What is SEO Kya Hota Hai? SEO Kya Hai, Search Engine Optimization Ki Jankari Hindi Me SEO Full Guide in Hindi, SEO Ki Puri Jankari Hindi Me. Website owner or blogger ko SEO yani Search Engine Optimization bare me basic information hona bahut jaruri hai. SEO ko jane bina aap apne blog par search engines se quality traffic receive nahi kar sakte. To chaliye aaj mai aapko iske bare me details se btata hu ki ye aakhir hai kya or kaam kaise karta hai.
Maine SEO ke bare me 100+ articles likhe hai. Jinme iske bare me details se bahut si tips btayi hai. Aaj is tutorial me aapko btane ja raha hu ki SEO kya hai or ye kaam kaise karte hai. Website ko SEO optimization ki jarurat kyu hoti hai.
- Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
Actually SEO koi bahut kathin path nahi hai jise samajha nahi ja sake. Agar aap iske bare me carefully padhenge to mera manna hai ki ye 3 words ka lession aapko 1 day me yaad ho jayega or fir aapko iske bare me puri information hogi.
Bas jarurat hai to is lession par ache se focus karne ki jo aap ya mai koi bhi kar sakta hai.
Table of Contents
SEO Kya Hota Hai – Search Engine Optimization Ki Jankari
SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yani apni site ko search engine se adhik traffic pane ke liye optimize karna. Ise is shabdo se aasani se samajha ja sakta hai.
SEO stands for “search engine optimization.” It is the process of getting traffic from the “free,” “organic,” “editorial” or “natural” search results on search engines.
Iska hindi matlab hota hai search engine se free, organinc and natuaral traffic pane ke liye apni site content ko optimize karna. Simple bhasha me site par aysa content likhna jisse search engines result me humari post achi position me show ho or hume search se jyada se jyada traffic mil sake.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- 10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Pata Hona Chahiye
Google, Bing, Yahoo jaise sabhi search engines me logo ke contnet show hote hai or ye log ek nahibahut sare hote hai. Pahle internet par bahut kam wensote blog hote the but ab duniya kar har teesra aadmi internet use karta hai. Isliye internet par ab millions website blog mojud hai.
Un sabhi me se search engine unhi logo ki post ko first rank me show karta hai jinki posr search engine friendly ho. Yani search engine optimization karke likhi gayi ho.
Video: SEO Explained
Agar aap SEO ke bare me bilkul new hai or ise ache se or kam time me samajhna chahate hai to aap yaha par iska video dekh sakte hai. Is video me search engine optimization ke bare me details se btaya gaya hai.
Ye video search engine land channel se liya gaya hai jo officially SEO ke liye hi video bana kar explain karke work karta hai. Is YouTube channel par aapko Search Engine Optimization ke bare me or bhi bahut videos mil jayenge.
Website Ko SEO Ki Jarurat Kyo Hoti Hai?
Aap internet par online koi bhi business karte ho aapko har online business me visitors (customers) ki jarurat padti hai. Or aaj ki duniya me search engines jaise googe, Bing, Yahoo and Ask most important dactor ban gaye hai. Inke bina online business ko success banana bahut mushkil kaam hai.
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike
- Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips Video SEO
Suppose kijiye aap ek website owner hai or affiliate product sell karke ya google AdSense jaisi advertising service use karke earning karte hai to aapko organic traffic ki bahut jarurat hai.
Kyuki aaj har koi sabse pahle search engines me apna topic search karta hai. Success online business karne walo ka kahna hai ki direct aane wale traffic se search engine se aane wale traffic par jyada sell hoti hai.
- SERPs Kya hai? SERP Performance Increase Karne Ki 5 Tips
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
Agar aapki site par 10,000 direct traffic hai or aap daily $100 kamate ho. Wohi aapki site par agar 5,000 yani 50% traffic search engines se aata ho to aap per day $100 to $500 earn kar sakte ho. Ab ye bat clear ho gayi ki website blog ke liye search engine traffic bahut jaruri hai.
