Kya aapki website design me koi SEO mistake hai. Aapka jawab hoga shayad ya fir pata nahi. Yes, website blog design me aesi mistakes hoti hai jinka site SEO par bad effect padta hai. Jiska khamiyaza us website ko google me top position na mil kar bhugtna hota hai. Aaj main aapko website me hone wali kuch SEO mistakes ke bare me btaunga taki aap apne blog me se ye kamiya theek karke SEO mistakes ko avoid kar sako. Website Design Me Hone Wali 5 Mistakes Jo SEO Ke Liye Danger Hoti Hai. Blog Design Me Hone Wali Big Mistakes Ko Avoid Kaise Kare.
Hum sab jante hai ki humari website ko users and search engines dono ke liye design kiya jana chahiye taki dono me humari achhi pakad ban sake or hum baki competitor ki site se aage nikal kar top me aa sake. Yani hum aesi koi bhi gatli nahi karna chahenge jisse humare audience or google search engine par bad effect pade but tab kya kare jab aapko problem ka pata hi na ho.
Web Design ek aesi process hai jiske through hum apni site ko apne readers and search engines ke liye perfect banane ki koshish karte hai. Agar aapki site ke design me koi mistake nahi hai or na hi koi SEO problem hai to aapki site ki users and search engines par kafi had tak pakad ban jayegi.
Uske bad sirf achhe articles likhne ki jarurat hoti hai to chaliye jante hai kuch main SEO mistakes ke bare me jinki wajah se site ki search ranking par bura asar padta hai or jinki wajah se wo achha content hone par bhi top par nahi aa pati.
Table of Contents
Website Design Me Hone Wali 5 SEO Mistakes
Yaha main aapko jin SEO mistakes ke bare me bta raha hu un galtiyo ko aap apni site pa check kare or jald se jald theek kar le. Kyuki in mistakes ki wajah se aapki site par Quality Content hone par bhi wo google me top position par nahi aa pata hai. Blog Design Me Hone Wali SEO Mistakes Aap Kabhi Na Kare.
Mistake 1: Bahut Jyada Colorful Design
Bahut si websites jin par beautiful background images, Style wale fonts, and elaborate color scheme color hote hai par visit karne or dekhne me bahut maza aata hai. Aesi site par visit karna bilkul wesa hi hota hai jaise hum kisi khoobsurat garden me aa gaye ho.
Very bad thing, aesi website ya blog ka google ya other search engines me dur dur tak kahi pata nahi hota ya fir inki search rank bahut kam hoti hai.
Why? kyuki is website ko design karne wale developer ya designer essential SEO elements par work karna bhool gaye the or unhone ise sirf apne customer yani website owner ko attract karne ke liye ye sab kar dala.
Ye unki galti nahi hai kyuki wo to apna kaam kar rahe hai. Ye galti aapki hai kyuki aap us site ke owner hai or aapki site me kya kami hai ye aapko dekhna chahiye. Kai bar to designer website me H1 tag istemal karna bhi bhool jate hai kyuki unhe iski jarurat hji nahi padti.
H1 tag SEO ka first element hota hai. Jab bhi search engines aapki site ke pages ko crawl karte hai to wo sabse pahle H1 tag headline ko hi dekhte hai. Bina H1 tag ke koi bhi post bilkul wesi hi hoti hai jaise bina head ke humara jism ekdam sir kati lash ki tarah.
Finally, aapki site ke har page me H1 tag ka hona SEO ke liye jaruri hai or jitna ho sake simple design use kare kyuki simple design sites ko search engines or readers dono pasand karte hai.
For example, aap 2 sites par visit kare ek colorful or dusri simple, Kai bar visit kare last me aapko colorful site se boring feel hone lagegi but simple site ke sath aesa nahi hoga. Ye sabse badi SEO mistakes hai.
Mistake 2: Large Image & Media Files
Kisi bhi website ya blog ke content ka images most important part hoti hai. Same content ko without image or image ke sath dekhne mar image wala content jyada achha lagega. Beautiful image aapki site ko amazing banane me help karti hai. But isi ke sath aapko image quality or uske size ka bhi khyal rakhna hoga.
