Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Badi Mistakes

Website ka good design and usability site ki success ke liye bahut jaruri hai. Agar aapki site ka design sahi nahi hai to aapke quality content likhne ke bad bhi aap fail ho sakte ho. Aaj main aapko blog design me hone wali kuch common and big mistakes ke bare me bta raha hu. Agar aap se inme se koi ek galati ho rahi hai to use solve kar le taki aapke blog ka future behtar ho sake.

Website blog design mistakes

Blog design ka isse pata nahi chalta ki uska look kaisa hai or wo kaisa dikhta hai balki blog design ka pata isse chalta hai ki us par user kitna time spend karte hai or usme kitna interest lete hai. Mostly people apni pasand se apni site ka design karte hai, shayad hi koi aesa hoga jo user ki pasand se site design kare.

Humare best design karne ke bad bhi usme kami rah jati hai jinke bare me hume pata tak nahi hota. Blog design me kuch aesi mistakes hoti hai jo readers ko bilkul pasand nahi hoti or iski wajah se aapke audience blog ko read karna chord sakte hai. So agar aap se bhi aesi galti ho rahi hai to aap yaha btayi gayi design mistakes se uska pata kar ke apne blog design ki kamiyo ko sudhar sakte ho.

Website design me ye mistakes ho sakti hai. Poor navigation, Unorganized content layout, Poor readability & legibility, Bad contrast color, Complicated forums, Heavy Images, Flash graphics and animation, Auto play video & audio, Cluttered web pages, Many Pop up windows, No call to action, Broken Links, Short articles, Ignoring search, Do not make site accessible, Confusing phishing, Too much attention at home,

Website and Blog Design Me Hone Wali 10 Big Mistakes

I know aapke blog ka design best hai or usme koi kami nahi hai but aap ek bar apne kuch users se iske bare me jarur puche. Koi user aapke blog design me aesi kami bta sakta hai jiske bare me aapko pata tak nahi hoga.

1. Main Font Difficult to Read:

Visitors easily padhne wale font ko like karte hai or read karne me sabse achha font simple tyani arial hota hai. Aapka font style aapke blog par better lag sakta hai aapko achha lag sakta hai but jaruri to nahi ki user bhi use like karenge. Arial, Georgia, Tahoma, Verdana best font hai. Mostly blogger or website owner yahi font istemal karte hai.

Iske alawa aap jo bhi font weight istemal kare but wo clear por read karne me easy hona chahiye kyuki legibility sabse jyada important hoti hai. Sath hi aapki site ke font mobile version me bhi sahi se show hone chahiye.

Font style ke alawa font size bhi important hota hai. Bahut se writer ko ye pata nahi hota ki kis size ke font ko user jyada pasand karte hai or konsa size sabse best hota hai.

Sabse jyada content font ka size 14px to 18px istemal kiya jata hai. Isse jyada big font size ya kam size use karne se visitor aapki site ko kam pasand kar sakte hai.

2. Title and Heading Font is too Funky:

Headlines ke sath fun karna danger ho sakta hai. Bahut se blogger site design ko awesome banane ke liye post title and heading ke font ko change kar dete hai. Aapko btana chahunga ki title or heading content ke backbone ki tarah hai.

Agar user aapki heading ko sahi se read nahi kar sakte ya unhe ye pasand nahi aata to bhi wo aapki site ko avoid kar sakte hai. So kabhi bhi site heading me unusual font istemal na kare. Heading font jitna readable hoga utna better hai.

3. You’re Using Big Blocks of Text:

Like whitespace, agar aap paragraph ke bich me bahut jyada khali jagah rakhte hai to bhi aapki site ke liye ye danger ho sakta hai. Subheading and paragraph aapki site content ko awesome banate hai but content line or paragraph ke between 10px to 20px s jyada white-space nahi dena chahiye.

4. You’re Using Very Long Paragraph:

Content me bahut jyada long paragraphs istemal akrne se bhi bache or ek paragraph me 5 to 7 sentence hi istemal kare. 5 -7 lines se jyada long paragraph ko read karne me user ko problem hoti hai. Sabse badi problem long paragraph ko dekstop par to easily padh sakte hai but mobile screen me ye kei guna jyada long ho jata hai jisse reader ko boring hoti hai.

