AdSense Account Me Without Pin Code Address Verify Kaise Kare

Google AdSense world ki most popular advertisement company hai. Iski main wajah google apne publishers ko other advertising services provide karne wali companies se jyada commission deta hai magar problem tab hoti hai jab user adsense account me payment address verify nahi kar pata. India & other bahut si countries me adsense users ko yahi problem hai so aaj main aapko dusri method se address verification ke bare me bta raha hu. Jiske according aap without Pin Code ke google adsense address verify kar sakte hai. Bina Pin Code AdSense Address Verify Kaise Kare Ki Jankari.

Verify address without pin code in adsense account

Agar apake adsense account me $100 se jyada earnings ho gayi hai or aap 3 time pin generate karne par bhi adsense mail post receive nahi kar paye hai or aapko abhi tak pin code nahi mila hai to koi bat nahi.

Sirf aap bhi nahi duniya me bahut se countries me people ko ye problem hai. Don’t worry, iska solution bhi hai aap bina pin code ke address verify kar sakte ho. Aap ye post padh rahe ho iska matlab aapko without pin code adsense account me address verify karna hai.

  • Aapko Adsense Verification Code Nahi Mila Hai So Ab Address Kaise Verify Kare?
  • Aap Without Pin Code Identity Document Se Adsense Address Karna Chahate ho?
  • Ya Fir Aap Adsense Verification Ki Koi Or Easy Method Search Kar Rahe Ho?

Mera matlab AdSense revenue earn karne ke bad payment lene se pahle adsense publisher ko apna address verify karna hota hai. Iske liye google aapke address par ek post send karta hai usme verification pin code hota hai. Aapko wo pin code apne adsense account me submit kar address verify karna hota hai.

India me big and popular sites me adsnese pin post easily pahuch jati hai magar chote chote village and city me pin post milna thoda mushkil hai. Isi ki wajah se bahut se users ko adsense post nahi mil pati hai or unhe adsense account par address verify karne me problem hoti hai.

Google aapko 3 time pin code generate karne ka offer deta hai agar aapko three time pin generate karne par bhi mail nahi mila hai to aap ye guide follow kar without pin code address verify kar sakte ho or agar aapko mail mil gaya hai or pin code se address verify karna hai to aap Adsense Par Address (PIN) Verification Kaise Karte Hai post read kare.

AdSense Account Me Without Pin Code Address Verify Kaise Kare

Ek bar pin generate karne ke bad aap 2 bar duplicate pin code generate kar sakte ho or three post me ek hi pin code hota hai agar aapko dusra ya tisra pin code generate karne ke bad pahle wala pin post mil jaye to aap usse bhi address verify kar sakte ho.

Magar jab 3 bar me bhi payment address verification code na mile to aap apne personal documents like aadhaar card, identity card, licence and international passport etc. se adsesne address verify kar sakte ho. Iske alawa ye documents use kar sakte ho.

  1. Aadhaar Card.
  2. Voter ID Card (Identity Card).
  3. Driving Licence.
  4. Bank Statement.
  5. International Passport.
  6. Electricity Bill.

Agar aapke pas inme se koi document nahi hai to aapko kam se kam aadhar card jarur banwa lena chahiye or adsense account me witohut pin code address verify karne ke liye personal documents proof karne hote hai jiske liye aadhar card sabse best tarika hai kyuki isse aapki identity complete pata chal jati hai.

Step 1:

Sabse pahle aap apna adsense account open kare or notification option par jaye or ID verification section par visit kare. Yaha aapko is type ka ek message dikhayi dega. Message me diye link Click here par click kare.

Your payment are currently on hold because you have not verified your address. Click here to verify your address once you have recevied your PIN in the mail.

Step 2:

Click here option par click karte hi aap payment address verify karne ke option par pahuch jaoge.

  1. Bottom me diye gaye alert message me this form link par click kare.

Verify payment address in google adsense

Yaad rahe ye option aapke adsense account par tabhi show hoga jab aap 3 bar pin code generate karne par bhi pin post receive nahi par paye ho or aapka 3 bar pin generate karne ka time over ho gaya hai.

