Blog Kya Hai? Blogger Kya Hai? Blogging Kya Hai? Full Gudie in Hindi

What is a blog? what is blogging? what is a blogger? Ye three question un sabhi users ke liye important hai jinhe pahli bar blogging ke bare me pata chala ho. Kya aapko wo time yaad hai jab aapne first time “Blog” word ke bare me suna tha or us time aapki iske bare me original thoughts kya thi or aapka respond kya tha? Chaliye jante hai iske bare me kuch jaruri bate.

What is a Blog, Blogger and Blogging?

I know, abhi aap blog se familier ho or blog, blogger and blogging ke bare me sabkuch jante ho. But ek din tha jab aapko iske bare me bilkul bhi information nahi thi. I mean sabhi ki tarah aapke liye bhi ye alien word raha hoga or dheere dheere aa piske bare me sabkuch jan gaye.

But aaj bhi bahut sare peoples blog ke bare me kuch bhi nahi jante or unke pas iske bare me koi idea nahi hota. Jis tarah se aap abhi blog, blogger or blogging ke bare me jante ho wo bhi isi tarah ise janna chahate hai.

Neat, right? In any case, mujhe lagta hain ki blog, blogger and blogging ek ek person ke kisi field me writing karne ki process or usse hone wale benefit ko kahte hai. Let us know, jante hai ki aakhir ye blog, blogger and blogging hai kya or isse hume kya fayda hai.

Blogging Kya Hai? Blog Kya Hai or Blogger Kya Hai in Hindi

Yaha par main aapko in 3 question ke bare me details se btaunga. I sure is post ko padhne ke bad aapko blog, blogger or blogging ke bare me sabkuch samajh aa jayega.

Agar aap google me “what is blog” keyword search karoge to aapko lagbhag 2 to 3 million results milenge or sabhi me blog ka different definition kiya gaya hai. But main yaha aapko iske bare me simple paribhasha bta raha hu.

  1. A blog word originally “weblog” ya “web log” word seliya gaya hai.
  2. Aap ise online journal or diary write karna kah sakte hai.
  3. Blog ek aesi website or web page hai jis par regular posts update kiye jate hai. Ise ek individual ya ek small group manage karta hai. Ye blog in logo ki informal or conversational par likha hota hai.
  4. In simple language, blog par likhne wale ko blogger or uske work ko blogging kahte hai.
  5. Ek or bhasha me blog par blogger ke dwara new material add karna hi iski original paribhasha hai.
  6. Blog website ka ek part ya type hai jis par posts or entries ko ek karm me rakha jata hai.

Ek journalist ki tarah blogger blog par bahut sari information likh sakta hai. Iske liye wo apna koi field bhi choose kar sakta hai. I mean mostly blogger kisi ek topic par writing karte hai.

  1. Bilkul journal or diary ki tarah blog ke home page par recent update show ki jati hai.
  2. Blog par responsive dene ke liye commenting area enable hota hai.
  3. Blog par pervious post or archive ki history add hoti hai.
  4. Mostly blog kisi ek ya bahut kam authors ke dwara manage kiya jata hai.

Pahle single users admin wale blog jyada hote the but ab blogging me multiple features ne jagah le li hai or ek blog par hi bahtu sare writers work karte hai. Iske liye blog ka main admin unhe writing ke liye pay bhi karta hai. Like guest posting iska sabse bada example hai.

  1. Blog par content ka aesa collection hota hai jo media, audio, video and other source se le kar logo ke liye ek alag se community bana kar publish kiya jata hai.
  2. Blog start karna bahut hi easy hai or aap sirf thodi si jankari ke sath blogging ki shuruat kar sakte ho.
  3. Aap apni pasand se kisi bhi topics par blog bana sakte ho.
  4. Blog sabkuch bhi ho sakta hai or kuch bhi nahi ho sakta hai.
  5. Blog ek aesa tool hai jis par aap apne readers ke liye unke liye jaruri or usweful jankari share karte hai.

