UC News me blog submit karne ke bad kya kare – complete information in hindi: Maine aapko pichli post Website Ya Blog Ko UC News Me Submit Kaise Kare me blog ko UC Web aap me submit karne or site content show karne ke bare me btaya tha. Aaj is post me main aapko UC News me site ki traffic performance report check karne, site ko manage karne or apni posts ko UCNews application me dikhane ke bare me complelte process btaunga. Agar aap janna chahate ho ki blog ko uc me submit karne ke bad kya kare to ye post aapke liye hi hai.
UC News app me site submit karne ke bad aapke liye ye janna bahut jaruri hai ki aapko kaise apne articles publish karne hai ya fir ye automatically indexx ho jayenge or sath hi ye bhi janna jaruri hai ki aapki posts ko uc news me kitne users read akrte hai. Pahle iska feature uc me nahi tha but ab aap ucweb browser me show hone wali apni posts ki traffic performance report bhi check kar sakte ho.
Is post me main aapko UC news me site submit karne ke bad ky karna hota hai or site ki traffic report kaise check ki jati hai ke bare me step by step btaunga. Jisse aapko apni posts ko uc news me show karane me aasani hogi. Isme kuch features aese bhi hai jin ke bare me aapko jankari hona jaruri hai.
- Mobile Number Location Track Karne Ki 15 Badiya Websites
- Gmail Par Message Pahucha Ya Nahi, Padha Ya Nahi Kaise Pata Kare
Agar aapne abhi tak apni site ko UC news me submit nahi kiya hai to pahle aap How to Submit Site to UC News post padh kar apni site ko UCNews me submit kar le uske bad aap ye post padh sakte hai.
UC News Me Site Ko Submit Karne Ke Bad Manage Kaise Kare
I hope aapne UC news me apni site submit kar li hai or aapko approval bhi mil gaya hai. Ab aap apni site ki performance reports check karne or site ko manage karne ke liye ye step follow kare. Main yaha aapko sabhi features ke bare me bta raha hu.
First aap mp.ucweb.com par or apni log in ID se log in kare.
1. Main Page & Post:
Sign in karne ke bad home page par aaleft sidebar apne blog ki recent post dikahyi degi. Yaha aapko ye pata chalta hai ki aapki koun kounsi post publish huyi hai or koun kounsi pending me hai.
- First aap top sidebar me Post par click kare.
- Post pending me hai. (Aapke post sahre karne ke kuch hours bad post automatically publish ho jati hai.)
- Post is published.
- Ab aapko kitni post publish hai or kitni pending me hai ka pata karna hai to three line menu par click kare.
- Yaha par aapko All posts, Published, Pending and Offline alag alag category me post ki jankari mil jayegi.
2. Messages:
Agar aapki site UC news policy ka violation karti hai to aapko UC news message or notice send kar sakta hai sath hi aapki post and aapke account ko suspend bhi kar sakta hai. So uc news ki terms & conditions read kar le taki aapko future me problem na ho.
- Message apr click kare.
- Jab aap uc news ki policy violation karoge or aapki post ya account suspend hoga to aapko yaha message mil jayega. Mostly copyright, false post ko suspend kiya jata hai.
- Agar aapko platform notice bheja jayega to yaha milega.
- Yaha par aap sare warning messages, alert, violation, notice dekh sakte hai.
3. Write Post on UC News:
Agar aap sirf UC News me post share karna chahate ho or use blog par dikhana nahi chahate to aap bilkul aesa akr sakte ho. Kei short post hoti hai jo blog par publish nahi ki ja sakti un post ko aap uc me share kar apna support badha sakte ho.
UC news ka post write karne ka feature same WordPress blog ke feature ki tarah hai. Aap jis tarah apne blog me post lihkte ho same wese hi is par bhi post likhi ja sakti hai. Follow below steps.
- Post par click kare.
- New Post par click kare.
- Yaha par aap text content likh sakte hai.
- Post category choose kar sakte hai.
