Blogging me sabse badi problem hai copyrigting. aapki site ka content kisi or website se match ho raha hai to aapko search engine se traffic bahut kam milega or aapki site ki search engines me ranking bad (Bahut Kam) hogi. maine bahut se bloggers ko dekha hai. wo dusro ke blog se post copy kar ke apni site par publish karte hai or jab unhe search engine mostly google se high traffic nahi milta to dusro blogger se puchte hai. copyright content ka pata kaise lagaye ke bare me janne ke liye puri post padhe.
“Hello Sir mere blog par 40-50 post hai or sari post maine khud likhi hai. magar meri site par traffic sirf 500-600 pageviews per day hi hai. Plz aap meri site ko check kar ke btayiye kya problem hai.” Ye sawal 3 february ko mere facebook page par Neha Sharma ne message kiya tha.
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Ye jaruri nahi hai ki aap jab kisi or site se direct copy karoge to hi copyrighting hogi. ho sakta hai aapka talent kisi or se match ho raha ho. I mean aapka likhne ka tarika kisi or se milta julta ho to bhi copyrighting ho sakti hai.
Yani hum kisi ke talent ko bhi follow nahi kar sakte hume apna sabse alag likhne ka tarika banana hoga. tabhi humari site ko search engine se adhik traffic mil sakta hai or hum apni manzeel tak pahuch sakte hai success ho sakte hai.
Ab important sawal ye hai ki humara talent likhne ka tarika kisi or se match ho raha hai ya nahi. ye hum kaise pata kar sakte hai. don’t worry meri ye post isi ke bare me hai. aap is article me btayi gayi tools par apni site ki post, pages or homepage ko check kar sakte hai ki aapki site par kya kya copyright hai or kya kya originol hai.
Table of Contents
Website Blog Copyright Content Checker Top 10 Free Tools – Check Content Theft
Content Theft ka matlab hota hai chori ki gayi jankari. ye tool aapko btayegi ki aapki post me kaha kaha or kis kis website ya blog se content chori kiya gaya hai. aapko apni site ka home page url ya aapki post ka url add karna hai.
1. Plagium
Copyright content check karne ke liye ye tool sabse best tool hai. aap plagium website par jaye or search box me apni post ka link add karo or quik search ya deep search par click karo. aapki post me jo bhi content copyright hoga or jis website se match ho raha hoga. sabki details aapko mil jayegi. but yad rahe ye site paid hai or aap is par per day 1-5 bar hi copyright content check kar sakte hai.
2. Grammarly
Grammarly website ek multi features website hai. is par aap copyright content check karne ke sath sath post content spellinkg, originol contet bhi check kar sakte ho. mai aapko is site ke liye personally suggest karna cahunga. ye sabse best website hai originol content check karne ki iske bare me aapko aane wale time me details se btaunga.
3. Plag Sotter
4. DMCA Scan
5. Dupli Checker
6. Webconfs – Similar Page Checker
Agar aapko kisi website par shaq hai ki wo aapko copy kar raha hai to aap is tools par ja kar apni site or uski site ka url add kar ke pata kar sakte hai ki uski site aapki site se kitne % match ho rahi hai. examply jaise meri site supportmeindia se meri dusri site hindi.supportmeindia.com 17% match ho rahi hai.
7. Copyscape
8. Duplicate Content Tool
9. Plagiarisma
10. Plagiarism Checker
Ye sab website ek se badh kar ek hai. jo aapko copyright content, originol content, theft content, plagiarism content or duplicate content ke bare me jankari deti hai. agar aap inhe bar bar use karna chahate ho to aapko in par sign up karna padega.
- Blog Post Ke Liye Photo Kaha Se Download Kare – Sabse Aasan Tarika
- Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog
Blogging karne walo ke liye is post me btayi tools bahut important hai. inki madad se aap pata kar sakte ho ki aapka post likhne ka tarika kisi or se match to nahi ho raha hai or agar ho bhi raha hai to kisse is sabka aapko pata chal jayega.
Madhu
Thanks for making these blogs that are interconnected mtlb har blog pr click krne ka man krta hai , hme bhi btaaye kaise krte hai ye aap
Kartikkaushal
Sir mujhe aapse help chahiye ki aap blogging m meri help karen please contact no de do sir m aap de personally baat karna chahta Hun.
omkar kushwaha
bahut achhi jankari share ki apne .thanks sir ji
priyank bagle
Nice post sir aise information or bhi share krte rahe…
Sandeep Bhorse
Hallo jumedin bhai ,
Maine apne blog par apni khud ki tecnic se likhta hun . Kisi bhi Website se koi bhi content copy nahi karta hun fir bhi small seo tool par check karne unique bata raha he . Bataiye main kya karu.? Mujhe blogging karna bahut pasand he or isi me main carrier banana chahta hun . Maine sankalp le liya carrier banana he to blogger me .please help me bhai . Apne is chhote se friend ki help kar do . Kya karu jisse mere post me copyright na aaye?
