Twitter Followers Increase Karne Ki Top 20 Amazing Tips

Lagbhag har twitter user chahata hai ki social media par uske bahut sare fans ho or uski twitter profile par adhik se adhik followers ho. Uske twitter account ko millions people follow kare. Aesa ho pana bahut mushkil hai par na-mumkin nahi.

Twitter Followers Increase Karne Ki Tips

Is post me main aapko apni twitter profile par followers increase karne ki 20 amazin tips bta raha hu jo aapki twitter SEO me help karengi or aapke twitter account ke bare me jyada se jyada logo ko pata chalega or aapko jyada se jyada people follow karenge.

Agar aap real me apne twitter account par follower badhana chahate ho to in tips and tricks ko sahi se follow kare. Aane wale time me aapki twitter profile me lakho followers honge.

Twitter Account Par Followers Badhane Ki 20 SEO Tips

Agar aap apni twitter profile par lakho followers dekhna chahate hai to sabse pahle apni real ID and name se twitter par account banaye, Uske bad ye tarike try kare.

Tips #1: Target Tweetable Phrases, Not SEO Keywords

Social media par SEO se target traffic pana mushkil ho sakta hai magar target phrase likhne se nahi. Website content or social media ke SEO ke different ho sakta hai.

Aap targeting keywords se jyada phrases par dhyan de or achhi lines likhe. Social media par ek keywords ki jagah lines jyada important hoti hai.

Tips #2:Focus on Customer, not your Product

Data aapke customers ko personal interaction ke bare me btata hai. Twitter par jyada followers pana hai to apne product se jyada apne customer ko focus kare. Aapke fans aapse kya chahate hai, Ye decide karo.

Example, aapke fans health interested hai or aap movies product ko promote karoge to aapke followers aapko avoid karna shuru kar sakte hai.

Tip #3: Use Fewer Words Per Tweet

Twitter par count limit hai or wese bhi long tweet or post ko jyada log pasand nahi karne wale. So jitna ho sake short tweet kare or kam words me jyada kahne ki koshish kare.

Tip #4: Tell a Story

Generic headlines ka istemal karne se aapki post ki originality me kami aayegi or aapke supporter aapko copy paster samajhenge. So kisi or ki lines ko retweet karne se achha hai aap short story share kare.

Tip #5: Use Clear & Actionable Language

Aesi bhasha ka pryog karo jo sabko samajh aaye or jise dekh kar har koi share karna pasand kare.

Tip #6: Use Hahtags

Important keywords se pahle “#” add karke use highlight kare taki jyada se jyada users attract ho sake.

Tips #7: Track your Shared Links

Shared links track kare. Iske liye aap Hootsuite and Buffer ka istemal kar sakte ho jo automaticall share links track karte hai.

Tips #8: Use Twitter Lists

Twitter list se aapko un logo ko organize karne ki permission milit hai jinme aap interest rakhte hai. Iske bare me neil patel ne 5 Simple Strategies to Effectively Target Your Followers post me details se btaya hai.

Tips #9: Use Automation

Automation ko social media ka superpower kaha jata hai. Aa[ automatically likes, follow, share and messages kar sakte ho. Internet par aesi bahut si automation tool hai jo free or paid dono type ki service provide karti hai.

Ye aapko social media par adhikse adhik logo se jodne ka work karti hai. Aap aesi kisi automation tools ka istemal kar twitter par followers increase kar sakte ho.

Tips #10: Experiment Posting

Twitter ki fast and furious speed ko dekhe to hum kah sakte hai ki har koi aapke tweet ko dekh or padh nahi pa raha hai. Iska solution hai ki aap bina kisi problem ke ek se jyada bar post kar sakte hai.

But same style me nahi thoda different style me karo taki jo log aapka tweet dekh chuke hai unko boring na ho or sath hi experiment bhi ho jayega ki kis type ka content better hai. Daily 20 to 50 post me share kare experiment ke sath.

Tips #11: Promote Same Post Multiple Times

Maine point 10 me btaya tha ki twitter traffic itna jyada hai ki apake tweet karne ke bad wo kaha kho jata hai pata hi nahi chaltahi. Har second hundred se bhi jyada tweet hote hai. So behtar hai ki aap ek tweet ko repeat kare.

Ek time table banaye ki aapki post kitne time bad down me chali jati hai. Uske bad usi post ko fir se share kare.

Tips #12: New, Unique Material Share Kare

Old content ko bar bar share mat karo isse users ko boring feel hoti hai. New and unique content wali post karo, I sure aapki post ko jyada se jyada log like karenge.

Tips #13: Use Trending Hashtags

Log kis bare me bat kar rahe hai. Iska khyal rakho or popular and trending keywords se related post karo. User aesi post dekh kar sabse jyada attract hote hai. So trending hashtags ka istemal kare.

Trending topic pa posting karne se aap kam time me bahut aage nikal sakte ho.

Tips #14: Write Beneficial Content

Bekar ka content share karne se bache or sirf aesa content share kare jisse logo ko benefit mile unka fayda. Bekar ki post karna spam posting ki tarah hai. Jisko lakho fans ke bich bhi koi like nahi karega.

Tips #15: Ask for Likes, Shares, and Retweets

Jab bhi aap koi post share kare to use share karke side me dale balki us par online rahe or logo se use share karne ke liye kahe. Bahut naih to kuch log aapki bat jarur sunenge.