- Post thumbnail featured image set kar sakte hai.
- Bilkul blog post editor ki tarah aapko isme bhi same option milenge jinse aap images, links, highlight words etc. sabkuch kar sakte ho.
- Post likhne ke bad aap uska preview dekh sakte ho, use draft me save kar sakte ho or publish kar sakte ho.
4. Account Information:
UC news me humari post show hoti hai to uske niche about author box show hota hai. ye bilkul wesa hi hota hai jaisa aap apne blog ki post me likhte ho. Isme aap apna photo, description, name and contact mail ID add karte ho. Isme bhi aapko yahi karna hai.
- Account par click kare.
- Upload new par click kar apna photo ya apne blog ka logo set kare.
- Apne blog ya apne bare me 150 words me description likhe.
- Category select kare.
- Apna email aaddress enter kare.
- Apna mobile number add kare taki UC news team aapko jarurat padne par call kar sake.
- Finally update changes par click kare.
Aapke updatechanges par click karne ke bad uc browser team aapke account information ka review karegi uske bad update process approve hogi.
5. Site Performance Reports:
Agar aap janna chahate hai ki UC news me aapki post ko kitna padha jata hai or aapke blog ko kitne user follow karte hai to iske bare me aap report check kar sakte ho. Iske liye aap reporting option par click karke apne blog ki complete performance report dekh sakte ho.
- Reporting par click kare.
- Aap sabhi posts and all time ki report dekhna chahate ho to left sidebar me Overview par click kare. Yaha aap yesterday Visitors, Views, Increased followers, All time overview, Traffic maps, Total views and total followers ki report dekh sakte ho.
- Agar aap janna chahate ho ki kis post par kitne views aaye hai or use kitne logo ne padha hai to left sidebar me Post Stats par click kare. Isme aapko views, users and shares sabkuch kuch post to post dekh sakte ho.
Is tarah se aap UC news me blog ko submit kar sakte ho or uski performance reports bhi check kar sakte ho. Upar btayi gayi jankari se ab aap apne blog ko sahi se manage kar sakoge or aapko future me iske bare me koi pareshani nahi hogi.
I hope aapko ye article pasand aayega or isme aapko UC news me apne blog ko manage karne ki puri jankari mili hogi. Agar fir bhi aapko koi option samajh na aaye to comment me puch sakte ho sath hi agar aap kar sako to is post me social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Thanks for reading….
Anwar
Abhi maine uc news me form submit kiya hai lakin uske logo ke option apna photo add kiya hai. Verification complete hojane ke baad kya hum apni site ka logo usme add karsakte hai?
sankalp
Mujhe Lagta hai sirf Uc News Country wise hi news dikhata hai…
mtlb agr hme india se hai to America wale ko nahi dikhata…
kyoki mene uc news ko padha usme sab Indian authors hi dikhayi de…..
english ke padhe articles…
kya ye sach hai…
Jumedeen khan
Country nahi location ke according dikhata hai.
Md Sharique Ansari
Bhai, me ne kuchh din pahle Account banaya tha par uska kuchh response nhi mila rha h , kya karu
Jumedeen khan
Try again
SANGEETA
Sir mere UC News account me meri Rating Silver se Bronze ho gai hai or wah update nahi ho rahi hai to kya aap mujhe batayege ki mujhe ab kya karna chahiye iske liye.
rahim malik
jummedin bhai slam
me ye puchna chahta hun ki uc news ki post ko share kese krte hai
mene gmail id se a/c bnaya hai mujhe ye smjh nhi arha hai ki jo post publsh ki hai use fb,whatsapp etc pr kese share kren.
please help
Jumedeen Khan
UC news ki post m share ka option hota hai us par click karke share karo.
Krishna Kant
sir mai chahta hu ki mera post uc news aur apne blog dono pe dikhe toh kya krru ?? mera mtlb mai post kisi ek pe likhu jaise ki uc wale page me ya fir apne blogging site pe. sir plz reply kro i need your help.
