Whatsapp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye – 12 Security Tips

WhatsApp ko India me 20 crore se bhi jyada user istemal karte hai. Aese me whatsapp ki security aur use hack hone se bachana bahut bada issue hai. Is post me main hacking se bachne ki top 10 whatsapp security tips bta raha hu jinhe use karke aap apne android mobile smartphone me whatsapp ko hacker se bacha sakte ho.

WhatsApp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye

WhatsApp company dawa karit hai ki end-to-end encryption security user ke data ko secure rakhti hai lekin fir bhi bahut se logo ke wahtsapp account hack hote hai aur unka data leak hota hai.

WhatApp ko bhi hack kiya ja sakta hai, hackers ise physical medium se hack kar sakte hai. Lekin whatsapp me aese kai features hai jinka istemal karke aap apne whatsapp app ko secure kar sakte ho.

WhatsApp Ko Hacker Se Kaise Bachaye – 10 Tarike

Whatsapp ko messenger app ko all world me monthly 1.2 million se jyada user use karte hai aur bahut se hacker use hack karne me lag rahte hai. WhatsApp hack kar hackers aapke smart phone ki complete details hack kar lete hai.

Internet world me kuch bhi impossible nahi hai, kisi ka bhi account, site, app hack ho sakta hai. Isiliye agar aap whatsapp chalate hai to niche btaye whatsapp ko hacking se bachane ki tips follow kare.

WhatsApp Ko Hack Hone Se Bachane Ki 10 Tips 2024

Ye 10+ tips follow karke aap apne whatsapp ke sath apne mobile phone ko bhi secure kar sakte ho.

1. 2 Step Verification Enable Kare

WhatsAppko ko secure karne ka sabse achha tarika hai aap whatsapp 2 step verification enable karke rakhe. Isse jab bhi koi aapke account ko login karne ki koshish karega to use OTP code ki jarurat hogi jo sirf aapke pas hoga.

Agar aapne abhi tak whatsapp me two step verification enable nahi kiya hai to is post ke step ko follow karke abhi kar le.

2. WhatsApp App Ko Lock Rakhe

Password, Pin or Pattern se apne phone ke whatsapp app ko lock rakhe taki aapke siwa koi vyakti aapki whatsapp details ko access na kar paye.

Finger sensor hai to uska istemal kare. Strong password use kare, strong password banane ki jankari chahiye to ye psot padhe,

3. Public WiFI Network Use Na Kare

Kabhi bhi whatsapp chalane ke liye public wifi, free wifi ka istemal na kare. Kisi bhi unknown location par free wifi ka istemal aapke lyie khatarnak ho sakta hai.

Hackers WiFi connection ke jariye aapke smartphone ko hack kar sakte hai aur aapke unique MAC address ke jariye aapke whatsapp chats ko access kar sakte hai.

4. Privacy Setting Ko Customize Kare

WhatsApp privacy settings ko apne hisab se set kar le. Jo kuch hide karna hai use hide aur jo public karna ho use public kare.

Sath hi kisi bhi application ko use karne se pahle uski terms and conditions, privacy policy jarur padh le taki apa jan sako ki ye app kya-kya access karta hai.

5. Humesha Updated App Use Kare

WhatsApp me jab bhi koi new update aaye to app ko update kare aur humesha up to date whatsapp messenger hi istemal kare.

20-50 MB ke liye risk na le aur whatsapp ko update na karne ki galti na kare warna hack hone ke bad iski value malum ho jayegi.

6. Third Party App Use Na Kare

WhatsApp online chat karne ka bahut hi achha mobile app hai jo ki android, iPhone, Windows Phone, Windows, Mac etc. ke liye availabe hai.

Lekin ye hume limited featured deta hai aur kuch third party apps hume whatsapp extra features provide karte hai. Unka istemal karna hacker ko invite karne jaisa hai.

I suggest you humesha google paly store se official whatsapp application hi download kare aur kabhi bhi kisi third party app ka istemal na kare taki aapka data secure rahe.

7. Block Unknown Person:

WhatsApp friends, family, relative se baat karne ke liye hai, sirf unhi logo ko add kare jinhe aap jante ho. Agar kabhi koi anjan person aapko dikhe to use turnat block kar de.

8. Unknown File Open Na Kare

Aapne kuch time pahle fake news ke bare me to suna hi hoga, Isi tarah hacker whatsapp users ke pas message kar hack karne ki koshish karte hai.

Aap jaise hi kisi message me send ki gayi file ko open karte ho to malware aapke phone me aa jata hai to aur hacker phone ko hack kar lete hai.

Unknown file hi nahi, mobile me aane wale anjan messages ko bhi open na kare, hacker aapke OTP ko access kar whatsapp hack kar lete hai.

9. Auto Download Ko Off Rakhe

WhatsApp auto download feature ko humesha off rakhe, Isse unknown aur extra files automatically down ho jati hai. Manuall file download kare taki koi problem na ho.

Jaise ki maine 8 point me btaya hai kisi bhi file ko open na kare, auto download feature enable hone se message open karte hi file download ho jati hai.

10. WhatsApp Logout Jarur Kare

Jab kabhi aap computer (desktop/laptop) me whatsapp web ya kisi aur ke mobile device me whatsapp login karo to istemal ke bad logout karna na bhule taki aapko future me koi problem na ho.

