Website or Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare

Alexa rank website or blog ke liye kitni important hai or badhiya alexa ranking se hume kya fayde hai. in sab ke bare me mai allready bta chuka hu. aap chahe to humari alexa ranking se related post pad sakte hai. in this post is post me mai aapko bta raha hu ki website ya blog ko alexa rank me submit and verify kaise karte hai.

submit you site to alexa - website ko alexa se submit kaise kare

 

Ab tak maine alexa ranking ke bare me bahut articles likhe hai. but sabse important bat btana bhool gaya ki “website ko alexa se submit or verify kaise karte hai“.  actually alexa rank increase karne par focus karne par ye bat mere dimag me nahi aayi thi. but aaj 2-3 audience ne iske bare me question puche to iske bare me khyal aaya.

Alexa me site ko submit karna bahut important hai. agar aapki site alexa me submit or verify hogi to alexa aapki site par jyada focus karta hai. so apni site ki ranking badhane ka site ko alexa me submit karna ek bahut hi acha or free tarika hai. jise koi bhi website owner or blogger ignore karna nahi chahega.

How To Submit & Verify Your Site on Alexa: Step By Step Hindi Guide

Is post me mai jo tarike bta raha hu un tariko follow kar ke aap apne blog ko alexa me submit kar sakte ho or alexa ke sath ownership kar sakte ho. alexa rank baki sabhi website ranking site se jyada believe able hai. in my case mujhe alexa website ki ranking improve karne ka sabse acha tarika lagta hai. to chaliye ab aap bhi apni site ko alexa se connect kar lijiye. follow belove step guide.

Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare

Alexa hi ek aysi website hai jo website ki Globly rank, country rank and other information currectly show karti hai. agar aap alexa ke rules ko follow karo to ek din aapki site no.1 yani sabse jyada ranking wali website hogi. iske bare me bad me bad karenge pahle apni site ko alexa se connect kar lete hai.

Step 1:

Sabse pahle Alexa Webssite Claim form par jaye or apni alexa id se sign up kijiye.

  1. Enter a site URL  par click kijiye.

submit you site to alexa - enter a site url

Step 2:

Ab jo windows open hogi. usme aapko verify option select karna hai.

  1. is method me aap apni site par photo upload karke site ko verify kar sakte hai.
  2. is method me aapko ek verify code milega jo aapko apni site me <head> ke niche code paste karna hota hai.
  3. ye method free trial user ke liye available nahi hai.

agar aap mujhse better verify method ke bare me puchoge to mai aapko second method ke liye suggest karunga.

Claim Your Site to Verify Ownership

Step 3:

Mai yaha aapko second method se site verify karne ke step bta raha hu. aapko ye tarika pasand na aaye to aap dusra tarika try kar sakte ho.

second method me aapko is tarah ka ek code milega. ise aapko apne blog ki template me ja kar <head> ke niche paste karna hai.

<meta name=”alexaVerifyID” content=”ckduEyiynckhduyEnckduEnv” />

Ab second method par click kare. jaise hi aap second method par click karoge to ek page open hoga.

  1. is code ko copy kar ke apni site par jaye or <head> ke niche paste kare.
  2. code site me paste karne ke bad Verify my ID par click kare.

Add an Alexa Verification ID to the homepage of your site and verify

Verify my ID par click karte hi aapki site alexa se verify ho jayegi.

Ab aap alexa dashboard par ja kar apni site ki ranking details dekh sakte hai.

Support Me India Alexa Rank Details

Website ko alexa me submit karna isliye bhi jaruri hota hai. kyuki 80% person alexa rank ke hisab se website ko value able mante hai. by the way ab aapki site alexa se submit ho chuki hai. to ab is post ko share kijiye jisse or bloggrs ko bhi iske bare me pata chal sake or wo apni site ko alexa se verify kar sake.

Agar aap alexa ranking ke bare me or jyada jankari chahate hai to support me india ki alexa wali dusri post padiye. aapko alexa ke bare me puri jankari milegi. ya fir aap niche comment kar ke mujhse direct apne sawal puch sakte ho.

