Maine aaj tak blogging ke bare me bahut se articles likhe hai. Wese bhi mera sabse top topic bhi blogging hi hai. But blogging ke bare me btate btate ma iye btana bhool gaya ki “Blogging Kya Hai?” Actually is or mera dhyan hi nahi gaya. Magar aaj is post me mai aapko iske bare me kuch bate btane ja raha hu.
1 may 2025 ko jab maine supportmeindia ki income report share ki to mujhe facebook par ek message aaya ki “Sir ye blogging hai kya kya aap mujhe iske bare me details se bta sakte ho.” Ek minute ke liye to mai sochne par majbur ho gaya ki is friend ko kya reply karu.
- Support Me Hindi – Ab Blogging Sikhiye Hindi Me
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
In this post, Mai blogging ke bare me kuch question answer or kuch important bate bta raha hu. So agar aap new blogger ho to ye bate aapke bahut kaam aa sakti hai.
Mujhe blogging me abhi jyada waqt nahi hua hai. Mai july 2025 se blogging kar raha hu. Is bich maine blogging ke bare me bahut kuch sikha or apne dosto ko bhi sikhaya. Meri humesha koshish rahti hai ki mai apne readers ko kuch behtar sikha saku.
- Apni English Writing Ko Behtar Kaise Banaye; Perfect English Kaise Likhe
- Blog Post Title and Heading Create Karne Ki Top 5 Badiya Tools
But taklif jab hoti hai jab koi btane ke bavjud galat raste par jata hai. Aysa lagta hai jaise wo nahi mai galti kar raha hu. But kya kare kisi ke sath jabardasti to nahi kar sakte. Hum to sirf guide kar sakte hai.
Maine blogging ke career me ek bat to confirm ki hai ki jo blogger blogging se jyada paise ke piche bhagte hai. Unme se 90% fail hote hai. Yakin maniye ye bat bilkul sach hai. Jo paise ke piche bhagta hai use paisa kabhi nahi milta hai.
Blogging Kya hai? Blogging Se Related Important Question Answer in Hindi
Blogging Kya Hai? – Blogging ka arth sirf paise kamana nahi hota hai. Blogging ka matlab hota hai apne thoughts other people ke sath share karna or logo ko wo sikhana jo wo sikhna chahate hai. Wo nahi jo wo pahle se jante hai.
Bas jo inshan in do lines ko samajh lega wo blogging me 101% success hoga. Is bat ki gaurantee mai aapko deta hu. Money ke piche mat bhago fir dekhna paisa kaise aapke piche bhagta hai. ek kahawat hai.
Sabhi jante hai ki ye bat sach hai. So plz koi aysa kaam karo ki log aapko yaad kare. Or duniya aapko salo-sal tak bhoola na sake. Apni life ko sabse alag banane ki koshish karo. Na ki dusro ki tarah ban kar mar jao.
- Website Ki Page Speed Kaise Badhaye 10 Best Online Tools [Boost Speed]
- Kisi Ki Bhi Zindagi (Life) Barbad Kar Sakti Hai Ye 5 Buri Aadat
Jab maine blogging ki duniya me kadam rakha tha to mere pas koi idea nahi tha. Mujhse bahut si galtiya huyi. But aakhir me mujhe pata chala ki jo kjushi apni alag pahchan banane me hai wo dusre kaam me nahi mil sakti.
- Aakhir Har Blogger Success Kyu Nahi Hota, Blogging Fail Hone Ki Wajah Jane
- 10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
Mai fir se kahna chahunga ki blogging apne vichar dusro ke sath share karne ke liye hai. Agar aapko lagta hai ki aap wakai me dusro ko sikha sakte ho or aapki wajah se kisi ki help ho sakti hai to aapka swagat hai blogging aap jaise logo ke liye hi bani hai.
Blogging Se Hume Kya Kya Milta Hai?
Name:- Sabse first jab aap dusre logo ki help karoge to world me aapka name hoga. Log aapko ek ache inshan ke roop me pahchanenge. Shayad hi koi hoga jo aysa nahi chahata hoga. Agar aap blogging me acha kaam karoge to aap kuch hi time me duniya me popular ho sakte ho.
