Hi friends aaj hum bat karenge ek ayse android apps ki jiske bare me bahut kam log jante hai. Snapchat kya hai? ye kaam kaise karta hai, is par account kaise banaye or se apne online business me kaise use kare. Agar aap in sabhi sawalo ke jawab janna chahate hai to is post ko carefully padihye.
Bahut se log iske bare me janna chahate hai or iska istemal karna chahate hai. But unhe iske bare me sahi information nahi mile ki wajah se wo ise use nahi kar pate hai. Actually snapchat jyada popular nahi hai. But agar hum iska sahi istemal kare to ye humare online business me humari bahut help kar sakta hai.
Snapchat Kya Hai Aur Ise Apne Online Business Me Kaise Use Kare?
Snapchat photo and video messaging send karne ka ek application hai. Jise 2011 me launch kiya gaya tha. is par aap apne friends ko text, drawings, photos and video message send kar sakte hai. Is par send ki gayi photos, images and videos kuch unique time ke liye available rahte hai uske bad humesha ke liye gayab (disappear) ho jate hai. Agar aap chahe to screenshot le kar unka backup bana sakte hai. 2014 me snapchat par ek day me 700 million message send kiye gaye the.
Is apps ki instant popularity ko dekhte huye facebook ne ise $3 billion me kharidne ka offer diya tha. Snapchat ne facebook ke is offer ko accept nahi kiya uske bad facebook ne isse related apps Slingshot launch kiya jo ki failded ho gaya.
1. Snapchat Ko Koun Use Kar Sakta Hai?
Everyone, Koi bhi snapchat ko istemal kar sakta hai lekin ye toward teens and adults person ke liye jyada better hai.
Snapchat ko aap apne friends ke sath apne online business notification share karne, online chatting karne and other ayse work me use kar sakte ho jisme online photos or videos send karne ki jarurat hoti ho. Ye bhi baki social media apps ki tarah hi hai. Jis par aap apne friends ke sath online connect ho sakte ho or apne thoughts share kar sakte ho. Bas fark (difference) sirf itna hai ki dusre sabhi chating apps par aap kabhi bhi apne old message padh sakte ho but is par kuch time bad aapki chating history delete ho jati hai. Snapchat par video send karne or dekhne ki process jyada better hoti hai.
2. Snapchat Terms:
Jaisa ki maine upar btaya hai ki snachat par send kiye gaye message kuch time bad remove kar diye jate hai to aap iska time jarur janna chahate honge. Chaliye mai aapko yaha ye bhi bta deta hu ki iska time kitna hota hai.
- Photos and Videos: Snapchat se send kiye gaye photos and videos aapke friends sirf 10 seconds tak dekh sakte hai uske bad message automatically humesha ke liye delete ho jayenge.
- Reply: Agar aap kisi ke message ka reply karte ho to wo only 24 hours tak available rahta hai.
- Privacy: Snapchat par aap apne message private and publicly rakh sakte hai.
- Live Video Chating: Is par aap bina message bheje live video chating kar sakte hai.
3. Kya Snapchat Free Hai?
Yes, Snapchat photos, videos, text, and drawings send karne ka ek free apps hai. Ise aap Iski official website snapchat.com se free me download kar sakte hai.
4. Snapchat Work Kaise Karta Hai?
Ek bar aap apne mobile me snapchat apps ko downlaod kar install kar lete hai to uske bad phone ke camera ke sath iske option icon show honge. Jisse aap direct photos le kar ya video bana kar share kar sakte hai. Iske option aapko camera ke right side me mil jayenge. Jisme aap or bhi settings kar sakte ho.
Camera screen me niche bich me bhi iska icon hoga. Jise dabaye rakhne se video recording hoti hai. Agar aapko photo leni hai to aap is button par click kar sakte hai. Left side me iske icon par aapko ye pata chalta rahega ki kitne snaps unread hai. Yahi se aap live video chat kar sakte hai.
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
- Blog Me Font Awesome Social Follow Icon Kaise Add Kare
Finally, In sabke alawa bhi snapchat application me bahut sare features hai. Aap ise ek bar try karke dekh sakte hai. Really ye ek bahu badiya apps hai.
I hope aapko ye article pasand aayega. Agar ha to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Lavacow Magazine
Achcha baat, maiye Snapchat se kab se accused hoon. Par abhi kal post mein aise detail mein explain kiya, jisse main samajh gaya ki kya actual hota hai. Thanks for explaining it so well.