User, SEO and other all matter ke liye short paragraph likhna better hai but iska ye matlab bilkul nahi hai ki aap 1 -2 lines ka hi paragraph write karna shuru kar do. Kam se kam5 line ka paragraph likhna behtar hai.

5. Not Making Good Whitespace:

Content me heading, subheading , numeric, quotes ke liye good whitespace use na karna bhi blog design ki sabse badi problem hai or is bare me kuch hi logo ka dhyan jata hai. Good white space ke bina all content same dikhayi deta hai.

Site content me heading, subheading, paragraph and other metrial alag alag nazar aana chahiye or sabhi ke bich good space hona jaruri hai.

6. Lite text and Black Background:

Look here, Same as text style good for only special lines and paragraph to attention & highlighting words not for to all text content. Don’t try and avoid it.

Lite text and black background sirf kuch important lines ko highlight karne or user ko attract karne ke liye best hota hai but all words par nahi.

Is tarah se content par white text or black background istemal karna bad hota hai. Agar aesa karna sahi hota to sabhi books isi color me design hoti. 99% people white background and black text wala content read karna pasand karte hai.

7. You are Still Using Flash:

Website par animation, maps, 3D, games and other interactive elements ko add karne ke liye flash jaruri hai or agar aap apni site par flash istemal karte ho to ek bar ye padh lo.

Sabhi browsers flash support nahi karte, user bhi ise kam pasand karte hai or sabse badi problem search engines mostlyr googlebot ko isse content read karne me problem hoti hai.

8. Making Colorful Blog Design:

Website par bahut sare color istemal karna like text, link, hover link, heading, title, subheading sabke liye alag alag color istemal karna bilkul galat hai. Generally internet user colorful site ko avoid karte hai or lagbhag all user black text and white background wale content ko hi like karte hai.

So jitna ho sake simple design istemal kare jisme users ko pareshani na ho or all user aapke blog ko pasand kar sake. Colorful site run karne ka matlab hai ki aap ek bahut bade traffic ko avoid kar rahe ho.

9. Not Having Responsive Design:

Responsive design ka matlab site ka design automatically device screen ke hisab se screen me fit hona chahiye or site content ka size apne aap device ke anusar kam jyada hona chahiye. Agar aapki site ka design mobile friendly nahi hai to ye web design ki sabse badi galti hai.

Ye koi big matter nahi hai bas site mobile browser me sahi se open honi chahiye or site width screen size ke anusar resolution change hona chahiye. Internet par already bahut si responsive theme / template hai ya fir iske bare me aap koi na koi articles read akr sakte hai.

10. Too Much Content at Homepage:

Website ho ya blog homepage par sirf jaruri content hi show kare. Jarurat se jyada ya bahut sara content homepage par show karne ka matlab hai user ko dara kar vapis bhaga dena. Ye bilkul same wesa hi hai jaise silent rahne wale person ko  bat karte huye bahut sare logo ke bich me chord dena.

All of experience, Koi bhi ye suggest nahi karta ki aap site ke homepage par jyada content and featue show karo. Homepage ko simple rakho or sirf jaruri wo bhi kuch hi pages ko home page apr show kare like recent content, popular content, categories and some other important content.

Website navigation menu user ke apni matlab ki jankari ya post tak jane ke liye sabse important hota hai. Jis site par navigation nahi hota use user avoid karte hai or jis par hota hai us par visit karte hi sabse pahle navigation menu options try karte hai.

Agar aapki site ke navigation menu ka development sahi se nahi hua hai or mobile responsive nahi hai to ye bhi ek badi mistake hai. Drop down and attractive menu istemal kare jo desktop or mobile version dono me better work kare.

I hope aapko ye jankari achi lagi hogi or ab aap apne blog design ko behtar bana sakte ho. In design mistakes ko solve karke aapka blog jarur success hoga. So try now and give us a good comment here.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (112)

  1. Avatar for PRADEEP SINGH GAILAKOTIPRADEEP SINGH GAILAKOTI

    aapne abhut acchi jankari di hai sir love you form uttarakhand

  2. Avatar for Arif AnsariArif Ansari

    Apki sabhi post best hoti hai bro you are best

  3. Avatar for rohitrohit

    Sir mere blog ke template me pagination nhi di gayi hai maime add karne ki kosis ki lekin add nhi hui ab aap ye bat sakte hai ki next page ka jo url dalte wo mujhe nhi mil rha aap next page ka url bata ye please.