Now, Search engine se traffic pane ke liye aapko SEO ko follow karna jaruri hai. Yani ki aapki site ke liye Search Engine Optimization most important hai.
Basically SEO process 2 type ki hoti hai On Page SEO and Off Page SEO
1. On Page SEO:
Ismke antargat (under) Website speed, Title tag, Meta description, Keyword Dencity, Hedden content, Image alt tag, Internal and external links, URL structure, Bold important keywords, Responsive website deisgn, Post heading, Post length and sitemap optimization aate hai.
Maine iske bare me On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques post me full details me btaya hai. Aap is post ko ek bar jarur padhe.
2. OFF Page SEO:
Off page SEO me Search engine submission, Use keywords in post, Bookmarking your website, Directory submission, Use google plus to boost your site traffic, Use twiiter and other social media sites, Use question answer form, Slide share, Blog commenting or Guest post use karna hota hai.
Isme sabse important factor hota hai Backlinks. Aapki site par jitne jyada backlinks honge google ki nazar me aapki site ki utni hi reputation hogi.
Finally, SEO search engine optimization ke bare me or adhik jankari ke liye aap supportmeindia blog ki SEO se related post adhiye. I promise aapko iske bare me puri jankari milegi. Iske alawa mai is blog par mostly search engine optimization ke bare me hi article publish karta hu.
Agar aap humari future post padhna chahate hai to abhi humare blog ko subscribe kar sakte hai. Ya fir aap chahe to hume social media par follow kar sakte hai.
Isse hum jab bhi apne blog par koi new post share karenge to aapko humari social profile par uski notification mil jayegi.
- Keyword Stuffing Kya Hai aur SEO Ke Liye Kyu Danger Hoti Hai
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai SEO Guide
I hope aapko is post me SEO ke bare me achi information mili hogi. Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par dusre logo ke sath bhi jarur share kare.
Anurag Yadav
Aapka post bahut pasand aaya, Dhanyawad.
Arti Choudhary
Your post was very informative and you have explained each point in detail that is beyond helpful. I definitely learned many things and it definitely motivates me to explore niche blogging in the near future.
Johan Alex
I am very impressed with your post because this post is very beneficial for me and provides new knowledge to me.
pratibha singh
Bhut achi jankari di sir
Gaurav Patyal
very nice post thank you for share this
nitesh
bahut hi badhiya post. thanks for sharing.
pawan rai
seo ke bare me aapne bahut aacha se batya hai .. Sir pleass backlink ke bare me aache se bataye apni basha me ..
Niranjan N
Sir mera sawal is tarah hai.
१. Post me H2, H3 kitni bar use kare
२. post me H4, H5 kitni bar use kar sakte hai
जुमेदीन खान
1. और 2. जितनी जरूरत है उतनी बार Heading tag इस्तेमाल करो,
H2 – मैन टाइटल के लिए
3. 4-5 बड़े टाइटल के लिए
4. 5-10 बड़े टाइटल के लिए
5. or 6. इसकी जरूरत बहुत कम पड़ती है
amit tiwari
bahut hi achaa information diya hai apane sir aap ese hi blogs likhate rahiye taki ham sab ko achi information seo ke baare me milati rahe . thank you
Usman Saghir
Good work support me india
Gaurav patyal
Nice update with good source of information. Thanks for sharing
Dharmendra Yadav
Seo ko bahut achhi jankari di hai aapne par mujhe ek aur bat janni hai ye black hat aur white hat seo kya hota hai.
seo kya hai aur ye kyu zaruri hota hai blog ke lie
Jumedeen khan
Iski jankari yaha hai, Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai
khukan miah
keep it up bro thanks muje bahut acha laga aapka post help full raha mere liye
mittu
good explanation about seo thank you so much sir sharing information
Mohd Faizan
Nice
Nice post thanks keep up good work..Your website is good
Amir
Bhai apne seo bahut ache se bataya hai aur iski kitni importance hai ye bhi ache se samjh me aa gaya hai.
Aakib javed
SEO ke bare me apna bahut ache SE jankari di hai.
Kya hum Apne site ko publish post or baad bhi SEO Kar sakte Hain.
