Aaj Mai Aapko Es Topic Ki Jankari Dunga Ki Apne Blog Ke Liye High CPC Or High Rank Wali Specific Country UK (United Kingdom) Or USA (United State of America) Jaisi Country Se Blog Ke Liye Traffic Kaise Target Kare. Yani Kisi Specific Country Se Apni Website Par Traffic Kaise Laye?
Dosto Jaisa Ki Aap Sab Jante Hai United Kingdom (UK) Or United State of America (USA) Jaisi International Country Ki CPC Bahut Jyada Hoti Hai Agar Waha Se Apne Adsense Ads Par Click Aate Hai To Hum Se Ek Click Pe 0.50 Doller Se 5$ Dollar Matlab 50-300 Rupaye Aaram se Kama Sakte Hai.
Ho Sakta Hai Isse Bhi Jyada Commission Mil Jaye To Dosto Ab To Aap Samajh Gaye Honge Ki International Traffic Apne Blog Ke Liye Kitna Jaruri Hota Hai.
- Google Webmaster Tools Ko Use Karne Ki 7 Important Tips
- Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye 5 Badiya Tarike
Lekin Indian Blogger Ke Liye Ye itna Aasan Nhi Hota Hai Specially Hindi Blogger Ke Liye Magar Hum Kuch Easy Steps Follow Kar ke Aaram se In Country Se Traffic Target Kar Sakte Hai Or AdSense Se Achhi Income Kar Sakte hai! To Bina Time Waste Kiye Mai Point Par Aata hu.
Blog Ke Liye UK USA Country Se Traffic Target Karne Ki 5 Tips
Yaha Main Aapko 5+ Poitn Bta Raha Hu Jinse Aap Easily Other Specific Country Ko Target Kar Sakte Ho. Main Topic Ko jyada Lamba Nahi Karunga Short Me Bta Raha Hu Aap Samajh Jayiyega.
1. Search Console International Targeting:
Google Search Console Google Ki Ek Free Service Hai Jise Google Webmaster Tools Bhi Kahte Hai. Ye Blogger Ko International Country Target Karne Ki Permission Deta Hai. Es Tool Ki Help Se Aap Ye Choose Kar Sakte Hai Ki Aapko Apne Blog Par Kis Country Se Traffic Chahiye.
International Targeting Set Karne Ke Liye Sabse Pahle Apni Gmail ID Se Search Console Me Log-in Kare. Uske Baad Traffic Par Click Kare Or International Target Option Par Click Kare.
- Sabse Pahle Aap Google Webmaster Tools Par Jaye or Jis Property Ke Liye Specific Country Set Karna Hai Wo Select Kare.
- Left Sidebar Me Search Traffic Par Click Kare.
- Ab International Targeting Option Par Click Kare.
- Country Option Par Click Kare. Yaha Par Aap Apne According Specific Country Choose Kar Sakte Hai.
Adhik jankari ke liye aap ye post read kare.
2. International Backlinks:
Backlink Hamare Blog Ke Liye Bahut Important Or Hug Foctor Hoti Hai. Or Aap Jis Country Ko Target Kar Rahe Hai Agar Backlink Us Country Se Mile To Ye Aapke Liye Bahut Faydemand Ho Sakta Hai.
Maan Liliye Aap United State Country Ko Target Kar Rahe Ya Fir United Kingdom Ko To Aapko US Or UK Wale Domain Se Backlink Lene Ki Jyada Koshis Kare. Aapka Other Country Ke Kisi Blogger Ke Blog Par Guest Posting Kar Sakte Hai.
- Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways
Iske liye Aap Alexa Ki Help Se In Country Ki Domain Ki List Aasani se Le Sakte Hai. Sath Hi Or Bhi Aesi Bahut Sari Tools Hai Jo USA Top Sites Ki Jankari Dete Hai. Aap Iske Liye Google Search Engine Ka Istemal Kar Skate Hai.
3. Submit Website To Search Engine and Top Web Directory:
Search Engine Or Web Directory Website Ko Globally Target Karti Hai. Agar Abhi Tak Aapne Website ko Search Engine Or Web Directory Me Submit Nahi Kiya Hai To Pahle Apni Website Ko Submission Kare. Jisse Aapko Other Countries Se Traffic Milne Ke Chancea Badh Jate Hai.
Iski Jankari Ke liye Aap Ye Article Read Kar Sakte Hai.