Tips #16: Use Eye-catching and Original Graphics

Graphics and image lagbhag har social media par good performance karte hai. Isse users jyada attract hote hai.

But images sirf ek bar ya kuch bar helpful sabit hoti hai or graphics har bar helpful sabit hoti hai. Success pane ka graphics better way hai so unique content ke sath eye catching infographics bhi share kare.

Tips #17: tart Own Hashtag Company

Kuch log apni khud ki hashtag companies bana lete hai. Jo wakai smart way hai or kafi log isse successful huye hai.

Iske liye aap apni company ka short name like SupportMeIndia ka #SMI and Jumedeen Khan ka #Jdk hashtag use ka sakte hai.

Tips #18: Host an Informative Twitter Chat

Twitter chat har tarah ke new followers ko attract karta haijo log aapke product ya aap me interest rakhte hai. So twitter chat start kare or jyada se jyada logo se jude. Iske liye ye guide rea kare. Ultimate Guide to Twitter Chats.

Tips #19: Create a Guideline for your Followers

Aap twitter ka question answer forum ki tarah istemal kar sakte hai or logo ko guide kar unka dil jeet sakte hai. Aapko jis kisi ki bhi jankari hai aap usme logo ki help kare or unke liye guidelines taiyar kar unki help kare.

Tips #20: Respond Quickly

Customer ko jaldi jawab dene wale log bahut jyada pasand aate hai. Bahut achha hoga agar aap 1 hours se pahle logo ko reply kare. Isse aapki post par jyada se jyada shares, retweet and likes aayenge.

Conclusion

Aap apne twitter acocunt par chahe jitne followers bana sakte ho bas aapko logo ka dil jitna aana chahiye. Ye thoda mushkil jarur ho sakta hai par namumkin nahi. Ye 1 minutes ya kuch minutes me nahi hone wala isme time lagta hai. Jisme kai days ya kai month bhi lag sakte hai.

Is post me humne twitter followers increase karne ki 20 tips ke bare me jana. Mujhe ummid hai ki aap in tariko ko sahi se istemal karoge. Agar aap aesa karte ho to aapko jaldi hi loyal fans ki puri army mil jayegi.

Bas humesha genuine rahe or spam ko avoid kare, interest tweet kare jo logo ko pasnad aaye. I sure aesa karne se aane wale time me aapke twitter account par millions followers honge.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (25)

  1. Avatar for vishalvishal

    jumedin bhai bahut achhi jankari share ki hai apne, apko tweeter se daily kitna traffic milta hai

  2. Avatar for SonuSonu

    Hum jo share button add Karte Hain unpar par agar koi click karta hai to sirf title aur website ka naam share Hota Hai aur Main Chahta Hoon Ki sirf text he share Ho Kyunki Meri website ak hindi shayari ki site hi..

    Main Kaun Sa code ya phir plugin use Karoon Jis Se sirf text he Sare Ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sumo plugin use karo.

  3. Avatar for Chipu nagarChipu nagar

    Nice Article

  4. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Bhut badiya jankari di aapne twitter ke liye

  5. Avatar for Basit AnsariBasit Ansari

    Thanks for sharing amazing info.

  6. Avatar for Devisinh SodhaDevisinh Sodha

    Useful post ..

    India me log twitter bahot kum use karte hai, isliye follower pana thoda muskil hai.

  7. Avatar for Sudarsan PandaSudarsan Panda

    Twitter user ke liye bahut badhiya jankari diya hai apne.Thanks again for your hard work and great content.

  8. Avatar for AjayAjay

    Website par total kitne ad laga skte h..
    Maine suna h ki adsense ne ad ki limit khatm kar di h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitne chaho par itne nahi ki content se jyada ad ho jaye.

  9. Avatar for RANJOT SINGHRANJOT SINGH

    sir very nice article sir me aap se ek swal puchna chahta hu main blogspot pe blog create kiya h abi m abi new hu mujhe btaiye wordpress.org pe blog create pe kitna paisa lge ga plz reply

  10. Avatar for Vishal GuptaVishal Gupta

    Nice tips to increase followers i will thankful to you i will follow this!!

  11. Avatar for BasitBasit

    Aapka bhut bhut shukriya aise post share karne ke liye

  12. Avatar for Gautam KoliGautam Koli

    Sir main smi par guest post Karna chaata Hu toh kya main kar sakta Hu kya. Main website security par post karuga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Guest post policy read karo kar sakte ho.

  13. Avatar for नदीम घोसीनदीम घोसी

    सर क्या आप बता सकते है अपने वैबसाइट के विजिटर बढ़ाने के लिए पैसे कैसे invest और कहा करे

  14. Avatar for Ankit kumarAnkit kumar

    Bhut badiya bhai.

  15. Avatar for AsweenAsween

    Twitter par followers badhana thoda mushkil he lekin aapne jo yahaa followers badhane ki asarkarak tips batai he usse beshak hum followers badha sakate he.

  16. Avatar for RakeshRakesh

    Really Good Tips Thanks For Sharing

  17. Avatar for Kunj BihariKunj Bihari

    Awesome trick

  18. Avatar for Gautam KoliGautam Koli

    Sir ji aapke yeh post bhut achi hai. Aap bhut achi achi post likhte hai. Main aapki har post padta Hu.

    Aap se ek question hai Ki main apne blog ka traffic jaise increase karu. Mere daily 60-70 pageview hote hai. Kuch tips btaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Read our SEO posts.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...