Affiliate Cloaking Kya Hai Aur Links Cloak Karna Kyu Jaruri Hai

What is Affiliate Cloaking and how to cloak your affiliate links? Shayad iske bare me bahut kam blogger jante hai. Ye affiliate program use karne wale WordPress blogger ke liye bahut jaruri terms hoti hai. Iske bina blog par affiliate program use karna bahut hi bewkoofi wala kaam hai or ye search engine ke liye harmful bhi ho sakta hai or sath hi iske bina aapki affiliate earning na ke barabar hogi. Agar aap affiliate program use karte hai to is post ko carefully read kare affiliate user ke liye ye bahut important hai.

Affiliate Cloaking Kya Hai

Actually, Iska ek bahut bada reason hai. Blogger jyadatar Google Adsense hi use karte hai or Affiliate Marketing ke bare me bahut kam log ya sirf professional blogger hi jante hai. Iske alawa hindi blog par affiliate program na ke barabar hai. Sirf kuch hi popular hindi blog par affiliate marketing ko istemal kiya jata hai.

So affiliate cloaking ke bare me blogger ko bahut kam pata hai kyuki unhe iski jarurat hi nahi padti hai. Hindi blogger to iske bare me sochte bhi nahi hai. Kyuki hindi blog par jyadatar local visitor hote hai (Yaha local se matlab mobile user hai.) Jo online shoping karna bilkul pasand nahi karte. But I suggest you, agar aapke blog ka income source affiliate marketing program hai to aapke liye iske bare me janna bahut jaruri hai.

Mujhse kafi time pahle ek blogger ne iske bare me pucha tha but maine is par care nahi kiya. Now, mere blog par kafi traffic aane laga hai or mujhe bahut se blogger affiliate program ke bare me suggest kar chuke hai. So mai ab affiliate program par bhi focus karna chahata hu. So main apne sath sath aap sabhi ko bhi iske bare me information share karta rahunga. In this post, Is post me hum affiliate cloaking and iski importance ke bare me bat karenge.

Affiliate Link Cloaking Kya Hai?

What is affiliate link cloaking? Ye ek aesi process hai jisme hum main links ko hide karke use kisi or link par redirect kar dete hai. Isse main links chipa liya jata hai or other link show kiya jata hai. I mean kisi bhi affiliate program ke links / URL ko apne hisab se cloak karna.

Google bahut se affiliate links ko pasand nahi karta hai or inki wajah se google humari site ko penalize kar sakta hai. So google penalty se apne blog ko bachane ke liye iska istemal kiya jata hai. Sath hi ye readers ke liye bhi behtar hota hai. Unhe ye pata nahi chalta ki ye koi commission link hai ya fir aapki site ka hi link hai. Is process ko Mask Affiliate Links bhi kaha jata hai. Yani links ko mask pahnana.

What is Cloak URL?

Aapne kuch famous blog par example.com/recommended/affiliateprogramname, example.com/get/affiliatename etc. affiliate links dekhe honge or jab inko open karte hai to ye unke main affiliate links par redirect ho jate hai. Inhe hi affiliate cloaking links kahte hai. is link ko affiliate link par redirect kiya jata hai. Examples,

  • Affiliate link: https://www.bluehost.in/?utm_source=affiliate&a_aid=c21e4935
  • Cloak Link: https://www.supportmeindia.com/go/bluehostindia

Is tarah se aap kisi bhi affiliate link ko cloak kar use apne hisab se kisi bhi link par set kar sakte ho. Mostly affiliate links par hi iski jarurat hoti hai. Kyuki inke bahut se link utpatang hote hai jo na to yaad rahte hai or na hi visitors or search engine ko pasand aate hai.

Link Cloaking Ke Kya Benefits Hai?

Links cloak karne ke bahut sare fayde hai. Sabse better isse site ke value badhti hai or search engine ki penalty se bhi site secure rahti hai sath hi visitor ke liye bhi ye badiya hoti hai. Main yaha aapko iske bare me poit se bta raha hu.

