Google search engine se organic traffic pane ki bat ho ya google AdSense ko approved karane ki dono me google webmaster guidelines ko follow karna jaruri hota hai. Aapne iske bare me suna or padha bhi hoga. Yaha is post me mai aapko iske bare me full information bta raha hu ki webmaster guidelines kya hai or ye website blog ke liye kyu important hoti hai. Ise kyo follow karna chahiye.
Google webmaster guidelines ko follow karne se aapki website google ko aasani se mil jati hai, site ke content fast index hote hai and search rank increase hoti hai.
- Google Webmaster Tools Ko Use Karne Ki 7 Important Tips GWT Overview
- Search Engines Se Adhik Traffic Nahi Milne Ke 11 Karan
Google ne bahut se algorithem banaye hai. Agar aapki site google webmaster guidelines ko follow nahi karti hai to google aapki site ko search results se removed ya humesha ke liye delete bhi kar sakta hai. Isiliye apne blog ki google me achi postion banaye rakhne ke liye sabhi website owner or blogger ko webmaster guidelines ki basic jankari honi chahiye.
Google Webmaster Guidelines Kya Hai Full Information in Hindi
Webmaster guidelines ke most 2 part important hote hai. General guidelines and Quality guidelines.
Part 1: General Guidelines:
A. Help Google find your pages:
Is part me aapko google ki aapki site ke content ko index karne me help karni hai. Jiske liye aap ye step follow karo.
- Images alt: Other site par aapki site ke pages ka links ho, aap apni site me other site ka link add kare, referral traffic receive kare, images me alt attribute tag add kare.
- Create Sitemap: Apne blog ke liye sitemap generate kare or use google webmaster tool me submit kare. Sath hi apne blog ke footer me sitemap link add kare. Isse aapka blog google me fast index hota hai.
- Links limit: Post content me limit internal and external links use kare, Jarurat se jyada links use na kare.
- Web server: Ye clear kar le ki aapka web server sahi se work kar raha hai ya nahi. Web server me error aane par aapki site ki search rank me fark padta hai.
- Robots.txt file: Apni site ke personal content ko hide karne ke liye robots.txt file istemal kare. Jisse google aapke private data ko index nahi kar sake.
B. Help Google understand your pages:
- Useful, information-rich site banaye or us par clearly and accurately description content likhe.
- Post content me ayse words ko use kare jo google me sabse jyada search kiye jate hai.
- EnSure, pata kare ki aapki site ke <title> elements and alt attributes descriptive, specific, and accurate hai.
- Apni site ka simple or clear design kare.
- Content management system (for example, Wix or WordPress) use karte ho to ye pata kar le ki aapki site ke pages google search me index ho rahe hai ya nahi.
- Google ko aapki site content ko ache se samajhne (fully understand) me help kijiye. Sirf unhi site se apni site ko connect kijiye jo google friendly ho. Example, CSS, javascript files se google ko site index karne me problem hoti hai. So apni site par kam se kam CSS and javasript file use kare.
- Website ke error 404 and other error pages ko fix kare, Sath hi google search console me crawl error or URL parameters ko bhi fix kare.
- Agar aapko lagta hai ki kisi link se aapki site par bad effect pad sakta hai to uske link me rel=”nofollow” use kare.
C. Help visitors use your pages:
- Post contet me text ke alawa images, videos and links bhi add kare.
- Pata kare ki aapne aaj tak apni post me jo bhi link add kiye hai wo sahi work karte hai ya nahi. Iske liye aap online broken link checker tool use kar sakte hai.
- Keyword stuffing se bache.
- Apni site ko optimize kar loading time ko kam kare. Fast loading website ko search engines or visitors dono pasand karte hai. Iske bare me adhik janakri ke liye aap ye post padhe. How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips
- Website all device friendly honi chahiye. Iske liye apne blog ko sabhi device screen size ke hisab se design kare, Aapki site laptop, desktops, computer, tablets, Iphone, ipad, android, black berry jaise all smartphones mobile me ache se open honi chahiye.