Agar aapko ye link na mile to aap iske liye ye link open kare, Go to Personal Identification Number (PIN) Form.

Step 3:

Ab ek Personal Identification Number (PIN) Form open hoga. Isme aapko apne documents proof ki information sahi se fill karni hai.

  1. Apna full name add kare. (Jis name se aapka adsense account bana hai.)
  2. Aapne jis email se adsesne banaya hua hai wo add kare.
  3. Apne adsense account ki publisher ID number add kare.
  4. Aapko aadhar card ya jis document se address proof karna hai uski PDF file upload kare.
  5. Finally, Submit button par click kare.

Personal Identification Number

Yaad rahe aap jo bhi documents use kar rahe ho wo Government of India ke dwara issued hona chahiye. Aapke forum submit karne ke 30 minutes ya kuch hours bad aapko address verification ka mail mil jayega.

Address confirm hone ke bad aapko adsense account me full access mil jayega or aap apna hold payment receive kar sakte ho. Ab bas aapko apne adsense account me bank account add karne ki jarurat hai. Iski jankari kel iye aap ye post read kar sakte hai, Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari.

Kai bar isme time bhi lag sakta hai so confirm mail na mile to 1 week tak wait kare. Agar aapko ye guideline pasand aaye to please ise newbie bloggers and other adsense users ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (58)

  1. Avatar for SiddhantSiddhant

    Bhai bahot bahot dhanyawad aapko aapki vajah se mera adsense verify ho gaya mai kabse paresan tha youtube par maine bahot search kiya par ek bhi sahi video nahi mila tha lekin aapka article padhke mera kam ho gya thankyou bro thankyou

  2. Avatar for SajalSajal

    Sir,

    Mera Adsense Jaise 10$ cross ho gaya turant hi pin mere diye huye address par send ho gaya, but mera balance 10$ se 3$ ho gaya kyonki invalid traffic ki wajah se, maine tisra bar pin ka request kar chuka hun or ek fill karne ka option aa raha hai to mujhe kya karna chahiye? Mere paas last Month bacha hua hai or abhi bhi 10$ complete nahi hua hai

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      आपको पहले $10 कंप्लीट करना चाहिए।

  3. Avatar for Sachin dhrangdhariyaSachin dhrangdhariya

    Maine apne adsense ko verify karne ke liye apni voter id ka clear photo upload kardiya hai lekin abhi tak koi reply nahi aaya hai adsense ki taraf se

    Photo upload kiye 4 din ho gaye hai lekin abhi tak koi jawab nahi aaya hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap PAN card ya aadhar card se verify karo.

  4. Avatar for Sachin dhrangdhariyaSachin dhrangdhariya

    Jdk bhai maine kuchh din pehle hi apni voter id se verify karne ke liye photo upload kar diya hai Lekin Abhi tak koi reply nahi aaya adsense ki taraf se to main kya karu bhai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      try again.

  5. Avatar for Shaukat HayatShaukat Hayat

    Sir ek month pahle mujhe address verify krne ka notification aya tha jo maine kiya but uske bad msg aya k photo clear nhi h, dubara kiya pr wo bhi cancel ho gaya,
    Jo form ap ne upar dikhaya hai wo mere me show kar raha hai aur bank details dalne ka bhi option arha hai, to kya mai phir se address verification form send karu ya jo step ap ne is post me btaya hai wo follow karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, aapka address verify ho gaya hai, ab aap bank detail add karo.

  6. Avatar for Vijendra singhVijendra singh

    Hi sir
    Adsense address verify karne ka koi time hota hai mera first pin 4 march ko generate hua tha me ek bar request bhi send kar chuka hu lekin mujhe abhi tak pin receive nahi hua 4 may ko 4 month ho jayege kya me without pin address verify kar sakta hu.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap 3 bar request kar sakte ho.

  7. Avatar for UmeshUmesh

    Sir Mera ek question hai ki pin verify address change Karne ke bad ,
    Verify pin change hota hai kya ? Sir
    Please Mujhe bataye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi nahi hota lekin country change karte ho to karna padta hai.