- Blog Ko Google Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Bing Yahoo Webmaster Tool Me Submit Kaise Kare
- Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare Seo Ke Liye
4. Domain Extension:
Agar Aap Blogging Kar Rahe Hai To Aapko Domain Ke Bare Me Puri Janakri Hona Bahut Jaruri Hai. Jaise India Ki Baat Kare To India Most Domain Extension .in Hai Vaise India Me .com Or .org Wale Bhi Extension Bahut Famous Hai Or Jyadatar Blogger Inka Hi Use Karte Hai.
Lekin Agar Aapko Dusri Country Ko Target Kar Rahe Hai Yaa Fir Aapko Waha Se Traffic Chahiye To Aap .Uk, .Co.Uk, .us Extension Wale Domain Le Sakte Hai Esse Us Country Ke Search Engines Me Aapke Domain Ki Rank Achhi Banegi Or Aapko Waha Se jyada Traffic Milega.
5. Social Media:
Jaisa Ki Aap Sab Jante Facebook, Twitter, LinkedIn Globally Or World Wide Use Ki Jati Hai Or Har Country Se Million Log Social Networking Sites Ka Istemal Karte Hai To Waha Se Traffic Lena Bahut Easy Hai.
Jaise hum Baat Kar Rahe Hai United Kingdom Or United State Ki To Aap Facebook Pe In Country Ke Logo Ko Aasani Se Follow Kar Sakte Ha, Friend Bana Sakte Hai Or Facebook Par In Country Ke Facebook Groups Ko Join Kar Sakte Hai.
Facebook Par Aapko in Country Ke Hazaro Group Mil Jayege Jinko Aap Join Karke Apne Blog Ke Article Ko Share Kar Sakte Hai.
Hum Apne Blog Par Bahut Time Se Esi Trick Ko Follow Karte Or Humare Blog Par Traffic Bhi Accha Hai Or Income Bhi. Kyoki Agar Waha Se Visitor Aate Hai To Aapki CPC Bhi Increase Ho Jati Hai. India and UK, USA Location Par Adsense CPC Me Kagi Antar Hai.
Or Agar Aapka Blog English Me Hai To Aapko Bahut Benefit Mil Sakta Hai Lekin Hindi Blogger Ke Liye Ye Thoda Muskil Kaam Hai. Lekin Over All Baat Kare To Apko Facebook Se Bahut Jyada Benefit Mil Sakta Hai. Baki Aap Par Depend Karta Hai Ki Aap Kitna Achha Kar Pate Ho.
Inke Alawa Web Hosting Server Location Hamare Blog Ki Traffic Ke Liye Important Foctor Hoti Hai. Jaisa ki Aap Dusri Country Se Traffic Target Kar Rahe HaiTo Aap United State Server Location Par hi Apni Website Ko Host Karaye. Dusri Country Ki Hosting Aap Top Hosting Company Hostgator Or BlueHost Se Kharid Sakte Hai.
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
- Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
To Friends Ye Kuch Steps ( Tricks ) thi Jinko Follow Kar ke Aap In Country Se Traffic Paa Sakte Ho. Dosto Mai Aapko 100% Gaarantee To Nahi De Sakta Magar Aap Agar In Steps Ko Follow Karte Hai To Aapko Bahut Jyada Benefit Milega Traffic Me Bhi Or Income Me Bhi.
Mai Aasha Karta hu Ki Aapko Meri Ye Post Jarur Pasand Aayi Hogi Agar Aapko Es Topic Se Related Koi Question Puchna Hai To Aap Comment Ke Through Puch Sakte Hai.
Post Pasand Aaye to Ise Social Media Par Share Jarur Kare.
Chaudhary anil jaat
Very nice article
Es article se bahut jaankari mili
Vishal
Bhot hi achhi post hai sir , achhi jankari di hi apne , me isko jrur follow krunga.Thank You..
Anand Kumar
Fetch as Google mein post ko fetch karne ke liye, post ke URL se blog ke URL ko hatana padta tha. Jaise yadi mujhe http://www.abc.com/xyz post ko fetch karna hai to sirf /xyz hi dalna padta tha, jabki Bing aur Yandex mein full URL le raha hai. To main janna chahta hoon ki kahin nmain kuchh galat process par to nahin hoon?
Bing mein maine apne blog ka sitemap submit kiya to wahan par Painding likha aa raha hai. Aur saath hi Yandex mein bhi maine jo post submit kiya hai usmein bhi painding likha aa raha hai. Kya jis tarah se UC news harek post ko check karke tab publish karte hain, yahan bhi wahi baat hai kya? Ya koi aur baat hai?