जुमेदीन खान
seo tools ko chhodo aap bas unique content likho.
Neelesh
सर मेरा कंटेंट को किसी ने quora पर कॉपी करके डाल दिया है मेरी पोस्ट करीब 4000 word गई थी और पूरा का पूरा कंटेंट किसी ने copy करके पेस्ट कर दिया है इसके लिए मैं क्या करूं।
मैं उससे, जिसने कंटेंट कॉपी किया था उससे mail करके copy किया हुआ contenet हटाने को कहा। तो वह बोल रहा है कि मेरा अकाउंट hack हो चुका है और मैं वह कंटेंट नहीं हटा सकता।
मैं क्या करूं
जुमेदीन खान
Qora पर उसकी रिपोर्ट करो।
Ruchi
Bhai in tools me se main duplichecker use karta hoon but wo bahut kum content ko copyright show karta hai jabki small SEO tool isi content ko copyright show karta hai. Aisa Kyun?
Badri kewat
sir aap ne bahut hi achhi jankari di hai great work
Nripendra kumar singh
Sir mere blog ke content 17% match ho rahe hai to kya copyright mana jayega
Jumedeen khan
Maximum 10% tak chalta hai usse jyada hone par problem hoti hai.
SUMIT KUMAR GUPTA
Sir hum ye janna chahte hai ki hmara blog content koi copy kr rha hai ki nahi. Ye aap jo upar me topic bataye hai o to comaparison krne ke liye hai n
Pravin
Sir koi blog content copy karte hai to uski complent kaise kare ? step by step bataye.
Jumedeen
Copied Content Ki Google DMCA Form Me Report Kaise Kare
Sahil Kumar
जुमेदीन भाई आपसे कॉपीराइट के संबंध में एक सलाह लेनी थी।
भाई मेरे ब्लॉग पर एक से बढ़कर एक बढ़िया पोस्ट है। पर कुछ YouTubers ने उन्हें हू-बू-बू Script के तौर पर अपनी Videos में इस्तेमाल किया है। कई Videos को तो 50 लाख से ज्यादा Views मिल चुके है।
भाई क्या मुझे उन लोगों की Com plate करनी चाहिए क्योंकि वो बार-बार कहने पर भी रुक नही रहे। इससे मेरा बहुत नुकसान होता है क्योंकि Google Search में उनकी Video मेरे पोस्ट से पहले आ रही हैं।
भाई आप बताइए मुझे क्या करना चाहिए?
धन्यवाद।
Jumedeen Khan
Yes bilkul aap apne content ke liye complaint kar sakte ho legal action bhi le sakte ho.
rishi
maine 150 post likh ke rakhi hai ….note pad ..me .apne shabdo me ….ab mai ek wp blog bnakar usme publish karna chahta .. kya mai un sb ko waha se copy kar ke apne blog me paste kar sakta hu ya nahi kya ye bhi copy right hota hai …
Jumedeen Khan
kar sakte ho no problem.
vikash gupta
sir maine kisi web site k post ko copy nahi kiya lekin maine books ko padhkar sirf hindi story post kiya h or jab maine un storys ko copyscape pr chek kiya to kai website par vo story pahle se likhi hui thi mujhe ye samjh nahi aata ki ek hi story kafi website par kaise ho sakti h kya unhone copyright nahi kiya or ager mai apni post ki hui story ke niche likh du ki ye story ka orignal writer nahi hu to kya yah copyright hoga
Jumedeen Khan
Story, shayari, jokes etc. content copyright nahi hota but apa apne hisab se sabse alag style me likha karo.
Ashish Kumar
Agar main kisi movie ki story apni language melikhta hoon to wo copyright issue hoga kya?
Jumedeen Khan
yes ho sakta hai kyuki aap kisi or ki story likh rahe ho bana nahi rahe ho.
Abhishek Meena
Hello Bro.
Agar hum kisi blog ke articles se sirf topics copy karke unke andr apna khud ka content likhe to bhi copyright ho sakta hai kya…
Jumedeen Khan
Yes aap kisi ka topic ya ocntent copy mat karo unse sikh kar khud ka topic banao or content likho.
