Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kare | Full Guide

Blogspot par free blog banane ke bad jab hume WordPress blogging platform ke bare me pata chalta hai to hum apne blog ko WordPress par transfer karna chahate hai. But newbie blogger ko iske bare me bahut kam information hoti hai ki “WordPress par blog migrate karne ke bad kya kya karna hota hai.” So is post me mai aapko iske bare me details se step by step full information bta raha hu.

What to do after transfer blog to WordPress

Blogger blog ko WordPress par move karne ke bad aapko kuch jaruri optimizing karni hoti hai. Jinke begair aapka blog adhura hi rahega. Blog ko complete set up karne ke bad aapko search engine or reader dono ka better support milega. Sath hi aapke blog ki search rank bhi bani rahegi or traffic bhi kam nahi hoga.

Maine jan apna blog WordPress par swift kiya tha to mujhe bhi apne blog ki sabhi setting karni padi thi. But agar aapko pahle se pata ho ki WordPress platform par blog create karne ke bad kya kya changes karne hai to aap ye kaam kam time me kar sakte ho.

Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kare | Full Information

Agar aapne apna blogger blog WordPress par transfer nahi kiya hai or aap karna chahate hai to Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare article me aapko iski full janakri milegi. Isi se related maine ek or post Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare me WordPress migrating ke bare me kuch important tips btayi hai.

Now, I suppose aapne web hosting le kar apna blog WordPress par move kar liya hai or ab aap use set up karna chahate ho to aap ye tips follow kare.

1. Redirection:

WordPress par blog transfer karne ke bad sabse important kaam hota hai blogger blog ko WordPress par redirect karna. Blogger or WordPress par differance post link hote hai. So jo aapke old blogger post link search engines me index hai un par user ke click karne se error 404 page not found issue show hota hai jisse aapke reader ko unki jarurat ka page nahi mil payega or aapke blog ki traffic low ho jayegi. Agar aap blogger blog me redirection code add kar doge to reader ke blog ko open karne se wo aapke WordPress blog par redirect ho jayenge. Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe Blogger Blog Me Redirection Code Kaise Add Kare.

2. Post Permalinks:

Blogger blog or WordPress blog me post permalink alag alag type ke hote hai. Isliye post permalinks change karna jaruri hota hai. Aap WordPress par post permalink ko chahe jaise customize kar sakte ho.

Blogger: https://www.supportmeindia.com/2016/06/google-adsense-ads-ko-optimize-karne-ki-10-tips.html

WordPress: https://www.supportmeindia.com/google-adsense-ads-ko-optimize-karne-ki-10-tips

Actually, Aap WordPress Blog ki post ke permalink ko manually full customize kar sakte ho. So aap post permalink me se date or last me add html ko hata de. Isse search engine me post ka pura link show hoga or aapko jyada organic click milenge.

Iske liye aap WordPress dashboard >> Settings >> Permalinks par jaye or custom stucture ke samne /%postname%/ add kare ya fir aap apne hisab se permalinks set kar sakte hai.

Permalinks setting

3. Edit Internal Links:

Blogger par aapne post me jo apni site ki dusri post and pages ke link (Internal links) add kiye hai un sabhi me date or html code add hai unko open karne par error 404 page note found error show hoga. Isiliye aapko sabhi articles me se internal links edit karne honge.

In links ko aap jitni jaldi ho sake resolve kar le taki aapke reader ko post read karne me problem na ho warna new user aapki site ko leave karna shuru kar denge.

4. Post Images:

Blogspot blog ke backup ko WordPress blog me import karne se kuch post ki images transfer nahi ho pati hai. Wo sabhi images aapko post edit karke manualy upload karni hogi. Photos content me major role play karte hai so aapko un sabhi post ki image fir se upload karni karni jaruri hai jinki image crack ho gayi thi ya fir move hi nahi huyi thi.

Agar aapki bahut sari images import nahi ho rahi hai to aap another Blogger importer plugin try kar sakte hai.

5. Set up Yoast SEO plugin:

Blog ko Google, Bing, Yahoo and other search engines me submit karne ke liye aapko google webmaster tool, bing webmaster, yandex webmaster tool and other webmaster tools ka verify code blog me add karna hota hai.