Maine Google, Yandex aur Bing mein blog ko submit kar liya hai. Lekin Yahoo mein kaise submit hoga? Kya Bing aur Yahoo ke liye ek hi webmaster kaam karta hai (Iska jawaab mere liye jaruri hai)? Yadi haan to fir donon search engine ke bajaye koi 1 hi kyon nahin hai (Iska jawaab jyada jaruri bhi nahin hai)?
In 3non search engine ke siwaye bhi kisi aur par bhi blog ko submit kiya jata hai kya?
Jumedeen Khan
Jab bhi aap apen blog par koi update karte ho new psot share karte ho to sitemap update hota hai or jab sitemap ko google crawl karta hai to search console me sitemap pending dikhayega jo issue nahi hai. Bing and yandex itna jaruri nahi hai aap google par jayda dhyan do.
Anand Kumar
Thanks, main aapke advise ko jaroor follow karunga.
S.K YADAV
hi sir maine abhi apne blog ka domain change kiya hai kyoki fb ne mere purane domain ko block kr diya tha.lekin jb main google search karta hun to wahi pourana domain aur title dikha raha hai. aur jb uspar click karta hun to dikata hai ki yh blog remove ho gaya hai. nera blog blogger par hai. kya aap bata sakte hain ki kb tk google search me mera naya domain update hoga .
Jumedeen Khan
Aap new domain ko search console tool me add kar verify karo uske bad jaise jaise google aapke new domain wale pages ko cralw karega old link remove ho jayegnge.
Aashish
bahi ager hinglish blog par usa ka traffic aa raha hai or site open karte hi off kar raha hai to iska positive effect hoga ya nagetive
Jumedeen Khan
Negative.
Deepak
Bahut achchhi jankari di hai aapne… Mene bahut saari blogs padhi but yaha par mujhe puri jaan kari mili…. Thank you
dharmendra sharma
sir mera ek question he ki mera google adsense page traffic takriban 3500 dikhta he or page ctr 7 % rehta he. to kya page ctr jada rehne ki wjah se koyi problem ho skta he.
sir meri cpc 0.03 ho jati he to kuch suggestion de sakte he
Jumedeen Khan
Unique traffic hai to no problem.
Neeraj Parmar
Nice Post ~ after very long time we learn something new something techy ~
Thank You ~
Pawan Gautam
Nice information Sir Good Work.
khalid khan
bhai mene aapse 1 sawal pucha tha lagta ha shaayd aapne mera comment hi uda diya
bhai sawal ye tha ki jo aap post ,me ads use karte ha link and text aur banners wale wo manually daalte ho ya fir automatic aate ha , ya uski koi plugin ya setting karni hoti he
Jumedeen khan
Main iske liye ad injection plugin use karta hu.
Abhishek kumar
jumedeen sir ek confusion hai trafic sabse jyada kis language se aate hai . हिंदी ya hinglish
Jumedeen khan
Hindi
Kamlesh
hello sir kya mein hindi aur hinglish dono langguage me blog par article share kar sakta hun. iska ko negative iffect to nahi hoga.
Jumedeen khan
Yes aesa karne se problem hogi aapko kisi ek language ko select karna chahiye.
Nishaaant
Mere 2 questions hai.
1st- raise WordPress me tags hotels gain waise kya blogger me label ko tags kanha jata hai ya label alag feature hai aur label tags me kya fark hai explain it.
2nd- Adsense ke baad ek best adnetwork jo aapko Lata ho USA naam banaye?
Jumedeen khan
1. Dono same feature hai.
2. Check here Best Adsense Alternative 2017
Shaikh Sahed
Hi brother,
Aap apne blog main content kaise protect kar ra he ho,please advise me the plugin jo blog content ku copy ho ne se rok pa ye.
Jumedeen khan
Ye post padho Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
kumar
behtarin post mene search console me united state ko target kar rakha h lekin iska mere adsense me kya fayda hoga kya ye aap bta sakte h
Jumedeen khan
Agar aapka hindi blog hai to USA ko target mat karo. Ye english site ke liye best hai. USA me adsesne CPC jyada hoti hai ye fayda hai.
Deepika Bisht
Please give me the solution!!!
1. Kya hum bina kucch add ya changes kiye kisi post ko update kar sakte hai. Kya yeh sahi hoga?
2. Meri jyadtar posts me Wikipedia aur Bookmyshow jesi badi sites ke official links hai to in links ko me DoFollow karu ya NoFollow please mujhe bataye!