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
Utpal
bahut hi acchi post likha hai..ek naye blogger keliye kafi helpful rahega.Thank you
David Pankaj
Sir Maine Ek Musical Upload Karne Wali website banai Hai to uska seo kaise Kare. Ye sab to blog ke liye Hai.
Jumedeen khan
Read our SEO articles.
Mahjabeen
Sir, seo ki jaankari ke liye thank you so much.
AMAN KUMAR SINGH
बहुत ही अच्छी जानकरी दी, नए ब्लॉगर इसे पढ़कर blogging में SEO की अहमियत को अच्छी तरह से समझ पायेंगे .
Himanshu
aapne bahut hi badhya information diya hai. Mujhe free email subscribe widget ki jarurat hai kaha milegi.
Jumedeen khan
Blog Ke Liye Top 5 Email Subscribe Widget
Vikash Kumar Singh
Apne SEO ke bare me kafi achi jankari di hai. Thank you Jume deen ji.
sujit
Bhai mujhe यह जानना है कि वर्ल्ड प्रेस par self hosted वेबसाइट चलाने के लिए मोबाइल जरूरी है या लैपटॉप क्या हम अपनी वेबसाइट को मोबाइल से ही ऑपरेट कर सकते हैं
Jumedeen Khan
No desktop kafi hai.
Dharmendra Yadav
Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है की किसी website को कैसे हम गूगल के first page पर index करे और मुझे कुछ क्वालिटी backlink से related website के नाम जानना है ,कहा पर हम अपने website के यूआरएल को फ्री में submit करे की एक अच्छा backlink मिल सके.
Jumedeen Khan
Aap SMI ki SEO related post read karo.
Deepanshu Saxena
Sir mera ek sawaal h k jab hm kisi blog pr comment krte hein to us pr Website k option m apne blog k Homepage ka link daalna sahi rhta h yaa fir us article se related apni Post ka link..??
Jumedeen Khan
Homepage ka kyuki post ka link dekh kar site owner aapki comment ko ya fir us link ko remove kar dega.
Deepanshu Saxena
Jume Deen Sir…aapne bahut hi sundr tarike se yha SEO ko describe kiya h….
jab mene SEO k baare m study krna start kiya tha tb mene bahut se English blogs read kiye but mere concepts clear nhi ho paaye…aapke content m really jaan h.
Mene bhi SEO pr ek article publish kiya h…please btayiga k kaisa h
Yuva Thakur
Aapne Jaisa Ki Bahaut Saari Post Me Kaha Hai Semrush Se Keyword Search Karke Uspar Post Likho Lekin Mera Ye Jo Blog Hai Mein Is Blog Par WWE Ke Results Share Karta Hoon To Fir Main To Koi Keyword Search Karke Post Nahi Likh Sakta kyunki Mujhe To WWE Show Ke Naye Naye Results Daalne Honge To Ab Aap Mujhe Please Ye Baat Batao Ki Main Apne Blog Me Bina High Ranking Keywords Use Kiye Apne Blog Par Traffic Kaise Lau
Jumedeen Khan
Iska solution main already Google Search Engine Me Top Rank Pane Ki 3 SEO Tips post me bta chuka hu.
Vikas
Good Blog Friend
Avinash Chauhan
Hello Jume Deen Khan,
Meri site ek saal purani hai. jisme almost 46 post daal chuka hun par abhi traffic kafi kam mil raha. main SEO ke bare me bhi padh raha hu. but mujhe ye nahi pata ki mujhe acchhe traffic ke liye kis cheej par kaam karna chahiye. isliye aapse ek request hai. kya aap meri website ko ek baar dekhkar mujkhe yah suggest kar sakte hai ki mujhe kis cheej par dhyan dene ki jarurat hai.
aur apke liye ek advise hai.. maine aapki bahut sari post padhi hai. You have a good command in SEO. Isliye kyon na aap paid services provide karne by phone and by email. agar rate theek honge to new bloggers ko kam paise achhi information mil jauyegi. aur aapki bhi income ho jayegi. Thanks…
Jumedeen Khan
Aapki site me koi kami nahi hai bas aap kam likh rahe ho ek year me only 46 post, site or content dono achha hai aap sirf regualr update ke sath site ko promote karo.