WordPress par SEO set up ke liye Yoast SEO plugin most popular plugin hai or lagbhag 90% WordPress user is plugin ka istemal karte hai. Iski help se aap blog me webmaster tools verify code add kar sakte ho or blog ki baki SEO setting bhi kar sakte ho. In my case, I like this plugin or maine iske bare me ek article How To Set Up Yoast SEO Plugin For Higher Search Ranking bhi likha hai jo aapki iski setting karne me help karega.

Yoast SEO plugin aapko WordPress blog ko complete SEO setup karne ke features offer karta hai. I sure ise ache se install karne ke bad aapko all search engines se behtar results milega or aapki site par jyada organic traffic aayega.

Post Summary,

Ye 5 tips WordPress par blog transfer karne ke bat aapko follow karni hai. Ye main or bahut jaruri hai agar aap inhe ignore karoge to aapke blog ke reader or search rank par bad effect padega. So blog ko transfer karne ke bad complete set up karna bahut jaruri hai.

Sabhi setting karne ke bad ek bar apne blog par broken link jarur check kar le kyuki agar aapse galti se blog me koi dead link choot gaya hai to isse aapke blog ki search rank down ho sakti hai. Sath hi ye bhi check kar le ki aapki sabhi post proper open ho rahi hai bahut si posts me html coding add hone ki wajah se wo crack ho jati hai or ache se open nahi hoti hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath sahre jarur kare. Mostly un logo ke sath jo apne blog ko blogger se WordPress par migrate karna chaahte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (90)

  1. Avatar for aryan rajaryan raj

    sir mere pass 2 blog hai , abc aur xyz dono run kar rahe hai jaise aapka smi aur mozedia tha mujhe apne xyz blog ko abc me mearge karna without traffic loss to kaise hoga please aap details me bataye taki hum achhe se samajh sake thank you

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      First aap wp dashboard >> tools >> export option se blog ka backup le aur use wp dashboard >> tools >> import method se dsure blog par uploa kare. uske bad domain ko dusre domain par forward kare ye aap domain site par domain dns setting me ja kar kar sakte ho uske bad google search console me jaye aur property select kar domain ko dusre domain par forward kare.

  2. Avatar for PRABHAPRABHA

    mera hindi blog hai blogger se wordpress pr transfer krne ke baad permalink change ho gae hai .

    aap ne es post me jo btaya hai mene wese permalink ki setting bhi ki pr kuch nhi hua kya kru plzzz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Please do carefully again.

  3. Avatar for PradeepPradeep

    ……. सर, क्या WordPress Site को Offline कर, उस पर हमारे द्वारा कोई Post/Article… Published करने पर उसे Google द्वारा Crawl/Robot/Index करता/किया जाता है या नहीं।
    ……. मैं अपनी Blog Online site को WordPress में Offline कर बनाना चाहता हु (क्युकी मेरे Blogger साइट के सभी Post/Article Url Cusomized किया गया है) (Blog, Switch/Migrate करने पर Blog के सभी Port URL प्रॉब्लम आ रही है)
    ……. कृपया कर जानकारी देवे।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      I am not understand your matter.

      • Avatar for PradeepPradeep

        सर, क्या WordPress Site को Offline (Maintenance Mode) कर,
        उस Site पर हमारे द्वारा कोई Post लिखा जाता है तो Google Robots द्वारा उसे Crawls किया जाता है या नहीं।

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aapke post publish karne ke bad hi google use crawl karega.

  4. Avatar for neeleshneelesh

    Sir blogger blog ko wordpress par migrate kar liya hai par google par jo post rank Ho rhi hai uske url par click krne ke baad mere blog par to redirect Ho jata hai par blog par jakr “Opps! That page can’t found” show Ho rha sir vah page open nhi Ho rha hai. Sir ji kya karu.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Read some other comments on this post, main already bta chuka hu.

