai
Jumedeen Khan
Apna name dal sakte ho.
Ramesh Singh
bhai meri old domain hindionlinehelp.in godaddy par hai, ab maine new domain hinglishhelp.com liya hai, mai ye jaanana chahta hu ki agar me old domain ko new domain me transfer karta hu to kya iske liye payment karni hogi ya nahi?? please help me
Jumedeen Khan
Nahi aapne jis site par se old domain liya hai us par jao or log in karke somain setting par jao. Waha domain forward ka koption rahta hai. Us par click kar new domain add karo.
Kuldeep Singh
Jume din bhai, meri site Kabhi khul jati hai to Kabhi nhi me bohut presaan hoon.
aaj bhi nhi khul rahi hai mai iski custom domain ki setting Kese karu.
or aap ek baar meri site khol kr dekhiye ki isme kya kya kamiyan hai…
Jumedeen Khan
Aapki site abhi sahi se open ho rahi hai.
Abid khan
Jumedeen bhai ye post apki bahut achhi lagi jiski muje jrurt thi. Ek sawal hai godaddy ke bare me ki jab hum godaddy pe 99 me domain register karte h tb hume 100 email forward account milte h. Kyq hum is 99 rs domain me apna email setup nhi kar sakte jaise ki mujhe apni website ke liye email setup karna hai help @techaruby.com
Jumedeen Khan
Goddady rs 99 me only domain deta hai custom email ke liye aapko alag se pay karna padega. Ya fir asap hosting le kar custom email account bana sakte ho.
Mo Aziz
jumedeen bhai agar mai blogger se WordPress par migrate karta hoo mujhe kya kya changing karni hogi
deatail se bataye
Jumedeen Khan
Sabkuch
anuj godara
jumedeen bhai..
main godaddy se bluehost ya hostgator par jana chahta hu.. mera blog WordPress par hai…
lekin mujhe dr lag rha hai ki koi galti na kar du.. isliye main aap se request karta hu ki aap ek article likhe.. godaddy se hostgator par WordPress blog move kaise karte hai..
Jumedeen Khan
Anuj other account par domain transfer karne ke liye aapko $8 to $10 pay karna hota hai. Ok, iske bare me article likhunga.
Umesh Chavan
Hello, Jumedeen Mera ek sawal hai jab humne domain 1 saal ke liye kharid liya to use continue karne ke liye bad me kitna kharcha hoga ?
Jumedeen Khan
500 rupee ke aaspas jitna domain ka yearly charge hoga.
Sandeep Kumar
Mujhe ek bat aur samajh nahi aaya jaise me koi bhi phone ko Google me search karta hu. To unka post title name ye rahta hai ” mi 5 price ,details, Jabki unke website par jakar jaise me xiaomi ke phone par click karta hu to post ka title ” xiaomi mi5 ” hi rahta hai.
Me kaise karu ki me bhi aisa kar saku
Jumedeen Khan
WordPress par yoast seo plugin hota hai. Usse aap post ka title or search engine me alag title show kar sakte ho.
Sandeep kumar
Bro ye post me Aaj write karne wala tha. Maine bhi domain ko transfer kiya hai. Bro me mobile price,future view website banaya hai. Samajh nahi Aa raha hai post title kaise choose karu. Maine ” xaomi Mi 5 ” title rakha hai. Aap bataye ki title kya rakhu.
Jumedeen Khan
Sanddep post title aapko hi generate karna padega. Maine iske bare me jo tools btaye hai unki madad le sakte ho.
Shaikh munnir
Maine abhi kuch din pahele hi ek new email se domain kharida hai. Aapki is post ka mujhe bahut faida hoga main apne 2 no domain ek hi account par jarur transfer karunga.
Bhai maine aapko geust post likh kar send ki email par kya aapko vo mile kya or aap usko kabtak post karege mujhe email reply kare.
Jumedeen Khan
Shaikh aapki post me 500+ words bhi nahi hai. Or usme ek do step galat bhi hai. I am sorry publish nahi kar sakta.
zishan ali gulzar
sir mera blog me problem kya he traffic nhi badta he,, ur kam hote jata he,,, ab to lg rha he blog hi delete kar de…aap chek karke bataye na kis karn traffic nhi bad rha he, ur kya kya kami he mera blog me,, plz aap mera help kro na,, nhi to mujhe lgta he aisa hi traffic rha to sayad ye mera last msg hoga aapke blog me qki mai hmesa ke liye blogging hi delete kar dunga
Jumedeen Khan
Guljar traffic ekdam se nahi badhta. traffic badhne me time lagta hai. Aap itni jaldi nirash ho jaoge to aage kuch nahi kar paoge. Aap sirf mehanat koro or ache se karo. uska natija kya hoga wo bhagwan par chod do. I sure aapko mehanat ka fal jarur milega der se hi sahi.
prashant
mene copyscape me check kiya tha usme bta raha hai…
Jumedeen Khan
Aapka or kisi or ka post likhne ka tarika mil jata hai. Aapne kisi ki copy nahi ki to don’t worry kuch bhi nahi hoga.
ARIF RAZA
sir mene revenuehits ka ads meri site par laga rakha hai but meri site ads laga hua q nazar nahi araha hai?
kisi bhi post ko click kar rahe hai tab ad ki site open ho rahi hai
dusri bat sir kya revenuehits tab hi incom dega jam ham domain lagayenge apni sitr par?
Jumedeen Khan
Aap iski jagah par un sites ke ads lagao jo real me payment karti hai. Mujhe adsense. chitika, bidvertiser, infolinks ka pata hai ye 100% payment karti hai. revenehits ke bare me mai kuch nahi kah sakta.
ARIF RAZA
SIR meri site par domain nahi laga hua h
sir kya me biger domain ke ads laga sakta hu?
aur agar lag bhi gaya to muje payment mil sakta h?
for exampke me chitika ka ads lagana chahta hu kya biger domain ke payment mil sakta h?
sir pls zarur bataye
Jumedeen Khan
Bagair domain ke aapko 6 mahine ka wait karna padega. Payment to mil jayega. Pahle aap ads se earning kto karo.
prashant
mene ek naya blog banaya hai or usme kuch post ki hai but us mese ek copy content bata raha hai jab ki mene copy kiya hi nhi to ab kya karu
Jumedeen Khan
Copy content koun bta raha hai details me batao
RAJA ASHU
Jumedeen bhai aapne sahi bataya comment submitted to ho ja raha hai par WO hamare blog par so nhi ho raha hai agar comment show nhi hoga to mai uska reply Kaise karunga aur comment Ka koi notification hamare blog me bhi nhi aata hai jisse hame pata chal sake ki kisi ne comment kiya to kya kiya taking mai reply kar saku
Jumedeen Khan
Comments css code ki wajah se hide ho rahi hai. aap ek bar ek template ka backup le kar template change karke dekho.
zishan ali gulzar
sir only audio video ki website kis platform me rhta hai, kya hm google ki free blog me only video blg bna skte hai
Jumedeen Khan
Iske liye aap wapka par site banao blogger post me aap audio or video share nahi kar sakte.
Sahil kumar
Bhai ye trick batane ke liye thanks. Mere pass do account hai aur 3 domain hai. dusra account 99 rupay ke domain ke liye banaya tha.
Future me aap ke is post ki jaroort padegi.
Jumedeen Khan
Why not sahil. Maine bhi godaddy se alag alag account se domain le rakha tha but ab sabhi domain ek hi account me add ho gaye hai.