Reader Interactions

Comments (79)

  1. sir mera alexa rank me india show nhi kar rha he, rank in usa dikha raha he use change kaise kare

  2. nice post bhai g par kitna friends ko follow kar sakta haa jayda karna sa id block to nahi hogi

  3. Aapka Article kafi Acha hai – sir mera ek problem hai Jo Aap hi solv kar sakte ho …halati mene ek blog banaya hai .jis par viewer k comment Aana shuru huye hai …par muze samaz nahi Aa raha hai unhe reply kaha Se du ! Agar blog Se hi du to mera page view badh sakta hai …to sir Aisa koe tarika hai jis Se comment ka reply me gmail Se de saku ” Ya Aap comment ka reply kaha Se karte ho ?

    • comment ka reply comment se hi karo. apne visitors ki comment ke niche dekho reply ka option hota hai.

  4. Iske liye payment bhi karni padegi

    • Nahi ye alexa ki free service hai. aap sawal puchne se acha to ek bar post me btaye step follow bhi kar sakte ho.

  5. Bhut hi achi jankari di aapne is article me. Kai new blogger ko apne blog ranking ke baare pata nhi hota is ke karan vo Alexa me verification nhi karte jiska nuksaan unko baad me bhugtna padta hai.

  6. Bhai kal mera account aprove hua hai aur kal hi mene frst ad code lagaya hai to abhi blank hai mera ad, aap bata sakte ho kitna din lagta hai AdSense ka ad aane me, review kitne din me khatam hota hai bhai…???
    24 hour ho geya hai lekin abhi bhi koi email nehi aaya

    • iska koi fix time nahi hota. AdSense kitna bhi time le sakta hai aapki site ko review karne me but 1-5 din me ho jayega. aapko iska message mil jayega.

  7. Mai apni site ko abi Alexa me verify kiya hu india rank me no data aa raha h plz hlp

    • jab aapki site par traffic badhega to alexa rank sho hogi.

  8. HLO ,,SIR ME APSE PUCHNA CAHTA HUN KEY ..ME EK SITE PR WORK KRRA HUN OR MENE US SITE KO RANK KRVANY K LIYE BLOG BNAYA HAI,,,, TO M APSE YH PUCHNA CAHRA THA KEY ..ME BHUT C SITE OPN KRTA HUN LIKE FORUM MEIN SINUP HOTY HI EDIT PROFILE MEIN OPTION ATTA HAI ADD UR SITE TO USMY BLOG KA URL DUN YA APNI MEIN WEBSITE KA

  9. Thank youuuu so much bhai, aapke liye aaj mene aaj ek blog banaya hai, bhai ek aur qstn hai mera, AdSense ne jo code nai hai usko mene header ke right me lagaya hai aur mere templete me ad inside post bolke ek option hai usme lagaya hai jo layout me hai aur sidebar me lagaya hai, mera sawal hai,
    1) ye to ek code hai isko mene 3 jagah pe lagaya hai kya koi prblm hoga…???
    2) kab mujhe original ad milega
    3) mene jis jis jagah pe ad code lagaya hai kya ye sahi hai ya fir mujhe aur koi jagah pe lagana hai,
    plssssssss bataiye bhai

  10. ye proxy servers kya hote hai. aur proxy server dalne ke baad hi net free me chalta hai. Maine suna hai ye proxy danger hoti hai

    • jab aap kisi website ko open karte ho to aapko website ka jo page dikhta hai. wo proxy server se hi open hota hai. sorry ye danger hota hai ya nahi mujhe iske bare me nahi pata.

  11. thanks bahi is post ke liye, mani kal se koshis kar raha tha par nahi ho paya. aap ki is post ke baad asani se ho gya.

  12. bhyi mughe itna bata dijiye ki agar ham 2 din phle wali post ko aaj update kar deta hu to mene jo post title me sath me date dali hui he wo change hokar search me kyo nhi ati phle wali jo mene post me date bhi dali thi wohi kyo rhti he change hokar search me dikhna chahiye bro me ye swawal kafi din se puch rha hu jawab nhi mil ppa rha he plz bhyi bata dijiye

    • post update karne ke bad search me aane me 1-5 days lag sakte hai.

  13. Lekin bhai mere site me visitors bohot kam hai, daily 40 se 70 tak aate hai aur jyadatar google se aate hai to mujhe samajh me nehi aa raha kese aprove hua hai, esa to jyadatar nehi hota hai na, to kya isse AdSense ban ho jayega…???
    Aur jo code dia hai wo kis jagah pe lagana hai…???

