Search engine se traffic increase karne ke liye Search Engine Optimization article likhna jaruri hai. Magar iske liye aapko SEO ke bare me achi information honi chahiye. Content ki search ranking better karne ke liye bahut sare factor follow karne hote hai unhi me se ek hai Keyword Density. Yani post content me keywods kitne percentage use karne chahiye jisse post search me achi position bana sake.
Maine pahle bhi SEO ke bare me Keyword Stuffing, Long Tail Keywords, On Page Optimization, Black Hat SEO, Image alt tag, Dofollow and Nofollow and other bahut si post likhi hai. Jinhe aap SEO category posts par visit karke read kar sakte ho. Jinme aapko better search ranking post likhne ki tips milegi or aap Search Engine Optimizing ko ache se samajh paoge.
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Effective Ways
- What is SEO Kya Hai / Search Engine Optimization in Hindi
Mai aapko suggest karunga ki aap humari SEO se related baki post bhi jarur padhe. I sure aapko behtar janakri milegi or aap searh engines se jyada organic traffic receive kar sakte ho. Agar aap apne article ki keyword density calculate karna chahate hai to aap Free Online Keyword Density Checker Tools par keyword avarage check kar sakte ho.
- Website Ke Google Crawl Rate Increase Karne Ki 10 Best Tips
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
SEO me keyword density kya hai ye janna bahut jaruri hai kyuki bahut bar humse search engine opimized post likhne time galati ho jati hai or hume keyword stuffing and black hat seo ko follow karne lagte hai. Isse humari post ki search rank increase hone ki jagah decrease ho jati hai.
Keword Density Kya Hai?
Blog post content me total words me add kiye gaye keywords ki percentage number ko keyword density kahte hai. Simple shabdo me, Suppose aapne ek post me total 1000 words likhe hai or usme aapne koi keyword 100 bar use kiya hai to usme keyword density 10% hogi. I mean aap agar 100 words ke paragraph me 10 bar keyword use karoge to keywords density 10% hogi.
Website content me keyword use karne se post ki search rank increase hoti hai or us par search engine se adhik visitor aate hai. Magar iske liye bhi aapko post length ke hisab se keywords use karne hote hai. Post me hisab se keyword istemal karna hi keyword density kahlata hai.
Post content me keywords kitne percent use karne chahiye iske bare me mai already kei post me bta chuka hu. Magar aaj yaha aapko specialy details me btaunga.
Better Ranking Ke Liye Keyword Density Kitni Percent Honi Chahiye
Keyword density percentage post me keywords use karne ka important factor hai. Simple words me kahu to agar aapko iski jankari nahi hai to aap SEO freindly post nahi likh sakoge or apni site ki search rank, authority ko behtar karne ki jagah or jyada bekar kar doge.
Mujhe SEO ke bare me jitni bhi jankari hai or jaah tak mujhe pata hai mere experience ke hisab se keyword density 1% to 3% honi chahiye. Jo ki mostly google search ke liye better hai. Yani aapko 100 words ki post me 1 se 3 keyword use karne hai. Isse jyada ya kam keyword use karne se aapki site ki search rank par bad effect pad sakta hai. Agar aap post me keyword use karne ki jankari details me janna chaahte hai to aap humara Keyword Stuffing Kya Hai aur SEO Ke Liye Kyu Danger Hoti Hai post read kar sakte hai. Isme aapko post me kaha kaise or kitne keywords use karne hai ki full information milegi.
Agar aap WordPress user hai to aap Yoast SEO plugin use kare. Ye plugin world famous hai or SEO ke liye sabse better service offer karta hai. Ye aapko bahut hi simple feature provide karta hai. Jisme aapko On page SEO, keyword density, content quality score, post title & heading, first paragraph, last paragraph and other content me keyword use karne ki tips and other bahut sare option milenge. Jo aapki post ko ache se optimize karne me help karta hai. I sure lagbhag har blogger is plugin ko use karta hai.
Second agar aap blogspot user ho to aapko keywords manually handle karne honge. Iske liye mai aapko yaha kuch point bta raha hu. Jaha par aap keyword use kar sakte ho.
- Permalink me keyword use kare.
- H1 tag
- H2 Tag
- Meta title Tag
- First paragraph of the article
- Last paragraph of the article
- Bold, italic and other important words me keywords use kare.
- Image alt tag me target keywords use kare.
- Meta description me Keywords use kare.