Jumedeen Khan
Aap site ko UC news me submit karne ke bad only apne blog par likho UC news me aapki post apne aap submit ho jayegi.
Mateeb Khan
sir mujhe janna hai u.c news par agr post kare to kese check kare hamari news copyright hai
aur sir apni news ko ham u.c news ke app mai kese dekhe aur sir yeh bhi btaiye apne news par jyada views kese laye plz hlp me nd ans me i m waiting ur ans
Jumedeen Khan
Aap jab koi news daloge to aapko pata hoga ki aapne wo kaha se li hai uske soruce kya hai. Post karne se pahle copyright check karne ka or koi tarika nahi hai.
Aftab
JUMEDEEN BHAI MAINE UC NEWS PAR 2 ARTICLE LIKHE HAI AUR 1 POST PAR 7800 VIEWS SE JADA HAI ACCOUNT BHI PURANA HAI PHIR BHI MONETIZATION ENABLE NHI HO RHA HAI. JAB APPLY KARTA HUN TO BOLTA HAI YOUR OVERALL VIEWS IS 0.
PLEASE HELP.
Jumedeen Khan
Kuch day bad apply karna.
ashu
kya category baad me change kr sakte hai? Mera blog health ke uper hai but application form me health ki koi category thi hi ni to maine science select krli
Jumedeen Khan
Yes bad me kar sakte ho.
Deepak M Jain
sir ..
me something 1 month phle uc news se juda hu or isse judne me aapki post se muje kafi help bhi mili. uc se muje 1 month me 100+ $ bhi earn hue but uc ne muje 1 week jisme 2,74,000 view hue the uska 1 b $ nhi add kiya.
Jumedeen Khan
Sorry bro uc news earning ke bare me main kuch nahi kah sakta.
Abhishek Kumar
Hello sir maine uc news par 4 post ki hai lkin kisi pr bhi traffic 2000 nhi aaya hain jisse me iske add monetize nhi kar pr raha hu kya aapke pass iska koi solution h
Jumedeen Khan
Or post share karo.
Abhishek Kumar
Thankyou sir for reply, sir kya isme kisi bhi topic par likh sakte h
Jumedeen Khan
yes
Abhishek Kumar
Thankyou sir for your reply
dipanshu
sir ji blog site hain uc par register karana chahta hu jaise aajtak,com ki news show hoti hain…..plz help me kaise meri blog site register hogi
Jumedeen Khan
Ye post padho Website Ko UC News Me Submit Kaise Kare
Jairuvi
Hello bhai,
Kya main uc news me apani website ko bad me add karu to chalega
Aur ha to kaise?
Meri profile me websites ko option GRE color me blok he.
Thanks in advance
Jumedeen khan
Nahi bad me site URL change nahi kar sakte.
कबीर
Sir kya hum UC News se Earning bhi kar sakte hain? UC News mein apna blog submit karne par kya nayi likhi post apne aap update ho jati hain? aur kya UC News par blog/post submit kar dene ke baad hamare blog ki ranking (google search engine) mein koi Negative effect to nahi na padta hain? Please reply….
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho ranking ke bare me post me bta chuak hu.
Ravi parwani
bhai meri ek bhi post abhi tak uc news me nahi aai hai , jabki maine uc me submit ke bad 3 post publish ki hai.
kya problem hai yeh?
Jumedeen Khan
Wait karo UC ke aapki post publish karne karne me time lagta hai.
Jitendra vaishnav
Uc news ki post me link kaise lgate sir
Me post me blog ki link lgata hu to post suspend ho jati he
Jumedeen Khan
Nahi laga sakte UC robot links remove kar deta hai.
shekhar
Sir mena apna YouTube channel banya h pehla uska naam alg tha lakin ab mena uska naam change kar but mera channel serch purana naam se hi hota h. To nya naam se serch karne ke liya kya kru
Please suggest me .
Jumedeen Khan
Kuch day bad new name se search hone lag jayega.