Alexa rank website or blog ke liye kitni important hai or badhiya alexa ranking se hume kya fayde hai. in sab ke bare me mai allready bta chuka hu. aap chahe to humari alexa ranking se related post pad sakte hai. in this post is post me mai aapko bta raha hu ki website ya blog ko alexa rank me submit and verify kaise karte hai.
Ab tak maine alexa ranking ke bare me bahut articles likhe hai. but sabse important bat btana bhool gaya ki “website ko alexa se submit or verify kaise karte hai“. actually alexa rank increase karne par focus karne par ye bat mere dimag me nahi aayi thi. but aaj 2-3 audience ne iske bare me question puche to iske bare me khyal aaya.
- Blog Ki Alexa Rank Kaise Increase Kare Top 10 Tips
- Google Chrome Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare
Alexa me site ko submit karna bahut important hai. agar aapki site alexa me submit or verify hogi to alexa aapki site par jyada focus karta hai. so apni site ki ranking badhane ka site ko alexa me submit karna ek bahut hi acha or free tarika hai. jise koi bhi website owner or blogger ignore karna nahi chahega.
- Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare
- Alexa Rank Kya Hai Alexa Rank Blog Me Kaise Submit Kare
How To Submit & Verify Your Site on Alexa: Step By Step Hindi Guide
Is post me mai jo tarike bta raha hu un tariko follow kar ke aap apne blog ko alexa me submit kar sakte ho or alexa ke sath ownership kar sakte ho. alexa rank baki sabhi website ranking site se jyada believe able hai. in my case mujhe alexa website ki ranking improve karne ka sabse acha tarika lagta hai. to chaliye ab aap bhi apni site ko alexa se connect kar lijiye. follow belove step guide.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Website Blog Ko Alexa Me Submit & Verify Kaise Kare
Alexa hi ek aysi website hai jo website ki Globly rank, country rank and other information currectly show karti hai. agar aap alexa ke rules ko follow karo to ek din aapki site no.1 yani sabse jyada ranking wali website hogi. iske bare me bad me bad karenge pahle apni site ko alexa se connect kar lete hai.
Step 1:
Sabse pahle Alexa Webssite Claim form par jaye or apni alexa id se sign up kijiye.
- Enter a site URL par click kijiye.
Step 2:
Ab jo windows open hogi. usme aapko verify option select karna hai.
- is method me aap apni site par photo upload karke site ko verify kar sakte hai.
- is method me aapko ek verify code milega jo aapko apni site me <head> ke niche code paste karna hota hai.
- ye method free trial user ke liye available nahi hai.
agar aap mujhse better verify method ke bare me puchoge to mai aapko second method ke liye suggest karunga.
Step 3:
Mai yaha aapko second method se site verify karne ke step bta raha hu. aapko ye tarika pasand na aaye to aap dusra tarika try kar sakte ho.
second method me aapko is tarah ka ek code milega. ise aapko apne blog ki template me ja kar <head> ke niche paste karna hai.
“<meta name=”alexaVerifyID” content=”ckduEyiynckhduyEnckduEnv” />“
Ab second method par click kare. jaise hi aap second method par click karoge to ek page open hoga.
- is code ko copy kar ke apni site par jaye or <head> ke niche paste kare.
- code site me paste karne ke bad Verify my ID par click kare.
Verify my ID par click karte hi aapki site alexa se verify ho jayegi.
Ab aap alexa dashboard par ja kar apni site ki ranking details dekh sakte hai.
Website ko alexa me submit karna isliye bhi jaruri hota hai. kyuki 80% person alexa rank ke hisab se website ko value able mante hai. by the way ab aapki site alexa se submit ho chuki hai. to ab is post ko share kijiye jisse or bloggrs ko bhi iske bare me pata chal sake or wo apni site ko alexa se verify kar sake.
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aap alexa ranking ke bare me or jyada jankari chahate hai to support me india ki alexa wali dusri post padiye. aapko alexa ke bare me puri jankari milegi. ya fir aap niche comment kar ke mujhse direct apne sawal puch sakte ho.
Abhishek pandey
Sir ,Kya Alexa Rank Hmare Ad Publisher Ke Liye Important Hoti Hia.Mtlb Ki Kya Adsence Hmare Blog Ki Alexa Ranking Ko Mayne Rkhta Hai.?
Ap Konsa Plan Use Karte Hai?
Jumedeen Khan
Nahi, adsense aapki site ke content quality aur traffic ko dekhta hai.
Reny John
Hello Jumedeen Bhai,
Kaise hai aap, bhai pichale kuch dino se alexa me meri website ki india ranking dikh rahi thi per ab nahi dikh rahi ye gayab kaise ho gai. kya karan hai? jab maine apka ye blog padha to use bhi try kiya per alexa webpage me ab ye message aa raha hai “Claiming has been retired – May 2016”
ab blog ko website me kaise submit kare.. pls help
Jumedeen Khan
Alexa paid plan buy karo ya fir ise avoid karo alexa itni important nahi hoti.
Narayan Singh
Thank you ,
Jume deen ji
For sharing great artcles but mera question yah hai ki maine apne website me 11 post kiye hai lekin views nahi ho rahe hai ,mai WordPress par hoo seo bhi thik hi hai aur social media me bhi maine share kiya hai ..sEARCH engine me ane k liye kitne post jaruri hai..design bhi thik tak hai ..