- If possible, Agar ho sake to apni site ke liye HTTPS security use kare.
- Yaad rahe aapke sabhi content aapke readers ke liye useful, helpful and interested hone chahiye. So only quality original content hi publish kare.
Part 2: Quality guidelines:
Webmaster guidelines ke is part ko to aap name se hi samajh gaye honge, Kyuki aap sabhi jante ho ki quality content kya hota hai. Fir bhi hum yaha par iske bare me thodi bat karenge. Ho sakta hai aapko inme se koi new metter pata chal jaye.
Google deceptive or manipulative behavior wale content ki tulna me google original quality content ko jyada like karta hai. Means bekar ki information or jod-tod kar likhi gayi post se jyada google ek badiya or khud ke dwara likhi gayi post ko jyada pasand karta hai.
Agar aapko lagta hai ki google webmaster guidelines ko follow kiye bina aapki site google me top position bana sakti hai to aap 100% galat hai. Past time me google aysi bahut si sites ko banned kar chuka hai. Yani ki google ko abuse karna bahut badi galati hogi.
Agar koi aapki site ke content ko copy kare to aap hand to hand uski google DMCA form me report kar sakte hai. Isse google copy paste karne wali site ko search result se remove kar dega. Or agar wo blogspot.com blogger platform par bana blog hai to google use delete bhi kar sakta hai. Aap aysi kisi bhi spam site ki google ko report kar apni site ko secure kar sakte ho.
Site par content likhne ke basic principles:
- Make pages primarily for users, not for search engines: Apne readers ke liye quality content likho na ki sirf search engine ke liye.
- Don’t deceive your users: Apne users ko dhoka mat do. Unki pasand ka khyal rakho or unse ache relation banao.
- Aap search engines friendly content likho. But apne content me topic ke bare me full information likho. Taki aapke visitors ko aapke content ko padhne me nirasha na ho.
- Users se advice lijiye or khud bhi sochiye ki apni website ko unique, valuable, or engaging kaise banaya jaye. Apni site ko sab like kare aysi bana do.
- Continue and fix time par blogging karo. Apne users ko daily kuch time online live chating me do. Jisse aapse jyada se jyada people connect ho sake.
Avoid the following techniques:
Website ko google me achi postion me lane ke liye aapko na sirf webmaster guidelines follow karne ki jarurat hai balki aapko kuch bad work se bhi bachna hai. Jinme se kuch ke bare me mai aapko yaha bta raha hu.
- Automatically generated content
- Participating in link schemes
- Creating pages with little or no original content
- Cloaking
- Sneaky redirects
- Hidden text or links
- Doorway pages
- Scraped content
- Participating in affiliate programs without adding sufficient value
- Loading pages with irrelevant keywords
- Creating pages with malicious behavior, such as phishing or installing viruses, trojans, or other badware
- Abusing rich snippets markup
- Sending automated queries to Google
In sabhi ke bare me details se janne ke liye aap google ke is page par visit kare, Specifc guidelines.
Finally, Aapko is post me google webmaster tool ke bare me achi jankari milegi or isse aap apne blog ko google search me better postion me la sakoge. Maine ye article google ki webmasters guidelines padh kar write ki hai. So future me isme changes bhi ho sakte hai. Adhik jankari ke liye aap weekly, monthly google guidelines read karte rahe.
I hope aapko ye article pasand aayega. Agar mai sahi hu to please is post ko social sites par apne friends ke sath share jarur kare.
vicky Pawar
Bro please mera blog check karo mene abhi AdSense ads lagaye he kya ye ads sahi jagah par lagaye he ya nahi and bro total kitni ads Mai Ek blog me laga sakta Hu…
Jumedeen Khan
Aap ek page me total 3 display ads, 3 links ad, 2 search ads laga sakte ho. Aapne sahi jagah par ads lagaye hai.
Saeed Saiyad
hi, Ek page me kitne ad lagaye ja sakte he bataiye .
