Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare, Blog Ke Liye Money Invest Kyu Kare? Kya website ko better banane ke liye money invest karne ki jarurat hoti hai, kya site ke liye investment karna jaruri hai. Apni site ke liye money invest kaise kare, Apne blog ko behtar kaise banaye? Aaj hum isi subject par bat karne wale hai ki kaise hum paisa kharch kar apni site ko behtar bana sakte hai. Website ko behtar banane me kis tarah se paisa lagana hai? Aap apni site ke liye money invest karna chahate hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi.
Jab hum website banane ke bare me sochte hai to humare man me ek sawal aata hai ki site banane ke liye kitne paiso ki jarurat padegi ya fir ek achhi website banane ke liye kaise or kaha money invest karni chahiye. Is article me hum website ke liye money invest karne ke sahi tariko ke bare me janenge.
Bahut se people apni site ke liye money invest karna chahate hai but unhe nahi pata ki website blog ke liye paisa kaha kharch karna hai. However, agar aap ek professional blogger banna chahate ho to aap apni site ke liye money invest kar use oro se and pahle se jayda behtar bana sakte ho.
- Website Blog Design Me Hone Wali Top 5 SEO Mistakes
- Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Common Mistakes
Aesa nahi hai ki FREE website success nahi ho sakti bilkul ho sakti hai but agar hum site me money invest kare to hum use ek free site ki tulna me kafi jyada behtar bana sakte hai. So chaliye jante hai ki website ke liye money invest kyu or kaise kare.
Website Ke Liye Money Invest Kyu or Kaise Kare
Big business and brand website banane ke liye money invest karna jaruri hai or without investment ke site ka top level me aana bahut mushkil hai kyuki bahut si good service aesi hai jinke liye hume pay karna hota hai or agar hum inka istemal nahi karte hai to humare online business ko safal hone me jyada time lagta hai.
Agar aap apni site ko badhiya banane ke liye money invest karne ke liye taiyar ho to bas aapko site ke liye paisa kharch karne ka sahi tarika maloom hona chahiye taki aapko achha result mile or money west na ho. Isse aap apna kimti time west hone se bacha sakte ho.
Website Ke Liye Money Invest Kyu Kare
Website me paisa lagane ki bat sun kar apa ye jarur sochoge ki site ke liye money invest kyu kare or iski jarurat kya hai. So main aapko iske bare me kuch important bate bta deta hu. Why Invest is Important?
Invest karne ka sabse bada reason aap jitna paisa kharch kar rahe ho aapko usse jyada benefit hone ki ummid hai. I mean aap ye soch kar invest kar rahe ho ki isse aap jyada kama sakoge. So kisi bhi product ko behtar banane ke liye money invest karna important ho jata hai.
For example, aapne koi new home buy kiya or aap chahate ho ki aap isse achhi kimat par sell kar do. Is bich aapko koi advice deta hai ya fir aap hud jan jate ho ki agar aap ghar ki marmmat me kuch paisa kharch kar do to aap is home ko kahi jayda price me sell kar sakte ho.
Aese me aap 2 kaam karoge ek aap use bina marmmat ke sell karoge jisme kam benefit hoga or dusra aap uski marmmat karke use badiya keemat me bech doge jisme aapko jyada fayda hoga.
Website me bhi bilkul same idea kaam karta hai. Agar aap apni site ko sell karna chahate ho to aap usme kuch paise kharch karke use pahle se jyada behtar bana sakte ho taki aapko jyada benefits mil sake. Simple words me, site me money invest karne se uski value or jyada badh jati hai.
But iski guarantee nahi hai because aap kis tarah se invest karoge ye aap par depend karta hai or kuch tarike aese ho sakte hai jinme aapko invest kiya gaya paisa wapis nahi milta. So smart bano or smart work karo or sahi jagah sahi tarike se paisa invest karo.
Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare
Aapki site ke liye kitna invest karna hai ye apake budget par depend karta hai. Agar aapke pas budget kam hai to I think aapko wo paisa sahi tarike se invest karna chahiye. Website me money invest karne ke yaha main kuch achhe or important tarike bta raha hu. Jin par aap money invest kar site ko behtar bana sakte ho.
Website Blog Me Money Invest Karne Ke 10 Tarike
1. Invest in Content Creator: Content Writer Ke Liye Invest Kare
Hum sabhi ko time kam hone ki problem hoti hai or website ke liye content likhne ke bad uski spelling check karne, Editing, Customizing, SEO etc. ke liye bhi time chahiye. Aap ye kaam kisi ko hire karke bhi karwa sakte ho. Website ke liye money invest karne me content creator sabse best tarika hai.
2. Invest for Web Design: Website Ke Design Ke Liye Invest Kare
Kon nahi chahata ki uski site ka look achha ho. Har koi website ke design se attract ho sakta hai. So aap chahe to apni site ko design karwane me invest kar sakte hai.
3. Invest In Web Developer: Website Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko website banani nahi aati hai or na hi iski koi knowledge hai sath hi aapke pas ye sab sikhne or karne ka time nahi hai to aap apne business ke liye site developer ko pay kar site create karwa sakte ho.
4. Invest in Optimizing: Website Ko Optimize Karne Ke Liye Invest Kare
Kisi bhi website ka fast loading hona user or search engine ke liye jaruri hai. Or site ko speed up karne ke liye optimizing jaruri hai. Like worpress, aap chaho to iske liye aap kisi person ko hire kar apni site ke liye invest kar sakte ho.
5. Invest in a Programmer: Website Apps Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko business online popular hai or aapke pas mobile traffic jyada hai to aap apni site ke liye android apps banwa sakte ho. Isse aapke mobile traffic me benefits milega or apake audience ko bhi fayda hoga.
6. Invest in Graphics Designer: Images and Graphics Ke Liye Invest Kare
Aapne wikihow.com site to dekhi hi hogi jiski har ek iamges alag type ki hoti hai. Agar aap chahate ho ki online world me aapki sabse alag pahchan ho to aap khud ki iamges banane ke liye members rakh sakte hai.
7. Invest for Video Maker: Video Content Ke Liye Invest Kare
Aap chahe to video maker and youtubers ko aapki site ke content ke liye video banane kel iye invest kar sakte ho. Isse aapko double fayda hoga.
8. Invest in Consultant: Guide Ke Liye Invest Kare
Aap ek aese person ke liye invest kar sate ho jo aapke business ke bare me behtar jankari rakhta ho or jo aapko behtar future ke liye achhe idea and advice de sake. I mean aap salahkar ke liye money invest kar sakte ho.
9. Invest in Time: Website Ko Behtar Kaise Banaye
Apni website ko kis tarah se behtar banana hai is sabka pata karne ke liye invest kar sakte ho. Like content ko better banane ke liye tools and service use kar sakte ho.
10. Invest in Promoting and Marketing: Site Promotion Ke Liye Invest Kare
Aap apni site ko promote karne ke liye money invest kar sakte ho. Like social media expert, advertising etc. par invest karke aap apni site par kam time me jyada traffic la sakte ho. Sath hi aap apni site ki marketing ke liye logo ko hire kar sakte ho.
Inke alawa bhi bahut sare tarike hai jinme invest karke hum apni website ko behtar bana sakte ho but ye wo top tarike hai jinme paisa invest karna dusro tariko se jyada achha hoga. But har kisi ke pas itna budget nahi hota hai so aap in top ways me se jo aapko achhe lage unme paisa laga sakte ho.
Note:- Kisi bhi work ke liye invest karne se pahle ye confirm kar le ki aap jis person ko invest karoge wo aapke sath dhoka to nahi karega or aapke liye sahi kaam karega.
Aesa nahi hai ki website ke liye money invest karna 100% jaruri hai but agar apa karoge to aapki website ek free website se kafi had tak behtar hogi or aapke pas usse jyada support hoga.