Kuch website owner and blogger apne content ko attractive banane ke liye large images ya fir extra images istemal karte hai. Jinse unki na sirf search rank low ho jati hai balki users bhi us site ko pasand nahi karte.
Actually, large images ko load hone me kafi time lag jata hai. Slow internet connection wale users ko aapki site ke pages ko load karne me bahut jyada problem hogi or jo site slow load hoti hai use search engines like nahi karte. Aapki site par aesi SEO mistakes nahi honi chahiye.
Second mostly people apne content me videos use karte hai. SEO ke liye ye sahi bhi hai or aaj user bhi padhne se jyada behtar video dekhna pasand karte hai. Magar Youtube and other videos ko direct site me embed karna galat hai.
Isse site ki loading speed bahut slow ho jati hai. Google un site ko reward deta hai jinki site ke pages fast load hote hai. Ye reward hota hai un sites ki search rank increase karne ka. Google page speed tool ke anusar aapki site ki speed ka score 70 percent se jyada hona chahiye.
Finally, videos ke liye humesha onload method use kare taki video page load hone ke bad load ho or site ki speed par bad effect na pade. Sath hi sirf jarurat ke anusar sahi size ki image use kare. Mere hisab se image ka size 100kb se jyada nahi hona chahiye.
Mistake 3: Infinite Helper Content
Aap chahe kisi bhi website or blog open karke dekh lo us par content ke sath Recommended, Related, Also Read, Popular, Only for You, Recent, Trending, Latest etc. type ke bahut sare helper content widgets mil jayegi. Mostly, blog par to ye sabse jyada dekhne ko milta hai.
Blog me sidebar widgets me latest, popular, trending to milega hi sath hi footer widgets me bhi extra contents ki widgets add kar di jati hai. Sirf itna hi nahi kuch sites par to related posts ki popups ya scroll widgets bhi istemal ki jati hai.
I think ye ab users ko lubhane ke liye kiya jata hai ki user ye nahi to wo, wo nahi to ye kisi ek post ko to jarur padhega. Lekin main aapko bta du ki search engine robots jab aapki site ki crawl karte hai to wo site ko reader ki tarah nahi dekhte hai.
Google bots aapki site ke pages ke ssth baki sabhi content ko bhi crawl karte hai. Aese me aapki site par infinite helper content milne par unhe main content ko crawl karne me bahut problem hoti hai.
For example, Aapne ek 500 words ki post likhi or aapki site par upar btayi gayi sabhi widgets add hai or in sabhi widgets ka content 500 words bhi jayda hai to robots ko content se jyada extra content nazar aayega. Unhe ye samajh nahi aayega ki aapke content ko kis keyword se rank kiya jaye.
Sirf itna hi nahi readers ko bhi is tarah ke content se problem hoti hai. Kyuki wo aapke extra content ko nahi sirf usi content ko padhne aata hai jiske liye usne aapki site par visit kiya hai. ye bilkul wesa hi hai jaise market me jane par sabhi shopkeepers ka hum par toot padna ki tumhe ye nahi ye lena chahiye. Hume apne readers ka is tarah se welcome nahi karna chahiye.
Finally, simple design ke sath extra content ko avoid kare or sirf jaruri widgets hi istemal kare bak isabhi widgets ko avoid kare taki user or search engines dono ko page ko read karne me problem na ho.
Mistake 4: Infinite Scroll
Is problem se website ki search performance par bahut jyada bura asar padta hai na sirf SEO par balki users ke liye bhi ye dangers hota hai. Ye problem aapko kisi popular or famous website par bhi mil jayegi.
User jab aapki site par visit karta hai to wo website ke bottom me bhi jata hai. gar iske liye use bahut jyada scroll karna pade to wo bad feel karne lagta hai. For example, aapki site par 100 pages hai or user ko bottom par jana hai to use 100 pages ko scroll karna padega or agar wo mobile user hai to use isme bahut jayda problem hogi.