Arman
Asalam alekum
(http://smallseotools.com/plagiarism-checker/ )
mai jab bhi koi post apne blog par likhata ho to is site par us post ko paste
karke copright check karte ho.
ye site mere post ko 100% unique batata hai.
ek din maine is site ka test lene ke liye kisi dusre site se content copy karke plagiarism checker tool me paste kar diya. result me isne same 100% unique bataya.
is website ka alexa ranking bhi acha hai.
juma bhai yesa kyu hua hai.
mujhe aapke raay ki jarurat hai.
sukriya
Jumedeen Khan
smallseotools ek famous tool hai jise bahut sare log use karte hai. Iski wajah ye kafi had tak sahi report deti hai
Rohit
sir mera blog ko banaye hue 2 year ho gye h
adsene bi approve ho gya h
par add nhi mil rhi
kya problem ho skti h ?
Jumedeen khan
Blog me custom domain add kar usse adsense ke liye apply karo fir ad lagao aapki problem solve ho jayegi.
vikas
hi jumedeen khan bhai
agar hum kisi blog se article ko padkar usi article par behtar tarike se apne blog par likhe to kya vah copyright hogi?
plz reply karna sir
Jumedeen Khan
Ho bhi sakta hai or nahi bhi. Aap kisi matter ko kis tarike se samjhate ho wo aap par depend karta hai.
aaryan patel
Sir agar koi website ki post hinglish me hai aur agar same to same wahi post dusri site par हिन्दी में likhi jaye to google copyright maanta hai ki nahi….
Jumedeen Khan
Yes aesa karna copyrighting hoga.
राजन सिंह
sir apne support me india likha hai वेसा ही short me rajan लिख कर मेरे imal id per भेज दे please request me sir
apka bharose mand friends
or mujhe batqade ke kase laga sakte hai apne website me
Jumedeen Khan
Rajan aap SMI ko subscibe kar le fir aapki mail par post apne aap aa jayegi.
राजन सिंह
सर एडिसन अकाउंट बनाने के लिये 400 से 500 टकाक view होना जरुरी है जब में अद्द्सिओन अकाउंट के लिये अप्लाये करता हु तो मुझे बैंक में कितना रुपया होना जरुरी है लोग मुझसे कहते है की जब आप एडिसन के अप्लाये करे गे तब आपके बैंक में जो भाई money होगा adsion आपके पसे चुरा लेगा भाई अभी मेरी पढ़ने के उम्र है में अभी १२ क्लास में हु blog website बना लिया हु स्कूल में पड़ता भी हु बके गो समाये बचाता है 4 से 6 घंटा आपके website में बिताता हु sir mera age 17 sal ka hu मुझी आपके website बहुत पसंद है मै आपके बांये एडिसन पैर क्लिक्ल्क करता हु सर आपके इनकम होते है या नही क्या आपकी money बैंक में आते है आपको कितना डोलर पर डे मिलाता है कितना view मिलाता है मैंने जब से blog website खोले है ताबा से कोइ view नही मिलाता है सर मेरी website को चक\ कर के बताये के मुझे क्या करना होगा मेरे website है उसे गूगल पर दल कर सर्च कर के बताये
Jumedeen Khan
aapki site bahut achi hai. Nahi bro adsense account banane ke liye aapki bank me paisa hona jaruri nahi hai. Bank account ko adsense me tab ad karna hai jab aap $100 kama lo adsnese account banane ka koi charge nahi lagta ye sab free hai. Second aap study par dhyan do meri site ko 6 hours nahi 1-2 hours hi use karo or aap first adsense wali hi post padho. Kuch bhi problem ho to puch lena.
Kalpesh Damor
Hello sir esa koi solution hai ke duplicate content ko fix kiya jata hai , kai baar url comman ho jata hai jise duplicate content ho jata hai , me jab ek hi label par 3 thi jayda post likhu toh bhi label duplicate content aa jata hai
Jumedeen Khan
Label ko search engine se hide karo or ek jaise URL mat banao.