  5. Avatar for VIJENDRA SINGHVIJENDRA SINGH

    Hello sir
    1. mai bahut tension me hu sir problem meri yah hai ki mujhe traffic nahi mil raha hai mere blog ka traffic 0% hai yoast seo plugin ki settings aapke dwara bataye step by step ki hai
    2. blog ko mene Gbt,bing,yandex teeno me add kiya hai or sitemap bhi submit kiya hai Gbt and bing me target contry india select kiya hai or post ko social sites par bhi share karta hu
    3. Aapne jo is post me settings batayi hai wo bhi mene ki hai
    4.mere blog par 42 post upload hai wordpress par sift hue mujhe 1 month ho gaya hai isse pahle me blogger par tha us time bhi traffic nahi mil raha tha

    Sir mene socha ki wordpress par sift hone ke bad sayad traffic increase ho lekin nahi ho raha hai treffic badae ke liye jo bhi mujhse bana kiya mera blog lag bhag 5 month old hai ab mujhe aisa lag raha ki sir blogging band kar deni chahiye ya sir traffic badane ke liye aap hi koi solution bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap only old topics par likh rahe ho new and aese topic par likho jin par kisi ne post nahi likhi ho.
      2. Content achha nahi likhoge to kuch bhi karne se koi fayda nahi hai.
      Same answer. Vijendra aap jitna achha content likhoge utna achha traffic milega.

      • Avatar for Niraj kumarNiraj kumar

        Sir mera website blog WordPress per transfer Kar dijiye

  6. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    hello sir,achhi jankari di aapne thanks..
    mera swal ye hai ki mera blog blogger..com pe hai aur maine esme custum domain set kr rkha hai, agr mai apne blog ko WordPress pe transfer krna chahu to mujhe fir se domain buy krna hoga ya fir esi domain ko transfer kiya ja skta hai,, maine domain bogrock se liya hai….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi isi domain se ho jayega.

  7. Avatar for Akshat jaInAkshat jaIn

    Hello sir muze apki wabsite or hindi me help sabse achi lagti he me apki wabsite par gaust post kese kar sakta hu…
    Or me apni wabsite me adsoptimal ke code dal rha hu html/javascript se lekin adds aa hi nahi rhe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap guest policy read kare or second aap AdSense use kare.

  8. Avatar for ZiyaZiya

    sir mujhe kai blogger ne kaha ki English select kare plzz sir sahi bata do naa fir kahi aisaa na ho jaaye hi meri mahnat pe paani fir jaaye sir aap to ak bade blogger sir to kyaa aap meri itni si help nahi kar sakte kyaa sir sahi se baato naa konse mai hindj chose karni hai sir please phle blogger mai batoo sir fir AdSense ke liye batoo sir plzz sir aise to mai blog hi ni baana paa rahi hu sir jab tak language hi nahi pata to kyaa karu sir plzz mai wait kar rahi hu jarur bataa naa sir aur sir mai aap ki tarh hinglish mai likhu gi iskaa bata naa sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ziya aap bachho jaisi bate kyo kar rahi ho. Are you sure that i give you wrong way. Ziya mai janta hu ki meri ek galti kisi ka sara kaam bigad sakti hai so kisi ko galat rasta kaise bta sakta hu. Aapko hindi ya hinglish me blogging karni hai to aap blogger or AdSense dono me hindi choose kare. Its confirm.

  9. Avatar for ZiyaZiya

    Sir blog mai bhasa konsi select kare hindi ya english mai to hinglish mai blog banau gi aap ki tarh so aur kbhi futer mai AdSense ke liye apply kiya to konsi bhasa chose karu plzzz sir help kariye jarur bss itni si sir plzz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hindi select karo.

  10. Avatar for pavan choudharypavan choudhary

    mene WordPress par move kar ke AdSense plugin install kiya he , ab connect hone ke bad yah massage aa raha hai – ” You currently have a host-only AdSense account. Please visit the AdSense help center for instructions on how to show ads on this site. Learn more . iska kya matlab hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense me apni site ka link add karo uske bad AdSense fully activate hoga google iska aapko message karega. tab tak aap wait karo.

      • Avatar for pavan Choudharypavan Choudhary

        Me site add kar chuka hu 2 mahine pahle

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ok ab aapke pas AdSense ke mail kaa wait karne ke siwa koi solution nahi hai.

          • Avatar for avan choudharyavan choudhary

            To kya me ad create kar ke blog par laga du ad vali jagah khali dikhti hai . Ya wait karu

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Yes aap blog me ads lagao tabhi to aapko approved milega. Ha jab tak AdSense full approved nahi hoga. black ad show hoga. Aap responsive size ka ads add karna.

