Agar aapki koi website ya blog hai to aapko website ranking, alexa rank, pagge rank, daily pageviews or blog SEO ke bare me thodi bahut jankari jarur hogi. Aap apne blog or other blog ki ranking check bhi karte hoge. So aapne alexa par Bounce Rate bhi dekhi hogi. Aaj hum isi ke bare me bat karne wale hai ki bounce rate kya hai or website blog me bounce rate kyo or kaise important hai, Ise kam kaise kare.
Internet ek samundar ki tarah hai or is par hume daily 1000ro anjan people milte hai or hum unki website or blog par visit karte hai. But 1000ro me se 10-20 person hi ayse hote hai jinki site par ja kar hum unke fan ban jate hai. Agar hume kisi ki site pasand aaye to hum us site owner ko site subscribe karne ke sath social media par bhi follow karna chahate hai. Yani hum kisi site ko kitna pasand karte hai or kitna time site par rukte hai Bas isi ko bounce rate kate hai.
- Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai
- Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare
Bounce Rate Kya Hai?
Bounce rate single-page sessions ka percentage hota hai ki koi visiter jab aapki site par aata hai to wo aapki site par kitne time tak thahrta hai or kitne pages ko open kar read karta hai. Bounce rate isi ki average ka percentage hoti hai. Examples, visitors aapki site par aa kar kitne page padhte hai or ek page par se kitne page par visit karte hai. Iske aadhar par bounce rate ki percentage show hoti hai.
“Bounce Rate Adhik (Jyada) hone ka matlab hai ki aapki site par ayse visitors jyada hai jo aapki site ke ek page ko khol kar band kar dete hai. Jo aapki site ke liye sahi nahi hai.”
- Google Par Apni Website Ki Ranking Kaise Check Kare
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
Website Me Bounce ka Kya Matlab Hota Hai
Agar aapki site par bounce rate bahut jyada hai to iska matlab hai ki visitors aapki site me jyada interested nahi hai. My means aapki site reader ko jyada pasand nahi hai. Website ki jitni kam bounce rate hogi utni hi achi hai. Isliye aapko pata karna chahiye ki aakhir kis wajah se aapki site ki bounse rate jyada hai or aapke visitors aapki site ke ek page ko padne ke bad dusre page par visit kyu nahi karte hai. Iska pata karke aap apni site ki bounce rate me sudhar kar sakte ho.
High Bounce Rate Reasons
Website ki high bounce rate ke kuch karan hote hai. Jinki wajah se visitors aapki site par ek page se dusre page par visit nahi karte hai. Jinme se kuch ke bare me mai aapko yaha bta raha hu.
- Single page site: Website par Single page hone ka matlab hai ki aap apni site ki post me dusri post ka link add nahi karte ho. Ayse me visitors dusre page par visit karega. Iski sambhavna bahut kam ho jati hai.
- Incorrect implementation: Incorrect implementation ka matlab hota hai galat kaam karna yani aap apne blog par galat jankari share kar rahe ho jinhe visitors ek par dekhte hi lwave kar jate hai. Yaha galat kaam ka matlab us jankari se hai jo pahle se internet par ho ya kisi or site par se churayi gayi ho.
- Site design: High bounce rate ka ek karan blog design bhi ho sakta hai kyuki reader kisi bhi site par visit karne par sabse pahle site ke design ko dekhta hai or agar use site design pasand nahi aata hai to wo turant aapki site band kar deta hai.
- Site speed: Koi bhi slow open hone wali site ko pasand nahi karta hai. Man lijiye koi visitor aapki site ki koi post padh raha hai or post padhne ke bad wo jaise hi aapki dusri post par jana cahahta hai to site ke jaldi open na hone par wo site ko leave kar sakta hai.
- User behavior: Blog ki high bounce rate ki sabse badi wajah hota hai User behavior, Yani log aapko or aapke talent ko kitna pasand karte hai. Agar visitors ko aapka talent pasand aayega to wo jarur aapki dusri post bhi padhna pasand karega. Isliye User behavior bounce rate increase karne ke me sabse jyada important hai.
- Low Quality content: Site par aysa content hona jisme user ko unki jarurat ki information na mil rahi ho.