1. only adsens ke
2.affilate marketing or adsens ke
3.only affilate marketing ke
Jumedeen Khan
Dono ke laga sakte ho.
farid khan
sir mera ek blog hai bloggr pr
ignouhelpguru.bligstop.com usme maine ek domain lgya godaddy se ragister kr ke but wo open nhi ho rha hai hosting ke lia puch rha hai hosting jaruri hai blogger ke lia
Jumedeen Khan
Nahi hosting jaruri nahi hai. thode time bad blog open hone lag jayega.
surendra rsdp
1. Adsense Ke Duaara 21 May 2016 Ko Bheja gaya Payment Mujhe aaj Tak Nahi Mila Hai . Jabki Aaj 6 June hai .
2. WordPress me post Revision Ko Delete Kare Yaa Naa kare . Aapke Hisab Se Kya Better Hai .
Jumedeen Khan
1. Aap bank account me ache se check karo payment aaya hoga.
2. delete kar sakte ho mai to delete karta hu.
Aryan
Bhai kisi ko koi solution ni mil ra iska mai soch ra hu jo humara AdSense hosted account hai usko delet kar de fir dubara se apply kare kya esa thik rahega ya ni
Jumedeen Khan
Mujhe nahi lagta fir bhi aap try kar lo.
riya
hi… meri hosting 4 day baad expire ho jayengi ..and maine new hosting ki hai gdaady se…godaddy account me.. meri acount me 2 hosting bata rahi hai…old and new…to ab me kya karu…..
Jumedeen Khan
Aap godaddy customer care me call karo aapko sare swalo ke jawab mil jayenge.
rupesh govardhane
website ki ranking badane mai backlinks ka role kitna hota hai
Jumedeen Khan
Backlinks se aapke blog ka dusre blog or sites se acha relation banta hai. Jisse aapko search engine se jyada traffic milta hai. or aapki site ki rank improve hoti hai.
zishan ali gulzar
Sir jii,, suppose koi post google seach result me accha position aa gya hai aur usme title me koi mistake hai aur us mistake sudhar ke update karnege to position me koi effect hoga,,kyuki me ek post me “ka” jagah me “ki” ho gya tha use maine change kr diya to koi effect..???
Jumedeen Khan
Nahi isse aapki post ki postion or better hogi.
Aryan
Bhai ji apne jaisa kaha tha humne bilkul baisa hi kiya maine apni sites se kuch din ke liye ads remove kar diya fir maine ads laga diye lakin abhi bhi koi mail ni aya kya bhai ab hum isko kisi bhi tarike se reapply ni kar sakte kya koi na koi to solution jarur hoga bhai mai bhut paresan ho gya hu pls ap humari ye problem solve kar dijiye
Jumedeen Khan
Aryan bro ye problem bahut blogger ko hai. Aap kisi or blogger se bat kar sakte ho.
swapnil jambhale
ARYAN ji aapki ad esliye nahi show ho rahi hai ki aapko google search engin se kam traffic mil raha hai. mere sath bhi yahi problem ho rahi thi. pahale aap apne blog par badhiya contet likho.
Ankit Jha
Bhai maine toh apne blog ke bare mein kisi ristedaar ko nahi bataya. Ha ho sakta hai ki koi person mere se jealous hoke aisa kar raha ho. Kya koi aisa tarika hai ki main iss invalid click ko rauk saku kyuki 5 months se main continuously blogging kar raha hu aapko yeh baat pata hi hoga. Ab meri income aur traffic dono acchi aa rahi hai lekin iss problem ne toh mujhe pareshaan kar diya
Jumedeen Khan
Aapko jis par shaq hai uska ip address block kar do.
Jumedeen Khan
Sabhi ko nahi karta bas kabhi kabhi karta hu.
deep
ADSENSE MEIN NAME SPELING MISTAKING KO CHANGE KAR SAKTE HAI KYA.