  11. Avatar for md alimd ali

    khan sir apki information se maine apna blog WordPress par transfer kar diya hai but problem ye hai ki google search me post par click karne par 404 error page not found aa raha hai iske liye kya setting karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne old blog me redirection code add karo. Usse aapke old reader new blog par aa sakenge.

  12. Avatar for Rohit singhRohit singh

    Bhaiya, mai jo bhi post likhta hu toh search engine me post ka tittle sow hone ki jagah blog ka tittle sow hota hai. Toh kya ise kisi tarah thik kiya ja sakta hai?

  13. Avatar for DeepakDeepak

    Bhai maine godaddy se domain liya hai aur hosting hostgator se.
    Hostgator ka name server maine godaddy me add kar diya hai lekin meri site google me nhi aa rhi hai. Kya kre

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google me site ko index hone me time lagta hai 1-2 day me show hone lag jayegi.

  14. Avatar for Shaikh muneerShaikh muneer

    Great, maine abhi apne blog ko WordPress par migrate kiya hai. Ab iske baad kya karna hai ye mujhe pata nhi tha to maine google me search kiya to aapki post mile. Is post ko padhne par mere kai problem ka solution mile gaye iske aapka shukriya.

    Mera ek sawal hai, mai WordPress ki sari setting ki hai lekin mujhe lagta hai wo complete SEO nhi hua kyunki maine jin blog ko follow karke ye setting ki hai un sab blog ke post old WordPress version ke hai jab ki maine new version install kiya aise mujhe kya karna chaiye jisse mere setting sahi hai ki nhi ye pata chale.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome muneer, aap Yoast SEO plugin ko ache se istemal karo. WordPress SEO me Yoast SEO plugin master key hai.

  15. Avatar for RusheekRusheek

    Mere account per my channel ki jagah brows channel likha huaa he,me mobile se you tube chalata hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Desktop version use karo.

  16. Avatar for md qureshimd qureshi

    thanks bhai jis post ka mujhe intejar tha ye wohi post hai bhai meri ek problem apke ads opera mini me display se bahar nahi hote hain mere blog par ads opera mini se bahar ho jaate hain please solve this sir.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap responsive size ke ads use karo.

  17. Avatar for AryanAryan

    Bhai ji ye page RPM aur page CTR kya hota hai aur bhai ye impression CTR , impression in sab chijo ka kya matlab hota hai AdSense me

  18. Avatar for Navjyot KumarNavjyot Kumar

    Bahut hi acchi tips hain, khas karke new blogger ke liye…. thanks jume deen bro… blogger se WordPress par blog transfer karne ke baad logo ko pata nahi hota hain ki aage kya karna hain. aapne sabhi points ko clear kar diya hain. thankss……

  19. Avatar for amiramir

    sir url Ka matlb kya hota h aur apne Facebook page Ka URL kaisey jane

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab hum koi bhi page ko browser me open karte hai to upar type box me jo link open hota hai wo us page ka URL hota ahi.

  20. Avatar for Kuldeep RaghuwanshiKuldeep Raghuwanshi

    mene AdSense ke liye apply kiya tha jo ki disapproval ho gaya hai kya me apni blog ki kamiyon ko pura karke phir se apply kar sakta hun ya nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte ho.

  21. Avatar for amiramir

    sir maine ek frnds ka page sell krne ke liye shopsomething.com pr ..login kiya pr prlm ye h ki Jo details Maine apne frnd ke page ki daali WO galat bataraha h …to sir hi koi demo dedo ki kaisey …Facebook page ko sell kiya jaaye ….plz sir …ansr dijye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amir facebook page ko sell karne ke bare me mujhe koi truth information nahi mili hai. Mai aapko aphle bhi bta chuka hu ki aapk 10 20 nahi lakho likes wale page sell kar sakte ho wo bhi kisi ayse person ko jo aapke page me interested ho.

  22. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir,, WordPress me home ka style kaha se setting ur edit kare,, jaise blogspot me leyout me jake krte the us type me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Style.css folder me

  23. Avatar for RamanRaman

    bhai pagalworld.com website kaunse platform dwara banaya gaya hai. Jaise blogger, WordPress, tumbir, joomla etc.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kisi bhi platform par nahi wo ek website hai or coding se banayi gayi hai.