Page scroll karne me na sirf user ko pareshani hoti hai balki search engine robots ko bhi problem hoti hai. Search engine robots sirf aapke main content ko index karna chahate hai or wo uske liye bahut jyada scroll nahi karna chahate.
Generally, is problem se bachne ke liye pagination ka istemal kiya jata hai jo ki bahut achhi bat hai isse hum ek bar me 10 ya isse kam jyada page show kar sakte hai. Agar aapki site par pagination nahi hai ya fir aap 10 page se jyada pages show karte hai to aapko ye kam kar lena chahiye.
Main aapse ye nahi kah raha ki aap bahut jyada content use mat karo taki user ko scroll karne me problem na ho or na hi google and other search engines aesa kahte hai. Main sirf itna kah raha hu ki aap infinite scroll pages ko SEO-friendly banao. Iske liye aap google webmaster blog par btayi gayi Infinite scroll search-friendly recommendations follow karo.
Mistake 5: Multiple Content
Bahut si websites par product and services offer ki jati hai. I think har ek site ka apna earning source hota hai. Kuch website pay per click advertising use karti hai to kuch Affiliate marketing or kuch khud ki service or product provide karti hai.
Aesa karna gaalt nahi hai magar kuch website par maine dekha hai ki wo pane sabhi product ya services ke bare me ek hi page par information add kar dete hai or aesa main kai badi sites par bhi dekha hai. Actually, SEO ke hisab se aesa karna bilkul galat hai because isse googlebot ko un pages ko crawl and index karne me problem hoti hai.
For example, aap site ke ek page me 100 product ya services ke bare me likh dete ho wo bhi less description ke sath. Yaha product ka title or uske sath 20 to 1200 characters ki ek line add kar di jati hai. Ab search engines us page ko kis keyword se rank dega or keyword ke sath description me kya show karega.
Behtar hai aap bahut sare products ko ek sath ek page me add na karke unke liye alag alag category wale pages banaye or har product ke sath 300+ words ki description bhi add kare taki googlebot ko un pages ko crawl karne me aasani ho.
Conclusion,
Agar aapne new website or blog banaya hai to main aapko suggest karunga ki aap jaldi se uske esign ko complete kar le kyuki adhure design wali site par visit karne ka maza bilkul wesa hi hota hai jaisa adhuri movie dekhne ka hota hai. Content likhne se pahle site ka design complete kare. WEb designing users or search engine dono ke liye friendly honi chahiye.
- Top 10 Blogging Mistakes Jo Har New Blogger Karta Hai
- Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Common Mistakes
Maine yaha par web design me hone wali jo SEO mistakes btayi hai unme se agar koi bhi SEO mistake aapke blog design me ho to use jaldi se solve kar le taki aapki site ki search rank better ho sake or agar aapko inke alawa or SEO mistakes ke bare me pata hai jo website design me nahi honi chahiye to uske bare me hume comment me jarur btaye.
Agar aapko ye SEO mistakes wali jankari achhi lage to sie social media par apne dosto or dusre bloggers ke sath share jarur kare.
Sadhan Dan
Thanks, sir मैं एक बहुत बड़ा comment करने जा रहा हूँ प्लीज़ इसे approve कर देना।
1. मैने High pr site jaise Apple, Microsoft’s,Facebook se backlink banaya hai but we “google Webmaster me link to your site me nahi aata hai or na hi kisi Backlink checker se aati hai.
2. Sir bad Backlink stuffgate.com, searchotel.in,aunty.in se Backlink apne aap ban gya hai. To isse kaise hatao. Dislove Google tool bhi use kiya but nahi ho raha hai.
3. Aap mujhe no follow link bhi kyo nahi dete hai
4. Ek click par 0.5 milna Adsense achchha hai ya khrab
5. Redit,stymbleuppon se bhi mujhe Backlink nahi Mila hai.
6. Sir मेरे blog पर pahle ज्यादा page views होते थे but abhi उतना नही हो रहा है क्यों
7. Webmaster ke dashboard me today time kyo nahi show होता है कूछ दिन पहले का तारिक होता है क्यों
8.aapke site par ek 800 quality word ka guest post karna chahta hu kaise karu.