Thank you avinash but abhi main iske liye ready nahi hu.
Avinash Chauhan
Thanks Jume Deen, Apki is useful advise ke liye..aap ki is advise ne mera confusion door kar diya hai. ab main blogging par theek se concentrate kar Paunga. Thanks a lot Bhai.
Anoop negi
Bhut achi jankari d sir…!! Mere blog ke social share button size me bhut chote hai..!! Me unko bda kese kar sakta hu..!! Or mujhe whatsapp share button bhi add karni hai. !!
Jumedeen Khan
CSS coding se.
anjali kumari
nice article, can u tell more about what is black and white hat seo ?
Jumedeen Khan
Why not check here Black Hat SEO Vs White Hat SEO Ki Jankari
Jalaj Pandey
Nice post Bhai… Newbie bloggers ke liye bahut accha h..
Neeraj Mishra
Hi very helpfull artice
Thanks for sharing keep it up Good work
Manish maharshi
seo k bare me aapne bahut acchi jankari share ki bro maera ek sawal kya ham high da pa blog par comment kare to hame dofollow backlink milega
Jumedeen khan
backlink milega ya nahi ye aapki comment qulaity par depend karta hai.
Mohammad Hasan
sir me ye puchna chah rha tha ki SEO ko sikhne me kitna time lagega or SEO sikhne ke liye English ka hona jaruri he mtlb mujhe parfect english to nhi aati lekin thodi tooti footi aati he bhot kam isko sahi krne ke liyte kya karu
Jumedeen Khan
Kitna time lagega ye aap par depend karta hai. Ab hindi blog par bhi SEO ki jankari mil jayegi.
Md Parvej Ansari
Jumedeen Bhai kamal karte ho yar aap….hindi me achhi achhi jankari deto ho yar…aur aaj seo ke bare me padh ke to aur bhi like karne laga hu apka website ko ,,,,thanks bro aise information share karne k lia
ajay gupta
sir bahut hi achhi jankari hai
mere blog me phle se kuch social share bution add hai lekin vah simple hai aur size me chota hai
me usko size me bada karna chahta hu aur colorful banana chahta hu kya ho sakta hai to bataie
Jumedeen Khan
share button ki css coding ko edit karke size bada akr sakte ho. aapko height or width change karni hai.
Anil Chopra
aapne es ek post mai hi bahut saare points ko cover kr diya …Thank you sir for such a nice post
Farkhana Iqbal
Amazing Bhai.. Very well explianed. Thank you for this awesome SEO Info. God Bless you
Jandail
matlab kya kya kami hai ?? plz batao me thik kar lunga bhai
Jumedeen Khan
Aapke blog par content traffic kuch bih nahi hai. Aap blog par badhiya post likho or search engine se traffic badhao.
Jandail
AdSense ka msg aaya hai bro samjhana jara. 2nd site ke liye.
Jumedeen Khan
Message me likha hai ki aap site ko pahle complete kar le uske bad hi AdSense ke liye apply kare abhi aapki site AdSense ke layak nahi hai.
ARVIND SINGH
भाई आप के पास send करने के बाद आप बताएँगे नही क्या ऐसा कैसे ठीक
Jumedeen Khan
Main aapko jaldi hi reply kar dunga. Please wait.
अरविन्द सिंह
भाई मै google search console में जाने के बाद मै google index में जाने के बाद index states पर क्लिक कर रहा हु तो उसमे
1-total indexd -1
2-BLOCK BY ROOTES -9
3-REMOVED -0
लिख रहा है इसका क्या मतलब है
Jumedeen Khan
Iska lmatlab hai ki google me aapki 1 post index hai or 9 url aapen robots.txt file galat use karke block kar rakhi hai. Iska reason hai aapka blogger me galat meta tag use karna. Aapne blog me jo head ke liye meta tag add kiya hua hai uska screenshot mujhe send karo.