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho ye post follow karo Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
Tushar chauhan
Bro ek problem hai jaise aap ka url https://www.supportmeindia.com google pr dalte h to niche more results from https://www.supportmeindia.com likha ata h lekin jb m ye gazabfacts.com google pr dalta hu to pure post aa jate h 3 pages tk lekin more results from gazabfacts.com nhi likha ata isko shi krne ke liye kya kare.
Jumedeen Khan
Iski jankari maine is post me di hai. Google Sitelinks Kya Hai Extra Sitelink Ko Kaise Remove Kare
Ankit Jha
Bhai mujhe aaj AdSense se yeh message recived hua hai
Hello,
We’d like you to know that we recently detected invalid activity on the AdSense ads hosted on your website. We’ve temporarily suspended your account and will re-enable it in 30 days. While your account is suspended, you’ll still be able to log in to your AdSense account; however, no ads will be served during this period. We hope this gives you time to identify the source of the invalid activity and to take appropriate action.
Ab mujhe yeh samajh nahi aa raha ki pata nahi kya invalid activity mere ads ke sath hua hai. Kya aap ek baar check karke bata sakte ho kya problem hai iske piche. Invalid click ka message hota toh wo main sambhal leta complain karke lekin invalid ads activity kya kya karu
Jumedeen Khan
Ankit aapke AdSense ads par invalid click huye hai jiski wajah se 30 day ke liye account suspended ho gaya hai. Aysa kisi aapke jankar ne hi kiya hoga. Aap ache se pata karo.
zishan ali gulzar
sir mera blog me post karne time permalink ka option nahi show kar raha hai,,kya kare
Jumedeen Khan
ap chrome browser me history delete karke apne blog ko open karo.
Aalam
kya godaddy ka 99Rs me ek saal ka offer
band ho gaya hai mojhe hosting jald se jald Lena hai mai kya karu
Jumedeen Khan
Nahi hua hai aap godaddy ke ste sahi se follow karoge to mil sakta hai.
Harpreet Kumar
bhai kya aap muje, apne jo black color ka subscription widget lagaya hai uski coding bata sakte hai.
Jumedeen Khan
Sorry bro nahi de sakta.
Saeed Saiyad
Welcome to AdSense
Your application has been successfully reviewed. Now you need to create your first ad unit and place the ad code on saeedclub.in to fully activate your account. Note that before your account is fully activated, only blank ads will appear on your pages. Once your account is fully activated, you’ll receive a confirmation email and begin to see live ads. Please don’t click on your live ads, even to test them — doing so isn’t permitted by the AdSense program policies.
Sign in to Google AdSense to create your first ad unit and get fully approved.
For further information, please visit the Your guide to adsense.
The Google AdSense Team
This message was sent from a notification-only email address that does not accept incoming email. Please do not reply to this message. If you have any questions, please visit the Google AdSense Help Center to find answers to frequently asked questions.
Jumedeen Khan
Aapka AdSense account approved ho gaya hai ab bas aap apne blog par ads lagao. Kuch day bad ads show hone lag jayenge.
Saeed Saiyad
Ad kese lagau plz bataye.
Jumedeen Khan
Adsense par ads banao or direct post me html section me paste karo.
Navjyot Kumar
Bhai mere blog ke front page (Home Page) mein images show nahi hoti hain. Single post mein sahi tarike se show hoti hain. Ise kaise theek kare? Maine kai templates bhi change karke dekh liye hain. Aakhir front page par images kaise show kare…. Thanks…
Jumedeen Khan
Aap sabhi post ke liye feature image choose karo. iske liye aap post edit option me jao or right side me sabse niche dekho feature image ka option hoga.
Abid khan
Jumedeen bhai aap sab logo ke discussion dekhke lagta hai ki hindi blogger’s ke career ka bahut bura waqt sa chal raha hai. Any way thanks for your informative post for SEO. Mujhe aapse koi bat puchhni thi maine apke mail id pe mail kiya hai jawab jarur dena.
Thank you