Rohit khankal
Menu me alag pages or post Kaise daale uske code plz bataye
Jumedeen Khan
HTML link use karo. Is post me check karo Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare Ki Jankari
Kalpesh
Hello sir mene blog me khud hi sabhi article likha hai ,copyscape se scan kiya toh 9% copy contant bata raha hai lekin duplicate contant 70% bata raha hai toh esa problem solve kese kare
Jumedeen Khan
Humara content kisi or se bhi match ho sakta hai. Jaise hum likhte hai wese koi or bhi likh sakta hai agar aapne content copy nahi kiya hai to no problem.
kunal kushwah
sir mere blog ke contents google search engine pr show ni ho rahe hai.isse pehle show hote the.kya kru me ki ye frse show hone lage
Jumedeen Khan
Apni site ko google search console me ache se submit karo.
priyanshu
mere blog ko chek karake bataye ki copyright content ko kaise hataye aur ek sahi blog kaise banaye sath me ye bhi bataye agar jo blog mai likh raha hoon wo copyright to nahi agar hain to kya karu full step by step guide
Jumedeen Khan
Is sabke bare me mai already post kar chuka hu aap search box me apna sawal search kiya karo.
satyam kumar
maine apne blog ko check kiya to isme duplicat 65% aa raha hai . maine Check Content Theft par kiya hai iska kya matlab hai mujhe kya karna chahiye
Jumedeen Khan
Iska matlab tumne kisi ki post copy ki hai.
satyam kumar
maine post ko copy nhi kiya hai ho sakta hai ki heading milti julati ho sakti yaa fir point liye ho lekin kya fir bhi copy manaai jayegi . is prakar to aapki post bhi bahit se milte julti ho sakti hai kyoki jab title ek hi poin par ho to vichar to mil jayenge
agar copy hai to mujhe kya karna chahiye jarur bataye
Jumedeen Khan
Satyam mai kabhi kisi ke title se milti post nahi likhta. Dusre hi aysa karte hai. Aap jo kuch bhi likho khud likho kahi se bhi sikh kar likho par kisi ki copy mat karo.
satyam kumar
koun si post copy right me aa rahi hai uska pataa kaise lagau.
dusari baat jo post me copy dekhaye unka kya karu .
tisari baat yah hai ki agar mujh ko LIFE ME HAPPY KAISE RAHE JANE BSET 10 TARIKA ” is topic par likhan ho jabki is topic par bahute ne likha hai to isko copy right se kaise bachaa sakta hun , mere kahane ka matlab hai ki milte julte topic ko kaise copyright se dur karu
Jumedeen Khan
Aap dusro se alag content likhoge to wo copyright nahi hoga. copyright posting check karne ke liye ye post padho or DMCA form me uski report karo.
1. Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye
satyam kumar
mere blog par jo copy content show ho rahi hai un post ko hat du ya unme change karna chahiye
Jumedeen Khan
Delete mat karo post ko update kar lo or uska content change kar do.
Rais Mohammad
HELLO JUME DEEN, SALAM KABOOL KARO
Mere ek sawal hai ki maine abhi abhi ek blog banaya hai. aur us par likhna bhi shuru kar diya hai.. magar mein yeh janna chahta hoon ki agar mein kisi website ke content ko copy nahi karta aur usme likhe kisi content ko apne hisaab se nayee traah se present karoon to yeh copyright to nahi hoga.
1. misaal ke tour par : agar alloo ki sabji kaise banatein hai.. yeh kisi post par likha hai aur mein allo ki sabji par hi koi doosri post likh raha hoon jabki ban wahi cheech rahi hai jo kisi dusre ne likhi aur maine likhi.
2. ya fir koi news abhi abhi maine kisi news site par dekhi…. aur mein use apne news blog mein dusre tarike se present karoon to kya yeh copyright hoga
GOOGLE KAISE PATA LAGATA HAI KI YEH COPYRIGHT CONTENT HAI AGAR ISKI JANKARI BHI HINDI MEIN KAHI MILE TO BATANA
Jumedeen Khan
W/a bro,
har koi kahi na kahi se sikhta hai, but ye aap par depend karta hai ki aap kis tarah se likh sakte ho. aap net se sikho but kisi ki copy mat karo. aap jis topic par likhna chahate ho pahle uske bare me 5-10 post padho or fir uske bare me khud soch kar behtar likho.
Ggoogle par bahut sare engineer har time work akrte rahte hai or ab to computer hi sab kuch bta deta hai.
Rohit khankal
Sir apke blog se mujhe bahut sikhane ko mila.
Kisi blog se Sikh kar post likhe to dikkat nahi hogi na ?
Kyuki me blogging apke aur kai aur blogger ke blog se information padta hu lekin agar mujhe us blog se jo samaj aata hai wo likhu to copyright hogi kya plz answer sir…
Aur agar mujhe apki post apse puch kar copy karke share karni ho to uske liye kya kare ya aisa hota nahi ?
