Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare, Blog Ke Liye Money Invest Kyu Kare? Kya website ko better banane ke liye money invest karne ki jarurat hoti hai, kya site ke liye investment karna jaruri hai. Apni site ke liye money invest kaise kare, Apne blog ko behtar kaise banaye? Aaj hum isi subject par bat karne wale hai ki kaise hum paisa kharch kar apni site ko behtar bana sakte hai. Website ko behtar banane me kis tarah se paisa lagana hai? Aap apni site ke liye money invest karna chahate hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi.
Jab hum website banane ke bare me sochte hai to humare man me ek sawal aata hai ki site banane ke liye kitne paiso ki jarurat padegi ya fir ek achhi website banane ke liye kaise or kaha money invest karni chahiye. Is article me hum website ke liye money invest karne ke sahi tariko ke bare me janenge.
Bahut se people apni site ke liye money invest karna chahate hai but unhe nahi pata ki website blog ke liye paisa kaha kharch karna hai. However, agar aap ek professional blogger banna chahate ho to aap apni site ke liye money invest kar use oro se and pahle se jayda behtar bana sakte ho.
- Website Blog Design Me Hone Wali Top 5 SEO Mistakes
- Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Common Mistakes
Aesa nahi hai ki FREE website success nahi ho sakti bilkul ho sakti hai but agar hum site me money invest kare to hum use ek free site ki tulna me kafi jyada behtar bana sakte hai. So chaliye jante hai ki website ke liye money invest kyu or kaise kare.
Website Ke Liye Money Invest Kyu or Kaise Kare
Big business and brand website banane ke liye money invest karna jaruri hai or without investment ke site ka top level me aana bahut mushkil hai kyuki bahut si good service aesi hai jinke liye hume pay karna hota hai or agar hum inka istemal nahi karte hai to humare online business ko safal hone me jyada time lagta hai.
Agar aap apni site ko badhiya banane ke liye money invest karne ke liye taiyar ho to bas aapko site ke liye paisa kharch karne ka sahi tarika maloom hona chahiye taki aapko achha result mile or money west na ho. Isse aap apna kimti time west hone se bacha sakte ho.
Website Ke Liye Money Invest Kyu Kare
Website me paisa lagane ki bat sun kar apa ye jarur sochoge ki site ke liye money invest kyu kare or iski jarurat kya hai. So main aapko iske bare me kuch important bate bta deta hu. Why Invest is Important?
Invest karne ka sabse bada reason aap jitna paisa kharch kar rahe ho aapko usse jyada benefit hone ki ummid hai. I mean aap ye soch kar invest kar rahe ho ki isse aap jyada kama sakoge. So kisi bhi product ko behtar banane ke liye money invest karna important ho jata hai.
For example, aapne koi new home buy kiya or aap chahate ho ki aap isse achhi kimat par sell kar do. Is bich aapko koi advice deta hai ya fir aap hud jan jate ho ki agar aap ghar ki marmmat me kuch paisa kharch kar do to aap is home ko kahi jayda price me sell kar sakte ho.
Aese me aap 2 kaam karoge ek aap use bina marmmat ke sell karoge jisme kam benefit hoga or dusra aap uski marmmat karke use badiya keemat me bech doge jisme aapko jyada fayda hoga.
Website me bhi bilkul same idea kaam karta hai. Agar aap apni site ko sell karna chahate ho to aap usme kuch paise kharch karke use pahle se jyada behtar bana sakte ho taki aapko jyada benefits mil sake. Simple words me, site me money invest karne se uski value or jyada badh jati hai.
But iski guarantee nahi hai because aap kis tarah se invest karoge ye aap par depend karta hai or kuch tarike aese ho sakte hai jinme aapko invest kiya gaya paisa wapis nahi milta. So smart bano or smart work karo or sahi jagah sahi tarike se paisa invest karo.
Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare
Aapki site ke liye kitna invest karna hai ye apake budget par depend karta hai. Agar aapke pas budget kam hai to I think aapko wo paisa sahi tarike se invest karna chahiye. Website me money invest karne ke yaha main kuch achhe or important tarike bta raha hu. Jin par aap money invest kar site ko behtar bana sakte ho.
