Unfriend all Facebook Friends One Click. Is post me main aapko all facebook friends ko ek sath unfriend karne ke bare me btaunga. Kai bar unknown persons se humari facebook friend list full ho jati hai. Isse hume kafi problem hoti hai. Magar sabhi friends ko ek sath friend list se remove karna thoda mushkil hota hai. Aese me aap yaha btayi trick istema kar apni facebook profile se extra unknown friends ko ek bar me unfriend kar friend-list ko clear kar sakte ho.
Oh! aap sachmuch pane facebook dosto se pareshan lagte ho or ab aap all facebook friends ko one click se unfriend karna chahate ho. No worry, yaha btayi gayi tricks aapka jyada tim waste nahi karegi aapko sirf ek click karna hai or aapki friend list se sabhi friends delete ho jayenge.
Aap chahe to manually ek ek karke sabhi friends ko unfriend kar sakte ho but isme bahut time lagta hai. Agar aapki facebook ID par 3,000 to 5,000 friends ho to ye bahut jyada mushkil kaam hoga. So aese time me aap is tips ka istemal kare or apni facebook friend list se unwanted unknown anjan logo ko alag kar de.
All Facebook Friends Ko One Click Se Unfriend Kaise Kare
Sabhi facebook friends ko ek sath unfriend kaise kare, Facebook friend list ko one click se clear kaise kare, all facebook friends ko ek bar me unfriend kaise kare ki jankari.
Step 1:
- Sabse pahle aap apne computer, laptop me chrome browser open kare.
- Ab chrome browser me facebook.com site par jaye or apni facebook ID se log in kare.
Step 2:
- Facebook par log in karne ke bad browser me Facebook Friend Remover ya fir Facebook Social Toolkit Extension install kare.
Step 3:
Inme se aapko jo extension best lage wo use kar sakte ho. Main yaha facebook friend remover ke steps bta raha hu.
- Browser me facebook friend remover extension add karne ke bad aapko browser ke right side top me tool ka icon dikhayi dega.
- Is Icon par click kare.
Step 4:
- Ab aapko jin jin friends ko unfriend karna hai unhe select kare.
- Ya fir aap sabhi friends ko remove karna chahate ho to Select all par click kare.
- Finally, Remove friends par click kare.
Now all done! ab kuch hi time me aapki facebook friend list se all friends remove ho jayenge. Is tarah se aap one click se all facebook friends ko unfriend kar sakte ho.
Iske alawa facebook par sabhi friends ko unfriend karne ke or bhi kai tarike hai jaise javascript ka istemal karna magar ye trick sabse better or aasan hai. Agar aapko aesi hi koi or trick pata ho to uske bare me comment me jarur btaye.
- 10 Cheeze Jo Social Media Par Kabhi Share Nahi Karni Chahiye
- Facebook Par Like Kaise Badhaye, Post Ko Viral Kaise Kare
I hope aapko ye post pasand aayegi agar ha to ise facebook par pane dosto ke sath share jarur kare taki wo bhi iske bare me jan sake.
Dharmendra Kumar sagar
Sir facebook app se ek sath sabhi friends ko unfriends kaise kare please reply sir.
Sahil jadhav
Fabulous post hai sir
Kunal Jadhav
ha sach me kaam karta hai
qamar zeya
meri ek friend hai jo facebook par mujhse naraz hai pahle wo jab bhi active hoti thi to mujhe pata chal jata tha lekin ab uska activation pata nahi chalta hai jab bhi mai use messenger pe msg. send karta hun to do ya teen dino ke baad mere bheje gaye msg ke paas uska ek chhota sa profile pic ajata hai aur jab mai uske profile mai jata hun to add frnd ki jagah par cancel request araha hai to kiya mera frnd mera msg dekhta hai.kiya usne mujhe block kar diya hai.please help kare
Jumedeen Khan
Aap uski profile facebook par search karo agar search me na aaye to samajhna usne aapko block kar diya hai.
Mohd Amir
nice blog bro wese m to sbko ek ek krke hi remove krta tha ab apne bht hi acha tarika bta diya hai ,,,
sir ap y bta skte h ki hm apne facebook account ko kis trh se secure kr skte hai…
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Facebook Account Ko Safe Kaise Rakhe 10 Secret Tips
RASHID
bahut achchi post sir. mujhe apne blog me add lagana hai kaise lagau mera adsense Approve ho gaya hai
Jumedeen Khan
Maine iske bare me bhi post ki hai aap apna sawal search box me search karo.
Manoj Yadav
Nice Post
Manoj Yadav
Hello Bro…
Aapne ye post ki hai
Blogger Ki Har Post Me Author Box Enable Kaise Kare?
Agar mai author box ko post me na lagakr layout me lagana chahta hu to kya karna hoga.
Jumedeen Khan
Uske liye aapko wo coding layout section me add karni hogi.
Mohit jangir
बहुत अच्छा Jume deen जी पर यह पहले से जानता हूं पर यह पोस्ट बहुत अच्छी लिखी है बहुत लोगों को इसका पता भी नहीं है Good Job
ankur jha
jumedeen bhai kya aisa koi feature hai jisase me inactivate friends ya Male Female friends ko alag a;ag unfriend kar saku please reply jarur karna
Jumedeen Khan
Aap is toole ka istemal kar manually friends ko select kar unfriend kar sakte ho.
lal haveli
Thank you for the important and useful information.