  8. Avatar for DeepakDeepak

    Dear sir, mere paas this form wala option to aa gya hai lekin use open karne ke baad kewal 3 sawaal puche ja rhe hai jinhe yes or no me answer karna hai.swaal ye hai ki 10 $ se upar hai ya nhi, pin aaya ya nhi, or pin 3 baar apply kiya ya nhi,. Yahaa par id proof upload krne ka koi option nhi hai . Tisri baar apply 17 January ko kiya tha. Kya 28 din baad id upload ka option aayega ya kuch or problem hai . Plz help

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes 3 time expire hone ke bad aap ID se verify kar sakte ho.

  9. Avatar for SURAJSURAJ

    Bhai maine 3 bar pin request sen ki aur address verification farm v bhara but merg address verifie ni hua

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is post me btaye tarike se verify karo.

  10. Avatar for Najare aalamNajare aalam

    bhai hum bina website ke adsense ke account bana sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes youtube ke through bana sakte ho.

  11. Avatar for JandailJandail

    sir..

    Aadhar card ka mobile se photo le kar upload kar sakta hu ? or ek taraf se ya dono taraf se ? or use pdf me kaise convert karu ? bhai plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, Ek taraf se jis taraf aapka name hai.

  12. Avatar for DHIRAJ RoyDHIRAJ Roy

    bro…mera Adsense me Gmail SE ads varify karne ke option nhi de rha hai kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      After 10$ earning ke bad address verify karna.

  13. Avatar for paripari

    really great post . after a long time i found my solution . thanks for sharing.

  14. Avatar for kumarkumar

    sir mene pahle adsense me adress sahi nahi likha tha or ab mene address update kar diya h par new pin request ka koi option nahi aa rha h na hi apne jo alternate btaya h vo aa rha h aise me me kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kai bar jaruri nahi hota hai. Aapne address me spelling mistake theek ki hai to no problem.

  15. Avatar for saurabhsaurabh

    Hello,

    Thank you for your interest in expanding your Google AdSense account to implement ad code on your own website. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to approve this application for the time being. Your existing AdSense account that allows you to show ads on partner sites is not affected by this disapproval.
    …………………………..

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapke blog par Insufficient content issue hai. Aap blog par or content likho or traffic badhao uske bad adsense ke liye apply karo.

  16. Avatar for saurabhsaurabh

    mere pas mere youtube chnnel ka adsense hosted ac hai lakin site ke liye yah fully approved nhi ho rha hai to kya mai wordpress se blogpost par chala jau aur kya hosted ac se ad lga sakta hu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi uske liye bhi aapko fully approved adsense chahiye.

  17. Avatar for saurabhsaurabh

    meri site subhindi.com hai bataye ki esme kya kami hai jo adsense se approved nhi ho rahi

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapki site par sidebar, related post thumbnail, footer, color, theme design, logo, header ye sab kuch sahi se set karo.

  18. Avatar for Sumit MishraSumit Mishra

    Hi Sir……Gud Evng.
    Maine Blogging Chhod Ke YouTube Start Kar Di Hai Agar Mai Apne Channel Ka Naam Change Karta Hu To Mera Google Account Ka Naam Kyu Change Hota Hai.. Mai Kewal Channel Name Change Karna Chahta Hu Bina Khud Ka Naam Change Kiye…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sirf channel ka name change nahi kar sakte. Google acocunt name se hi channel name hota hai. Aap dusra channel bana sakte ho or uska name change kar apni sari videos ko us par transfer akr sakte ho.

  19. Avatar for saurabhsaurabh

    bhai aapke bataye anusar maine adsense approved karne ke liye youtube channel bnaya aur aadsense approved bhi ho gya but ab site ke liye maine fuuly approved karne ke liye bhi apply kiya hu aur mujhe ak code mila hai jise apne site ke header me lagana hai maine header.php me code insert bhi kiya hu lakin meri site par blank ad nhi aa rha hai mai kaise janu ki maine sahi jagah par adsense ke code ko lga diya hai ya nhi kyoki 2 saptah ho gye abhi site approved nhi huyi message likha aata hai

    We’re reviewing your site.
    Reviewing your site will take up to 3 days. We’ll email you when we’re done.

    please help karo ki maine code sahi lagaya hai ya nhi

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap ad code ko blog sidebar widget me add karo uske bad aap dekh sakte ho ki ad show ho raha hai ya nahi.