Paisa:- New blogger ke dimag me ye bat sabse pahle aati hai. Iska example aap mere blog ki income report dekh sakte ho. Blogging se paise kamane ke or bhi bahut se tarike hai. jaise google AdSense, affiliate marketing, infolinks and other product promotion services.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- Hindi Blog Par High Traffic Kaise Badhaye 10 Important Tarike [SEO]
In sabki details me jankari mai already isi blog par share kar chuka hu. So iske bare me or janne ke liye aap humari dusri post padhe. Finally mai aapse kahna chahunga ki blogging koi dhoka nahi hai. Duniya me bahut se ayse log hai jinhone aaj blogging ko apna career bana liya hai.
Blogging 2 Type Ki Hoti Hai?
Aap soch rahe ho ki ye mai aapko kya bta raha hu. Actually meri nazar me sirf 2 type ki blogging hoti hai. Good or bad. Aaj mai iske bare me aapko vistar se btata hu.
1. Good Blogging: Jab koi person blogging me mehanat or imandari se work karta hai or sache dil se logo ko sahi information deta hai. Use good blogging kahte hai. Ise samajhna mushkil nahi hai. Or jab humari ayse ache logo se mulakat hoti hai to hume bhi sachai par chalne ki sikh milti hai.
2. Bad Blogging: Internet par 60% websites fake hoti hai. Is bat me koi shaq nahi hai. Actually aaj ke is bure waqt me har jagah par burai faili huyi hai. In my case, Kuch log mujhe bhi bevkuf banane ki koshish kar chuke hai. In logo ke bare me mai aapko kuch poit btata hu.
- Ye log new user ko website banane ka lalch de kar usse 5000 to 10,000 loot lete hai.
- Or kuch log to inse bhi jyada paise le lete hai.
- Ye log aapko complete website or blog banane ka lalach dete hai. Or bad mai aapke sath dhoka karte hai.
So agar aap new blogger hai to mai aapse kahna chahunga ki aap blogger.com par free me blog bana sakte ho. Jisme aapka 1 paisa bhi nahi lagta hai. Sirf aapke pas internet connection hona jaruri hai. Maine iske bare me Website Blog Kaise Banate Hai post me details se btaya bhi hai. Isliye kabhi kisi ke behkave me mat aaye or kisi ko paise na de.
- Blog Par New Post Content Likhe Bina Traffic Increase Kaise Kare
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
Finally, Blogging me success hona hai to dil laga kar mehanat karo or apni alag pahchan banao. Income ke bare me mat socho jab aap success hoge to paisa aapke piche chal kar aayega.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Narayan Soni
Sir Mene Hosting Le Li He Or Us Par WordPress Install Bhi Kar Liya He Lekin Me Wo Open Nahi Kar Pa Raha Hu Jab Bhi Me Mere Blog Ka Naam Likha Kar piche wp-admin Laga raha hu to mere blog ka page open ho raha he ki 404 page note found ab kya karu
Jumedeen Khan
Aap WordPress blog sahi se intall nahi kiya hai. Aap ek kaa mkaro hosting care me call karo wo aapko WordPress blog install karke de denge ya aap ye post ache se follow kare. Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
Narayan Soni
Ho Gaya Sir wo www. ka problem tha
raj
jumdeen Bhai ap heading kese us krte h samajh Nhi aaya apne kha tja ki h2 2 bar lagae h3 teen bar ar h3 h2 se chhote letter ho PR is post m aap badi heading k bad chhoti fir badi fir chhoti us kr rhe h ar kya blogger m h1 heading Nhi hoti
Jumedeen Khan
Maine aysa nahi kaha tha. Maine kaha tha ki post me 1-2 heading hi use kare to SEO ke liye badiya hoti hai. But aap usse jyada bhi use karo to koi aapko band nahi kar sakta. Sirf seo ke hisab se galat hai. Isme maine sirf h2 heading use ki hai baki words bold hai.
sunil bhargav
main chahta hu ki jab mera AdSense approve ho jaaye to main pahle waali sabhi post ko delete karke phir se post likhu,kya isme koi nuksaan hai and fayda kya hoga mujhe. plz tell me
Jumedeen Khan
Nukshan hai fayda kuch bhi nahi hai. Or aap aysa kyuk arna chahate ho.
sunil bhargav
sir, abhi tak mera AdSense approve nahi hua hai, and maine jab search console me check kiya to usme 43 clicks total the. to kya in clicks ki income nahi hogi mujhe kyoki jab AdSense approve hoga to uske baad jo cliks honge AdSense kya use hi manega. approve se pahle ke clicks bhi kya add honge jab AdSense approve hoga tab.
