Website Ranking Increase Karne Ki 5 Important Tips

Apni blog ya website ranking badhane, site ko search engine me top par lane, search engine se adhik traffic pane ke liye hum kya kuch nahi karte hai. iske liye aapko jarurat hai sahi SEO ki jankari ki jisse aap apni site ki sahi se setting kar sako or site ki ranking improve kar sako. is post me btaye 5 tarike follow kijiye or apni website ko google search engine me top par dekhiye.

Top 5 Ways To Increase Website Ranking

Important Suggestion to increase website ranking: agar aap apne website ko search engine result me top ranking me dekhna chahate ho to yaha btaye gaye step follow karke blogging kijiye yakinn aapki website top ranking me show hogi. or aapko search engine se 50% jyada traffic milega.

5 Important Tips Website Ranking (SEO) Increase Karne Ki

Mai aapko is post me wo 5 step bta raha hu jo website ko search engine me top par lane me sabse important hai. or bahut hi jaruri hai. jise website ranking aasani se badha sakte ho.

1) Publish Relevant Content

Ek ache content wali post search engine ranking badhane ka sabse acha tarika hai. aapki post me agar acha content hoga to aap ek post se 100k se jyada traffic recieve kar sakte ho. iske bare me mai pahle se Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me jankari de chuka hu. sabse badi bat agar visitors ko aapka post likhne ka tarika pasand aayega to wo aapki site par dubara jarur aayega. or return visitors se search engine ranking bahut jaldi improve hoti hai.

Top article likhne ka sabse acha tarika hai post title me ache or popular keyword use kare. or post me jyada se jyada keyword use kare. yaha mai aapko kuch topic bta raha hu. aap follow kar sakte ho.

  1. post me h1, h2 ya h3 heading use kare.
  2. post me koi na koi word bold, italic or highlight jarur kare.
  3. post ki image me alt tag use kare. or image ka kam se kam size use kare.
  4. last me post summary banaye.
  5. post me other post links add kare.

2) Update Post Regularly

Ye sach hai ki search engine ache content ki post ko top ranking me show karta hai. or jaldi intex karta hai. but agar aap chahate hai ki aapke post publish karne ke bad 10 minutes bad search engine result me sabse upar dikhe to iska sabse aasan tarika hai daily post karna. mai aapko exaply samajhata hu.

Man lijiye aapki website ya blog par 200 badhiya post hai or per day 5000 pageviews traffic hai. to aapki traffic is tarah hogi.

  1. Daily Update: 5000+ pageviews
  2. Weekly Update: 4000+ pageviews
  3. Monthly Update: 2000-3000 pageviews

Aap ise try kar sakte hai. uske bad aapko confirm ho jayega ki maine sahi kaha ya galat.

3) outbound links

Ek servey me pata chala hai ki hum apni post me jo jankari share karte hai. agar post me usse relatet koi outbound link add kare to search engine me post ki ranking or bhi achi hogi. halanki hum har post me other link use nahi kar sakte. but agar kisi post me jarurat ho to ise ignore mat kare.

4) Meta Tags

Maine apni pichli post Blog Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare me btaya tha ki SEO ke liye meta tags kitne jaruri hote hai. so iske bare me jyada bat karne ki jarurat nahi hai. by the way search engine result me achi rank pane ke liye post title, description me bhi aap meta tags use kar sakte ho.

  1. Meta Tags: ye wo meta tags hote hai. jinko hum code me badal kar blog ya site me <head> ke niche add karte hai. isse humari site ke home page ki ranking badhti hai.
  2. Title Meta Tags: ye wo meta tag hai jinhe hum post me word ke roop me add karte hai. jaise 1,2,3,4,5,6,7,8,9 or top, popular, important, most jaise word.
  3. Description Meta Tags: ye wo meta tag hai jo search engine me post title ke niche post summary me show hota hai. iske bare me mai blog post me meta description kaise use kare post me allready bta chuka hu.
  4. Meta Keywords:ye wo meta tags hote hai jinko hum post content me keyword ke roop me use karte hai. iske liye aap Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post pade. or post me jyada se jyada keyword use kare.

5) Make Video

Maine bahut sare success blogger se pata kiya kiya ki blog post ki search engine me achi ranking banane ke liye sabse kargar upay kya ho sakta hai. sabhi ne mujhe post ke liye video banne ko suggest kiya. or maine is tricks ko try bhi kiya. wastav me post ke liye video banane se post ki ranking search engine result me top par hoti hai. examply aap mere banaye videos dekh sakte hai.