मै बहुत दिन बाद comment किया है please इसे approve करके answer देने की कोशिश कीजिये !
Jumedeen Khan
1. Aap un site se backlink milega to hi show hoga.
2. Aap bas disavow karo googlen inhe ignore kar dega.
3. Nofollow not important Dofollow link banao.
4. Average
5. Apni site se related content wali site se backlinks banao.
6. Follow google guidelines
7. Is bare me aapko google se hi puchna hoga. Ask on webmaster hindi forum
8. Read guest post policy.
Sachin
Hi , मैंने अपने ब्लॉग पर अपना फेसबुक पेज और फेसबुक लाइक और शेयर बटन लगाया था , कुछ दिन तो वह दिखाई दिया , लेकिन जबसे मैंने RevenueHits का ad अपने ब्लॉग पर जोड़ा है , तबसे fb page और लाइक,शेयर बटन दिखाई नही दे रहा है। और जब मैं ad के कोड को अपने ब्लॉग से हटा भी दे रहा हूँ, तब भी वह दिखाई नहीं दे रहा है। अब बताइये मैं क्या करूँ?
मेरे ब्लॉग पर फेसबुक से गूगल की अपेक्षा ज्यादा ट्रैफिक आता तो क्या इससे गूगल में मेरे ब्लॉग की ranking सुधरेगी ?
Jumedeen Khan
I think aapke blog par facebook script work nahi kar rahi hai fir se try karo.
Nahi isse koi problem nahi hai.
Sachin
Hi , मैंने अपने ब्लॉग के template को दुबारा upload किया और उसके बाद फिर से fb like, share और पेज का code टेम्पलेट में add किया लेकिन फिर भी page और like, share बटन दिखाई नही दे रहा है ।
अब मुझे क्या करना होगा ?
Sachin
मेरे ब्लॉग को एक बार चेक करके देख लें , क्या मुझे टेम्पलेट बदलने की जरूरत है ? अगर हाँ तो क्या आप कोई बढ़िया blogger template बता सकते हैं , जिसका footer मैं remove कर सकूं ।
Jumedeen Khan
Yes aapko template badlai chahiye. Google me search karo “Top template for blogger 2017”
Jumedeen Khan
Aapko dusri template use kar try karna chahiye na ki wohi theme par.
sabiha khan
very nice post ,, Jumedeen sir agar aapke pass time ho to please mera blog dekhkar bataiye ki kya mera blog garden jaisa to nhi lagta,,kya mujhe theme change karna hoga
Jumedeen Khan
Nahi ye theme must hai or design bhi achha lag raha hai.
Swadesh
jumedin bhai MISTAKE 2 ke antargat mere blog me bahut se images already maine 150 kb se jyada daale hai.. tou kya ab unhe phir se edit karna padega… ???
Jumedeen Khan
gar karoge to site ki loading spee achhi hogi.
Govind Prajapat
Sir meri website WordPress pr h . http://www.kmtrue.com ye meri website h .
Sir mujhe apni website ke liy back link chahiy . back link ke liy mujhe kya krna hoga . or back link kaise milega
1. Dusri baat ye h ki sir meri site ka seo Green ho gya or maine site ko Google search console me submit bi kr diya . kya mai Google AdSense ke liy apply kr skta hu .
Jumedeen Khan
backlinks ke liye guest posting or commenting use karo.
Nahi jab aapke pas daily 500+ traffic ho jaye tab karna.
Divanshu maurya
Aapke is blog se meri website ka seo kafi sudhar gaya hai. Mujhe ads lagne me problem aa rahi hai kya aap mujhe kuch suggest kar sakte hai ?
Jumedeen Khan
Mujhe aapke blog par ads dikhayi nahi de rahe hai.
