What is SEO Kya Hota Hai? SEO Kya Hai, Search Engine Optimization Ki Jankari Hindi Me SEO Full Guide in Hindi, SEO Ki Puri Jankari Hindi Me. Website owner or blogger ko SEO yani Search Engine Optimization bare me basic information hona bahut jaruri hai. SEO ko jane bina aap apne blog par search engines se quality traffic receive nahi kar sakte. To chaliye aaj mai aapko iske bare me details se btata hu ki ye aakhir hai kya or kaam kaise karta hai.
Maine SEO ke bare me 100+ articles likhe hai. Jinme iske bare me details se bahut si tips btayi hai. Aaj is tutorial me aapko btane ja raha hu ki SEO kya hai or ye kaam kaise karte hai. Website ko SEO optimization ki jarurat kyu hoti hai.
- Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
Actually SEO koi bahut kathin path nahi hai jise samajha nahi ja sake. Agar aap iske bare me carefully padhenge to mera manna hai ki ye 3 words ka lession aapko 1 day me yaad ho jayega or fir aapko iske bare me puri information hogi.
Bas jarurat hai to is lession par ache se focus karne ki jo aap ya mai koi bhi kar sakta hai.
SEO Kya Hota Hai – Search Engine Optimization Ki Jankari
SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yani apni site ko search engine se adhik traffic pane ke liye optimize karna. Ise is shabdo se aasani se samajha ja sakta hai.
SEO stands for “search engine optimization.” It is the process of getting traffic from the “free,” “organic,” “editorial” or “natural” search results on search engines.
Iska hindi matlab hota hai search engine se free, organinc and natuaral traffic pane ke liye apni site content ko optimize karna. Simple bhasha me site par aysa content likhna jisse search engines result me humari post achi position me show ho or hume search se jyada se jyada traffic mil sake.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- 10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Pata Hona Chahiye
Google, Bing, Yahoo jaise sabhi search engines me logo ke contnet show hote hai or ye log ek nahibahut sare hote hai. Pahle internet par bahut kam wensote blog hote the but ab duniya kar har teesra aadmi internet use karta hai. Isliye internet par ab millions website blog mojud hai.
Un sabhi me se search engine unhi logo ki post ko first rank me show karta hai jinki posr search engine friendly ho. Yani search engine optimization karke likhi gayi ho.
Video: SEO Explained
Agar aap SEO ke bare me bilkul new hai or ise ache se or kam time me samajhna chahate hai to aap yaha par iska video dekh sakte hai. Is video me search engine optimization ke bare me details se btaya gaya hai.
Ye video search engine land channel se liya gaya hai jo officially SEO ke liye hi video bana kar explain karke work karta hai. Is YouTube channel par aapko Search Engine Optimization ke bare me or bhi bahut videos mil jayenge.
Website Ko SEO Ki Jarurat Kyo Hoti Hai?
Aap internet par online koi bhi business karte ho aapko har online business me visitors (customers) ki jarurat padti hai. Or aaj ki duniya me search engines jaise googe, Bing, Yahoo and Ask most important dactor ban gaye hai. Inke bina online business ko success banana bahut mushkil kaam hai.
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike
- Youtube Videos Par Jyada Traffic Pane Ki 7 SEO Tips Video SEO
Suppose kijiye aap ek website owner hai or affiliate product sell karke ya google AdSense jaisi advertising service use karke earning karte hai to aapko organic traffic ki bahut jarurat hai.
Kyuki aaj har koi sabse pahle search engines me apna topic search karta hai. Success online business karne walo ka kahna hai ki direct aane wale traffic se search engine se aane wale traffic par jyada sell hoti hai.
- SERPs Kya hai? SERP Performance Increase Karne Ki 5 Tips
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
Agar aapki site par 10,000 direct traffic hai or aap daily $100 kamate ho. Wohi aapki site par agar 5,000 yani 50% traffic search engines se aata ho to aap per day $100 to $500 earn kar sakte ho. Ab ye bat clear ho gayi ki website blog ke liye search engine traffic bahut jaruri hai.
Now, Search engine se traffic pane ke liye aapko SEO ko follow karna jaruri hai. Yani ki aapki site ke liye Search Engine Optimization most important hai.
