MediaFire Me File Upload Kaise Kare, Uploading Files Full Guide in Hindi

MediaFire file sharing and cloud storing karne wali free service hai. User iski help se apni photos, documents, music and videos ko ek jagah save rakh sakte hai. Jise kahi bhi exchange kiya ja sakta hai. Ye iPhone, Android, OS X and Windows par available hai.

Upload your file on MediaFire

In this post, mai aapko bta raha hu ki kaise aap mediafire par apni files or dusre media ko upload kar sakte ho. Yaad rahe agar aap apne mediafire account ko 60 day tak active nahi karoge to aapka account bekar samajh kar delete kar diya jayega. I mean mediafire account ko 2 month me kam se kam ek bar use karna jaruri hai.

Internet par aysi bahut si services hai jo users ko free store offer karti hai. Google bhi apne user ko free storage offer karti hai. But inke alawa bhi kuch aysi sites hai jinke step bahut simple hai or koi bhi inhe use kar sakta hai.

How to Uploading a File to MediaFire in Hindi – Full Step by step Tutorial

Sabse first me aap MediaFire website par jaye or apne account se log in kare. MediaFire par file upload karne ke liye register karna aniwarya (mandatory) hai. So agar aapka mediafire par account nahi hai to pahle aap sign up par click karke account create kare. Aap iska basic free plan use kar sakte ho jisme aapko 10 gb storage milega.

Step 1:

Sign in ya log in karne ke bad mediafire homepage par jaye. Yaha aapko aapki upload ki gayi sabhi files milegi ya fir aap new user hai to aapko yaha camera, documents, music, photos and videos ke option milenge.

Aapko file upload karni hai iske liye aap upar toolbar me Upload par click kare or aapko computer ya web jaha se file upload karni hai wo select kare.

Upload files

Step 2:

Ab aap jis file ko upload karna chahate hai use search kar select kare or fir open ko click kare. Uske bad Begin Upload par click kare. Ab kuch seconds me aapki file upload ho jayegi. Uske bad Return to my files par click kare.

Begin Upload

Step 3:

File ke ek bar upload ho jane par aap in files ko apne friends ke sath share kar sakte hai. Files ko share karne ke liye aap files se connect folder link ko copy kare ya apne content ke email me jaye. Folder link copy karne ke liye folder par right click kar copy link par click kare.

Copy link

Ab aap is link ko apne friends ko share kar sakte ho. Wo aapse online aapki files jaise music, songs, media, videos and photos ko receive kar sakte hai.

Agar aapko ye information pasand aaye to is article ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (13)

  1. File blocked problme kaise door karein

  2. bhai jee media fire me jo hunm file upload karte hai -jb hum uska link link copy karte hai to wo dikhata hai link copied to clipboard … ab clipboard kaha se nikale

    • Clipboard temporary fiel hoti hai jisme aapke dwara copy kiya gaya latest content save hota hai. Jise aap kisi bhi place me paste karke show kar sakte ho. Cntrl+V key button press karke.

  3. sir main vahut dino se yesi website ki talash kr raha tha thanks you very much sir. mere ads 1 header and 1 footer show hote hai to post main kya main aab ek hi ad lagau..please bataye.

  4. Copyright © 2015-2016.Privacy PolicyContact|Sitemap|About|Service|Disclaimer|Back to Top

    ye sab hum apne blog me add kar sakte agar kar sakte hai to kaise plz. btao na

    • Aap koi aysi template use karo jisme ye options ho uske bad unhe change kar lena.

  5. sir
    ye bataiye ki agar mera AdSense account me jo maine address verify ke liye diya hua hai. kya usi address area ka bank account hona jaruri hai .
    jaise agar mera ek ghar delhi hai. waha ka maine address diya hua hai. aur mera jo bank account hai wo lucknow me hai to kya isse koi dikkat hogi.

    • Ha bilkul problem hogi aapko wohi address dena tha jo aapke bank account me hai. Mai iske bare me kei post likh chuka hai wo padh lete.

      • abhi mera AdSense verify nhi hua hai.to kya mai usme payee profile me pura name change kr sakta hun , yani usi AdSense account me name ko change kar ke apne mom ka name enter kar sakta hun.

        • Ha kar sakte ho.

  6. Cloud File sharing ke liye MediaFire ek best file storage solution hain. Isse laghab world wide bahut log use karte hain. Its Great Topic.

  7. Hi Jumedeen

    This post was awesome. Here I got another solution other than gmail to save my files safely.

    Fantastic post…your step by step guide helped me upload the files within a minutes.

    Thanks