Twitter Par Account Kaise Banaye – Step By Step Jankari

Social Networking sites par itne users ho gaye hai ki aaj 90% log social media use karte hai. or lagbhag sabki faceboo, twitter par profile hoti hai. kyuki social media apne dosto se bat karne ka sabse aasan tarika hai. fir chahe aapke dost duniya ke kisi bhi kone me ho. aap usse ayse bat kar sakte ho. jaise wo aapke aaspas hi ho. dosto se judne ke liye facebook account to har kisi ke pas mil jayega. but twitter par bahut hi kam log account banate hai. to chaliye aaj mai aapko twitter par account banane ki step by step jankari de raha hu.

Twitter Par Account Kaise Banaye

Aap is post me btaye tarike ko follow karke agle 5 minute me apni twitter profile complete kar sakte ho. Facebook Par Account Kaise Banaye Sirf 5 Minite Me ke bare me mai pahle hi bta chuka hu.

Maine pahle social media par page banana bhi btaya tha. jiski jankari ke liye aap Facebook Par Page Kaise Banaye or Google Plus Par Page Kaise Banaye post pad sakte hai. to chaliye aaj twitter par bhi account bana lete hai.

Twitter Kya Hai?

Twitter facebook, google plus ki tarah hi ek online social networking site hai. jise March 21, 2006 ko Evan Williams, Noah Glass, Jack Dorsey or Biz Stone ne launch kiya tha. jis par user apne dosto ke sath 140 word ka message send kar sakte hai or recieve kar sakte hai. or dusre other person ko follow karke unke vichar pad sakte hai or sanjha kar sakte hai.

Twitter Par Account Kaise Banaye – Step By Step Guide

Agar aap online koi bhi work karte ho. jaise blogging, designing, part time job, online work to aapka sabhi social sites par account hona jaruri hai. or agar aap khud ki free website banana chahate ho to aap Website Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pade or apni free website bana le.

Ya fir aap internet se paise kamane ke or tarike janna chahate hai to aap Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike post par jao. jisme aapko internet se paise kamane ke 20 free tariko ke bare me jankari milegi.

Step 1:

Sabse pahle aap twitter.com site par jaye or yellow color ke sign up button par click kare. ab jo sign up forum khulega usme aapko apni email id, name or mobile number ki details bharni hai.

  1. apna pura name likhe. jaise Jumedeen khan
  2. apne mobile number ya apni email id dale.
  3. apne twitter account ke liye new password banaye.
  4. Tailor Twitter based on my recent website visits ke samne √ tick kare.
  5. Sari jankari bharne ke bad Sign Up par click kare.

Twitter Sign Up Forum

Step 2:

Ab agar aapne email add kiya hai to email verify ka or agar mobile number add kiya hai to mobile number verify ka option show hoga. aapne jo email ya phone no. add kiya hai us par ek message aayega. us message me 6 number ka verify code hoga.

  1. Verify code enter kare.
  2. Vrify par click kare.

Verify your phone

Step 3:

Ab jo page open hoga usme aapko username enter karne ko kaha jayega.

  1. apna username enter kare.
  2. Next par click kare.

Choose a username

humare twitter account ka username is tarah hota hai. jaise “twitter.com/iamjumedeenkhan me iamjumedeenkhan mera username hai. aap bhi ayse hi apna username select kar sakte hai. twitter mew ise @iamjumedeenkhan is tarah se add karke tweet karte hai. show ho sake or available ho to apne name ka hi username select kare.

Step 4:

Ab ek welcome page open hoga. usme Let’s Go! par click kare.

Step 5:

Let’s go par click karte hi new page khulega. usme aapke interest ke bare me pucha jayega.

  1. diye huye options me me 2-5 interst select kare.
  2. Continue par click kare.

Choose Your Interested

 

Step 6:

Ab aapko kuch fomous logo ko follow karne ko kaha jayega. Follow 40 & continue par click kare. agar aap soch rahe ho ki mai jinko janta nahi unko follow kyu karu to don’t worry aap bad me inhe unfollow kar sakte ho.

Follow Some People

Step 7:

Ab apna profile photo upload kare.

  1. yaha par click karke upload phto select kare or apna profile photo select kare.
  2. continue par click kare.
  3. aap chahe to bad me bhi profile photo upload kar sakte ho. iske liye skip this step par follow kare.