ANKIT GUPTA
Hello sir isme last seen show kaise hota hai plz help me
Sushmita
Mera snapchat open hokar homescreen par back ho jata hai.. Aisa kyu?
lovepreet
maine apni blog me bidvertise ke ads lagaye hai lekin ads show nahi ho rahi bidvertise ac bi veryfy ho gaya hai
Jumedeen Khan
thoda wait karo hone lag jayenge.
vinay
Isme face change kese karte hai.jese kisi celebreti ya ghost me..
Aryan
Bhai hum fir apne blog se AdSense ke code ko remove kar de ya laga rehne de
Jumedeen Khan
Tohde din ke liye hata do.
Aryan
Bhai maine abhi tak kisi ki bhi post kahi se copy paste Ni ki aur sari post apne words me likhi hai aur na hi maine hacking ki post dali hai Mai soch rha hu kya hum YouTube pe video upload karke YouTube se blog ka AdSense account approve karaye kya esa karna chaiye
Jumedeen Khan
Youtube se aap sirf hosted account bana sakte ho uske bad aapko AdSense blog se hi active karna hoga. Ek kaam karo kuch time like 10-20 dy badAdSense try karo.
Aryan
Bhai ji maine AdSense ko feedback bhi bejha aur help form me bhi apna questions submit kiya tabbhi muje koi response ni mila kya bhai koi aur tarika ni hai jisse hum AdSense active kar sake
Jumedeen Khan
Aryan koi na koi reason jarur hai jo AdSense aapko ignore kar raha hai. Ho sakta hai aapne past me koi hacking post ya copy pasting ki hogi. Sabse bada reason india me pahle hi AdSense ko approved karana mushkil tha or jab se AdSense hindi support karta hai. log bahut jyada chiting karne lag gaye hsi. Ise google hindi blog par bahut care karne lag gaya hai.
kunal
aapne apne spam mail me check kiya h. Ho skta h ki usme chala gya ho
Jumedeen Khan
Ok mujhe aapka mail milega to mai aapko reply kar dunga.
RajLaxmi singh
Kya isme followers following dusre log dekh skte hai
ravi kumar
aapne ek mail send ki , technical article, ke liye kya hua guest post ka
Jumedeen Khan
Ravi mujhe aapki koi guest post nahi mili.
vijay panara
Bhi mai domine le raha hu but msi bank of India ka debit card use kar raha hu to kaya mai BANK OF INDIA ka debit card use kar ke domon by kar sakta hu
Jumedeen Khan
Aap state bank of india yani sbi select karo ya aal debit card option select karo.
rupesh govardhane
hello sir mera ek saval hai h2 or h3 heading ko different styles mai kaise karte hai
Jumedeen Khan
Css coding se kar sakte ho.
sandeep kumar
Hello bro jab se maine apne site ko WordPress par se blogger se transfer kiya hai traffic bahut kam ho gya hai
Jumedeen Khan
WordPress ki complete setting karo. jaise permalink setting, features images, SEO setup sabkuch.
thakor naresh
Bhai mai godady par mobile se domine register kar raha hu or mai jub Plas yore order” par click karta hu to next page mai ye worrning likhi aati hai to kaise thik kare next step tak nahi ja pa raha hu..
To purchase product, enter a payment method with a different billing country/region and continue with checkout.
Product Restrictions
Sorry, but Microsoft Office 365 Email – FREE Month can’t be sold in your billing country/region. Either choose another payment method with a different billing country/region, or choose one of these options:
Remove Microsoft Office 365 Email – FREE Month and continue checking out.
Enter a new payment method.
Call support at 24/7 Support (480) 505-8877 for the email solution for your country or region.
Jumedeen Khan
Aap payment setting or address sahi choose karo. Ache se padh kar step follow karo.
anuj godara
kya hum iska use pc me kar sakte hai…
Jumedeen Khan
Nahi sirf mobile me kar sakte ho.
Kabir
Bro aapne jo Links ads apni post mein lagaye hain, uske liye aapne kis plugin ka istemal kiya hain. Kyonki maine bhi ab WordPress par website bana li hain. main ab yeh janna chahta hoon. Thanks aap sabhi ki bless se maine apni nayi website banayi hain, WordPress par. Abhi yeh utni zyada safal nahi hain, lekin main koshish karoong ki apni picchle blog se zyada rank is website ko koshish karoo. Maine Hostgator se hosting li, Hostgator ka baby plan liya. Toh kya yeh plan aur company acchi hain? Thanks bro….
Jumedeen Khan
Mai ads lagane ke liye ad injection plugin use karta hu. Ha hostgator ki hosting better hai.
pratima
Alexa renk roj change hute rahte hai kiya ?
Jumedeen Khan
Yes alexa rank daily ypdate hoti hai.