- Khud Ki Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye
- Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
So aapko meri bate kaisi lagi or kya aapko lagta hai ki hume in sabke liye invest karna chahiye ye sab bate aap comment me humare sath share kare.
Zeya
Khan Saab mai apna blog banana chahta huu urdu me…. Kaisa rahega… Urdu language se?? Please reply
जुमेदीन खान
बिलकुल बना सकते हो
Afreen
Sir aap ne bahut hi achchi jankari share ki hai
Nice information Sir Thanks A lot for this
raghav kumar
sir mai ribbon lite theme use kar tha or usame mene kuchh changes bhi kiya hai ab usaka new virsion aya hai usame bola hai ki ise update karunga to jitni bhi mene edit ki thi sab remove ho jayega kya karun sir
Jumedeen khan
Aap first theme ka backup le lo uske bad update karo, fir aap old theme se code le kar new theme me add kar sakte ho.
Tushar Kumar
Sir Organic Traffic Blog Pe kaise laye please Help me..sir…nd this is very nice article….
Jumedeen Khan
Read our SEO articles.
Adnan
Hello jume deen,
Ap ne apni aik post main copy paste ko disable karne ke liye JavaScript ke use ka btaya aur is code ko add karne ka kaha jo niche likha hai , Maine aisa hi kiya jesa ap ne btaya aur computer pe check Kiya to copy paste disable hogya lakin smartphone aur iPad pe check kiya to wahan copy paste disable nei hua. Ab ap batain kya krna hai ke har device aur har browser pe content copy paste na hoske
if (typeof document.onselectstart != “undefined”) {
document.onselectstart = new Function(“return false”);
} else {
document.onmousedown = new Function(“return false”);
document.onmouseup = new Function(“return false”);
}
Jumedeen Khan
Hum kuch had tak copy pasting ko rok sakte hai but 100% nahi.
Adnan
Yeh bat to apki bilkul theek hai keh hum copy pasting ko 100% nehein rok skte Lakin jis had tak rok skte hain us had tak to rok lain jesa k ap ka contene maine check kiya keh na sirf computer pe copy pasting disable hai balkeh mobile phone aur iPad pe b copy pasting disable hai jab keh mera content ki copy pasting sirf computer pe disable hai mobil phone aur iPad pe disable nei. Ap mje wo triqa btain jo ap ne kiya hai, jis trah ap ne kiya us trah btain. Main apki help ka bht shukar guzar rahunga
Shukriya
Jumedeen Khan
Iske bare me aap Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye post me bta chuka hu.
Ajay
Bhayi mughe apse janna h ki meri website news type ki h to mughe one by one header se footer ki taraf level set krne h plz bhai aap bata skte ho ye kaise hota h
Jumedeen Khan
Coding se apa thodi html and CSS sikh lo.
Suraj
It was really inspirational Article . I loved it!
Alok Yada
Bhai mai aapse ek website banwana chahta hun..jo paisa lagega mai dunga kya aap mera website bana sakte hai
Jumedeen Khan
Contact me on admin[at]supportmeindia.com
deepak chauhan
Great post khan bro , you are inspiration for hindi blogger . Hope in future you will post more tutorial .
Suraj
Blog ke liye content writers kaha se find kare Kam kimat par??
Jumedeen Khan
Join online communities.
Nitin
Mere ek sawal hai. Mere pass mera khud ka ek adsense account hai. Mere friend ke pass uska apna adsense account hai.
Friend ki site par mujhe as admin work karana hai. To kya isse mere adsense par khch effect padega.
Jumedeen Khan
Isse koi problem nahi hai.
Nitin
Dost ka mere village ka address same hai, to google ko yesa to nahi lagega ki ye ek hi vakti ka adsense account hai.
Lekin real me 2 alag alag adsense account hai. Par village ka address same aayega. Sirf uska naam alag, bank account details alag aayegi.