    Ya fir next page ya pagination add karne ki koi trick bata dijiye jo 100% work kare.

  4. Avatar for AnkitAnkit

    Bhut badiya jankari di hai apane iske lie dhnyawad.
    Aap please meri site ko visit kare or bataye ki isme koi kami to nahi hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko SEO ke bare me sikhna chahiye.

  5. Avatar for rohitrohit

    Sir thanks for sharing this nice article. Mera ek quetion hai please help me sir mere blog me jo footer aur jo navigation bar hai uski fill width posts ke border tak hi h me unki {footer & navigation ki width } jaisi apke blog me hai kisi bhi screen soze me open kre apka blog footer aur navigation full width me atey hai mujhe bhi aisa hi karna hai to me kya kru.

    1- jo CSS me width di gayi hao usme 100% likha hua hai maine use {max-width:100% , 1920PX , 4000PX; } karke dekh liya lekin kuch fark nhi pada aap kuch suggestion dijiye me kya kru.

    Footer class = ‘credit’ hai.
    Aur
    Navigation class=’menu wrapper hai’aur ‘page menu’ hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear rohit aap apni site ka link yaha add kijiye main aapko uska solution bta dunga.

  6. Avatar for pappupappu

    sir ek help karo jab me apne blog me theme upload krke usko edit krke desing by abc ya created by xyz ko delete kar rha hu to phir blog open krna pr phle meri site open ho rhi hai phir automatic mere blog ke bdle me jha se theme download kiya tha uski site open ho ja rhi h kya karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blog ki template change kar koi or template use karo.

  7. Avatar for SaifSaif

    Sir aapne apne web par copy text off kaise keye hai.
    Mai bhi apne web par is feature ko active karna chahta hun.

  8. Avatar for Rishikesh MishraRishikesh Mishra

    Bhai jaise aapne social warfare ke ads lagaya hai wo ads kaise lagate hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi mere blog par socila warfare ki posr nahi hai.

  9. Avatar for rishikesh mishrarishikesh mishra

    Brother jaise aapne recent Posts and Popular post ka Widget lagaya kaise banate hai plz batao sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap name se comment kiya karo. Iske bare me aap wpbeginner.com blog par post padho.

  10. Avatar for PoojaPooja

    Sir, Kya hum Videos ki help se website ke keywords ko promote kar skte h?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte ho.

      • Avatar for PoojaPooja

        Sir…Kuch Idea do taki main keywords ki ranking up kr sku through videos.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Main jaldi hi is bare me article likhunga.

  11. Avatar for Suraj KumarSuraj Kumar

    Hello brother mujhe ek bat puchna tha ki shayri ki Jo website hoti hai. Wo to shayri Internet se copy karte h to google unhe penalized kyu nhi karta h. Wo to pahle v top pe hote h or bad me v. Mujhe ek shayri ki website banani h to uske liye content Internet se Chun k le sakta hu ya nhi. Ab itni sari Shayri khud to nhi likh sakta na. Plz mujhe guide kre is bare me thank you

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Surajm shayary, story, quotes copyright nahi hote. Kyuki jinhone ne inhe banaya hai wo online work nahi karte hai. Jaise aap likhoge wese hi kisi or ne bhi likha hai .Problem tab hoti hai. Jab hum kisi ka content co-py karte hai or wo unka nahi kisi or ka content nahi hai. So no problem but same to same copy kmat karna taki kisi ka bura na ho.

  12. Avatar for JandailJandail

    bro mene kuch din pahle template change ki thi or AdSense ads fir se lagaye but meko lagta hai ads thik se kaam nahi kar rahe hai kyoki meri clicks pahle se kam ho gayi hai plz check karke bataye aap mobile or pc dono me bataye kya kami hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sab theek hai bas aap sticky logo ka size kam karo.

  13. Avatar for vivekvivek

    Bhai mere browser me adblocker laga hua hai, jiske wajah se apki website par google AdSense ke ads show nahi hote, but mai other website open karta hu to un website par google AdSense ke ads show ho raha hai.