Is post me maine sirf top tips hi btaye hai. agar aap website ko search engine result me top par lana chahate hai OR website ranking badhana chahate ho to humari SEO se related or bhi post pade. jaise

  1. Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
  2. Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
  3. Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare

Ummid karta hu is post me aapko site ko top ranking me lane ke liye ki chi jankari mili hogi. or aap isse apne website ranking badha sakoge.  meri humesha koishish rahti hai ki aapko kuch na kuch new jankari de saku. mai jyadatar SEO ke bare me post kar raha hu jisse ap log apne blogs ko ache se SEO friendly bana sake. mera aane wale samay me bhi ye kam jari rahega or dheere dheere aapko blogging ke bare me coplete guide karta rahunga. so plz aap bhi is post ko share karke meri help ke badle meri help kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (41)

  1. Avatar for Prashant KumarPrashant Kumar

    apka yah article hamen bahut achcha laga…
    main apke tips ko follow jaroor karoonga,
    thanks alot sir…

  2. Avatar for Pradeep TripathiPradeep Tripathi

    Shi kha apne traffic sirf unique artical se milta hai. Aapki website ka look bahut beautiful hai.

  3. Avatar for jyoti kumarijyoti kumari

    Bahut accha article hai.

  4. Avatar for SurendraSurendra

    Mere paas ek Hinglish ( हिंगलिश ) website hai Jisko Maine 2 saal phele banaya tha or wo khub chali thi . But Pichle 6 se 7 mahino se Uspe Work Nahi kiya To uski rankings Down ho gayi or sabhi post Search me 1 position se 4 se 5 par aa chuki hain . Jisse ki traffic 8000 se ekdm 2000 par reh gayan hai .

    Ab Mai Uspe phir se kaam karna chahta hun iske liye maine 1 mahine ka experiment kiya tha jisme kuch posts ko update kiya or 5 se 7 post new upload ki thi .

    Matlb bhut kosis ke waujud site par traffic lagatar gir raha hai ab 1500 reh gayan hain .

    ( Yahan maine ek baat ye dekhi ki Jo Post maine Update ki Thi unme kuch naya Add kiya tha lekin wo 1 month baad bhi Search me Ussi Position par bani huyi hain )

    Mujhe Kya karna chahiye kya dusri Nayi site banane work karna chahiye ya phir kuch or .

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ab youtube video videos search me jyada aa rahi hai, aap post ke liye video banao aur use post me add karo.

  5. Avatar for hemanthemant

    jumedeen janab or Kya Naya KR skte Hai website ke keyword top par lane ke liye jaise Meri website ka key Hai (mobile repairing course in Laxmi nagar) to iss keyword ko google ke first posting PR kaise lau

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      read our another seo post.

  6. Avatar for ShubahmShubahm

    Jumedeen bro thanks aapka ye post mujhe bahut accha laga abhut kuch sikhne ko mila 🙂

  7. Avatar for IndrasinhIndrasinh

    Hello Maine ek blog banaya hai dekh kar batao kaisa hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Acha blog hai.

  8. Avatar for DayashankarmauryaDayashankarmaurya

    Maine bhi ek blog create ki hai ese aap dekhiye aur hame bataye ki esme aur kya karana hai jisse jaldi googleAdSense aprove ho jaye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Acha blog hai. Bas aap template badiya use karo.

  9. Avatar for Hameedullah khanHameedullah khan

    Mein apni new webside banana chata ho log zeyada kon si webside like karte ha
    apne mera help ki jiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap logo ki nahi apne bare me socho ki aap kis type par blogging kar sakte ho.

  10. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    sir me apne blog ka seo check kar raha hu usme muje niche diya gaya msg aata hai to eska kya solutions hai….

    How to fix – Headings Status
    In order to pass this test you must indentify the most important topics from your page and insert those topics between … tags.

    Example:
    Important topic goes here

    Another topic

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab hai ki aap post title or post content me top keywords use karo.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      sir mene mere blog kai seo tools me check kiya sabhi me muje H1 Tag missing ka problem bataya gaya to aap check karke batayega ke ye sahi hai… aur sahi hai to iska kya solutions hai…

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Ha ye bilul sahi hai. aap ek post me 1 se jyada H1 heading use nahi kar sakte.

        • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

          H1 Tag Missing aa raha hai to iska solution kya hai….. H1 me kaise add kar sakta hu….. pls sir muje batayega….

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Wohi to aapko bta raha hu ki har post me ek h1 heading use kiya karo. examply aap meri har me dekh lo mai har post me h1 tag yani post title ko big size me karta hu.

          • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

            vo me samaj gaya sir ke har post me ek H1 Heading Use Karna hai aur me har post me heading to use karta hu par fir bhi H1 Missing Dikhay deta hai…. pls sir ek bar meri post aur mera blog dekh ke bataye ke me kya kar sakta hu…. pls sir… help me…

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Very good. ab apne blog ke homepage par kisi widget me H1 tag use karo. Agar na kar pao to mujhe facebook par message send karo. mai uski coding bta dunga.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      Thanks Sir Mane Facebook par msg send kar diya hai…..

  11. Avatar for BasitBasit

    Sir aapne yeh comment box kaise add kiya hain

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mera blog WordPress par hai. or WordPress par aysa hi comment box hota hai.

  12. Avatar for Mangal deepMangal deep

    Jume Deen Bro plz help me, padeshan ho gaya hu iss Google AdSense se, bro ajj mere total page view 600+ he or 8 clicks bhi he, or mera CPC- $0.02 but mere Estimate Earning Zero kyu show ho raha he, Or ajj mere jitne bhi Visitors aye he sab facebook se aye he, mene ajj bahut link share kiya tha alag alag facebook groups me. aap batao plz aisa kyu ho raha he, me bahut dukhi ho gaya hu :'(

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mangal jab tak aapki site par per day 1000 pageviews na ho tab tak income ke bare me mat socho. or wese bhi aapne facebook par link share kiya to 600 pageviews huye hai.

  13. Avatar for kumarkumar

    Achhi tips hai.
    forum aur facebook group ko join karke ham apne blog ki page rank aur traffic bada sakte hai. instant traffic aur backlinks ke liye guest post karana bhi ek bahut achhi idea hai.

  14. Avatar for SandeepSandeep

    Mera website blogger par hai maine 10 January ko domain kharida tha hindionlinehelp.com
    mera website search engine me nahi aa rahi indiatechnology1.blogspot.com dalne par to aa jati lekin
    hindionlinehelp.com par search engine me nahi aati hai . please help kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      jab aapke blog par traffic badhega to new domain search me aa jayega. isme 10+ day lag sakte hai.

    • Avatar for hemanthemant

      apni website ke link ko google Google fetch KR do

  15. Avatar for aalamaalam

    मैने अपनी साइट apkajoshडाट कॉम के बारे मे
    बात की तो आपने टेम्लेट के लिये कहा तो मै जानना
    चाहता हुँ कि टेम्लेट खरीदा हुआ सही रहेगा या free वाला

  16. Avatar for surajsuraj

    AdSense ytub or blog ki earning slow hoti hai yaa fast aur views pe earning regular hogi matlab ki kisi technical problem se earning hui naa ho yaa earning show na ho aisa bhi hota hai google AdSense me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      earnging video par views hone se nahi ads par click karne se hoti hai. agar koi sahi click karega to earning to hogi hi. AdSense ke bare me jyada jankari ke liye aap humari AdSense se relate post padiye.

  17. Avatar for hatimhatim

    ham AdSense ko blog ke liye fastly apply karne ke liye YouTube ka use kese kar sakte hai ytub pe AdSense apply karne ke baad blog jaldi apply kese kis tarah hoga.

  18. Avatar for jaiveerjaiveer

    apni website banke koi bhi vdo apne website me laga sakte hai aur aapne vdo ko apne website me kese upload kiya ye bhi bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapko jis video ko blog me add karna hai. us video koopen karo or video ke niche share option par click karke embeded select karo. ab aapko video ka code mil jayega. is code ko aap blog post me jaha dikhana chahate ho waha html section selct karke paste kar do.

    • Avatar for NityanandNityanand

      हमें कुछ दिनों के लिए आप की मदद चाहिए website grow करने के लिए। so plzz help me

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        आप ask.supportmeindia.com पर अपने सवाल पूछ सकते हो

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...