Jumedeen khan
1. Kar sakte ho but jaruri u0pdate karoge to sahi hoga. Bina jarurat ke update karne se koi fayda nahi hai.
2. Dofollow.
Qasim Butt
Very nice post bro
1) Sir Mere Blog pe Taqriban sara traffic United States Sy araha he , Pata nahi Q , Day me 500+ or Month me 5000+ se bhi zada ho raha he , mene search consle me country set nahi kia ,
Mene Apny Blog pe 4 se 5 posts hinglish me likhi he or baqi sari posts English me likhi he or Posts ke location bhi United states he select karta hun , To Kia issy waja sy ata he us sy traffic ?? Please batayen ?
2) Abhi me apne blog me hinglish mebhi post karaha hun or English mebhi zada tar English me likhta hun to isski koi Disadvantage to nahi haina ? Or Traffic or Koi chez me Faraq to nahi parega , plz batayen.
Jumedeen khan
1. Nahi blogger stats galat report dikhata hai aap analytics use karo.
2. yes english content par aapko fayda hoga.
3. Bad Idea aesa karne se aapko english traffic nahi milega. English reader hinglish pasand nahi karte.
Ravi Sharma
Bro Mane Upper Ek Line Or Add Ki thi Isme English Blogger Ko Bahut Jyada Benefit Milega Or Hindi Blogger Ko Km.
Ankit Thakur
Nice information sir
Kya blogger me wordpress looking comment box laga sakte hai ager haan to kaise laga sakte hai sir
Jumedeen khan
Yes aap discuss comment system use kar sakte ho.
Ravi Sharma
Thanks Jumedin Sir 🙂
Jo Apne Mere Ko Support Me India Ke Sath Judne Ka Mokka Diya hai 🙂
Support Me India Pe Ye Meri Pahli Guest Post Thi Or Aage Bhi Mai New Guest Post Likhuga 🙂
Satpal Singh
Hi bhai Post Achi hai. Mera domain exection india ka hai .in so mera change hora ni international targetting.
I think ki india ka exetion hai to webmaster tool only india ko target karega.
What you think jumedeen bhai
Jumedeen khan
Aapke pas country level domain hai to aap other country ko target nahi kar sakte. .in domain par india se hi jyada domain hoga. For example, aap google me kitna search karte ho aapko .uk domain kitni bar google me dekhne ko mila same wese hi UK me aapke domain ki vlaue hogi.
vivek
mujhe kuch Daut hai plz ise clear kare
1. Jaisa ki upar bataya gya hai ham Google search console me ham usa,UK country ko Target kar sakte hai .
Mai ye jannna chahta hu Aap our jisne guest post kiya hai Aapke blog par wo Hindi blogger hai to ham USA,UK country ko Target kyu kare.
USA ke log ko Hindi samjh nhi Aata hai.Use ham target kar kya karenge.Wo to Hamari Hindi language ko samjh nhi sakta.
2. .Agar ham kya USa country ko Target karte hai to kya isse Hamara blog/blog ka post USA ke logo tak puchu sakega kya.
3.USa ke log to Google par English search karte hai to use Hamara post Kaise dikhega.
4. Ham Hindi blogger hai to kisi famous Hindi blog par guest post ka backlink received kar sakte hai Aisa Maine padha hai.
but upar bataya gya hai ki kisi English blog par guest post kar backlink Bana sakte Hai..
But bro backlink to hame us site se milegi na Jis site se releted Hamare blog ka topic /us site se milta julta mera kuch lable ho.
Jumedeen khan
1. No matter, jisko USA traffic chahiye or jyada earning karni ho wo kar sakta hai. Jaruri nahi hai aapko karna hi padega aap chaho to kar sakte ho agar india ko target karna hai to india choose karo. (Main aapko btana chahunga ki USA me bhi ek mini india hai or wo achhe se hindi, hinglish padh sakte hai. Mere pas already USA se traffic hai.)
2. Kyu nahi aap USA ko target karoge ot clear hai content bhi wohi ko target karke likhoge to google use waha ke logo ko dikhayega. Agar unhe aapki post pasand aati hai to wo aapki post padhenge.
3. First question ke answer ko fir se padho.
4. Bilkul kar ksate ho besharte wo blog aapke niche se related ho. Read carefully wo english blog ke liye hi btaya gaya hai agar aapka blog english me hai to aap english blog par guest posting kar sakte ho. Post starting point me hi kaha gaya hai ki main short me btaunga aap samajh sakte hai.