Aur mai uski site ko admin ke role me operate karunga.
Jumedeen Khan
No problem bro aap agar 2 bhai bhi ek hi computer par sath kaam karoge to bhi no problem.
vishal kochhar
very nice post muje koi badiya hindi content writer chahiye aap koi site ke bare me bateye jo trusted ho.
md shahid
sir aap mere comment ka jawaab kyu nahi diye mai baar baar to aap ko pareshan nahi karta hu
Jumedeen Khan
Main har comment ka jawab deta hu aap sahi se check kiya karo.
Jumedeen Khan
Ok aap wordpress dashboard me jao or settings >> general setting me WordPress Address (URL) and Site Address (URL) me example.com set karo. Uske bad aap .htaccess file me ja kar sabkuch delete kar do or sirf ye code add karo.
# BEGIN WordPress
RewriteEngine On
RewriteBase /
RewriteRule ^index\.php$ - [L]
RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-f
RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-d
RewriteRule . /index.php [L]
# END WordPress
Jumedeen Khan
Aap cpanel >> phpmyadmin par ja kar wordpress and site url me sahi example.com url add karo.
vicky
sir kya mujhe apne subdomain me ad show karne ke liye use adsense me sumbit karna hoga
Jumedeen Khan
Yes adsense site setting me ja kar subdomain add karo.
kavya
Sir mey apny wordpress blog mey point theme use kr rhi ho uss theme key home page par site name ki jagah my title likha aajata hai kya aap bta skty hai ager mey paid theme purchase kro toh ye issue nhi aayga kbi be. aur ess issue ko kya bolty hai.
Jumedeen Khan
Ye paid ya free theme ka issue nahi hai. Aap mythemeshop ki free theme use karo sab best hai.
Adarsh
sir ek chiz puchhana chahata hu hindi blog me hinglish use karana better hai Hindi. Apne ek post me likha tha ki google shayad Hindi me likhna jyada better hai pr ap apne blog pe avi v hinglish use kar rhe hai.
Jumedeen Khan
Hindi better hai. Kuch reasons ki wajah se main hinglish ko nahi chord sakta.
Afridee
bro jis email SE hamara Adsense account hai YouTube ka agar hum us email ko delete karke phir SE dusre blog ke liye dusre email se same name SE Adsense apply Kare to kya approved ho sakta hai….
Jumedeen Khan
Same details se problem ho sakti hai.
kapil
Hello JDK bro Mujhe Se galti Se apna blogspot Blog Delete hogya permantly kya Ab vo Recover ho sakta hai.
Jumedeen Khan
Yes agar aapke pas backup hai to ho sakta hai.
Yogesh Kumar
Bhot badiya topic choose kiya hai. Thanks for this articles
Brother meri wordpress website me kuch dikkat aagai hai. please usko jaldi se jaldi solve kare.
Problem: WordPress dashboard open nhi ho rha…ye error aa rha hai. “File not found (404 error)”
ye problem tab hui jab maine wordpress dashboard ki setting me jaake general option me website url change kar diya. phle url tha http://www.techhelplab.com usko maine replace kar diya https://www.techhelplab.com se
maine http ke saath s bhi lga diya uske baad see dashboard open nhi ho rha hai.
please iska solution do …..
Jumedeen Khan
Aapki site abhi open ho rahi hai. Means aapne problem solve kar li.
Yogesh Kumar
ha brother problem solve ho gai hai
maine cPanel me wp-config.php file ko edit kiyahai. usme maine niche diya hua code add kardiya hai
define(‘WP_HOME’,’http://www.techhelplab.com’);
define(‘WP_SITEURL’,’http://www.techhelplab.com’);
Lekin ab website speed loading 6 sec se jyada hogai hai.
Ab wordpress dashboard me setting option me jaane ke baad general option me website url change karne wala option enable hi nhi ho rha hai.