Jumedeen Khan
Naresh aapne SEO par post likhi hai wo bhi english me. Aapne post me maximum 2000 words bhi use nahi kiye hai. Aap neil patel ki SEO post check karo ek post me 10,000 words hote hai. Ab wo humse bahut jayda expert hai to socho english SEO article ko top par lane ke liye aapko kitne competition ka samna karna padega. Aapke pas 2 option hai.
1. Kisi or topic par post karo.
2. SEO par likhna hai to bhai 2000 to 5000 words me likhna hoga. Second h2 heading bhi use karo.
zakir Khan
Hi bhaijaan mene apni website ko Google me submit kiya h lekin uska verification ni ho raha mujse to aap please mujhe batao ki m uska verification kese karu step by step
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
Abhishek Yadav
Mobile me ctrl-f ki jagah kya kare ki fb like page lag ja please
Jumedeen Khan
direct code search karke paste karo.
mohit saxena
sir me apni site ko alexa me varify karna chaha raha hoon? par alexa ki site claming has been retire bata rahi hai …………….me kya karu……..sir ek bar ap alexa ki site khol kar dekh lijiye…………pls……..
Jumedeen Khan
alexa ab paid ho chuka hai.
Mannu Techs
Sir Abhi Site Claim Kyu Nahi Ho Rahi Hai Jab Mai Link Pe Ja Raha Hun Toh Wanha Par Site Ka Link Submit Karne Ka Option Nahi Hai Fir Kaise Verify Karun Please Help Me
Jumedeen Khan
Mannu alexa ki ye service paid ho gayi hai ab aapko alexa me site submit karne ke liye pay karna hoga.
n.k detruja
Bhot hi accha jankari diya hai bro
Maine suna hai ki alexa paisa lene laga
Hai ki renk dikhneks maine lagaya hai par vo free me hi lagaya hai nice a articles
Jumedeen Khan
Alexa ki aap sabhi sevices paid hai.
prasad surase
Sir, aap ye article update kar do… Q ki amezon company ne Alexa rank ka free me use band kar diya hai… Ab ham unaka sirf pro subscription hi use kar sakate hai.. Jo ki paid hai… Isiliye aap is article se voh free vala part hata do toh achha rahega… Isase visitors ka time vaste nahi hoga
Jumedeen Khan
Thanks bro, jald is post ko update karunga.
vinesh
Sir.. .mai mobile user hu Maine blog bana liya hai usme 2000+ visitor go Gaye hai sir Maine absence account bhi bana liya hai Maine 2 pahele blog me add lagaya thi to ekbarHi show hui Fir nahi an bhi add lagaya hu to adds dikhai nahi deti.. .mera blog URL competitive-gujarat.blogspot.com hai chek kar k batao na?
Jumedeen Khan
Aapke blog me ads show ho rahe hai. Koi problem nahi hai.
Hardeep Kumar
sir maine yeh new domain liya hai aap bata sakte hai ke maine thik domain select kiya hai
Jumedeen Khan
Bahut acha domain hai.
Hardeep Kumar
Hello sir aapne jo uper bata hai alexa website claim ab woh work nahi kar raha hai jab bhi alexa website claim page par jata hu waha par Claiming has been retired – May 2016 likha aa raha matlab ab hume paise dene padhega site alexa par add karwane ke liye ja fir koi aur tareeka hai toh jarur bataye
Jumedeen Khan
Hardeep alexa ne apne feature me update ki hai or ab aap free me alexa me site submit nahi kar sakte. Mai jald hi is post ko update karunga. Thanks for suggestion
bhupal bhakuni
Sir blog ke liye bast template kon sa h blogger me
Jumedeen Khan
aap gooyaabetemplatessite se download karo. ek se badh kar ek templates mil jayegi.
jignasa
mene site claim ki to vaha bata raha hai ki apki site Claiming has been retired – May 2016 abhi me kya karu jo meri site alexa me claim kar saku reply me.
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aapki site submit ho gayi hai.
Dhiraj Roy
bro..Maine Sara Alexa rank ka step pura kar liya hai but abhi tak mera Alexa rank nhi show kar RHA hai or Alexa rank ko verify kab ka kara diya that or template me code add kar diya tha but abhi tak rank show nhi kar RHA yesa kyu ya or kuch karna parega
Jumedeen Khan
Aapke blog par traffic aayega tabhi alexa rank show hogi.
wajid
Bhut hi achi jankari di aapne is article me. Kai new blogger ko apne blog ranking ke baare pata nhi hota is ke karan vo Alexa me verification nhi karte jiska nuksaan unko baad me bhugtna padta hai.
Hindi me madad
Bhai JI Alexa rank ki post samaj me nhi aayi. Pahla mathod me Jo file download ki hai Maine. Use upload kha karni hai ye btaao or dusre mathod me Jo code diya gya hai wo code kha likhana hai wo btao please jaldi SE jaldi
Jumedeen Khan
Hi bro aap post ko padhoge nahi to samajh nahi aayegi. Jo sawal aap puch rahe ho uske bare me isi post me step by step bta chuka hu. Follow step carefully
Suraj
alexa mai payment maag raha hai iske bina kuchh nhi baata raha mere site ke baare mai
Jumedeen Khan
Suraj aap shayad special ho jo aapse alexa payment mang raha hai. And maine is post me jo bhi jankari di hai. Wo sab bakwas hai. Best of luck. Mai aapki help karne me unable hu.
Sumit
bing se verify and submit nahi ho rahi
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Shaziya
Alexa me site ranking ka ek method or bhi h jisse aapki websiye 2 mahine me hi rank kar jayegi… bahit tezi se