Blog par aap logo ke sath jude rah sakte hai or un tak apni bat pahucha kar online business bhi kar sakte hai. Mera matlab blog se aap itna sara paisa kama sakte hai ki aap soch bhi nahi sakte. Is sab ke bare me main already articles likh chuka hu. Ye post padhe Blog Se Paise Kaise Kamaye, Paise Kamane Ke 5 Popular Tarike.

1. Blog Kya Hai? ब्लॉग क्या हैं?

Blog ek aesi website or web page hai jis par koi person apne thoughts share karta hai or apne ideas se readers ko kisi subject par good information de kar unki help karta hai.

Simple bhasha me blog ek book likhne ki tarah hai bas fark itna hai ki books offline pages par likhi jati hai or blog online pages like WordPress, blogspot and other platform par likhe jate hai.

2. Blogger Kya Hai? ब्लॉगर क्या हैं?

Blog par jo person posts likhta hai, jo blog ko manage karta hai and jo blog ko start karta hai use blogger kahte hai. Examples, jab aap kisi blogging platform par apna koi bhi blog banaoge to aapko blogger kaha jayega ya fir kisi topic par blog likhne wala blogger hota hai.

3. Blogging Kya Hai? ब्लॉग्गिंग क्या हैं?

Bahut hi simple hai blogger apne blog par jo posts likhta hai, apne blog ko manage karta hai, blog posts par comment ka reply karta hai. Yani wo blog par jo kuch karta hai uska wo kaam blogging kaha jata hai.

I mean blogger ke dwara blog par kiya gaya work blogging kaha jata hai. Like jis tarah bike chalane ko driving kahte hai usi tarah blog chalane ko blogging kahte hai.

Finally, kisi person ke kisi topics par online web pages par writing karne ko blogging kahte hai. Isme us person ko blogger or uske web pages ko blog and uske work ko blogging mana jata hai.

Agar abhi bhi aapko kam lagta hai to aap humari blogging category se related articles read kare or kuch day humse connect rahe. I sure aapko thode dino me hi blogging ke bare me sabkuch pata chal jayega.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 102 )

  1. Vidyut Jha

    Hi Sir, aapne blogging ke baare me bahot achche se samjhaya hai, ishke lieye bahot bahot dhanyabad, miane v ek blog banaya hi aapse inspire hokar,…. thank you

  2. Sweta

    बिल्कुल सही और सरल तरीके से समझाया।।।बिल्कुल आसन भाषा में।।।।।

  3. Akash Pachore

    Bhai Aapki Post Bahut Acchi Hai Aap Post Ke Madhyam Se Logo Ko Bahut Acchi Jankari Dete Ho Aapki Har Post Me Padta Hu Aur Sikhta Hu thanks bhai.

  4. Sheetal Nishad

    That’s good for skills

  5. Shehzad Hasan

    M shehzad Hasan bol rha hu bhai Maine aaj hi isko join kya h but mere pass laptop ya computer nhi h or m isko starting se krna chahta hu to kaise start kru please help me

    • Jumedeen Khan

      laptop ya computer le lo.

      • Pralhad

        Thanks sir behad hi achhi jankari aapne di. Aapki hr post behad hi helpful hoti hai

  6. Umesh

    बहुत ही अच्छी जानकारी दी आपने धन्यबाद

  7. Awari simanchal

    Bahut badhiya keep it up

  8. Rahimin

    acha likha hai apane helpful

  9. phaguniya

    sukriya sir ji this article valuable for me

  10. Krishan Kumar

    Hi,

    Blogger par m ek simple html page banan chata hu. Jisme header, footer, sidebar, etc. kuch bhi na ho….
    Bas jo m html page par likhu whi ho…
    Ye m kaise kar sakta hu?

    • Jumedeen khan

      Iske liye aap website banao blogger par extra funtions ki coding to hogi hi.

      • Krishan Kumar

        Kya m wo extra functioning ki coding ko remove kar sakta hu?

        • Jumedeen khan

          Yes kar sakte ho.