Website Blog Me Money Invest Karne Ke 10 Tarike
1. Invest in Content Creator: Content Writer Ke Liye Invest Kare
Hum sabhi ko time kam hone ki problem hoti hai or website ke liye content likhne ke bad uski spelling check karne, Editing, Customizing, SEO etc. ke liye bhi time chahiye. Aap ye kaam kisi ko hire karke bhi karwa sakte ho. Website ke liye money invest karne me content creator sabse best tarika hai.
2. Invest for Web Design: Website Ke Design Ke Liye Invest Kare
Kon nahi chahata ki uski site ka look achha ho. Har koi website ke design se attract ho sakta hai. So aap chahe to apni site ko design karwane me invest kar sakte hai.
3. Invest In Web Developer: Website Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko website banani nahi aati hai or na hi iski koi knowledge hai sath hi aapke pas ye sab sikhne or karne ka time nahi hai to aap apne business ke liye site developer ko pay kar site create karwa sakte ho.
4. Invest in Optimizing: Website Ko Optimize Karne Ke Liye Invest Kare
Kisi bhi website ka fast loading hona user or search engine ke liye jaruri hai. Or site ko speed up karne ke liye optimizing jaruri hai. Like worpress, aap chaho to iske liye aap kisi person ko hire kar apni site ke liye invest kar sakte ho.
5. Invest in a Programmer: Website Apps Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko business online popular hai or aapke pas mobile traffic jyada hai to aap apni site ke liye android apps banwa sakte ho. Isse aapke mobile traffic me benefits milega or apake audience ko bhi fayda hoga.
6. Invest in Graphics Designer: Images and Graphics Ke Liye Invest Kare
Aapne wikihow.com site to dekhi hi hogi jiski har ek iamges alag type ki hoti hai. Agar aap chahate ho ki online world me aapki sabse alag pahchan ho to aap khud ki iamges banane ke liye members rakh sakte hai.
7. Invest for Video Maker: Video Content Ke Liye Invest Kare
Aap chahe to video maker and youtubers ko aapki site ke content ke liye video banane kel iye invest kar sakte ho. Isse aapko double fayda hoga.
8. Invest in Consultant: Guide Ke Liye Invest Kare
Aap ek aese person ke liye invest kar sate ho jo aapke business ke bare me behtar jankari rakhta ho or jo aapko behtar future ke liye achhe idea and advice de sake. I mean aap salahkar ke liye money invest kar sakte ho.
9. Invest in Time: Website Ko Behtar Kaise Banaye
Apni website ko kis tarah se behtar banana hai is sabka pata karne ke liye invest kar sakte ho. Like content ko better banane ke liye tools and service use kar sakte ho.
10. Invest in Promoting and Marketing: Site Promotion Ke Liye Invest Kare
Aap apni site ko promote karne ke liye money invest kar sakte ho. Like social media expert, advertising etc. par invest karke aap apni site par kam time me jyada traffic la sakte ho. Sath hi aap apni site ki marketing ke liye logo ko hire kar sakte ho.
Inke alawa bhi bahut sare tarike hai jinme invest karke hum apni website ko behtar bana sakte ho but ye wo top tarike hai jinme paisa invest karna dusro tariko se jyada achha hoga. But har kisi ke pas itna budget nahi hota hai so aap in top ways me se jo aapko achhe lage unme paisa laga sakte ho.
Note:- Kisi bhi work ke liye invest karne se pahle ye confirm kar le ki aap jis person ko invest karoge wo aapke sath dhoka to nahi karega or aapke liye sahi kaam karega.
Aesa nahi hai ki website ke liye money invest karna 100% jaruri hai but agar apa karoge to aapki website ek free website se kafi had tak behtar hogi or aapke pas usse jyada support hoga.
- Khud Ki Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye
- Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
So aapko meri bate kaisi lagi or kya aapko lagta hai ki hume in sabke liye invest karna chahiye ye sab bate aap comment me humare sath share kare.
Anjali Gupta
Apne bahut hi ache se smjhaya hai, thank you for sharing this article..
Danish
Sir, Adsense se hume kitna CPC mil sakta hai ,plz reply me
Jumedeen Khan
No limit.
sachin verma
me aisa blog pehli bar dekh rha hu jisme sabko reply kiya gya ho, you are doing great
Kavya
Sir bdi help chaiye mere site ka backup udd gyya aur jo mere pass backup save tha vo kaam nhi kr rha internal serval error dikha rha hai please kuch help kry bdi mushkil mey ho
Jumedeen Khan
Aap mujhe is bare me contact forum me details se mail karo. Mujhse jo hoga help karunga.