Basically SEO process 2 type ki hoti hai On Page SEO and Off Page SEO
1. On Page SEO:
Ismke antargat (under) Website speed, Title tag, Meta description, Keyword Dencity, Hedden content, Image alt tag, Internal and external links, URL structure, Bold important keywords, Responsive website deisgn, Post heading, Post length and sitemap optimization aate hai.
Maine iske bare me On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques post me full details me btaya hai. Aap is post ko ek bar jarur padhe.
2. OFF Page SEO:
Off page SEO me Search engine submission, Use keywords in post, Bookmarking your website, Directory submission, Use google plus to boost your site traffic, Use twiiter and other social media sites, Use question answer form, Slide share, Blog commenting or Guest post use karna hota hai.
Isme sabse important factor hota hai Backlinks. Aapki site par jitne jyada backlinks honge google ki nazar me aapki site ki utni hi reputation hogi.
Finally, SEO search engine optimization ke bare me or adhik jankari ke liye aap supportmeindia blog ki SEO se related post adhiye. I promise aapko iske bare me puri jankari milegi. Iske alawa mai is blog par mostly search engine optimization ke bare me hi article publish karta hu.
Agar aap humari future post padhna chahate hai to abhi humare blog ko subscribe kar sakte hai. Ya fir aap chahe to hume social media par follow kar sakte hai.
Isse hum jab bhi apne blog par koi new post share karenge to aapko humari social profile par uski notification mil jayegi.
- Keyword Stuffing Kya Hai aur SEO Ke Liye Kyu Danger Hoti Hai
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai SEO Guide
I hope aapko is post me SEO ke bare me achi information mili hogi. Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par dusre logo ke sath bhi jarur share kare.
Nilesh verma
Hello sir…mera el sawal hai apne blog ke article ko kaise cheke kare ki wo SEO friendly hai ki nahi…??
Jumedeen Khan
Kisi bhi oline keyword analyzer tools se kar sakte ho.
ASHOK SAINI
Aapne abhi mere Email ka reply nahi kiya please ek bar read karlo na. Please Ungent hai. regarding Adsense issue. Maine abhi bhi apko again forward kiya hai, Please Reply karo na…..
Jumedeen Khan
Mujhe aapka mail milega to hi mai aapko reply kar sakunga. Mujhe aapka koi mial nahi mila hai.
Sankrit Singh
Apka ye article har new blogger ke liye bahut hi important hai, vaise bhi apki intni jaldi ke pichhe apki kadi mehnat ka fal hai,
Apke website se kai nahi blogger ko aage badne ke liye prarit karta, Vaise bhi hamari bhi site apke sath hai.
kuldeep Raghuwanshi
mene blog par categories bana li hai ab unpar post kaise dalu
Jumedeen Khan
Aap new post likho or post edit option ke right sidebar me category choose karo.
Harpreet Kumar
bhai apni old posts ko updated karke publish karne ke baad kab tak search engine results me update hoti hai .?
Jumedeen Khan
Ye aapki post content par depend karta hai. Post content jitna unique or original hoga utni jaldi search ne aayegi.
Manish
Sir kya aap please ek post likhenge jisse please aap batayenge ki hame search description me kya likhna change aur kaise kitna words use karna change ye sab please.
Jumedeen Khan
Ye post padho Post Me Search Description kaise add kare
Manish
Sir maine ek post apne blog se delete kar diya phir uss post ka link bhi baki post se nikal liya hai.To ab muje kuch aur bhi karna chahiye kya sir ?
Jumedeen Khan
nahi or kuch nahi karna hai bas uska link aapke blog par kahi nahi hona chahiye.
Manish
Sjr lekin maine uss post ko search console ki madad se crawl kiya tha to usse kjch hoga kya ?
Jumedeen Khan
Manish aapse kah chuka hu ki bas aapki site par uska link nahi hona chahiye kuch problem nahi hai.
surendra rsdp
bahi Maine Ribbon theme ko 4-5 reinstall kiya lekin Meta wedget usme show hota hai aor Ab maine usko remove karke Ab ” MH Magazine Lite ” Theme Ko Setup kiya hai . Mujhe thora iske baare me batao ki Yeh SEO optimize Hai Yaa Nahi .