  11. Manas Singh

    Very nice article sir ji, pa Mera ek question Hai Kai jaani maani websites apna ek blog section bhi banti Hai par work blog kyun banati hai?

    • Jumedeen khan

      Apni business site ki ranking improve karne ke liye.

  12. Asutosh singh

    Sir mai blog k raha hu bt samajh me nahi ata hai ki isme paisa kaha se milta hai kya kare bhai aur bhai google par kaise dikhai dega mera blogging

  13. Bhawanigiri

    Very Nice Post Sir Ji Thanks For Sharing

  14. Ravi Kumar

    Sir bahut accha article mujhe bahut kuch sikhne ko mila. Aap aise article dalte raha karo sir.
    Keep it up sir.

  15. Viktam

    Bhaut hi achha article hai.aapne bhut achhe se desscribe kiya hai

  16. Roushan raj singhania

    Nice sir great discussion about blog I understand easily Blogger and blog

  17. Sayan Jana

    Aapne Itna achhe se samjhaya… Nice article.. Ayse hi age badte rahiye…

  18. Vipin Mishra

    Ye post sach me bahut helpful hai un sabhi bloggers ke liye jo Blogging ko deeply janna chahte hain.

    Aise hi detailed post karte rahiye. Thanks a lot

  19. vijay patel

    nice sir

  20. Mukuldhami

    Bhai please ek baat batao bhai ye bloging ka paise hamein kaise milega matlab hamein atm wagera kuch lagana padta hai kya bhai…ya aur kuch…

  21. Mukesh Rajput

    Nice post brother

  22. AMIR

    Nice Article

  23. Jaydeep

    Thanks Jume Deen Khan, Dhanyavad aapka meri site bhi google pe index nahi ho rahi hai to uska kya issue ho sakta hai ?

    • Jumedeen Khan

      Aapka blog open nahi ho raha hai jo check karke kuch bta saku.

  24. valentines day ideas

    U are the best… seo guru…

  25. Jitendra

    Sir Maine blog bna liya hai but aage samjh nhi aarha hai kya kru
    Pleas provide me best guidance so that I can work

  26. rishav kapoor

    sir jaisa aapne mujhe bataya tha ki apni post ko google search console me submit karo waisa maine kar diya hai. aur mere posts google me show bhi hone lagi hai. but sir ek problem hai . problem ye hai ki jab me apni blog ke post ko search karta hu to wo show nahi hote but jab me post ke sath apne blog ka title search karta hu to wo show ho jati hai. ye kya problem hai sir . plz tell me . waiting for ur msg

    thanks

    • Jumedeen Khan

      Aap badhiya yani SEO friendly post likha karo. Or usme keywords sahi se use kiya karo.

  27. rishav kapoor

    sir me apni blog ki post ko google search console me kaise submit karu. iska aapne koi post nahi likha hai. maine apni blog ko google search console me submit kiya hai. par me blog ke post ko kaise submit karu. waiting for ur message.

    thanks

    • Jumedeen Khan

      search console par jao or left side me crawl >> fetch as google par click karke apne blog ki post ka link submit karo.

      • rishav kapoor

        very very very thankyou sir

  28. rajan

    sir maine ek website banaye hai maine usme posts bhi diya hai . aur maine usko google search console me bhi submit kiya hai. but mere blog ke posts jab mai google me search karta hu to wo show nahi hote. sikhoaursamjho.blogspot.com mere website ka name hai. plz sir aap mere website ko google me search karke check karo ki kya problem hai. thanks.

    • Jumedeen Khan

      Apni site par badhiya content likho or unhe search console me submit karo.

  29. ramesh kumar sharma

    namskar sir
    hamara blogger par blog hai jab koi es site ko search karta hai tab google + me share ki post hi search me aati hai vo bhi keval ek hi jab site ko search karte hai tab site hi search me aani chahiye uske liye kya karna hoga sir.

    • Jumedeen Khan

      blog ki SEO setting sahi se karo maine iske bare me post likhi hai wo check karo.