M chaata hun ki phle jaise website chal rhi thi waise hi rhe. Maine jo uper code likha hai usko remove karna chaata hun. aur jo maine mistake se website ke url ko http ke saath s ( https) lga diya tha wha se ‘s’ ko remove kar du.
Please Brother iska solution de…
Jumedeen Khan
Aap hosting cpanel >> phpmyadmin par jao or left sidebar me databse ko open kar wp_options me ja kar site URL or wordpress URL me https ki jagah http set karo or config.php file se upar btaye code ko remove kar do fir aa pwordpress ke through site link ko edit kar sakoge.
Yogesh Kumar
M aapke reply ki wait me tha . Thanks for reply my question
Ab maine phpmyadmin se edit karke website url edit kar liya hai. aur jo code maine add kiya tha usko bhi remove kar diya hai. Thanks Brother
Abhi sab kuch OK hogya website speed bhi normal ho gai……
Maine iske baare me internet par bhot search kiya tha but khi nhi mil rha tha….
Isi parkaar se sabki help karte rhna …….Bhai.
(Note : Aap comment ko publish kare ya na kare koi problem nhi but ye message me aap tak phuchana chaata tha. Kyonki aapki website se mai meri website ki promotion ke liye nhi aata balki yha se mujhe bhot kuch sikhne ko milta hai isliye m regular visit karta hun)
Rashid Ansari
sir mera blog hindimegyaan.com hai maine isko blogger se wordpress par migrate kiya tha tab se meri jo bhi post search engine me show ho rahi hai uspar click karne par post show nahin ho rahi hai ye likhkar aa raha hai
OOPS! THAT PAGE CAN’T BE FOUND
It looks like nothing was found at this location. Maybe try a search or browse one of our posts below.
agar me direct wordpress se post view kar raha hun toh dikh rahi hai plz aap check kare aur mi=ujhe iska solution bataye aapki bahut meherbaani hogi sir
Jumedeen Khan
Aapki post search engine se bhi proper open ho rahi hai.
altaf
Sir aap mujhe yeh bata sakte hain ki apni website pr mai newsletter konsa lagaun..aap apne newslettter ka pluguin ka naam bata dijiye
Jumedeen Khan
Aap free feedburner ya fir mailchimp use karo.
Lucky
Jumdeen bhai ek meri wp blog me ek problem agayi hai me jab bhi post likhta hu or publish karta hu to post home page par show nahi hota hai agar browser ki history delete kardo to a jata hai.
ye mere browser me hi nahi balki mene apne 30 se 35 friend ke Mobail me apni site chek ki to yahi problem a rahi hai kya karu yr samjh nahi ata problem kaha hai
Jumedeen Khan
Cahce plugin use mat karo ya cache expire tim set karo .htaccess file se.
Heerey
Hello Sir Aapke Experience hisab se Hostgator ka baby plan Daily kitna traffic handle kar sakta hai?
Aur Jab aap Hostgator use kiya karte the tab aapka kitna dailt traffic tha jiski wajah se aapko hosting change karni padi thi.
Jumedeen Khan
No idea because pahle bahut kam site thi but ab ek hi server par kai sites host hoti hai. So limit btana bahut mushkil hai.
Anjali Gupta
Apne bahut hi ache se smjhaya hai, thank you for sharing this article..
Danish
Sir, Adsense se hume kitna CPC mil sakta hai ,plz reply me
Jumedeen Khan
No limit.
sachin verma
me aisa blog pehli bar dekh rha hu jisme sabko reply kiya gya ho, you are doing great
Kavya
Sir bdi help chaiye mere site ka backup udd gyya aur jo mere pass backup save tha vo kaam nhi kr rha internal serval error dikha rha hai please kuch help kry bdi mushkil mey ho
Jumedeen Khan
Aap mujhe is bare me contact forum me details se mail karo. Mujhse jo hoga help karunga.