Bounce Rate Kaise Pata Kare or Ye Kitni Honi Chahiye
Aap alexa.com par apni site ki bounce rate check kar sakte ho but whaha last 3 month ki ranking report show hoti hai so agar aap daily ki bounce rate check karna chahe to aap google analytics par bounce rate pata kar sakte hai ki kis country ke log apaki site ko kitna like karte hai or aapke content ko kitne time tak read karte hai. Iske bare me maine Google Analytics Performance Reports Check Karne Ki 7 Tips puri jankar di huyi hai.
Google analytics par blog ki bounce rate track karne ke liye aap google analytics par jaye or reporting par click karke apni site >> all traffic par click kare.
Bounce rate 25% to 35% ke bich honi chaiye. Agar aapki website ki bounce rate 25% se bhi kam hai to samajhiye aap kismat wale hai or reader aapki site ko bahut pasand karte hai or agar bounce rate 30-35 percent hai to aap ise kam karne ki koshish kare.
Note: Agar aapki site ki bounce rate 50% se jyada hai to is par work shuru kar dena chahiye ki bounce rate kaise kam kare. Kyuki iska matlab hai ki visitors kinhi karno se aapki site ko bahut kam pasand kar rahe hai.
Website Ki Bounce Rate Kam Kaise Kare?
Website ki bounce rate kam karne ke liye aap ye tips follow kare.
- Design: Badiya design choose kare jo fast loading or mobile responsive ho.
- Content Quality: Quality content likhe jise user pura padhe or unhe achi jankari mile.
- Use eye catching images: post me aysi image use kare jise user dkehte hi aapki post padhna chahe.
- Fast loading time: Aapki website 4 second se kam time me open honi chahiye. Teji se khulne wali site ko visitor jyada like karte hai.
- Internal Links: Blog post me dusri related post ka link add kare jisse use aapki ek post se dusri post par visit kar sake.
- Powerful Sidebar widgets: Blog ke sidebar me jaruri widgets add kare. jaise recent post, popular post, social follow button etc.
- Write long length articles: Kisi bhi topic par uske bare me uri jankari de taki visitors ko full information mil sake iske liye aapki post me kam se kam 1000 to 2000 words hone chahiye.
- Effective Post Title: Post ka topic humesha aysa choose kare jise dkehte hi user padna pasand kare.
- Use Commenting System: Blog par comments system enable kare or apne readers ke sath jude unki problem solve kare.
Finally, mai apase yahi kahunga ki original quality content likhna sabse better way apni site ki ranking improve karne ki kyuki agar aap behtar jankari share karoge to log aapko khud be khud pasand karenge.
Bhaskar Joshi
bahut hi badiya post hai iss post ko padhne me maza aa gaya. I hope muje iss post se bahut hi help milegi. mai ummed karta hu ki aap aage bhi aise hi gyanwardhar post publish karege. thanku so much for sharing this excellent post…
Mera ek question hai ki jab mein apne keywords se search karta hu to meri site ka result page 1 or 2 mein aata hai lekin fir bhi meri website ka traffic bahut hi kam hai aisa kyu?
Jumedeen Khan
Aap search engine optimization post likhoge to hi aapko organic traffic milega.
Bhaskar Joshi
Thanks Bhai par meri kuch post seo ke upper hi hai. Fir bhi traffic bahut kam hi milta hai. Aisa Kyu hota hai.
Jumedeen Khan
Sirf post ke first page me show hone se traffic nahi milta hai. Aapki post ka title eye catching hona chahiye. Jise dekhte hi user us par click kare.
rohaan
Bahut achhe tarike se samjhya hai aapne धन्यवाद्
Irfan
Nice….mere site ka bounce rate 44 tk ha kya yeah theek ha.
Jumedeen Khan
Nahi bounse rate 25% se kam hona chahiye.
satyendra kumar
to mere ye jo post hai mere blog pe, wo kitne din me index hoga ya kitna time lag sakta hai?…..please help
Jumedeen Khan
1-5 day
M.FURQAN ALI
bhai apne ye konsa tamplete lagaya he or apki site blogger par he ya WordPress par mene abhi suruaat ki he to me tamplete ke design ko lekar paresha hu plz help me suggest me
meri site travellersTrip.com ke naam se mene banai he
Jumedeen Khan
Mai WordPress user hu or mythemeshop ki ribbon theme use karta hu.
satyendra kumar
bhai mera site index nahi ho raha hai isme kitna time lagta hai?
mera site chek karke bataye kaisi hai?