Jumedeen Khan
Nahi hogi aap kisi ka ocntent copy mat karna apne dimag se likhna.
suraj yadav
Sir maine jitne post apne blog me kiye h sb news se copy h to isse koi dikkt nhi hogi n AdSense me register krane pe
Jumedeen Khan
ai iske bare me kuch nahi kah sakta. Agar koi aapki google ko report nahi karta hai to koi problem nahi hogi.
suraj yadav
Sir maine check kiya mere post content match kar rhe hai ab mai kya kru mere blog bekar ho jayega
Jumedeen Khan
Aap pani site ke sath dusro ki site bhi check karo sabhi ki site kisi na kisi se match ho jati hai. Agar aapne kisi ki post copy nahi ki hai to aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
adil
bhai templates bhi copyright hota hai kya agar hamne koi templates nikala or modify kiya to copyright hoga
Jumedeen Khan
Template copyright nahi hoti bas aap kisi ko personal design copy mat karo.
mohammed ikram
bhai kya hum apne ek blog ki post apne hi dusre blog me kerte hai to usse koi problme to nahi matlab google hamare blog ko to kuchh nahi karega
Jumedeen Khan
ahi aysa karne se aap Black hat seo ko folow karoge jo ki galat hai.
namdev
Nice post
sr maine play store se photo editting app install ki hai kya mai apne mobile screen shoot ki image ko is app me eddit kr k post me lga skta hu koi problam to nahi
Jumedeen Khan
Dusro ki image use karoge to usme copyrighting ka dar to rahega hi.
namdev
Sr jaise apne apne blog ko achhi tarah bnaya hai muje bhi aise bnana hai mai abhi blogspot blogger par hu or maine domain name bhi le liya hai plzz support me template layout email subscribe jaise setting nahi kar pa raha muje bhi aone blog ko ek achha look dena hai jaise for eg. Support me india ka look hai plzzz help me
Jumedeen Khan
Namdev blogger par aap blog ko fully customize nahi kar sakte. WordPress par kar sakte ho.
Prasad surase
Sir mere blog par abhi 13 posts hai. Par Maine jab google me site:www.janiyehindimain.blogspot.In aisa search kiya toh usame sirf ek post show ho rahi hai. Baaki ki 12 posts nahi dikhai de rahi. Please help me sir… Me bahoot pareshaan hu…
Jumedeen Khan
Baki ki post ke liye post ka title ya post ka link search karo.
Himanshu
Best information really…
Thanks.
Javed
It’s awesome designed for me to have a web site, which is helpful for my experience.
thanks admin
Shaikh muneer
Nice post, mujhe ab take pata nhi that ki him apne content ko check kar sakte hai ki vo copyright hai ya nhi. Thanks for share this…
Harshad Bataviya
Me Apne Blog me right click on copy past disable karna chahta hu to pls iska code jo aapke pas ho to batayega…..
Jumedeen Khan
aysa karne ke liye aapko website security leni padegi.
Ravindra Thakur
Sahi kaha Jume seen je apne each me ek se badkar ek tool hai ye .. Check karne ke baad pata chala Mara tarika hi nahi meri Pori original post copy kar li gai hai . Muje ummed hai aap iska solution jaroor share karenge
Jumedeen Khan
@Ravindra thoda wait karo iske bare me bhi post karunga.
prakashmutul
(1) sirji ytunb pe perfects keywords kese daalte hai vdo ka title kese daale jisce keywords ke according hamara vdo search ho.
(2) tags kaha pe daalte hai kitne tags daalne chahiye vdo upld ke baad aur tags vdo upld kiya ho osi se related hona chahiye yaa phir kisi dusree vdo ka tags copy krke daal skte hai .
Jumedeen Khan
ye post padho YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari
juzer
sir mene apna ytub channel mobile no.se verify kar liya par muje ab tak ytub verify ka mail nhi aaya verify show ho gya tha jb mene verify kiya tha mje apne ytub channel ke two name h ose delete karna hai kese kare .
2 muje tech vdos upld nhi karna kaun sa vdo upld karne pe earning hogi.
Jumedeen Khan
YouTube channel verify karne par message nahi aata hai. aap YouTube channel par ja kar check karo verify hua hai ya nhi. google plus par apna name chane karo. channel ka name bhi change ho jayega.
technicaly aap koi bhi video upload karo sabse earning hogi.
Ravi Kumar
bhaiya ek aur hai siteliner mai isi pe check karta hu, but aapne aur bhi site ke bare me bata diya thanks,