    Other website ne aisi kya technology laga rakhi hai, jo apne use nahi ki hai apni site me. jisse other website par ads show ho rahe hai but apki site par nahi ho rahe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Actually aapne un sites ko browser ke adblocker me enable kiya hua hai. Unhe disable karo ad show nahi honge.

      • Avatar for vivekvivek

        Mene kisi bhi website ko enable nahi kiya hai, me office ka net use karta hu aur office me completely ads block hai.

        I think koi aisi technology hai jisse ham adblocker lage hone par bhi apni site ka ads show kara sakte hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi. ad blocker ko disable karna hi hoga.

  14. Avatar for javedjaved

    Aap ne shoutmeloud ka style or topic copy kiya hai blog mere khyal se kya aap us se prerit ho ke ye start kiya hau
    i

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yea harsh is my ideal but mujhe unke bare me blogging start karne ke kafi bad me pata chala.

      • Avatar for javedjaved

        ok bro mene bhi website start kiya hai blogger main kyuki mera WordPress k website main ddos attack huva hai to main blogger main successful ho sakta hu usse earnings hogi

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Bilkul hogi but WordPress ki or se blogger jana very bad.

  15. Avatar for raviravi

    Mera Blog hai affiliate marketing ka kuch suggestion do

    weekfire.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Please check my affiliate articles.

  16. Avatar for ajayajay

    bhai maine blogger se apna purana blog ko new blogger acnt me as a admin invite kiya hu par kewal post ki hi option aata hai Mujhe stats aur template sabhi option chahiye kya ye ho sakta h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aapnew blogger account me admin ki jagah administrator banao.

  17. Avatar for Dhananjay KumarDhananjay Kumar

    Sir mai apne hindi blog ko google search me first page par kaise la sakta hon.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Isi ke bare me maine kei post likhi hai. Aap humari SEO related post padha karo.

  18. Avatar for Deepak sahooDeepak sahoo

    sir ak post pe H2 tag 2 bar use karsakte he kya ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf jarurat padne par hi kar sakte ho.

  19. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir ye niche kya hote hai or site ke liye yah kya important rakhte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Niche yani topic humara blog kis topic par hai. Use hi niche kahte hai.

  20. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    Mere Wp Blog Dashboard Me Sirf Icone Show Ho rahe hai,Pahle Name+Icon Aise Smajh jata hu but Paresani Hoti Hai, Aur Iski Settings Nahi Mil Rahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress dashboard ke left siebar me sabse niche walie video ke jaise icon par click karo. I mean “collapse menu” par click karo.

  21. Avatar for shital kumarshital kumar

    sir kya ham apne blog keliye post ko notepad ya wordpad me likhne ke bad apne blog me publish kar sakte hai, kya aisa karne se copywright nahi mana jayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kar sakte ho koi problem nahi hogi.

  22. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    Mai Jab Apne Wp Blog Ko wp Android App Me Open Karta hu To Username Wrong bata Deta hai, Aur Niche sel Hosted Me Kya Dalu Myblog.com/wp-admin Ya Hostgator.in Jabki Other Broswer me Open Ho rahi to Application me kyu nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap username WordPress wala use karo apne blog wala nahi. Myblog.com/wp-admin

      • Avatar for Ayan RajAyan Raj

        Nahi Ho Rahi hai , Wo .org Nahi le raha hai Jab Mai .com Wp Purana Wala Deta Hu to open ho jati hai,Supportteam Ko Bhi message kiya but Samajh nahi aa raha, English Week

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap mujhe facebook par screenshot send karo main sham ko 8pm par online rahta hu.

  23. Avatar for AbrarAbrar

    Bro mujhe social button ke baare mein Jankari dijiye Woh mobile version mein show nahi ho raha hai aur web version Mein show Ho Raha Hai Hum mobile version me Bhi Isko Laga Na chahte hain please meri help Kare Mera blog hai

    9rch.blogspot.com/2016/12/100.html

    Bro post ke Neeche hum social button lagana chahte hain waise to maine already laga Diya hai but vo viwe web version Jo post ke Neeche hai usko open Karte hai waha Par show ho raha hai

    Bro plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki sabhi problem ki wajah aap blogger template istemal kar rahe ho or mobile version enable hai.
      Aap blog dashboard par jao or template par click karke mobile perview ko off karo or template bhi change kar lo to bahut achha hoga.