  1. Sabse important metter aapki site google penalty se bachhi raheti hai or search engine me aaapki site ki rank kam nahi hogi.
  2. Aap jab bhi apni site par cloak links use karoge to visitor ko ye mehsoos nahi hoga ki aapko is link se koi commission bhi mil raha hai.
  3. Affiliate links ko direct use karne se site par bad effect padta hai or use cloak karne ke bad ye problem solve ho jati hai.
  4. Bahut se affiliate products ka link ugly hota hai or use yaad rakhne me problem hoti hai. Aap links cloaking se use better or smart bana sakte hai.
  5. Aapke reader ko iske bare me pata nahi hoga or wo ise simple link hi samajhenge, So aapko jyada sale milegi or aapki affiliate marketing se jyada earning hogi.
  6. Agar koi visitor bad me aapki site ke throw koi affiliate product buy karna chahega to wo aasani se uska URL yaad rakh sakta hai.
  7. SPAM affiliate service se bachao hota hai.
  8. Bahut bar affiliate commission hijack ho jata hai or hume us sale ka koi bebefit nahi milta. Isse kafi had tak hijack hone se bachne me help milti hai.
  9. Links cloak karne se aapke link ka branded look hoga. I mean aap ulte, sulte links se bach sakte ho or aapke blog ka look better hoga.
  10. SEO or visitor dono ke liye links cloaking use karna behtar hai.

Post me direct affiliate links use karne se content quality low ho jati hai but aap link cloaking se ek post me kitne bhi affiliate links use kar sakte hai. Isse aapke content ki quality par koi effect nahi padega or aapki site ki achhi rank bani rahegi. Simple words me link cloaking ke bina affiliate program use karna, apne blogging career ko khatre me dalna jaisa hai. So agar aap affiliate marketing se earning karna chahate ho to ye aapke liye bahut jaruri hai.

Affiliate Cloaking URLs Create Kaise Kare?

Link cloak karne ke 2 tarike hai. Actually, Affiliate links jyadatar WordPress blogger hi use karte hai so main yaha aapko WordPress ke bare me hi bta raha hu.

  1. Use WordPress Link Cloaker Plugin.
  2. Create Cloak linkd without plugin using .htaccess files. (We recommended this for you)

Mujhe blog par bekar me jyada plugins use karna pasand nahi hai. So mai aapko bina plugin ke .htaccess folder ke throw cloak links generate karna suggest karunga. Iske bare me maine How to use link Cloaking post me step by step details se bta raha hu.

  1. Using Link cloaker plugin: WordPress blog par affiliate links cloak karne ke liye aapko Affiliate link cloaking, Simple URLs, WP shorties, Pretty link lite jaise bahut sare free and paid plugin mil jayenge. In plugin se aap aasani se cloak link create kar sakte ho.
  2. Without Plugin: WordPress Me Affiliate Link Cloak Kaise Kare Without Plugin? Without link cloak link create karne ke liye aapko apne blog ki .htaccess file me editing karni hogi.

Without plugin links cloaking ke liye humari WordPress Blog Me Affiliate Link Cloaking Kyu or Kaise Use Kare post padhe. Is post me aapko bina plugin affiliate ya other kisi bhi link ko cloak karne ki puri jankari step by step milegi.

Affiliate programmer ke liye affiliate cloaking bahut jaruri hai. Agar aap affiliate marketing se paise kamana chahate hai to iska istemal jarur kare.

I hope you like this post, If yes then share this post on social media with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (26)

  1. Avatar for brajeshbrajesh

    affiliate link cloaking plugin works good thnx fro your suggestion support me india team

  2. Avatar for Monu khanMonu khan

    Sir Amazon afflilate par multi product key banner ek saath kaise lagate jese aap lagate ho
    Please sir is baare me bataye

  3. Avatar for faizanfaizan

    Sir maine amazon ke TOC me dekha ki link cloaking se amazon affliate account ban ho sakta hai

    Kya yah sach hai

    Aur sir please ek post likhiye amazon affliate account ban kyun hota hai puri reasons

    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes but no problem bahut se log aesa karte hai, SEO effect se bachne ke liye ye achha hai. Ok jarur likhunga.