  30. Kabir

    आपकी लेटेस्ट पोस्ट होम पेज पर क्यों नहीं दिखाई दे रही हैं? हमें केटेगरी के अन्दर जाकर नयी पोस्ट को पढ़ना पड़ रहा हैं.. इस समस्या को जल्दी दूर करे…

    क्योंकि यकीन मानिये 1 हफ्ते से आपकी ब्लॉग पर आता था और नयी पोस्ट न देखकर निराश हो कर वापिस चला जाता था.. लेकिन आज मैंने गलती से केटेगरी को सेलेक्ट कर लिया तो आपकी नयी पोस्ट के बारे में पता चला..

    कृपया इसे सही कर ले, अपनी नयी पोस्ट होम पेज पर भी शो करे.. धन्यवाद…

    • Jumedeen Khan

      Kabir its your browser issue, refresh it now.

  31. manish

    Kya google Hindi me likh ne par AdSense approve karta hain ??

    • Jumedeen Khan

      Yes karta hai.

  32. jay

    Bhaijaan aap mujhe round-round ghuma kyu rahe ho . Simple sa kaho naa ki mai guest post kar sakta hu ya nhi.
    Answer in one word -:
    Yes or No

    • Jumedeen Khan

      Jay agar aap guest post policy follow kar sakte ho to yes than no.

  33. khetesh

    thanks for detailed info.

  34. RUSHEEK

    Bro mer computer me Hindi language nahi he to me Hindi language kese download karu

    • Jumedeen Khan

      Hindi input tool install karo. Iske bare me hindi.supportmeindia.com par post padho.

  35. Namdev

    Hello sr
    ms word me likhi gyi book ko kaise or kis format me save krte hai taaki usko amazone k kindle store par daal saku or kindal store par apni ebook kaise daalu

    mtlb ek ebook kaise bnti hai or usko amazon ya google play jaise store par kaise daala jaaye is par ek post likhiyega plzzz jitni jaldi ho ske

    • Jumedeen Khan

      ok main iske bare me post likhunga.

  36. Rashid Ansari

    nice mere favourite hindi blogger hain

  37. Jay

    Maine aapk guest policy ko read kiya. Mujhe lagata hai aap mujhe mere topics k guest post karne ki permission nhi hai. Am i right?bro.

    • Jumedeen Khan

      its your feeling.

  38. Dilip Poddar

    Jume Deen bhi apko salam. Apko jabbi may koi help manga ap humko help kia. Humko ummed hey ki ap mere is problem se nikalne me bi madat karogi.

    Jume deen bhi may kuch din pehele lagvag 6 month pehele ek YouTube channel banaya tha. Badmey AdSense me sing up kia o aproved vi ho gaye the. Per kuch din bad mey us gmail id ko delete ker diya. 2 month ke bad mey jab AdSense me sign in hone gaye tab ho nahi paye. Keuki may to google account delete ker diya.

    Ab me dusara gmail id banake AdSense ke liye 2 month se bloggin ker rahi hu. 23 post kiya sab post 800 Word pe he. Top level domain vi liye 2mont ho gaye. Daily pageview 200 ke uper. But may jab AdSense apply kiye 1day ke bad AdSense se mail aya. Mere AdSense ke id matching hote. Jo gmail id may 2month pehele delete ker diya tha us id me mere id he aisa mail. May bahut kaushis kiya delete wala mail recover karne ke liye. But nahi hua.keuki 1month se jada time ho gaye isliye.

    Jume deen bhi mey avi bahut tension mey hu. Keuki humko 1 sal se jada time is AdSense ke piche vagte hue. Lekin AdSense avitak fully aproved nahi hua. Bahut mehnat kia.

    Ap humko e batao kaise mey apne name pe AdSense khulu. Pehele wala AdSense delete kaise karu? Koi solation hey??

    Pehele wala jo google account 2month pehele me delete kar diya. Us AdSense kaise disabled karu?

    Pls koi solation batao. May apke answer ke liye intezer kar rahi hu.