Jumedeen Khan
a SEO friendly hai. Uski details check karo. Baki setting to aapko khud karni hogi.
Amit kumar
Hi bro
Kya aap directory submission; social bookmarking; press release bhi kerte Ho.
Jumedeen Khan
Abhi tak to nahi ki hai ha future me jarur karna chahunga.
masoom husain
Sir mene ek guest post send ki he internet bot ke bare me us post ko aapne publish nhi kiya
Jumedeen Khan
Aap pahle guest policy padh lo uske bad guest post karna.
vikram
help me !…..help me !
please meri koi help karo …kal mujhe facebook par sandeep name se friend request aayi thi maine usko accept kar liya ..lekin ab wo mere parivar ke bare me kuchh galat bol rah hai …mujhe iss id ke bare me puri information chahiye ki yah kon hai …koi mujhe bata sakta hai ki iski information kaise pta karu,,,,agar koi bhi meri help kar sakta hai to please meri help kro …main kal se bahut pareshan hu….please please please
Jumedeen Khan
Aapko uske bare me pata karna itna hi jaruri hai to uski report kar do. Sabkuch pata chal jayega.
himanshu
Nice iinformation
shahadatshetani indian
Thanks good information sir abhi tak 47 post me se 46 index hai google par but taraffic ka koi door tak nishaan nahi kya key word ka istemaal sahi nahi hai ya iski sabse badi jo mistaks hai uske bare mei giude karden meharbani
Jumedeen Khan
Bro aapko pahle bhi bta chuka hu ki aapka blog ek religion blog hai jisme log kam interest rakhte hai.
Manish
Sir aap jo income report dete ho wo sirf supportmeindia ki hoti hai ya aapke 3 blog ka hota hai.
Aur sir aapka iss mahine ka earning repoet ka mai wait kar raha hu.
Thank you.
Jumedeen Khan
Sirf supportmeindia ki report hoti hai.
Rakesh Kumar
nice tips bro we should spend more time on seo before writing a blog post, phir bhi har nlogger ko minimum seo ki jankari hona bahut jaruri hai ,
ishke bahut fayde ek to traffic organic aayega aur absence se earning karne mein seo ka aham rol hai kyu yaha user new hi milta hai.
thanks for sharing this.
riya shah
hi…. website ka permalink kaise create kare
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
riya shah
blog ya WordPress me nhi….website ki baat kar rahi hu….
Jumedeen Khan
Riya mujhe webiste ke bare me itna pata nahi hai. Aap khu site developer ho. Iske bare me aapko pata hona chahiye.
surendra rsdp
Ek Website hai Jis Par Jo paise wali themes hoti hai wo Iss Website par Free me Available hai Jise koi bhi Download kar sakta hai . Aaj mai Ek Themes ke baare me Search Kar raha tha jiski Original price $58 Hai . leki yeh toh bilkul free me mil rahi hai .
designWordPress.netyeh wo website hai jispar theme free milti hai .Toh kya yeh website legal hoti hai . aor inke paas jo theme hoti wo kya Original hoti hai yaa fir yeh koi Hacking script use karke Free me download karne dete hai .
Kya ese ho sakta hai ki kishi theme ko koi free me use karne de
Jumedeen Khan
Nahi ye website legal nahi hai. Jisme kisi ka nukshan ho wo legal work nahi ho sakta. Wese bhi agar aap iski theme use karoge to use update kaise karoge. Bina update ke paid theme bekar hai.
rohaan
mai soch hi raha tha seo ke bare me janne ki , thankyou brother for share your valuble article with us
Mahendra
bro apki Jo income hoti hai uske same hosting+domain mila kr total kitna expense hora hai?
Jumedeen Khan
Mahendra mera monthly office charge 15,000 se jyada hai.
ravi kumar
bhaiya mere blog pe ek alexa ka message aaya hai,is message me kuchh point hai jo samjaha nahi jaise..
Hi there,
If you are committed to making SEO work I’d love to help!
To help you make progress toward your goal, I thought I’d send you a few
Jumedeen Khan
Ye alexa ka nahi fake message hai.