  4. Avatar for ArunaAruna

    good post thanks for useful information

  5. Avatar for PANKAJ KUMARPANKAJ KUMAR

    Important Information to All Bloogers

  6. Avatar for kavyakavya

    Sir mey WordPress usekrti h toh mey apny blog par affiliate link cloak kesy apply kro ples pora process batay and thnx alot har comments ka reply karny seh maine kbi aapko dekha nhi par ithna jaror pta hai aap bhut hee achy insaan ho thnxsir

  7. Avatar for PrincePrince

    footer ka option to hai but sayad usme coding krne pe ho raha.or mujhe coding to aata nahi.q ki usme or kuch to option hai nahi..mai Basic theme use kar raha waise

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me codin wali post ki hai. wo padh lo ki blog ke footer me link kaise add kare.

  8. Avatar for RusheekRusheek

    bro मैं अपने कंप्यूटर में mozilla firefox ब्राउजर का यूज करता हूं लेकिन पिछले कुछ दिनों से कोई भी वेबसाइट को सर्च करता हूं तो कुछ इस तरह की नोटिस आ रही है प्लीज इसका कोई उपाय बताइए
    this connection is untrusted

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      apne security on kar rkahi hai. Browser ki setting reset kar lo.

  9. Avatar for Anup SahuAnup Sahu

    bhai ek question hai hum apne blog me kitne company ke add ek sath lga sakte hai jaise ki adsen or chitika ya kisi dusre company ka add ek sath lga sakte hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ek hi company ke AdSense ya chitika.

  10. Avatar for RohitashRohitash

    हिंदी Bloggers के लिये “Affiliate Program” से पैसे कमाना एक चुनौती है, जिसमे local visitors के द्वारा “Online Shopping” को इतना सराहनीय नही समझा जाता !

    वही Link Cloaking हिन्दी Bloggers के लिये एक अच्छा तरीका है, Affiliate Programs से पैसे कमाने का !

  11. Avatar for Md SabanMd Saban

    BRO, blospot ke liye bhi koi tareeka bataye jis ki madadd se affiliate link cloak kar sake.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me bhi post likhunga.

  12. Avatar for abhiabhi

    jume Di Bro hta access me kaise Use Kre Affiliate Links post Me Link Nhi Khul Rhi Page Not Found

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wo post puri nahi likhi hai. Aj likh dunga kal check kar lena.

  13. Avatar for surendrasurendra

    accha post hai. Aap Muje Yeh Bataye ki Blogger blog walo ke liye sabse achhi affiliate marketing konsi hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye koi nahi bta sakta. Ye aapke traffic i mean visitor choise par depend karta hai.

  14. Avatar for sajansajan

    Bro maine kuch din pehle hi do blog bnaya h
    hinduvishva.blogspot.com
    shopadda1.blogspot.com
    aur 1 year pehle WordPress per v ek blog banaya tha
    Kr1994.WordPress.com
    Maine apne new blogger wale blog per flipkart affiliate wala ads dala h jo sirf desktop view me hi shi se open hota h, plz meri site ko dkh kr btao ki mai mobile per v ye ads kaise lau.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne blog ka sara design kharab kar rakha hai. Aap blog ki template change karo or koi achhi template use karo.

  15. Avatar for princeprince

    sir WordPress ke footer me koi v chiz kaise add kare.jaise ki aap ke footer me hai ussi type ka .or footer me kya kya describe karna fruitfull hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress theme me already footer link ka option hota hai. Theme option me check karo.

  16. Avatar for Hina AyubHina Ayub

    Bahut Acchi information hai Iske baare me bahut kam hi bloggers ko pata hoga.
    Jankari dene ke liye Thanks

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...