    • Jumedeen Khan

      Iska bahut ismple sa solution hai bas aapko samajh aa jaye. aap apne name se hi AdSense account banao but dusri gmail id se or usme address dusra dalo ho jayega.

      • Dilip Poddar

        Sir may do gmail se try kia but sabme matching ho jati address bhi dusara dala aisa keu hoti?

        • Jumedeen Khan

          Nahi hoga aap address change karke apply karo. Try now.

  39. Aman Chauhan

    Bro, This is Very Useful Post for Beginners, I make a New WordPress site Let this check please and give me a Suggestion what to do more on this : http://www.hindigator.com

    • Jumedeen Khan

      there are no any suggestion for you. your blog already smart.

  40. surendra

    Bhai plz jara search kar ke bataye.
    muje ek aisa template chahiye jo bilkul simple ho or me ek hi post ko pure homepage par dikhana chahta hu blogger par maine ek post dikhne wala system lagu bhi kar diya hai fir bhi read more aa raha hai.

    • Jumedeen Khan

      Aap bhi check kar sakte ho.

  41. Tanveer

    search preferences se User-agent: Mediapartners-Google
    Disallow: code ko remove kar diye bro ab automatically images index ho jayegi na.

    • Jumedeen Khan

      Kuch day wait karo index ho jayegi.

  42. Anju Lamba

    I Fell Happy When I Visit “Support Me India”

    Thanks Khan Saab Ji…

    • Jumedeen Khan

      Welcome anju

  43. Durgesh

    bhai ji hume jaise koi page duwanload karna ho jaise aap image ki tarah samjhate mai jo page download karta hu wah kewal pdf me download hota hai jisme sari image hata rahta hai aur ward hi rahta hai

    • Jumedeen Khan

      Aap us page ka print le sakte ho.

  44. jansi

    Bhai mere an qustion hair

    Mera AdSenses account disapproved show ho RHA hair.

    Mene jaldibaji me adsens ke liye apply kr to liya RHA lakin mene ak do din bad me apne blog ka neme change kr liya .to yah is karn se disaproiv bta rah hair.

    Mene apne blog ka neme change karke aply karne par alrady gmail
    Use batata hair

    Me aapse bhut ashhha hair ki mujhe jaldi se jaldi and. De

    Please

    • Jumedeen Khan

      Aapko new blog ke liye dusri gmail id se AdSense ke liye apply karna hoga. use aap sirf usi blog par use kar sakte ho ya fir aap domain le kar us AdSense account me add karo or dusre blog par ads lagao.

  45. Ravi parwani

    Very eye-catching information Bhai .
    Mujhe bhi blog ka pata newspaper se hi laga tha aur Maine uske bare me aur jyada apki website se hi Jana hai. Aaj bhi bahut sare log blog kya hai wo nahi jaante.
    Bahut hi simple word m apne blog ka bahut sahi definition diya hai Bhai
    Thank you brother.

    • Jumedeen Khan

      welcome ravi.

  46. Tanveer

    Bro…. mai blogger platform par hoon and maine just check kiya robot.txt se images block ya hide nahi hai infact har post me bhi robot.txt ko dekha kisi me images hide nahi hai. Ab waiting ke alawa aur koi jariya hai jisse mai images index kar saku

    • Jumedeen Khan

      Aap robots.txt file me se
      User-agent: Mediapartners-Google
      Disallow:

      code kio hata do.

  47. Babita Singh

    आपके द्वारा बताए गए टिप्स किसी भी ब्लॉगर के लिए बहुत ही फायदेमंद साबित हो सकते हैं, जिनको पढ़ कर कोई भी सफलतापूर्वक ब्लॉग लिख सकता है। अब आप हिन्दी मे अपना लेख लिख सकते हैं। very informative article. thank you.

  48. jay

    Hello bro mai bhi aapk site par guest post karna chahata hu. Aor mera blog mathematics shortcut tricks se related hai to kya aap mujhe mathematics se related guest post karne ki permission de sakte ho.