Kavya
Hello sir Mujhe aapse thodi see help chaiye sir jb mey apny blog mey easymag theme use krti ho toh mere blog key tittle ki jagah page content likha aata hai Maine bhut kosis kri thik krny ki but nhi ho the please sir kyaa aap Mujhe battygy ye issue kese solve hoga. Help me
Jumedeen Khan
Ye theme coding issue hai. Iske liye aapko theme ka single.php folder check karna hoga. Ya fir aap hosting cpanel par error_log file check karo usme error ki location btayi gayi hogi. Sath hi ye bhi baya hota hai ki error kis line me hai.
Kavya
Sir ess post mey aapny bataya ki image ka size 100 kb hona chaiye par mere blog par toh 200 kb ki image use hoti ager uss seh kam use krti ho toh featured image accept nhi karta Kya aap bta skty hai kya kro.
2. Ek sawal aur hai sir mey apny blog mey featured image aur post key under ki image same use krti ho Kya aap bta skty hai ki essy koi issue toh nhi hai.
3. Sir vaise Maine apny blog mey Disclaim page bna rkha hai taki image copy seh bachny mey help ho sky par sir mey apny blog mey jo image use krti ho vo mey direct Google seh download krti ho Kya ess seh koi issue toh nhi hoga.
4. Aap Mujhe bta skty hai ki mey apny blog mey assi image Lagana chati ho jaise aapki image mey Aapky blog ka name aata hai please Mujhe be baaty mey kese apny blog key liye assi image ready kro aap Kya use krty hai ess key liye.
Jumedeen Khan
1. Kavya aap website use karti hai or mujhe blogging ka experience hai. Aapko iske liye kisi site developer se bat karni hogi.
2. Isse koi problem nahi hai sabhi aesa hi karte hai.
3. Yes google se direct image use karne se copyrighting issue ho sakta hai.
4. Iske liye aap apni image me blog ka link ya name add kiya karo.
Rizisa
Very useful thank you jummedeen.
kavya
Hi, sir mujhe aapse jarori kaam tha mere blog ka traffic pehly jda tha jabse maine http seh https mey convart kiya hai jabse traffic kam hogya aur aaj toh sir mere alexa rank starting seh aarhi hai, warna alexa rank kam ho rhi thi pta nhi kyu starting seh dikha rha hai ab alexa rank ye dikha rha hai 7,849,078.
Pehly global rank 4,740,025 ithni thi aur Indian Rank 41,173. Ab Indian Rank Nhi dikha rha help me kya ho rha hai plesae sir cheack krky bataya aapky blog mey be https laga hoa hai kyaa aapko kbi assa issue aaya hai. Ye mera blog hai customertollfreeinfo.in jis par ye issue aarha hai.
Jumedeen Khan
Yes https par move karne ke bad traffic kam hota hai mera bhi hua tha ise recover hone me 10+ day ya 1-2 month bhi lag sakte hai.
Ashish
bahut he accha article likha hai bhaii aapne. Maine abhi kuch din hale blog banaya hai aur 15 article bhe publish kar chuka lakin Articles index nahi ho rahe google me. Kya aap mujay bata sakte hai aasia kyu ho raha hai ?
Jumedeen Khan
SEO ke bare me jankari pata karo or google guidelines rules follow karo.
Nikhil Jain
kaafi useful jankari di apne
Yogesh Kumar
Hello Jume Deen Khan brother,
Sabse phle “Eid Mubarak”
1) Maine Ribbon Theme ko install kar liya hai. Mujhe Puri website ka font change karna hai. Aur size bhi change karna hai kaise karu. ( Sath me ye bhi btaye ki aap kon sa font use karte ho aur kaya size rakhte ho. Kyonki aapke blog par maine 5 se 6 ghante tak bhi pda hai support me india ke font bhut acche lagte hai)
2) Aap jo post ke bich me hand wali heading dete ho. Same aisi hi heading maine design kari hai. Kaya mai bhi wo use karlu agar aapko koi problem nhi hai to.
Wo mujhe bhut bdiya lagti hai.
3) Aapne jo post daali thi youtube ke sabse jyada baar dekhe jane wale video usse idea lekar maine bhi aisi hi post daali hai. Mujhe baad me pta chala aisa karna thik nhi hai. Agar aapko koi issue hai to jaroor btaaye mai usko delete kardunga.