Jumedeen Khan
aapke blog par total 5-6 post hai or wo bhi wo jo pahle se internet par hai. Aysi post likho jo pahle se net par na ho. google aysi post ko jaldi index karta hai.
Abdul QadeEr
bhai Jaise Ap Ne Colour full heading d hai aor aor ne cpc increase krne wali post men low cpc wale websites ko high light box men likha ta kia ye feature blogger men hain????
Jumedeen Khan
Ye blogger coding se banana padta hai. Jisko blogger ki coding ache se aati ho wohi bana sakta hai.
Ravi Kumar
bonus rate pata kaise karte hai
Jumedeen Khan
Alexa par check kar sakte ho.
ankit
video ke saurce code aur online radio ke saurce code copy karke apne blog me add karu tab bi copy right hoga
Jumedeen Khan
Ha copyright hoga.
swapnil jambhale
Jumedeen Khan ji google blogger ka IP adress kya hai? or godaddy par kaise lagate hai
Jumedeen Khan
IP address google blogger ka nahi humare computer or mobile ka hota hai. jisse hum internet chalate hai.
prakash
sir
me apne site me 1 displsy 1 text ad woh bhi AdSense ke toh koi broblum toh nahi hogi
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai.
SATIS
bhai YouTube pe 1 click ka kitna milte hai .or koi click na kare to kitni income hoti hai
Jumedeen Khan
Ek click ke kitne paise milte hai. Ye aapki CPC par depend karta hai. nahi koi ads par click na kare to income nahi hoti hai.
atul
hello khan bhai, aap ne apni site par top aur footer navigation bar kaise add kiya hai, plz mujhe bayee.
kya aapne theme ke code ko edit kiya hai?
Jumedeen Khan
Ha theme me extra coding add ki hai.
atul
kya aap mujhe coding bta sakte hai………..
Jumedeen Khan
Sorry bro nahi de sakta. wo coding banane me mujhe 4-5 hours lage hai.
ankit
agar mai kisi site me koi cheez dekhi aur uska saurce code mai apni site me add karlu toh wo bhi copyright kahlayega
Jumedeen Khan
Koi cheez nahi details me btao. Aap kya copy karne wale hai.
Sahil kumar
मैं कई दिनो से सोच रहा था कि बाउंस रेट के बारे में पढ़ु। इस लिंक के बारे में इस बारे में जानकारी मिली। एलेक्ज़ा पर देखा कि मेरे ब्लॉग की बाउंस रेट 38 प्रतीशत है।
Jumedeen Khan
Sahil abhi aap new blogger ho, achi jankari share karte ho. Mujhe bhi aapka post likhne ka tarika acha lagta hai, bahut jald aapki bounce rate kam ho jayegi.
Sahil kumar
धन्यवाद बड़े भाई।
Mo Aziz
Hi Jumedeen bro, How r u
bahut badiya post hai
meri alexa rank me india ka koi result nahi a raha hai
aisa kyo ho raha hai kya kuch maine miss kar diya
Jumedeen Khan
Aapke blog par jab traffic badhega to alexa rank show hone lag jayegi.
Shaikh muneer
Achi post hai bhai mere site ka bonus rate 30 ke karib hai kya ye acha hai ya bura hai.
Jumedeen Khan
Sahi hai but ise or increase karne ki koshish karo
Sandeep kumar
स्वयं अपनी वेबसाइट पर विज्ञापन दिखाने के अपने अनुरोध को पूरा करने के लिए, आपको hindionlinehelp.com पर अपना विज्ञापन कोड लागू करना होगा. उस डोमेन पर आपके विज्ञापन कोड को इंप्रेशन मिलने के बाद ही आपके अपग्रेड अनुरोध की समीक्षा की जा सकती है.
Mere AdSense ye show ho raha hai. Jabki maine text me code laga diya add show nahi ho rahi hai. Please , please —– batao mughe kaya karna chahiye . Sorry aap link remove kar dena
Jumedeen Khan
Aapne blog par sahi ads nhi lagaye hai. Text and display ads lagao ek home page par or ek post me.
Raju
Hello mene hosting leli h hostgator par baby plan me to mera blog avi blogger par h to ab Domain Par DNS Settings Kya Kru ?
Jumedeen Khan
Aap hostgator customers care me call karo, wo sabkuch bta denge.
swapnil jambhale
Jumedeen Khan ji new domain DNS manegment Ip adress kaha le
Jumedeen Khan
Jis website se aapne domain liya hai.