  24. Avatar for Haidar KhanHaidar Khan

    Amazing Post JDK Bhai,
    Best font choose karne problem hoti hai, starting me “PT sans caption” use karta tha. Lekin ab main apne sabhi blog par “Robboto Slab” font use kar raha hu. And i think ye best aur easy to read hai JDK bro you must use this web font.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye font bhi best hai. Main try karunga.

  25. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir mene aapko fb pr ek photo beja hai uska kya mtlb hai plz muje bataeye sir

    • Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

      सर ऐडसेंस पर बैंक अकाउंट डिटेल कब डालनी पडती है मैंने कल पिन वेरिफिकेशन कर दिया है लेकिन अभी एडसेंस ने मुझे एक पेमेंट मेथड का ऑप्शन नहीं दिया है

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        $100 earning hone ke bad

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok main check karke aapko reply kar dunga.

  26. Avatar for fawadfawad

    sir ager kesi blog me hmari blog ke link post hojae to bas ya backlink hai…ya hme is bad be kuch karna hoga mean(add link in blog or etc)…!! aur hume kaise pta chale ga keh hume backlink mele hai….!!! help
    !

  27. Avatar for harsingh majhiharsingh majhi

    sir me pichele 15 din se mombile se naya blog banaye he,job me mera blog ko google consle jodata hu to variefy nahi hota.please help sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Error kya aata hai. error message dikhao.

  28. Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

    bhai 9 mahine ho gaye lekin AdSense ka koi mail nahi aya maine AdSense me login kiya to ye show ho raha hai “Account Not Active An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started.”
    maine blogger layout se AdSense widget bhi remove kar diya tha ab mai layout se AdSense widget laga raha hu to “Please correct the errors on this form.” ye show ho raha hai ab mai kya karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Isme aapki galati hai. Message me clear likha hai ki google ne jab aapki site ka review kiya tha to aapko mail send kiya tha. Aapne us mail par dhyan nahi diya. Abhi aap fir se apply karo.
      Aapne 9 month ka time west kiya its very bad. Abhi aap ek custom domain le kar blog me add karo or fir usse AdSense ke lyie apply karna. 2-5 day me approve ho jayega. Bas aapki site google guideline follow karni chahiye.

  29. Avatar for yasir khan saqlainiyasir khan saqlaini

    yeah.. thanks to share all useful steps with us. and i am sure ki ab aap apna experience share kar rahe hain. isse sare hindi bloggers ko plus point miega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome yasir.

  30. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Hello bro maine AdSense 24 november 2016,ko verify pin generate kiya tha abhi tak nahi mila . Kya karu. Niche new pin generate karne ke liye option aa rha h . App niche dekh lo.

    PIN will be sent by post 3-5 days after the date listed above and may take 2-4 weeks to arrive depending on the postal service.

    To verify your address, please enter your PIN as provided in the card sent to you by Google.

    Please note that if your PIN is entered incorrectly 3 times, ad serving will be suspended.
    Enter your PIN

    Submit PIN

    Cancel

    Your PIN is located here

    PINs are printed on white 4.5 x 6 inch (11.4 x 15.2 cm) postcards and postmarked 3-5 days after the date listed above. Please allow 3-6 weeks for delivery. The inside of the mailer is shown here. To view the outside of the PIN mailer, please visit our Help Center.

    safe: “You can request a new PIN on or after 12/15/16.”

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek bar apne postman se pata karo. Actually pin post jarur aati hai or postman ise choti moti post samajh kar avoid kar dete hai ya humare kisi karibi ko de dete hai jo hume btata nahi hai. Aap postman se is bare me bat karo or agar fir bhi post na mile to aap fir se apply kar sakte ho but is bar postman ko pahle bta dena ki is type ki post aayegi or wo mujhe hi dena.

  31. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bhai mere total abhi 109 post hai aur daily 5000+ page views ho jaye hai aur 85% visitor Google se visit karte hai lekin fir bhi meri Alexa rank 10-11 lakh ke aas paas rehti hai. Have you any idea ? What’s wrong is there ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ankit alexa sirf traffic par kaam nahi karti balki content value and admin work or bhi kei point ko focus karti hai. So aap blog par kuch aesi post likho jo net par pahle se na ho alexa rank improve hone lagegi.