अरविन्द सिंह
भाई मेरा ब्लॉग चेक कर के बताये की यह SEO FRENDLY है या नही
Jumedeen Khan
Nahi hai aap SEO terms read karke post likhna sikho.
naresh
Sr humko Google mese koy image
Leke edit karke hamare post me
Dalte hai to kya vo seo friendly
Hoga matalab hum whatsapp ke
Bare me post likhte hai or hamko
Whatsapp ka image chahiye to
Hum whatsapp ka image Google
Se leke edit karke postme
Dalege to kya vo slega or vo
Seo friendly hoga or
Sr humjo post likhte hai
Usme humko first image hum jiske
Bareme likhte hai uska hona jruri hai
Jumedeen Khan
Aap google se image download kar use kar sakte ho. But wo copyright ho sakti hai.
Adil
bhai ek question site ka url kaise better hai matlab agar maine apni site secure karne ke liye apni site ka url kuch is trah rakha hai ..for example
1– https://www.supportmeindia.com/seo.php?seoid=18
or
2– https://www.supportmeindia.com/seo.php?seoid=what-is-seo
dono me konsa thk hai 1st wala mera hai jo maine apni site ko secure karne ke liye banaya hai isme ek hi page par se sare post search hojayenge
ya second .. agar 1st use kare to koi problem. to nahi hogi
seo se search engine se if you know tell me
Jumedeen Khan
Seo ki nazar se dono bekar hai sahi url ye hai https://www.supportmeindia.com/what-is-seo.
Nilesh verma
Hello sir…mera el sawal hai apne blog ke article ko kaise cheke kare ki wo SEO friendly hai ki nahi…??
Jumedeen Khan
Kisi bhi oline keyword analyzer tools se kar sakte ho.
ASHOK SAINI
Aapne abhi mere Email ka reply nahi kiya please ek bar read karlo na. Please Ungent hai. regarding Adsense issue. Maine abhi bhi apko again forward kiya hai, Please Reply karo na…..
Jumedeen Khan
Mujhe aapka mail milega to hi mai aapko reply kar sakunga. Mujhe aapka koi mial nahi mila hai.
Sankrit Singh
Apka ye article har new blogger ke liye bahut hi important hai, vaise bhi apki intni jaldi ke pichhe apki kadi mehnat ka fal hai,
Apke website se kai nahi blogger ko aage badne ke liye prarit karta, Vaise bhi hamari bhi site apke sath hai.
kuldeep Raghuwanshi
mene blog par categories bana li hai ab unpar post kaise dalu
Jumedeen Khan
Aap new post likho or post edit option ke right sidebar me category choose karo.
Harpreet Kumar
bhai apni old posts ko updated karke publish karne ke baad kab tak search engine results me update hoti hai .?
Jumedeen Khan
Ye aapki post content par depend karta hai. Post content jitna unique or original hoga utni jaldi search ne aayegi.
Manish
Sir kya aap please ek post likhenge jisse please aap batayenge ki hame search description me kya likhna change aur kaise kitna words use karna change ye sab please.
Jumedeen Khan
Ye post padho Post Me Search Description kaise add kare
Manish
Sir maine ek post apne blog se delete kar diya phir uss post ka link bhi baki post se nikal liya hai.To ab muje kuch aur bhi karna chahiye kya sir ?
Jumedeen Khan
nahi or kuch nahi karna hai bas uska link aapke blog par kahi nahi hona chahiye.
Manish
Sjr lekin maine uss post ko search console ki madad se crawl kiya tha to usse kjch hoga kya ?
Jumedeen Khan
Manish aapse kah chuka hu ki bas aapki site par uska link nahi hona chahiye kuch problem nahi hai.
surendra rsdp
bahi Maine Ribbon theme ko 4-5 reinstall kiya lekin Meta wedget usme show hota hai aor Ab maine usko remove karke Ab ” MH Magazine Lite ” Theme Ko Setup kiya hai . Mujhe thora iske baare me batao ki Yeh SEO optimize Hai Yaa Nahi .