ड्रावीन
भाई आज 29 जुलाई हो गया लेकिन अभी तक एडसेंस का पेमेंट बैंक में शो नहीं कर रहा है | ये मेरे साथ पहली बार हुआ है हमेशा पेमेंट 27 के पहले ही आ जाता था बैंक में लेकिन इस महीने नहीं आया | 5 दिन इंतजार कर लिया और NRI इनेबल्ड ब्रांच में भी गया था लेकिन की क्लू नहीं मिला | आगे क्या करें 5 दिन और इंतजार करें ? या एडसेंस टीम को ईमेल भेजें ?
Jumedeen Khan
Abhi aap 2-3 day wait karo kai bar payment late ho jata hai.
tariq
Bahut achhi post ki hai bhai
aapki baat hi alag hai
thanks
Prince Chaudhary
Bhai youtube ke liye bhi btado kha invest kre
Comedy category h agr koi apka jaane wala ho toh btado or kam se kam kitna kharch krna hoga plz reply bhai
Reetesh
Very good info bro
Bro mujhe apni site design karana h par mere aas pas koi designer nahi h to ap kya kisi ke bare me jankari de sakte ho jo design karte ho
Rahul singh
ye jankari share karke aap ne mere 40% samasya ko hal kar diya but sir ek sawal aur hai
ki kya adsense facebook se khareede huye visitor ko support karega
mera matlab hai ki yadi mai facebook se advertising karau apne blog ki to kya adsense ban ho jayega
Jumedeen Khan
Nahi usse adsense bann nahi hoga.
Prabhjit singh
Bahut ache topic par article likha apne. thanks for sharing
uttam gupta
Most usefull information aap ne share kiya hai, i hope esse kafi blogger ko help mila hoga aur milta rhega,
Jumedeen ji avi meri website ki loading speed avi 5.06 sec. Hai mujhe ye aur fast karne ke liye kya karna hoga,
2, website ko jb mobile ya pc me open karte hai tab usme post ki full Heading show nahi ho rahi hai.
3. Mobile se website ka home page open karne ke baad koi post open nahi ho rahi hai . Please reply
Jumedeen Khan
1. Optimizing.
2. Use fully mobile friendly template themes.
3. Same 2 answer.
Rupendra Azad
huy Jumdeen
nice article brother
Lucky
hii bro
aap blog post me code add karne ke liye consa code box i mean plugin use karte ho
sushil pandey
mujhe ssl purchase krna chahiye?
Jumedeen Khan
Nahi aap cloudflare free ssl use kar sakte ho.
sushil pandey
Thanks Jume bhai apne mere 4000 bcha liye ye godaddy walo se!
Sarik Ansari
Sir, social media pr jo post ya article share krte hai apna blog ka, to usse dofollow backlink milta hai?
Jumedeen Khan
Yes.
Ankit
Sach me website ke lie money invest karne ke bare me aap ne bhut badiya jankari di hai.
Meri post ko padhe SupportmeIndia.com also mentioned.
kavya
Hi sir mere website speed bhut slow hai kya aap bta skty hai ki assa kya kro jo site fast load ho mere site 6.05 s mey load ho rhi hai please help me
Jumedeen Khan
Nahi aapki site fast loading hai aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
gautam
Ha Vo mujhe mil gya but Maine baad m 2 comment aur liye hai please dekho bhut badi problem hai
Jumedeen Khan
Main sabka reply kar chuka hu.
gautam
Thank you aapne meri bhut help ki
gautam
Aapse ek question hai Ki aapke post itni jaldi index kaise Ho jaate hai
And Meri kuch problem hai Maine (khud Ki website bnakar paise kaise kmaaye) wali post m pucha hai please rply
Jumedeen Khan
Traffic and content ki wajah se. Main aapko already reply kar chuka hu.
Mukesh Gupta
Great, kya aap meri blog ko check karke apna valuable feedback de sakte hain?…
Jumedeen Khan
Sab theek hai bas aap site ko fast loading banao.