    • aapka AdSense itne kam traffic par approved ho gaya. bahut achi bat hai. ab aap apne blog par post likho or unhe social media par share karo. blog ki traffic badhane ke bare me mai allready bahut post likh chuka hu. aap unhe pad kar apne blog ki traffic badha sakte hai. nahi AdSense ban nahi hoga. bas aap jaldi apne blog ki traffic badhao. ye post pado Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi

  14. Maine YouTube par ek video dekha hai jisme airtel me free internet trick batai gayi hai hai usme opera mini handler me ek proxy code dalna padta hai aur wo trick work bhi kar rhi hai toh kya mai free internet use kar lu koi problem toh ni hogi

    • agar aapko free internet mil raha hai to use kar sakte ho. isme koi problem nahi hai.

  15. bhayi apki help se mene laga liya or ha mere pareshan karne wale sawalo ki liye apka bahut bahut dhanyabad jo apne meri help ki or ummed karta hu apse ki aap isi trah meri help karte rahoge jab tak me kuch success ho na jau apki help meri mehnat or bagwan ke ashirbad se .. apka daily reader dev

    • Dev mujhe aapke sawalo se koi problem nahi hai. bas jab mai aapko jawab du to use ache se samajha karo. problem tab hoti hai jab aap ek sawal ko bar bar repeat karte ho.

  16. sir mera ek blog hai jissme mene internet se paise ka
    ane ke tarike bataye kya me esse AdSense aprove karva sakta hu nahi to agar me YouTube se AdSense aprove karta hu to baad me blog add ho sakta hai kya or ek sawal sir mene jo post likhi thi Android mobile se paise kamane ki 5 apps vo aap pahle hi post kar chuke hai main ab dusri post likh raha hu typing karke paise kamane ki 5 website kya aap isse post karenge ab aap kahege ki poat dekhar hi bata pauga or email bhi dege lekin sir main aapse ye puch rsha hu ki main apni post direct email dwara bheju ya email me microsoft file me bheju post plece reply kare

    • manish aap AdSense kisse approved karana hai ke liye ye post pado Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
      gest post karne ke liye aap humari Guest Post Policy posd le. aap jo paise kamane ki 5 website topic par post likh rahe ho. wo mai allready share kar chuka hu.
      aap supportmeindia ke liye post likhne se pahle post ka title mujhe btao. jisse mai aapko bta saku ki ye post pahle se to nahi hai. aap microsoft file ke throw post send kar sakte ho.

  17. Hi sir ,mere blog pe maine AdSense ke ads lagaya hai. But wo ads show nahi ho raha hai.blank aa rahe hai . kitane din me ads show hone lag jayege

    • 1-3 days lag sakte hai. iska koi fix time nahi hai. jab AdSense aapki site ko complete review kar lega to AdSense show hone lag jayenge.

  18. hi sir mere blog me AdSense ke ads kyu show nahi ho rahe hai maine aaj hi AdSense approve huva hai but ads blank aa rahi hai

    • abhi aap 1-3 days wait karo. aapki site check karne ke bad AdSense ads show karne lag jayega. iska aapke pas mail aa jayega.

  19. Bhai aaj mene AdSense ke liye apply kia tha, to mujhe apna contact details dene ke liye bola geya to mene sab kuch dia fir mujhe ek code dia aur bola ki apne site me lagane ke liye aur niche dikhaya ki
    “While your account is under review, we’ll only serve blank ads on your site. After the review is complete, you’ll recieve an email from us. If your application is successful, we’ll start serving real ads on your site”
    iska matlab kya hai…???
    mujhe samajh me nehi aa raha ki mera account aprove hua hai ya nehi, kya me ad laga sakta hu,
    kuch samajh me nehi aa raha,
    help kijiye bhai

    • don’t worry aapko AdSense account approved ho gaya hai. aap apni site par ads laga asakte ho. iska matlab hai ki AdSense se aapko jo ads code mila hai wo aapko apni site ki post or widget me add karna hai. aysa karne par AdSense aapki site ko check karega. or jab tak AdSense site check karega. adski jagah blank ads show hoga. jab AdSense aapki site ko complete check kar lega to ads show hone lag jayenge. iska aapko email message mil jayega.

  20. hi..sir mere blog pe Adsense ke ads show kyu nahi ho rahe hai.blank kyu aa rahe hai. aur me adse k notification me : Your AdSense account is enabled only to show ads on YouTube. If you want to show ads on a different site, you’ll need to provide us with the URL of the site you want to monetize.

     Learn more
    ye likha huva aata hai