      • Avatar for saurabhsaurabh

        sir side bar me bhi lga diya code bat blank ad nhi dikh raha mai ribbon theme use kar rha hu .2 week ho gya mera adsense fully approved nhi hua

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          New ad format create karo or uska code sidebar me add kar mujhe apni site ka URL btao main check karke dekhta hu.

  20. Avatar for MOTI LALMOTI LAL

    Sir muje blogger me post ke middle me ads lgana he all post me ek bar me plz help?

  21. Avatar for satendrasatendra

    bhai jaise adsense ne ek meri website ko banned kar diya hai.
    1st agar usko kisi or fully approved adsense se connect kare to kya adsense bolck ho sakta hai.

    2nd baat main ek new website banana chahta hun or usi domain se related wo .com tha ab .in karke banana chahta hun or uska data new domain par swift karke 1st wali site ko search engine se sara kuchh remove karna hai kaise kar sakte hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. yes ho sakta hai.
      2. First aap check karo ki aapka adsense deactivate hua hai ya google ne aapki site ko adsesne ke liye ban kar diya hai. Agar aapki site ko ban nahi kiya hai to aap usi par dusra adsesne sue kar sakte ho. Bahut simple hai old blog ka backup le kar new blog me import kar do.

  22. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Bahut Acchi Post Hai.

  23. Avatar for Pawan KumarPawan Kumar

    1.Bank Statement Kaise Pa Sakte Hai. Iske Bare me jankari de..

    2.Mera Bank Account Mere Home se 2km Dur kisi dusre village me hai to kya adsense verify hoga aur ha 1 question ka jawab jarur de.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. Go to your bank branch and ask them.
      2. Yes ho jayega.

  24. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    thanks a lot for this post bhai…

  25. Avatar for Deepika BishtDeepika Bisht

    Aapne bahut hi sahi jankari share ki hai drashal hota kya hai ki kucch areas me postal service jayda high nahi hoti ya company kisi other post service se pin ko dispatch karti jo humre yaha tak pahucch nahi pata ya bahut late ho jata hain to un users ke liye yeh ek baahut hi importat jankari hai!

  26. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    Hello sir, Sir can you please suggest me the best screen recorder software?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      camtasia.

  27. Avatar for AsweenAsween

    Yah adsense address verify karne ki bahut hi fresh or new information he,kaafi logo ko post unke paas n pahuchne ki vajah se jo adsense account verification ki problem hoti thi vah ab dur hogi or abse dher saare logo ki aek badi samsya dur hogi

  28. Avatar for Ravi SharmaRavi Sharma

    Thanks Jumedin Sir Lekin kya hum AdSense se 100 Doller hone se Pahle Bank me Transfer kar sakte hai iske liye mane kaafi blog par 100 Doller hone se pahle Bank me kaise Transfer kare Post dekhi hai kya wo Real Working post hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bad idea google $100 earning hone par hi payment karta hai.

  29. Avatar for Shahid AfrideeShahid Afridee

    Bahut achhi jankari di hai aapne jdk Bhai.Is post se bahut se blogger ki problem solve ho sakti hai.kyu ki aise bahut se blogger hai.

  30. Avatar for Dharmendra YadavDharmendra Yadav

    Thanks Sir आज हम मान गये आप अपने यूजर का हमेशा ख्याल रखते अब मुझे पूर्ण विश्वास की मेरा adsense का payment मिल जायेगा

  31. Avatar for MD SabanMD Saban

    Bahut badhiya post hai bhai, but ek question hai ki, kya mai 2 adsense account ko ek hi address par verify kar sakta hu?? Ek adsense account mere bhai ke name se hai dusra mere name se. To ek hi address par verify ho jaega na??
    Thanks,
    Regards – SABAN

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul kar sakte ho.

  32. Avatar for vickyvicky

    sir bank statement se maltab passboook se hai na….?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi bank statement aapke dwara bank se kiya gaya transaction ka proof hota hai. Jaise aapki passbook me entry hoti hai same statement me hoti hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...