But aage jo bhi post dalunga usme aisa nhi hoga…
Maine Support me india ki comment policy ko read kiya hai. Mai jo bhi comment karta hun wo promotion ke liye nhi balki kuch sikhne ke liya ya phir koi problem. Ho tabhi hi comment karta hun kyonki isi blog se hi maine bhot kuch sikha hai aur sikhta rahunga
Thanks…
Jumedeen Khan
Thank you yogesh,
1. Blog Me Google Fonts Kaise Install Kare post padho, main lato font use karta hu.
2. Bilkul kar sakte ho mujhe isse koi problem nahi hai.
3. Aapne mera same tarika copy kiya hua hai. Aap post likho but apne talent se tarika dusra follow karo. Jaise maine point se btaya hai to aap dusre tarike se btao warna copyrighting issue hoga.
No worry bro main chahata hu ki sabhi blogging me success bane or aap bhi so hume aesa kaam karna hai jisse kisi or ko problem na ho.
Jitender Singh
Hello Sir
Please muje apne links add ka size bata dijiye
Jumedeen Khan
responsive.
Gagan Shrivastav
Sie sach much aapne yek bahut hi accha article likha. Sir maine aapke article ko full read kiya aur yek new blog banayi aur maine uski designing bhi kar di kya aap yek baar meri blog ko check kar sakte hai? aur mujhe yeh bata sakte hai ki Blog me kya-kya problem hai? Please Sir
Jumedeen Khan
Aapke blog me koi problem nahi hai ba saap SEO optimizing sahi se karo.
Sandeep
Bro what software your using for email subscription
Jumedeen Khan
Main mailchimp use karta hu.
paresh barai
मैंने अपने Hindifox ब्लॉग के लिए 20 दिन पहले ही नया hosting लिया है। इन 20 दिनों में मैंने करीब 25 पोस्ट पब्लिश किए हैं। मुझे जानना है की मेरा content का SEO ठीक जा रहा है या में किसी point पर गलत जा रहा हूँ। अभी मेरे इस नए wordpress blog पर daily 50 से 60 visitor ही आ रहे हैं। और search engine में मेरी आधी पोस्ट्स ही submit हुई है। क्या आप मेरा ब्लॉग लिंक खोल कर कुछ SEO advice दे सकते हैं? आप के जवाब का इंतज़ार रहेगा।
Jumedeen Khan
Paresh aap bhi wohi kar rahe ho jo har hindi blogger kar raha hai woi post wohi titles, Kai posts ke to same titles hai. Socho readers ek hi post ko kitne blogs par padhna pasand karenge. Kuch naya karo taki traffic mile.
Shailesh Chaudhary
Bhai ye Multiple Content wala Funda samjh me nahi aaya hai. Kya mai kisi Post ke sabhi Services ke bare me ek sath nahi likh sakta hai. Jaise ki Adsense, Affiliate, PPC, etc.
Jumedeen Khan
Likh sakte ho but alag alag page me details ke sath likhna better hai.
Ravi kumar
Hi Bro Mujhe Aapse Ek Sikayat/Request Hai Aap Apne FeedBurner Time Evening Diye Ho Sayad Aapke Sabhi Post Hame Mail Par evening Me Hi Milti Hai Hame Post Late Milta Hai Aapka Agar Aap Aisa Soch Rahe evening Me Visitor Jayada Online Rahte Hai To Bat Sahi Hai Mail Se Iska Koi talluk Nahi Jub Bhi Mail Open Karta Hu To Jaha Tak Mail Read Kiya Waha Tak Chhod Kar Ek Ek Msg Dekhta Hu To Aapka Post miss Hone Ka Chance hi Nahi Banta So Jaisi Aapki Marzi Kyuki Mail Hi Aisa Hai Jo Har Ek Log Ek Ek Karke Dekhte Hai
Jumedeen Khan
I think you right mujhe mail update morning me karni chahiye. Thanks for suggestion. Wese maine ye isiliye kiya hai kyuki jyadatar logo ko evening me hi time milta hai.