ड्रावीन
भाई आज 29 जुलाई हो गया लेकिन अभी तक एडसेंस का पेमेंट बैंक में शो नहीं कर रहा है | ये मेरे साथ पहली बार हुआ है हमेशा पेमेंट 27 के पहले ही आ जाता था बैंक में लेकिन इस महीने नहीं आया | 5 दिन इंतजार कर लिया और NRI इनेबल्ड ब्रांच में भी गया था लेकिन की क्लू नहीं मिला | आगे क्या करें 5 दिन और इंतजार करें ? या एडसेंस टीम को ईमेल भेजें ?
Jumedeen Khan
Abhi aap 2-3 day wait karo kai bar payment late ho jata hai.
tariq
Bahut achhi post ki hai bhai
aapki baat hi alag hai
thanks
Prince Chaudhary
Bhai youtube ke liye bhi btado kha invest kre
Comedy category h agr koi apka jaane wala ho toh btado or kam se kam kitna kharch krna hoga plz reply bhai
Reetesh
Very good info bro
Bro mujhe apni site design karana h par mere aas pas koi designer nahi h to ap kya kisi ke bare me jankari de sakte ho jo design karte ho
Rahul singh
ye jankari share karke aap ne mere 40% samasya ko hal kar diya but sir ek sawal aur hai
ki kya adsense facebook se khareede huye visitor ko support karega
mera matlab hai ki yadi mai facebook se advertising karau apne blog ki to kya adsense ban ho jayega
Jumedeen Khan
Nahi usse adsense bann nahi hoga.
Prabhjit singh
Bahut ache topic par article likha apne. thanks for sharing
uttam gupta
Most usefull information aap ne share kiya hai, i hope esse kafi blogger ko help mila hoga aur milta rhega,
Jumedeen ji avi meri website ki loading speed avi 5.06 sec. Hai mujhe ye aur fast karne ke liye kya karna hoga,
2, website ko jb mobile ya pc me open karte hai tab usme post ki full Heading show nahi ho rahi hai.
3. Mobile se website ka home page open karne ke baad koi post open nahi ho rahi hai . Please reply
Jumedeen Khan
1. Optimizing.
2. Use fully mobile friendly template themes.
3. Same 2 answer.
Rupendra Azad
huy Jumdeen
nice article brother
Lucky
hii bro
aap blog post me code add karne ke liye consa code box i mean plugin use karte ho
sushil pandey
mujhe ssl purchase krna chahiye?
Jumedeen Khan
Nahi aap cloudflare free ssl use kar sakte ho.
sushil pandey
Thanks Jume bhai apne mere 4000 bcha liye ye godaddy walo se!
Sarik Ansari
Sir, social media pr jo post ya article share krte hai apna blog ka, to usse dofollow backlink milta hai?
Jumedeen Khan
Yes.
Ankit
Sach me website ke lie money invest karne ke bare me aap ne bhut badiya jankari di hai.
Meri post ko padhe SupportmeIndia.com also mentioned.
kavya
Hi sir mere website speed bhut slow hai kya aap bta skty hai ki assa kya kro jo site fast load ho mere site 6.05 s mey load ho rhi hai please help me
Jumedeen Khan
Nahi aapki site fast loading hai aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
gautam
Ha Vo mujhe mil gya but Maine baad m 2 comment aur liye hai please dekho bhut badi problem hai
Jumedeen Khan
Main sabka reply kar chuka hu.
gautam
Thank you aapne meri bhut help ki
gautam
Aapse ek question hai Ki aapke post itni jaldi index kaise Ho jaate hai
And Meri kuch problem hai Maine (khud Ki website bnakar paise kaise kmaaye) wali post m pucha hai please rply
Jumedeen Khan
Traffic and content ki wajah se. Main aapko already reply kar chuka hu.
Mukesh Gupta
Great, kya aap meri blog ko check karke apna valuable feedback de sakte hain?…
Jumedeen Khan
Sab theek hai bas aap site ko fast loading banao.