What is SEO Kya Hai / Search Engine Optimization in Hindi post me maine aapko SEO ke bare me btaya tha. Aaj is tutorial me hum bat karenge ki SEM yani search engine marketing kya hai. Ye kaam kaise karta hai or aapke blog ke liye iski kyo jarurat hoti hai. Iske kya kya benefit hai sabki full information hindi me.
SEO (search engine optimization) ka matlab hota hai search engine se free traffic receive karna or SEM (search engine marketring) ka matlab hota hai search engine se paid traffic receive karna.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
- Blog Par New Post Content Likhe Bina Traffic Increase Kaise Kare
SEM (Search Engine Marketing) Kya Hai?
SEM (Search Engine Marketing) is the process of gaining website traffic by purchasing ads on search engines.
SEM ka matlab hota hai “Search Engine Marketing” jise search marketing bhi kahte hai. Yani search engine ads se paid traffic prapt karna. Simple bhasha me search engine me show hone wale ads results SEM activities hoti hai. Ise is tarah samajha ja sakta hai.
- Paid search ads
- Paid search advertising
- PPC (pay-per-click)
- PPC (pay-per-call) – Mobile search users ke liye.
- CPC (cost-per-click)
- CPM (cost-per-thousand impressions)
SEM Ki Basic Information:
Google adwords most popular paid search platform hai. Search marketers search results me apne ads dikhane ke liye google adwords ka sabse jyada istemal karte hai. Adwords sirf google me hi nahi balki bing or yahoo me bhi paid advertisment ads offer karta hai. I mean aap google ke sath bing and yahoo me bhi apne ads dikha sakte ho.
Iske alawa, Aapko yaha “2nd tier PPC platforms” PPC advertising ads option milenge. Jinse aap paid traffic kama sakte ho. Aap SEM search engine marketing ke bare me video se samajhana chahate ho to google ka Insights on the AdWords Auction video dekh sakte ho. Google ne is video ko 2014 me share kiya tha.
Search engine marketing ek very broad term hai jiski bahut si different activities hai. Jaise:-
- Search engine optimization (SEO)
- Search retargeting
- Submitting sites to directories
- Managing paid listings in search engines (primarily pay per click, or PPC) Describing the development of many different online marketing strategies
- Social media marketing
Mai iski garantee nahi deta but SEM ki activities upar diye gaye topics se related hi hoti hai. In simple language, Search engine marketing kuch bhi ho google, bing & yahoo me aapki site ki search rank ko increase karne or site par search traffic badhane me aapki achi help kar sakta hai. Halanki ye paid hai. But 70% online marketers apne business ko badhane ke liye SEM use karte hai.
Aap jab bhi google me koi keyword search karte ho to left side me search result show hote hai. Uske right side or first me jo paid advertisement results hote hai. Wo sab SEM activities hoti hai. Ye tabhi show hote hai jab aap koi certain keywords search karoge.
Kya Blog Ke Liye SEM Ki Jarurat Hoti Hai
Agar aap hobby website, family group site ya fir personal site jo sirf aapke friends of friends tak simit hai chahalte hai to aapko search engine marketing ki koi jarurat nahi hai. Sath hi agar aap koi blogger hai or ayse advertisment program use karte hai jo paid traffic allow nahi karte jaise google AdSense to bhi aapko SEM ko use karne ki koi jarurat nahi hai.
But lekin agar aapke pas koi business website hai ya aap profitable blog ke founder hai or online marketing karna chahate hai. Sath hi aaap kam time me apne business ko increase karna chahate hai to aapko SEM ki jarurat hai. Wakai ye aapke online business me 4 chand laga sakti hai. 2009 me paid advertising ads par $13 billion pay hote the jo ki 2014 me dugne $26 billion se bhi jyada hone lag gaye hai. Or is time ho sakta hai ye 30 million dollar se bhi jyada ho.
- 10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Pata Hona Chahiye
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye & Secret Tps
I hope SEM search engine marketing ke bare me aapko ye post pasand aayegi. So plz ise social media par share jarur kare.
Vikram Chouhan
Thanks for sharing such a great information about SEM. Keep sharing these type of blogs.
sonia
Dhanyawad ye batane ke liye . ye mere liye bhout sahi hai .
Ramesh Singh
very nice and helpful jankari hai ji thanks for sharing
Rahul Dev
Hi
Khan Sahab Bahut Achha Articles Hai.
Maine Poora Read Kiya.