  24. Avatar for ismailismail

    Bhai hosting hostager se lena better rahega ya dusri kyun k ek bhai bata rahe the ke hostager ram kam prived karti hai and hostager se buy karne ke liye Gaye the to waha debit card ka option nahi balke credit card mang raha hai please ans

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hostgator or bluehost meri pasand ki web hosting company hai. Aapko jo pasand ho ussse le sakte ho. Ha aap inse credit card ya paypla account se hi hosting le sakte ho.

  25. Avatar for HimanshuHimanshu

    Bro maine blog ko google analytics se joda hai lekin usme sirf pc/laptop se hi jo blog visit kr rha h vhi bta rha h mobile se visit vale hmesa zero show krta h asa kyo kya koi or setting bhi karni pdegi mujhe usme ager karni pdegi to kaise kis option me jaker.

  26. Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

    Sir mqine ad injection plugin use karne ki kaafi koshish ki h lekin nhi kr pa rha hu mozedia par padha YouTube par dekha google par search kiya sir plz aap meri personally help kar sakte h jaise team viewer ya phir koi aur tarika. sir plzz help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko kaha kaha par ads dikhana hai. Us sabke bare me btao mai aapko uske step bta dunga.

      • Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

        Sir jaise apne post ke beech m chote se ad ate h na 3-4 apji post m vaise aur header m ek sidebar m aur ek main front page pr

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          header or sidebar me aap direct widget me ad code paste karke ads laga sakte ho. Post ke liye aap ad injection plugin ko install karo or WordPress dashboard >> settings >> ad injection par ja kar top, bottom and random box me ads code paste karo. its simple.

          • Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

            Ek hi ad unite sare m use karni h ya alag alag create krni padegi aur ye jo apke chote se add ate h na 3-4 har post ke beech m ye bhi iss se automatic ho jaega na.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Ha ek hi ad unit ad karna hai. Jaise 300×250, links ad and other.

          • Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

            ► Free WordPress Theme
            ► WordPress ХОСТИНГ
            ► Move WordPress

            Bro meri m aise ads nhi aa rhe h direct dusre wale lambe se ad ate h kya karu aise ads ke liye

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Ads google apne hisab se show karta hai. Aap jis type ka content likhoge google wese hi link ad show karega. Aap chaho to AdSense par kisi ad ko block kar sakte ho.

  27. Avatar for AryanAryan

    Bhai ji aj itne dino bad goggle ne ye mail bejha hai ”

    Congratulations!

    Your AdSense account is now fully activated. Within a few hours you’ll begin to see live, relevant ads, and can start earning money from your online content. In the meantime, get started with a few payment setup steps so you’ll be ready to receive your first payment later.

    Here are some important notes:
    * Please don’t click on your ads, even to test them — doing so isn’t permitted by the AdSense program policies. If you do want to view more details about your ads, you can use the Google Publisher Toolbar.
    * By following our AdSense policies, you help protect the interests of users, advertisers, and publishers. If we notice violations, we’ll notify you by email and list them on your account’s policy violations page. In some cases, we may even stop serving ads to your pages or disable your account. Learn more.
    * You can add the AdSense code to any new page or site that complies with our program policies at any time. There’s no need to inform us or apply for a new account when you do.

    We highly recommend that you take full advantage of the Your guide to AdSense, which we’ve created to help you get the most out of adsense. Also, be sure to follow our AdSense Google+ page where you can get product updates, great tips and other AdSense news.

    Thanks for joining and welcome to adsense.

    Sincerely,
    The Google AdSense Team

    This message was sent from a notification-only email address that does not accept incoming email. Please do not reply to this message. If you have any questions, please visit the Google AdSense Help Center to find answers to frequently asked questions.

    Ek bar bhai ap khol kar dekhiye meri site kya ads show ho rae hai aur kitni der bad show honge

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Congratulations! aapka AdSense account active ho gaya hai or aapke blog par ads bhi show ho rahe hai.

  28. Avatar for surendrasurendra

    muje apni site par fb group ka banner lagane he to kaise lagau..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Simple hai facebook group ke name se ek image banao or use blog post me upload karo. Ab post me html option par click karke image ki coding copy karke blog banner widget me add karo.

