Alexa rank website or blog ke liye kitni important hai or badhiya alexa ranking se hume kya fayde hai. in sab ke bare me mai allready bta chuka hu. aap chahe to humari alexa ranking se related post pad sakte hai. in this post is post me mai aapko bta raha hu ki website ya blog ko alexa rank me submit and verify kaise karte hai.
Ab tak maine alexa ranking ke bare me bahut articles likhe hai. but sabse important bat btana bhool gaya ki “website ko alexa se submit or verify kaise karte hai“. actually alexa rank increase karne par focus karne par ye bat mere dimag me nahi aayi thi. but aaj 2-3 audience ne iske bare me question puche to iske bare me khyal aaya.
- Blog Ki Alexa Rank Kaise Increase Kare Top 10 Tips
- Google Chrome Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare
Alexa me site ko submit karna bahut important hai. agar aapki site alexa me submit or verify hogi to alexa aapki site par jyada focus karta hai. so apni site ki ranking badhane ka site ko alexa me submit karna ek bahut hi acha or free tarika hai. jise koi bhi website owner or blogger ignore karna nahi chahega.
- Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare
- Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Me Kaise Submit Kare
How To Submit & Verify Your Site on Alexa: Step By Step Hindi Guide
Is post me mai jo tarike bta raha hu un tariko follow kar ke aap apne blog ko alexa me submit kar sakte ho or alexa ke sath ownership kar sakte ho. alexa rank baki sabhi website ranking site se jyada believe able hai. in my case mujhe alexa website ki ranking improve karne ka sabse acha tarika lagta hai. to chaliye ab aap bhi apni site ko alexa se connect kar lijiye. follow belove step guide.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare
Alexa hi ek aysi website hai jo website ki Globly rank, country rank and other information currectly show karti hai. agar aap alexa ke rules ko follow karo to ek din aapki site no.1 yani sabse jyada ranking wali website hogi. iske bare me bad me bad karenge pahle apni site ko alexa se connect kar lete hai.
Step 1:
Sabse pahle Alexa Webssite Claim form par jaye or apni alexa id se sign up kijiye.
- Enter a site URL par click kijiye.
Step 2:
Ab jo windows open hogi. usme aapko verify option select karna hai.
- is method me aap apni site par photo upload karke site ko verify kar sakte hai.
- is method me aapko ek verify code milega jo aapko apni site me <head> ke niche code paste karna hota hai.
- ye method free trial user ke liye available nahi hai.
agar aap mujhse better verify method ke bare me puchoge to mai aapko second method ke liye suggest karunga.
Step 3:
Mai yaha aapko second method se site verify karne ke step bta raha hu. aapko ye tarika pasand na aaye to aap dusra tarika try kar sakte ho.
second method me aapko is tarah ka ek code milega. ise aapko apne blog ki template me ja kar <head> ke niche paste karna hai.
“<meta name=”alexaVerifyID” content=”ckduEyiynckhduyEnckduEnv” />“
Ab second method par click kare. jaise hi aap second method par click karoge to ek page open hoga.
- is code ko copy kar ke apni site par jaye or <head> ke niche paste kare.
- code site me paste karne ke bad Verify my ID par click kare.
Verify my ID par click karte hi aapki site alexa se verify ho jayegi.
Ab aap alexa dashboard par ja kar apni site ki ranking details dekh sakte hai.
Website ko alexa me submit karna isliye bhi jaruri hota hai. kyuki 80% person alexa rank ke hisab se website ko value able mante hai. by the way ab aapki site alexa se submit ho chuki hai. to ab is post ko share kijiye jisse or bloggrs ko bhi iske bare me pata chal sake or wo apni site ko alexa se verify kar sake.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aap alexa ranking ke bare me or jyada jankari chahate hai to support me india ki alexa wali dusri post padiye. aapko alexa ke bare me puri jankari milegi. ya fir aap niche comment kar ke mujhse direct apne sawal puch sakte ho.
Prakash
Nice information bhai keep posting
AMAN KUMAR SINGH
kya ab hm alexa mein apni website free mein submit aur verify nahi kar skte?
kyunki wanha free claim krne ka koi option nahi dikh rhi hai.
Jumedeen khan
Yes, ab aapko paid plan lena hoga.
AMAN KUMAR SINGH
Bahut hi badhiya article likhi
Hindi blog ki duniya mei aapki article itni mst hoti hai ki padh ke maja aa jata hai….