Ek Baar Me MEre Dimaag Me Aa Gaya
Aise AUr Articles Publish Karte Raho
Thank You
Keep It Up
Govind prajapat
Sir Maine apni website ko Google search console me submit kr diyA or sitemap bi bna liya . but mai apni website ko social media pr kaise public kru
Or mai Google AdSense k liy apply kab kr paunga
Jumedeen Khan
Apni site me social share button add karo or site ki posts ko social media par share karo.
ravinder
Sir may seo PR kam krta hu PR sir meri website increase nhi kr rhi kya ap mujhe bta skte ho ki meri site kaise increase hogi or site ko first page PR lane k liye kon se link thik rhte h
Jumedeen Khan
First aap SEO ko sahi se samajho fir apne articles ko optimize karo tab post top me aayegi.
abhi
Bhai maine apne blog par copy content likhe the ab maine sab delete kar diya ek nahi delete kiya ‘cpc rate kaise badhaye’ kyoki wo first page par aa raha tha isse koi problem hai.aapne coding kaha se aikhi hai
Jumedeen Khan
Use bhi delete kar do warna jab uske bare me post admin ko pata chalea to wo aapki google ko report karega. Jisse aapki site google se hi remove ho jayegi. Second copy paste karoge to AdSense disapproved ho jayega.
namdev
Sr maine apka link dala h post me ek bar chack krke bta do kya isi tarah mai baki k link bhi use kr skta hu or template thik h ya nhi thoda sa guide kar do
mai abhi blogger pr hu
Jumedeen Khan
Ha aap is tarah kisi ke bhi link post me add kar sakte ho. Aap blog me koi achi template use karo jisme homepage par post ki only summary show hoti ho.
namdev
Sr agr free photo site se image downlod krke or us photo ka url change krke khud ka koi title dekr blog me use kru to kya copyright se bacha ja skta hai
or agr khud photo bnata hu to time bhi lgta hai or acha look bhi nhi de paata
help me
Jumedeen Khan
free photos stock wali site ke photo ko aap direct bhi use kar sakte ho bina edit kiye copyright nahi hoga.
vivek
bhai mera AdSense kal aprrov ho gya par ..AdSense opena mini me show nhi karta hai ..
baki mobile ke chrome.Mozilla,or pc sab par karta hai par
aapka ads openamini me Bhi show karta hai bhai
Jumedeen Khan
Aapka bhi karega. Aap bas opera ka latest version use karo.
malik
bhai kya ham tabola ke ads apne blog me google AdSense ke sath laga sakte hai
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
Yashvant Sharma
sir ji Google AdSense ke liye Apply kab karna chahiye aur kese karna chahiye plz help me……..
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Rashid ansari
hello sir mere paas payment karne ke liyein debit card ya net banking nahin hai plz aap mujhe domain name khareedkar dijiye mein aapke account mein paise daal doonga
Jumedeen Khan
Aap bank account khulwa kar new debit card le sakte ho.
vivek
bhai report karne se Hamari post ko koi nuksan to nhi na hoga bhai ….khi meri post delete to nhi na ho jatega
Jumedeen Khan
Nahi agar aapki post usne copy ki hai to koi problem nahi hogi.
vakil shaikh
9 month ho gaye jumedeen bhai aapki vajah se mera sapna pura ho raha hai.
vakil shaikh
jumedeen bhai aapki fb id bataiye muje mil nahi rahi hai mai aapko massage kar raha hu fb per vahi jagah per aapke contact form me information send kar raha hu.
Jumedeen Khan
Aap mujhe facebook.com/iamjdk par contact karo.
vakil shaikh
jumedeen to aap kharidkar rakhiye domain muje chalega 599 me domain mai aapke account me paise daal duga yaha hava pani ke vajah se line nahi hai isliye charging nahi hai mobile me aap purchase kijiye bhai. aapka bank account send kijiyega jumedeen bhai…
Jumedeen Khan
Ok aap mujhe apni gmail id or password facebook par bta dena. Ho sakta hai rs99 me hi domain mil jaye.
Murari Kumar
bhai me asa kya karu ki feature image na dikhe post ka image dikhe post par koi pluging hai kya
Jumedeen Khan
Aap feature image option me wo image choose kar sakte ho jo aapko dikhani hai.
prashant
jetpack install karne ke baad automatic install hota hai ya hume self karna pdega
Jumedeen Khan
Automatically nahi hoga aapko karna hoga.
vijay panara
Jdk sir ek baat samj mai nahi aati hai ke 1) google Keyword Planner kaya hai or 2) in ko kaise use karte hai or 3) in ko use karne ke liye koi account banana padta hai
Jumedeen Khan
google keyword planner ek tool hai jis par aap keyword search kar sakte hai. nahi is par aap apni gmail id se log in kar sakte ho iske bare me ye post padho Google Adwords Keyword Planner Tool Kaise Use Kare SEO Ke Liye
Tushar Chauhan
bro ye home page ki featured image aap jaisi kaise banau kuch bta dijiye maine style.css mai bhi jake dekh liya kuch tips de dijiye. mere ko iska answer dhundte dhunte 1 mahina ho gya hai lekin answer nhi mil rha h.
Jumedeen Khan
Iske liye aapko theme ki index.php or style.css ki bahut sari coding set karni hogi.
Tushar chauhan
Bro kya karna h m tyar hu mujhe ati h thodi bhut coding maine ki bhi h
Jumedeen Khan
Sorry tushar mai coding me aapki help nahi kar sakta.