Jumedeen Khan
a SEO friendly hai. Uski details check karo. Baki setting to aapko khud karni hogi.
Amit kumar
Hi bro
Kya aap directory submission; social bookmarking; press release bhi kerte Ho.
Jumedeen Khan
Abhi tak to nahi ki hai ha future me jarur karna chahunga.
masoom husain
Sir mene ek guest post send ki he internet bot ke bare me us post ko aapne publish nhi kiya
Jumedeen Khan
Aap pahle guest policy padh lo uske bad guest post karna.
vikram
help me !…..help me !
please meri koi help karo …kal mujhe facebook par sandeep name se friend request aayi thi maine usko accept kar liya ..lekin ab wo mere parivar ke bare me kuchh galat bol rah hai …mujhe iss id ke bare me puri information chahiye ki yah kon hai …koi mujhe bata sakta hai ki iski information kaise pta karu,,,,agar koi bhi meri help kar sakta hai to please meri help kro …main kal se bahut pareshan hu….please please please
Jumedeen Khan
Aapko uske bare me pata karna itna hi jaruri hai to uski report kar do. Sabkuch pata chal jayega.
himanshu
Nice iinformation
shahadatshetani indian
Thanks good information sir abhi tak 47 post me se 46 index hai google par but taraffic ka koi door tak nishaan nahi kya key word ka istemaal sahi nahi hai ya iski sabse badi jo mistaks hai uske bare mei giude karden meharbani
Jumedeen Khan
Bro aapko pahle bhi bta chuka hu ki aapka blog ek religion blog hai jisme log kam interest rakhte hai.
Manish
Sir aap jo income report dete ho wo sirf supportmeindia ki hoti hai ya aapke 3 blog ka hota hai.
Aur sir aapka iss mahine ka earning repoet ka mai wait kar raha hu.
Thank you.
Jumedeen Khan
Sirf supportmeindia ki report hoti hai.
Rakesh Kumar
nice tips bro we should spend more time on seo before writing a blog post, phir bhi har nlogger ko minimum seo ki jankari hona bahut jaruri hai ,
ishke bahut fayde ek to traffic organic aayega aur absence se earning karne mein seo ka aham rol hai kyu yaha user new hi milta hai.
thanks for sharing this.
riya shah
hi…. website ka permalink kaise create kare
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
riya shah
blog ya WordPress me nhi….website ki baat kar rahi hu….
Jumedeen Khan
Riya mujhe webiste ke bare me itna pata nahi hai. Aap khu site developer ho. Iske bare me aapko pata hona chahiye.
surendra rsdp
Ek Website hai Jis Par Jo paise wali themes hoti hai wo Iss Website par Free me Available hai Jise koi bhi Download kar sakta hai . Aaj mai Ek Themes ke baare me Search Kar raha tha jiski Original price $58 Hai . leki yeh toh bilkul free me mil rahi hai .
designWordPress.netyeh wo website hai jispar theme free milti hai .Toh kya yeh website legal hoti hai . aor inke paas jo theme hoti wo kya Original hoti hai yaa fir yeh koi Hacking script use karke Free me download karne dete hai .
Kya ese ho sakta hai ki kishi theme ko koi free me use karne de
Jumedeen Khan
Nahi ye website legal nahi hai. Jisme kisi ka nukshan ho wo legal work nahi ho sakta. Wese bhi agar aap iski theme use karoge to use update kaise karoge. Bina update ke paid theme bekar hai.
rohaan
mai soch hi raha tha seo ke bare me janne ki , thankyou brother for share your valuble article with us
Mahendra
bro apki Jo income hoti hai uske same hosting+domain mila kr total kitna expense hora hai?
Jumedeen Khan
Mahendra mera monthly office charge 15,000 se jyada hai.
ravi kumar
bhaiya mere blog pe ek alexa ka message aaya hai,is message me kuchh point hai jo samjaha nahi jaise..
Hi there,
If you are committed to making SEO work I’d love to help!
To help you make progress toward your goal, I thought I’d send you a few
Jumedeen Khan
Ye alexa ka nahi fake message hai.