  32. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir jab mai apni website ki speed check karta hu to ye likh kar Aata hai– Very Slow
    (14.077 Seconds)
    100% of sites are faster iska kya matlab hua?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab aapki site bahut slow hai or sabh isite aapki site se fast open hoti hai.

  33. Avatar for reny johnreny john

    Sir, meri site hindi me hai to hindi me kon sa font use karna sahi hota hai aur hindi font ki size kya honi cahiye. aur ek sawal tha apse ki aap jab reply karte hai to apka name me click karne me apki site open ho jati hai ye kaise karte hai. pls bataye kya ise hi backlinks kahate hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hindi language ke bare me clear karna mushkil hai. Aap kuch isi size ke or simply read hone wali font style use karo. Yes isi ko backlinks kahte hai.

      • Avatar for reny johnreny john

        Sir, ek baat ki jankari aur cahiye thi ki blog me jab photo google se use karte hai aur uska kis site se liya gaya hai uski sourse likh de to kya ye copyright rule me ayega kya.

        aur ek blog me kitni photo hum add kar sakte hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Agar aap photo ke sath uska link add karte ho to copyrighting nahi hogi.

  34. Avatar for ajay guptaajay gupta

    bahut hi achhi post sir hai.
    sir blog ke liye sabse fast loading better kon sa template hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ajay sabhi templates ko customize karke fast laoding banaya jata hai. Aap iske bare me google me search karo kuch blogger ne iske bare me post likhi hai.

      • Avatar for ajay guptaajay gupta

        Sir me Jo template use kar raha hu kya yah thik hai ?aap ek bar dekh kar bataie.
        Mujhe ye templete pasand hai but ye loading me slow hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Achhi template hai speed bhi sahi hai thodi fast kar longe to better hoga.

  35. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    Hey!! sir, mene analytic app or desktop mai 1 din ke visitor mai diffrent hai. Mobile apps mai 1 din ke traffic km show ho rha hai or desktop mai jyada. 500 visitor ka diffrent hai. To konsa sahi hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Himashu my dear main aapko already bta chuka hu ki ye tools sirf idea btati hai. Wese desktop analytics ka sahi result hota hai.

  36. Avatar for PramodPramod

    Mai jab social networking site par share karta hu to waha par post image ki jagah mera profile photo aa jata hai plz help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iski wajah aapki template hai jisme featured image feature sahi se work nahi karta.

  37. Avatar for imranimran

    bhai Agr Mene Apni Website 3 Month M 6 s 8 Baar Agr Adsense Main Submit Kr Di Hai to Isse Koi Problam to Nhi Hogi na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jyada apply karne ka matlab AdSense approve nahi hoga. So pahle site ko AdSense ke like banao fir apply karo.

  38. Avatar for AlokAlok

    bro mujhe janana tha ki jo maine apko screen short dikhaya tha aur apne kaha tha wo temprory error kuch din ke liye hai .. to mujhe janana tha wo temprory error kis karan se aata hai kya mistake huye hai mere se blog mai …

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki taraf se koi mistake anhi hai bas kisi wajah se aapka AdSense report nahi dikha pa raha hai jo ki google ki galti hai. Maine aapse ye bhi kaha tha ki aap uska screenshot google ko send kar sakte hai. 2-5 day me aapki problem solve ho jayegi.

  39. Avatar for SiddharthSiddharth

    Bhai blogger se WordPress par shift karne par kya new domain name lena padhta hai, agar ha to AdSense account ka kya hota hai matlab kya fir se AdSense aprove karnaa padega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi usi domain ke sath shift ho sakte ho. Is bare me maine details se post ki huyi hai wo check kar lo.

  40. Avatar for AnkurAnkur

    Apka blog websitelists.in me include hai ….Ye hai kya chiz.

    Apne khud usme apne blog ko submit kya tha ya ye automatically un logon ke kiya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi maine nahi kiya wo site khud blogs ko add akr leti hai.

  41. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Meri Blog To khulne lagi but Uske kisi post me Image Show nahi Ho rahi hai, Dusri bar bhi backup Dala phir bhi Kaha problem ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap post edit option par jao or right side me sabse niche dekho featured iamge ka option hoga. Us par click karke image set karo show hone lag jayegi.

      • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

        ooho Aap Sawal Ko Simple Le lete Ho Bro, Wo To Sidha hai hi na Sabhi Post Ke Feture image Ko add karna But Iska Koi Shortcut Jisse Hame sabhi Post me nahi jani pade

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nahi shortcut nahi hai.

  42. Avatar for Babita SinghBabita Singh

    Thanks for sharing such useful post on blog design. It’s true that blog/website design should be user friendly otherwise readers might avoid to come to blog.

  43. Avatar for rishikeshrishikesh

    Bhai mujhe power by Google me jo ads aata hai mujhe usko techtohindi.com par lagana hai sir jaldi reply de

  44. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Maine Blogger Se WordPress Par Transfer Kiya Hai, Mujhe Redirect Code Chahiye Jisse Mere Blogger Visitor WordPress Par Move Ho Jaye, So Plesae Aap Jaldi Is Mail Par Bhej de. Jisse maine Commment Kiya hai

      • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

        Ji Maine Iss Post Ko Allredy Flow kar Chuka hu,But Ye Mere Naye Blog Ke Homepage par Chale Jate hai, Hame Blogger Ke Post Se WordPress ke post Par Direct Le jaye, Yani Jo search engine Me post hai Wo WordPress Blog Ke home page par nahi , Jo Post hai Wahi Open Ho.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          I understand iski jankari aapko sirf english blgo par hi milegi. Aap shoutmeloud and other blog check karo.

        • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

          Bro Successful Method Nahi Mil Rahi Ya Phir Smajh nahi aa rahi ho, Aap Ek post Details Me Likh Sakte Ungent Kyuki Mere Mehnat Nakam Ho Sakti Hai, Kyuki Blogger Ke visitors Direct WordPress Par Nahi aayenge to

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Ravi aapke pas 2 option hai.
            1. wpbeginner.com se jyada better koi bhi WordPress guide karne wali site nahi hai. iska ye post check karo http://www.wpbeginner.com/wp-tutorials/how-to-switch-from-blogger-to-wordpress-without-losing-google-rankings/
            or agar isse bhi problem solve na ho to aap iski or post check karo.
            2. Fir bhi solution na mile to world famous quora site par question pucho. Koi na koi expert aapko is par sahi se work karne wali post ka link bta dega.
            Main post likh deta but mujhe abhi tak koi bhi perfectly work karne wali coding nahi mili.

  45. Avatar for प्रदीप कुमारप्रदीप कुमार

    बहुत अच्छी जानकारी share कि है, design के बारे में और ये mistakes हर ब्लॉगर कि है.

    and thanks you

  46. Avatar for Ayan RajAyan Raj

    Sir Jaise mere WordPress Blog Me Disiner Ke site ke name hai , Footer Me To Usse Edit Kaha se karu, Blogger me To search kar lete the But

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger ki html coding me topic search karke use delete kar do or uski jagah apna link add karo. Maine aapko jo footer link wali post btayi thi usme sabkcuh btaya hua hai. Aap chorda achhe se check kar lo.

  47. Avatar for DRAVEEN SENTINELDRAVEEN SENTINEL

    The way you work hard , shows you love what you do.I really appreciate your efforts in blogging and helping every body they ask for it.No matter what country they belong what religion they are you love them all with the equal sense.A time will come you would be known for the father of Hindi Blogging platform.This is not what I’m saying all the buddies say like this.

    You are the most intelligent Hindi Blogger In India , not only in India even in Pakistan , Nepal , Some part of Indonesia and other Hindi speaking countries.

    JUMEDEEN KHAN …..ONE DAY YOU WOULD BE THE KING OF HINDI BLOGGERs….

    GOD MAY GIVE YOU MORE AND MORE POWER TO EMPOWER YOUR MIND TO HELP YOU IN PROGRESS.

    Aur yahi sach hai………….

    THANK YOU VERY MUCH………….JUMEDEEN JI..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Oh really, very very thank you dear i love you and your feeling.

  48. Avatar for deepak sahoodeepak sahoo

    sir app konsa font use karte ho or kitne size per

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main Georgia font use karta hu font-size 16px

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...