Yaad rahe aapko post content me 1-3% hi keywords use kanre hai or keyword stuffing ko avoid karna hai. Mai aapko suggest karunga ki aap post ke starting or end me main keyword jarur use kare sath hi post me long tail keywords bhi use kare apni post ki searh rank ko or behtar banaye.
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike
- SEM Kya Hai? Search Engine Marketing Kaam Kaise Karta Hai
Finally, Aapko is post me keyword density ki useful & helpful information milegi. Agar aapko meri koi bat samajh nahi aayi ho to aap comment me uske bare me puch sakte hai or agar aapke pas iske bare me koi or janakri hai to aap comment me apne thoughts share karke humare reader ki help kar sakte hai.
I hope aapko ye article pasand aayega or keyword density ke bare me behtar jankari milegi. If really, then share this post on social media with your friends.
pramod
aapne shi bataya h keyword density k bare me.
mane 1 blog par padha h 4 % likha tha.
thanks.
Harpreet Kumar
Nice post bhai. Serps me high ranking position banane ke liye keyword density seo ka bahut important factor hai. Har ek blogger ko ise dhyan me rakhkar hi new post likhni chahye.
paresh
hello sir ji,
maine kuch dino pahele aap se pucha tha ki Ribbon theme me side bar, aur header ka background kaise badlna chahiye, shayad aap ne replay kiya hoga par mujhe vah comment mil nahi rahi hai, kripiya fir se yaha par uska replay de dijye taki mai aap ki site ki tarah Side bar aur header section ko white background de saku,
mera dusra saval fetcherd image ki size ke bare me hai, Ribbon theme me Fetched image ka size change karne me dikkat ho rahi hai, page ke andar ka to muje malum hai, par website ke main dashboard par full size kaise kar sakte hai, uske bare me thodi information denge to aasani ho jayegi.
agar koyi plugin ho to bahetar rahega, kyu ki coding me gadbadi ki vajah se do baar me theme ka raam naam satya kar chuka hu. mere dono saval pe aap ke replay ka intzaar rahega. – Paresh barai
Jumedeen Khan
Aap blog dashboard me jaye waha ribbon ka option hai us par click kare yaha aapko backgorund color and baki features mil jayenge.
Iske liye aapko css coding and main index.php file me editing karni hogi. Iske bare me aap google me search kar lo koi english post mil jayegi.
Umesh Chavan
kya blogger pe kist unknown site se ane wali site ko block kar sakate hai kya
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho google analytics par uske ip address ko block karke.
Md Saban
Hello freinds, maine ShoutMeLoud par guest post kiya hai. Pls zarur dekhe…. aur mai supportmeindia ke liye bhi articles contribute karna hai.. bro aap apni fb id dijiye aur aap online kab rehete hain
Jumedeen Khan
Wlkm saban, aap mere facebook page par message kar lena mai aapko reply kar dunga.
Aamir ali
Bhai subah se aaj AdSense balance kaat rha hai subah 45 the or katkar 22 ho gye. Kahan mistake ho rhi hai kuch idea nhi ho rha. Haan ad code ko dono blogs ki all posts me add kiye the.
Jumedeen Khan
Aamir koi mistake nahi hai, Ye invalid click earning hai jo kam ho jati hai. sabke sath aysa hota hai.
mahendra kumar
Hello Sir, Maine apne blog me lables and title change kiya tha jisse alexa rank badh gyi or traffic bhi kam ho gya, kya aap bata sakte hain new lables google me rank hone me kitna time lagta hain.
Jumedeen Khan
isme 2-10 day lag sakte hai. Agar aapne blog ki SEO setting sahi se ki hai to isme kam time lagta hai.
vikram
sir bounce rate kya hai..or ye kitni honi chahiye ?
Jumedeen Khan
Vikram aap yah isawal search box me search karte to aapko iska jawab mil jata, ye post padho Bounce Rate Kya Hai Iska Kya Matlab Hota Hai Ise Kam Kaise Kare
Sanjay
Eid Mubarak Jume deen bhai & Good luck for all Supportmeindia users !
Jumedeen Khan
Thanks sanjay.
nikunj
Sir mai WordPress pe author pe khud ki pic upload nhi kr pa RHA hu kya gravatar ke alawa koi or trike se mai apni khud ki pic author me upload kr skta hu ????
Jumedeen Khan
Nahi or koi way nahi hai aap jab gravatar me apni photo set kar doge to uske kuch time bad aapki image WordPress par show hone lagegi.