Add profile photo

Ab aapka twitter acconut ban kar complete ho gaya hai. ab aap twitter par apne dosto se jud sakte ho. dusro ko follow kar sakte ho or follower bana sakte ho. agar aapko mera tarika acha laga ho or aap mujhe bhi follow karna chahate ho to @iamjumedeenkhan par aap mujhe bhi follow kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (24)

  1. Avatar for पवन बिल्लोरेपवन बिल्लोरे

    मेने ट्विटर पर अपना अकाउंट बनाया सब कुछ सही किया अब में ट्विटर पर कुछ भी पोस्ट कर रहा हु तो उस पोस्ट पे like ओर cmt क्यों नही आ रहे है?
    मुझे कुछ समझ नही आ रहा है बताये क्या करूँ

  2. Avatar for SumitSumit

    Aapka artical pdke mne bhi apna new Twitter account bnaya hai

  3. Avatar for Ravi ParwaniRavi Parwani

    twitter pe hame post share karni ho to apne blog ka share button use karta hoon . aur fir only text link hi share hoti hai.aap twitter account main image ke sath post kaise share karte ho? Desktop virsion kaise set karna hota hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      twitter par post ka link share kiya karo.

  4. Avatar for Ravi parwaniRavi parwani

    Hello Bhai,maine twitter pe account banaya hai lakin post share karta hoon to only 140 ka title hi ata hai,post ki photo nahi show ho rahi hai,only link show .kaise set karna hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap twitter ka desktop version use karo mobile se nahi kar sakte.

  5. Avatar for SurendraSurendra

    Jumedeen bro meri help kare !

    Yesterday ko maine blog me tamplate change kiya tha jiski wajha se mere blog me bhut problem aa gayi hai

    1) Mere blog ka traffic 40% kam ho gaya

    2) Mujhe background me koi bhi color naa ho ! Esa code bataye

    3) Jab bhi mai sidebar /footar me koi bhi Gatged ( popular post ,archive ,ads , email box ,etc) add karta hu toh inke sath Ek Chabi Ka ICON aa jata hai isko kaise hatau ???

    Ab aap mera blog check karke mujhe inka solution bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. aap yoast seo plugin use karo. mai usko intall karne ke bare me post karunga.
      2. blog ke dashboard>>ribbon>>styling option par jao or Background Color ke samne #FFFFFF code paste karke save kar do.
      3. apne browser ki history cockies delete karke fir se blog check karo icon nahi aayega.

  6. Avatar for devdev

    bhyi sitemap me kuch error nhi he sitemap me jo row wo kitni karni he usme to koi prblm nhi ho gayi 10,25,50,100,250,500 inme kitni rakhu or ya kya he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      sorry dev sitemap me aysa koi option nahi hota.

  7. Avatar for devdev

    4-5 din phle me apni site ka name dalta tha to daily updated post dikhayi deti thi hours me phir band ho gayi me regular post karta tha to mene socha ki shayad sitemap me me prblm ho gayi phir mene sitemap.xml delate karke phir se add kar diya ab 2- 3 se me post regular kar rha hu par meri post nhi dikhti searech me sirf meri site ka name aata he phle to post b ati thi bhyi kya ho gaya kuch suggestion dejiye..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap search console me check karo ki sitemap me koi error to nahi hai. or agar hai to fir se sitemap create kar submit karo. aap regular post karoge to search engine me post dikhne lag jayegi.

  8. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bhai blogger ke dashboard mein settings>search prederences>custom robots header tags, ko kaise use karte hai

  9. Avatar for murtuzamurtuza

    sir blogger pe blog banane ke baad acche views aane ke baad ham AdSense ke liye apply kar sakte hai bina domain kharide blogger.com pe bina domain kharide AdSense ke liye domain kharidna padta hai.

  10. Avatar for hatimhatim

    sir aap apne site ko regular change karte rahete hai yaa ki aap regular templete,theme uska layout change karte rehte hai kiya regular changes karna zaroori hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mai theme change nahi karta. bas theme ka design or better karne ki koshish karta hu. aap bhi dekh rahe hai ki mera ne look old look se better hoga.

  11. Avatar for devdev

    bhyi kya ham apni post ko twitter or YouTube dono par share kar skte he ya nhi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha bilkul kar sakte ho.

  12. Avatar for rohitrohit

    1-sir aap meri site open karke dekhe aapko usme ads dikh rhe h kya
    kabhi ads dikhne lgte hai aur kafi ni dikhte h
    2- aapke site me jo social button aate hai jaise whatsapp blogger etc jaise hi us par click karte hai aur link share ho jate h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ads dikh rahe hai. ye button WordPress par hote hai. aap blog dashboard>>settings>>sharing par ja kar button active kar sakte ho.

  13. Avatar for prakashprakash

    sir,
    maine gooyabi template se G-Vusion-version ka template upload kiya woh computer me thik se chal raha hai par mobile mai only post hi bata raha hai other info jaise email subscribe search box popular post social share buttun nahi bata raha hai jab mobile se web version par click karne par sab bata raha sir aap help kijiye please taki bina web version ke saari detal mobile mai bhi dikh sake

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      popular post, recent post subscribe widget aapko lag se lagani padti hai. blog ke layout me ja kar.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...