  29. Avatar for KassimKassim

    Khan sir Maine apne blog me add laga liya, avi show nahi hua, Agar mai apne AdSense Se Add Deleate kar du , to kya wo add Blog pe show hoga. ye sirf jankari ke liye hai, mujhe bhi ek ladke ne puchha,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense par ad ko delete ya remove nahi kar sakte. Sirf hide kar sakte ho. Agar aap ad code blog me use kar rahe ho to wo ad show hoga. Ads hide akrne ke bad wo kuch time bad apne aap delete ho jayega.

  30. Avatar for Yashvant SharmaYashvant Sharma

    sir me thoda confusion me hu ki apne blog ko start karne ke badd us par aapki kon kon si baato ko apply karu mere blog par kyoki aapke to bahut saare article hai…
    sir aap ek esi post publish kijiye na jisme ‘blog banane ke agle 30 ya 40 din tak kya karna chahiye’ bataya gaya ho…..Thanksss

  31. Avatar for ManishManish

    Sur internal linking ko remove karne ke liye koi plugin hai kya? Kyu ki mere abhi 100+ post hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi plugin nahi hai aapko manually internal links change karne honge.

  32. Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

    Bhai jb hum pehli baar apni site google m submit krwate h to google usse kitne days m index krta h.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapki post content par depend karta hai agar content unique or original hai to kuch minutes me index ho jayegi. Warna kuch day bhi lag sakte hai.

    • Avatar for Tushar ChauhanTushar Chauhan

      bro aaj puraa 1 din ho gya h lekin meri website google ne indexed hi nhi ki h aur maine ek dum unique content bhi dala h

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Tushar aap unhi topic par post likh rahe ho jin par pahle se bahut se blogger likh chuke hai. Aapki post me step bhi wohi hai. Isse aapki post google avoid kar raha hai. Ek post sabse alag likh kar bhi dekh lo google bahut jald post index karega.

  33. Avatar for DharmendraDharmendra

    bahi mera post ke urk search engine me aise show ho rahe hai… howtokaise.com › Android
    jubki apke or sabhi logo ke url aise show hote hai….howtokaise.com/online-booking-namotel-achhe-din-99-mobile-phone/ aisa kyu ho raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap yoast SEO plugin ko sahi se setup karo.

  34. Avatar for rajeevrajeev

    sir jab mai apna blog mobile me google ke dwara kholta hu to wo desktop version me khulta. jiske reader ko problem hoti hai. jab maine check kiya tha mera blog mobile friendly show kr rha tha. aur direct blog ki url ko mobile se kholne par ek dam acche se khulta hai. sir btaeye kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap blog ki template change karo wo full responsive nahi hai.

  35. Avatar for rajeevrajeev

    1sir mai ek dimain lena chahata hu. blog ke liye. to hosting lena jaruri hota hai kya. kya mai self host nhi kar skta. jaise apne blogspot par karta hu.
    2.agar mai host lunga to blog ka feature wahi rahega ya change hoga.
    plz bta dijiye.
    aur kis company se domain sasta hoga aur easy hoga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko sirf domain lena hai blogger par hosting lene ki koi jarurat nahi hai.
      aap google me search kar lo jo sasta domain de usse le lo.

    • Avatar for HimanshuHimanshu

      Sir kya ham apne blog url me googleweblight ko hamesa ke liye nahi jod sakte? Jisse jab bhi koi blog khole to bo hamesha Googleweblight se hi khule

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Nahi aap chaho to Googleweblight wala link apne blog me add kar sakte ho.

  36. Avatar for Tushar chauhanTushar chauhan

    Bro apka suruat m jb do chaar post kiye the to kitne pageviews aa rhe the aur phir apne traffic kaise bhadaya tha.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe us time ka traffic yaad nahi hai. Mai sirf post likhta hu.

  37. Avatar for md Barkat.md Barkat.

    Jume.deen Khan ji…ap kon kon se pluging use karte hai.. Bata Sakte hai…aur Apka Theme Konsa hai..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai sirf ad injextion, yoast seo or jetpack plufin use karta hu or ribbon theme hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...