    • Jumedeen Khan

      Aap guest policy padhe top menu bar me iska option hai.

  49. Azmi HelpZ

    Sir Mujhe Apne Blog Me weight Full Karna kaise Hoga Mujhe Css Coding Aaati hai Lekin Kaise Hoga raaat Din kaaam kiya lekin full page nahin a rha hai

    • Jumedeen Khan

      First aapne meri jo bhi posts copy ki huyi hai. I know aapne images me se blog ka link hata diya hai un sabko delete kar do. its bad work. baki width full karne ke liye aaap blog ki template me jao or #outer-wrapper ke samne width: 100% karo. i say again meri sabhi posts ko delete kar do.

  50. Dilip

    Bro mera ek question hai agar me apne blog me menu ya navigation bar ko remove kar du or header par only logo rahle du to isase seo par koi effact hoga and isase AdSense ko bhi koi problem hogi ya nahi

    • Jumedeen Khan

      Koi effect nahi padega but menu bar se readers ko aasani hoti hai.

  51. altaf

    thanks sir aap ne meri bahut help ki hai

  52. Zishan Ali Gulzar

    sir aap image edit kaise karte hain,,i mean konsa software se

    • Jumedeen Khan

      photoshop or useless comment aap comment form me kiya karo please.

  53. Hussam Ansari

    Very good information bro aap blogging bahot seriously karte ho jo ki bahot achi baat hai.

  54. Shibam Kar

    Apka post begginers ke liye bohot badiya rahega. Apne jis tarah se Blogging ko describe kia hai wo mujhe bohot accha laga. Thanks for sharing the article with us.

  55. Abhi

    Bro Mene Mail.Ki Hai Screenshot Please Check Bro Comment Moderation To Hoti Hai but Visitors Ko Dikhai Nhi Deta Ki Uski Comment Moderation Me Hai Jaise ki Appke Blog Par Deta Hai Isiliye

    • Jumedeen Khan

      Aapn theme change karke try kiya ya nahi.

      • Abhi

        bro jaise aap theme change ni kar skte waise hi mai bhi nhi kar skat try to understand bro check your mail admin@supportmeindia.com i had sent you 2 images of my discussion setting

        and please solve my problem i have many other question for you

        • Jumedeen Khan

          Oh you are mad. dear i dont say you change your blog theme permanently, i say oly for try. mai nsirf itna kah raha hu ki ek abr try kar lo. Isse pata chal jayega ki aapki theme problem hai ya WordPress problem hai. I hope you understand.

      • Abhi

        Bro Mere Blog Ki CPC Bhut Kam ho To hi Hai Kyo??

        • Jumedeen Khan

          learn more about adsense.

          • Abhi

            bro google par meri post ka title nhi ata like earningkart.in/how-to-get-jio-sim

            aise ata hai google par – all cashback coupon (drop down)
            and bro post title ke bad .html kese lagaye jaise mozedia par laga hai

            apne mujhe btya tha but mujhe yad nhi hai .html ka

          • Jumedeen Khan

            Yoat SEO plugin ki setting sah ise karo. WordPress settings >> permalinks >> Custom Structure ke smane /%postname%.html set karo.

          • Abhi

            Bro Mene Yoast Seo Ki Setting Shoutmeloud Se Ki Hai Uske Article Se Bro Koi Dikat Nhi Kere Hisab Se

          • Jumedeen Khan

            Aapko dikkat hai to hi to kah raha hu. Shoutmeloud par to sahi se btaya hua hai but aap ek bar check kar lo ki aapne sahi se setting ki hai ya nahi.

  56. Tanveer

    Bro meri almost sabhi post jald hi index hoti hai gwt me but koi images index nahi ho rahi hai aisa kyu ….kya iske liye ko alag se sitemap submit karna hota hai.

    • Jumedeen Khan

      Nahi aapne robots.text file se image ko hide kiya hua hoga ya fir aap yoast seo plugin use karte ho to usme se hide ki huyi hai.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...