Agar aapke pas android mobile hai to aapne usme bahut sare apps bhi istemal kiye honge. Application pahle only entertainment ke liye bane hote the par ab aese bahut se apps develop ho rahe hai jo hume jaruri jankari dene ke sath sath humari bahut si problems ko solce kar dete hai. Smartphone ne humare bahut se mushkil kaam ko easy kar diya hai or ab har field ke liye alag apps ban rahe hai. In this post, aaj main aapko kuch aese most important apps ke bare me bta raha hu jo sirf indian users ke hi kaam aa sakte hai.
Wese internet par google par aapko har tarah ki help mil sakti hai but kuch apps aese hote hai jo aapko google se bhi better information dete hai. Aaj main aapko kuch aese android application ke bare me bta raha hu jo google se bhi jyada beneficial hai or aapko kam time me jyada janakri provide karte hai.
In apps par aap Government job vacancy, Online mobile recharge, Dish TV recharge, Train ticket booking, Flight booking, areas PIN code, Most people’s activities and other bahut si important information pata kar sakte hai. Ye app india me kafi popular hai or aapko better performance dete hai.
Table of Contents
8 Useful and Help Android Apps Only For Indians in Hindi
Ye apps sirf bharteey logo ke liye develop kiye gaye hai jo har ek indian ke kaam aa sakte hai. Agar aap india se hai to aapke mobile me ye apps hona bahut jaruri hai. ye apps aapko bahut hi cool and good features provide karte hai. Ye sabhi app bilkul FREE hai.
In sabhi android apps ka size bahut kam MB ka hai. Inhe aap aasani se google play store se download kar sakte hai. In ko use karne ke liye aapke pas 4.2 se jyada support wala andorid mobile hona chahiye. Hazaro log already in apps ko use kar chuke hai so apa bhi try kar sakte hai.
1. Employment News in India
Is app par employment news yani Indian Government Jobs ki information share ki jati hai. Agar aap sarkari naukri ki talash me hai to aapke pas is app se behtar koi or option nahi ho sakta. Aap jaise hi is app ko download kar apne phone me install karoge to is app par sabse pahle aapse aapki qualification puchhi jati hai.
Uske bad aapko aapki yogyta ke hisab se jobs suggestions ki jati hai. Sath hi aapko time to time job notification bhi send ki jati hai. I mean agar aapke smart phone me “Employment news in india” app install hai to aapse koi bhi government job miss nahi ho sakti. Ye app student ke liye bhi behtar hai.
Aap is app par government sector categories and education wise categories se online jobs search kar sakte hai or latest updates pata kar sakte hai. Aap future refernce ke liye is par account create kar sakte hai. Uske bad aapko E-mail and mobile phone dono tarah se all type new jobs ke bare me suchna milti rahegi. Is app ka size only 7.6 MB ka hai.
2. RTI India
Is app ki help se aap apne country india ki active RTI (Right to information) activist system se contact kar sakte hai. Sath hi aap is apps par unki puri profile dekh sakte hai or unse sawal bhi kar sakte hai or unke har ek moment ki right information receive kar sakte hai. RTI India ko personal message bhej sakte hai. Unke metter par discus kar uni help bhi kar sakte hai.
Is app ko completly indian peoples ke liye banaya gaya hai taki aap apne android device ke throw direct RTI India ko access kar sake. Sath hi aap is app ki help se direct rtinida.org ko bhi access kar sakte hai. Is app ka size only 7.3 MB ka hai or iske liye aapka phone 4.2 android rating ka hona chahiye.
3. Ngpay
Ngpay travel entertainment shopping recharges ke liye banaya gaya hai. Ye aap aapko multiple solution proved karit hai. Is par aap Mobile rechrage, Dish TV recharge, Movie ticket booking, flight booking and online shopping apne phone device se hi kar sakte ho.
Ye bahut hi popular and famous app hai jise millions indians like karte hai. Ye superfast and secure app hai jo use karne me bilkul simple hai. is app ko aap Mobile recharge, DTH Recharge, Data card Recharge, Book flight tickets, Book rail IRCTC tickets mean all indian railway tickets, Book bus tickets, Book movies tickets and favorite brands shop karne ke liye use kar sakte ho.
4. India Code Finder
Hume kei bar kisi field ke PIN Code, Area code and other code ki bahut jarurat hoti hai. Aese time me humare liye in codes ka pata karna mushkil hota hai par Inda Code Finder app aapki is pareshani ko dur kar sakta hai. Is app me aapko india ke sabhi codes like PNR number, area code, STD code, PIN code and other abhi type ke code mil jayenge.
Ye app aapko Mobile number with number portability, PNR Number, STD Codes, IFSC, MICR Code, Toll Free Numbers, DTH Channels, Pincode, Radio Stations andTrace vehicle number ki service provide karta hai. So ab aapko in common thing ke liye internet par searching karne ki jarurat nahi hogi.
Is app me ICICI, HDFC, SBI, PNB, HSBC, Citi etc. 128 banks ki 1,80,000 braches ke IFSC and MICR code, 7600 se bhi jyada place ke code, 1,40,000 offices ke pin code, 1,000_ business toll free numbers, radio FM stations and 7 DTH operators like Tata Sky, Dish TV, Sun Direct jaise DTH channel ki information add hai.