Jumedeen Khan
search console me ads click nahi search engine se aapki site par kitne logo ne click kiya hai ki report show hoti hai. Earning tabhi hogi jab AdSense approved hoga. Aap humari AdSense ke bare me or bhi post padho sabkuch samajh jaoge.
dilip
semrush ki apne afiliate laga rakhi h
Jumedeen Khan
Yes. mai semrush ko kei bar use kar chuka hai.
Deepak
Jumedeen sir aap Affiliate Markirting se paisa kaise kamate ho.
Jumedeen Khan
Ye post padho Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai
Deepak
Very nice post.
Umesh Chavan
Alexa Rank improved hua aap ka jumedeen Date: 02/05/2016 – 3025 bro great
Ayan malik
Bro me post ko 300 world tak kaise likhun me pehle post me kiya likhun aur kaise likhun jese facebook account ke bareme post dalta hun to pehle facebook ke bareme kaise likhun jesse post 500 tak ho sake me to sirf step hi likh sakta hun kaise post ko 500 tak likh sako plz detail se btaye bro
Jumedeen Khan
Iski jankari ke liye aap ye post padhe Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips
Narayan Soni
Sir Me Hostgator Se Hosting Le Raha Hu Waha Par Do Offer He Ek To 20%Off Ka Or Ek 30% Off Ka To Me Jab Bhi 30% Off Ka Coupon Apply Karta Hu To Niche Likha Aata He “30% Off on Dedicated Servers for first month” Or Jab Me 20%Off Ka Coupon Apply Karta Hu To Esa Kuch Bhi Nahi Aata
Jumedeen Khan
Bro aapko offer se sirf ek bar hi fayda hoga. means aap ek bar me jitne month ki hosting kharidoge utna hi.
vikram
robots.txt Tester
Edit your robots.txt and check for errors. Learn more.
sir ye webmaster tools me show ho rha iska matlab kya hai
Jumedeen Khan
Ye post padho Robot.txt File Blog Me Kaise Add Karte Hai
vikram
nice sir …excellent thinking…i salute your thinking
i proud of you
Ankit Jha
bro nahi aapka fb koi reply aaya nahi aap blog pe koi response de rahe ho. Plz guest post mein agar koi kami hai toh batao main usey correct kar dunga
Jumedeen Khan
Ankit mai aapki post check karke aapko khud reply kar dunga. Just wait.
bhagirath
freebitcoin me ye wapsite opne karta hu and use me email id and pasaword dalene ke bad neche bitcoin address nai pata chal raha hai. kese pata kare muje jldi and bitcon kya hota
Jumedeen Khan
bhagirath mujhe is tarah ki sites ke bare me jankari nahi hai.
Amit kumar
Hi bro
i like your think
Prince Akashii
Hello Jumedeen Khan Sir
Mujhe ye Article Bahut hi jyada pasand aaya
Isko padhne ke baad ek baat to tay ho gaya ki blogging me sirf sachchai ke saath aur mehnat karo
Success to 100 % hona hai aur paise ke peechhe mat bhago !
THANK YOU FOR THIS
Very important article !
Rajesh Sharma
bhut achhi post h.
aap new post ka topic kha se choose krte ho.
koi book se ya khi or se.
jrur btana bro.
Jumedeen Khan
Mujhe topic choose karne ki jarurat nahi padti. Visitors already post topic bta dete hai. Mai to bas unke liye post likhta hu.
dilip
ye baat aapki bilkul sahi h kuchh log site k naam par moti rakam magate h ek saal pahle mujhse 7000 rupye mage the
Mahendra
ek dAM shahi baat hai..
Vicky
Bro kya aap muje is blog ka template de sakte be kya ya fir template ka nam bata do
blog link
xg3.blogspot.com
Jumedeen Khan
Sorry bro mere pas ye template nahi hai or na hi mujhe iske bare me pata hai.