Ajay Soni
Hello jumedeen bhai,Main apse ye janna chahta hoon mere AdSense ko approve huye 11 din ho gaye hai ,aur meri earning 11 din me lagbhag 200$ ke something hui hai (per day 19$) ,but galti se mujhse address galat dal gaya hai ,ab main dusri pin ke liye jab address change karunga to kya mera balance jo bhi collect hoga tab tak bo mujhe milega ya nhi bhai,main confuse hoon.
Jumedeen Khan
Ha bilkul milega, Ab aap AdSense par payment address change kar sakte ho.
Ajay Soni
Thanks brother,Btw eid mubrak ho aapko.Aapse ek request hai ki aap please meri site ko check kar lijiye aur ye bata dijiye ki AdSense ads sahi position par lage hai ya nhi.Kyonki perday 5000 page views par main sirf 19$ kama pata hoon perday.Main aapki tarah earning karna chahta hoon
Jumedeen Khan
Thanks ajay, aa[pne ads sahi lagaye hai, Bro AdSense earing aapke pageviews par nahi aapke reader par depend karti hai. Jin logo ko AdSense ke bare me pata hota hai wo kabhi ads par click nahi karte aap search engine se jyada traffic pane ki koshish karo income badh jayegi.
GURPREET
hello bhai jan maine apni site ko google search console main dala hai vo verified hai,,, sitemap main ik hi site main dalana hai ya jo 4 yoeast seo banata hai vo 4??
abb yeh ki main har roz post dalta hun vo google main aye us ke liye ,,,,,kya karana hoga ,,,, please suggestion
Jumedeen Khan
Aap sitema, post sitemap, page sitemap hi submit karo.
surendra rsdp
hello bhai Mai abhi Website me Se Comment form me Se Website url wala opation remove kar diya jiski codeing ( get_comment_author_link()) ?> ) Yeh hai .
ab iske baad Website me unable 500 Eroor aane Lag Gaya Aor Hostgator wale help nahi kar rahe hai . isko kaise fix karu
Jumedeen Khan
Aap hosting cpanel par jao or wp-content >> theme >> ur theme par jao or aapne jis folder me coding editing ki hai usme sahi coding add karo.
mohd sarfraz
hello sir kya sahi padega yadi main apne blogger blog ke sare postr ko wp par upload na karke balki use waha par new post bana kar publish karu. q ki hamara blogger blog abhi penlty me hai
aur sir kya blogger blog penalty me ho aur wp par chale jaun to kya sir fir bhi hamara blog penalty me rahega. i hope aap samjha gaye honge mere kahne ka mean
Jumedeen Khan
Aapke blog ko penalty mili hai iski kuch wajah hogi. Jis post content ki wajah se aapko penalty mili hai use solve kar lo koi problem nahi hogi. Warna blogger ho ya WordPress same issue rahega.
Surendra rsdp
Aapne Bataya Hai Ki Density 3% Se Jayada Nahi Honi Chahiye Lekin Yoast Ke Anusar 2.5% Se Jayada Nahi Honi Chahiye
Jumedeen Khan
Surendra aap galat samajh rahe hai maine 1% to 3% btayi hai. Yani maximum 3% 1-3 ki average yani 2 ya 2-5%.
rajeev
sir post ke liye photo kaaha se download karu. mai heath yoga ye sab post dalta hu.
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ke Liye Photo Download Karne Ki Top 15 Websites
Rohit singh
Bhaiya mera aap se yeh question hai ki jaise maine hostGator se hosting li hai. Or agar hosting khatm ho jati hai. Toh kya maine jo post me photo,content,vedio upload ki hai vo bhi hat jayegi?
Jumedeen Khan
Hosting expire hone ke bad aapka plan hosting par se delete ho jayega or aapki site open honi band ho jayegi. Uske bad aapko hosting se backup data lena hoga or fir se hosting le kar blog bana kar data usme upload karna hoga.
Asween
Very good post Sir Ji
You are my teacher in blogging
Himanshu
Bro me jab bidvisitor ke ads code blog me lgaker verify karne ki try karta hu to likha aata hai website can’t be verified bidvisitor code not found jabki mane blog me ads ka code laga bhi dia fir b asa likha ata he iska kya solution he
Jumedeen Khan
Aap bidvertiser verification code sahi se add karo.
Abdul Razzaq
Salam bhai mjhy ye pochna hai keh agr YouTube pe hmara AdSense approved ho chuka hai to kya hum ussi account ko blog pe use kr skte he agr haa to kese
aur blog pe kum se kum kitne articles hone chahye
iss k ilawa blog kitna old hona chahye
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho aap ye post padho YouTube se bane AdSense account se blog par ads kaise lagaye