5. Indian Rail Info
Agar aap train me jyada safar karte hai to jahir hai aapko train ke time table, tickets price jaisi jankari ki bahut jarurat padti hogi or aap iske bare me bar bar google par searching karte honge. But aaj main aapko ek aese app ke bare me bta raha hu jisme aapko india ke all railway department ki jankari mil jayegi.
is app ko mainly railway transit se related status ki information check karne ke liye banaya gaya hai. Is app par aap Indian Railway IRCTC Train Enquiry, PNR Status, Time-Tables, Reservation Enquiry, PNR Enquiry, Seat / Berth Availability, Google Maps Current Train Positions and other all about ke bare me enquiry kar sakte hai.
6. Home Remedies+ : Natural Cures
Gharelu nuskhe yani home remedies se upchar karne k hobby rakhne wale logo ke liye ye app bahut hi khas hai. Aapke sir me dard ho, hath or pair me ya sharir me kahi par bhi chot lagi ho to aap is app ki help se home remedies search karke uska ilaz kar sakte ho or sath hi is app par aap dusro ko advice bhi de sakte ho.
is app me natural care and medicine or herbal cure ke 100 se bhi jyada ailments yani bimariyo ke gharelu nuskho se ilaj karne ke bare me janakri btayi gayi hai. Iske alawa agar aapko apne sawal ka jawab nahi mil raha hai to aap is par dusre members se apna question puchh sakte ho or dusre logo ko apni remedy share kar sakte ho.
I mean is app me aapko bahut se ailment ke bare me deshi upchar ke tarike / tips btaye jayenge. So agar aap anreji dawa khane se hichkichate hai to ye app aapke mobile me jarur hona chahiye.
Ise commonly drugs jais ailments ke treatment ke liye banaya gaya hai or isme sari jankari hindi me di gayi hai. Sabse important bat isse aapki money west nahi karni hogi or aap ghar baithe hi apna or apni family ka upchar kar sakte hai.
7. Map My India Maps & Directions
Agar aapke pas android mobile hai to shaayd aapne google maps ke bare me to suna hi hoga ya fir ho sakta hai aap google map ko achhe se use kar chuke ho or uske bare me sabkuch jante ho. Agar haa to aapko pata hoga ki google map better hone ke bad bhi india ki all city and lanes ko cover nahi karta hai or aap usme apne country ko clear nahi dekh pate hai.
But mapmyindia app par aap apne country ke kisi hhi city ki galiyo ko clear dekh sakte ho. Agar aap kisi unknown city me fans jate ho to ye app ko chhote chhote nearby rasto par bhi guide kar sakta hai or aapko sahi address tak pahucha sakta hai. Is app ki help se aap step by step driving kar sakte hai or easily apni location ko find kar sakte hai.
Aap ise app me maps dekhne ke sath sath ise Satellite and Hybrid mode par bhi use kar sakte ho. Isme nearby features me Emergency & Hospitals, Shopping, Eat & Drink, Transport, Sports, Health & Wellness, Religious Places, Entertainment, Hospitals, Tourism, Education, Landmark, Offices and much more place highlight kiye gaye hai jo aapko aapke floor tak pahuchane me help karte hai.
Traffic features me Road Work, Jam, Accidents, Hazard, Low Visibility and Road Closed sabkuch diya gaya hai or Aap State Bank of India, Life Insurance Corporation, Hero, Muthoot Finance, Maruti Suzuki, DTDC jaise nearby place search karke aasani se apni majil tak pahuch sakre hai.
8. Indian Penal Code (IPC)
Indian Penal Code (IPC) is the main criminal code of India: Aapne kanoon ke bare me to bahut kuch suna hoga par iske bare me janakri bahut kam hogi. Sabhi logo me iski jigyasa hoti hai ki kash wo bhi apne country ke har kanoon ke bare me jan pata or use indian law ke bare me sabkuch pata hota.
Ye app isi curiosity ko pura karne ke liye banaya gaya hai. Is app par sabhi indian lwa ki informatino di gayi hai, I mean IPC app par aapko Indian Penal Code ki complete information milegi. isme 554 section hai or everything searchable hai or aap apne kaam ki jankari aasani se search kar sakte hai.
Ye sabhi size ki screen wale android mobiles, tablets, iPhones, iPad par perfectly work karta hai. IPC and all cental acts search karne ke liye aapko internet connection ki jarurat hoti hai baki kuch features ko aap offline bhi use kar sakte hai.
Kuch bhi ho indian law ko ghar baithe sikhne ke liye ye ek best android apps hai or main iske liye aapko suggest karunga ki aa pek bar ise jarur try kare. i sure aapko humare kanoon ke bare me kuch na kuch sikhne ko jarur milega.
Please share this post with your friends.
Khan bhai, badhiya post hai,
Aasha karta hun aap aghe bhi aise post dale
Thanks this is useful for all android users. IPC is more interesting app.
great list too use ful and helpful
Thanks for the information
Hi Jume,
Thanks, Me India Code Finder ka developer hu, thanks for sharing my app.
Welcome big man,
This is very happy news for me, you come on our blog. If you can, Please share this post on your social profile.
bahut help full jankari share ki hai bro nice post mjhe railway wala app chaiye tha uska naam pata chala thnks
Maine apni site ke namesever cloudflare ke sath change kiye to meri site ke upri left corner me kuch ” /> iss tarah ke symbol aa rahe hai unko kaise htau aap khud dekh lo…
Ye issue site ke namserver me nahi site theme me hai. Theme ko sahi se optimize karo nahi kar sakte to theme uninstall karke fir se upload kar install karo.
fantastic bro bhot hi badiya jankari share kiya hai aapne nice ye jankari se hum bhot kuch kam a accha kar sakte hai
Welcome naresh, please visit again.