Aur ho sake to personal PC me hi whatsapp messenger use kare, otherwise ignore kare. Cyber cafe me to kabhi bhi whatsapp use nahi karna chahiye.

11. Carefully File Send Kare

Jab kabhi aapko whatsapp par Image, Audio, Text, PDF file, Video, Contact, Location, Word file send karni ho to achhe se check kar le ki aap kisko file send kar rahe hai, kai bar jald baji me kisi aur ko message send ho jata hai.

12. Mobile Ko Hack Hone Se Bachaye

Jab aapka mobile hi hack ho jayega to simple hai aapka whatsapp data, all information bhi hack ho jayegi. Isiliye whatsapp ko hack hone se bachane kel iye jaruri hai ki aap phone ko bhi hack hone se bachaye.

Phone ko hack hone se bachane ke liye aapko 1 se jyada tips follow karne honge, uski janakri is post me hai.

In 12 tariko se aap apne whatsapp ko hack hone se bacha sakte ho, hacker se bacha sakte ho. Hacking ko normally na le aur apna 5 minute ka time nikal kar apne mobile ko secure kar le taki aapko koi bhi hacking problem na ho.

Agar aapko whatsapp ke all features ki janakri chahiye to ye post padhe, वॉट्सऐप फीचर्स हिंदी में – WhatsApp All Features List in Hindi.

Agar apa chahate ho ki aapke friend, family, members, relative ka bhi whatsapp secure rahe to unke sath is article ko share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (37)

  1. Avatar for Rohit KumarRohit Kumar

    very good sir me aapko 2 saal se follow kar rha hu mene aapse bahut kuch sikha he …thanks

  2. Avatar for akashakash

    Very interesting and useful article thanks for sharing this article with us

  3. Avatar for Kulwant SinghKulwant Singh

    Bhai apne sabhi ke sabhi step badiya bataye hai..kuj ka muje pata tha pr kuj ke bare me abhi pata chal gya …Thanks for sharing

  4. Avatar for Nitish VermaNitish Verma

    Nice Post sir, Aaj sabhi Whatsapp use karte hain. Aapane bahut achhi tips share ki

  5. Avatar for Ahmed NawazAhmed Nawaz

    Great Article Bri i Read Your PostS Regularily

  6. Avatar for Aasif AliAasif Ali

    Sir aap hamesha se bahut hi usefull jankari share karte ho

  7. Avatar for Pijush DeyPijush Dey

    Hi Jumedeen,

    I think that this post will be very helpful for every Whatsapp users. Thanx and keep up the good work.

  8. Avatar for Dhaval RathodDhaval Rathod

    nice post bro love u, bahut achhi tips share ki aapne.

  9. Avatar for gopal mahoriyagopal mahoriya

    Thank you, sir, Very Nice info for whatapp user ……Thank u one’s again

  10. Avatar for Pipan SarkarPipan Sarkar

    can you make an article, how to enable google 2 step verification?

  11. Avatar for AshishAshish

    Bahut acchi jankari Bhai. Bahut log Jo whatsapp ko apne business ko operate karne ka kisi dusre important kaam ke liye use karte hain unke liye ye information bahut helpful hain. Thanks bhai

  12. Avatar for Yogendra SinghYogendra Singh

    Aapki di gayi jankari mere liye helpful kyuki mera whatsapp aksar hang ho jata hai.

  13. Avatar for Biswajit sutrodharBiswajit sutrodhar

    बहुत अचे पोस्ट लिखा हैं सर। मुजे बहुत हेल्प हुए आपके पोस्ट से। धन्यबाद

  14. Avatar for ViliyanViliyan

    Bahut Sundar sir ji aapka har post achch lagta h

  15. Avatar for Dipak muduliDipak muduli

    Very informative article. Thanks for sharing

  16. Avatar for Raj DipanshuRaj Dipanshu

    Bahut acchi jankari apne diya hai iss post me aaj ke time ye hackers bahut badh gya hai ye hamari saari privacy leak kr lete hai mai really apki iss post bahut motivate hua hu.
    Thank you very much for this post.

  17. Avatar for Joy GhoshJoy Ghosh

    bahut accha article hai whatsapp ko safe rakhne ke liye .thanks for sharing sir

  18. Avatar for SadddamSadddam

    Really sir amazing content.

  19. Avatar for विजय पालविजय पाल

    Nyc sir aapne bahut hi accha lekh likha hai

    Or aapne helpfull information share ki

    Thanks sir

  20. Avatar for RakeshRakesh

    Bahut hi badhiya post. aajkal har koi whatsapp user hai aise me ish info se logo ko kafi help milegi. .

  21. Avatar for NitinNitin

    thanks sir nice information sir

  22. Avatar for PramodPramod

    bahut hi achhi jankari di apne

  23. Avatar for vikram kumawatvikram kumawat

    sir.. mera whatspp hack ho jaye to mujhe pata kaise chaleega ki whatsapp hack ho chuka hai

  24. Avatar for Arjun BABAArjun BABA

    Nice Article, It Really Helps to Protect our Whatsapp ThankQ So Much

  25. Avatar for Rakesh VermaRakesh Verma

    Thanks for this valuable article

  26. Avatar for akhilesh kumar sharmaakhilesh kumar sharma

    mujhe yahi jankari ki aawshyakta thi. mai bahut dino se is tarah ke post ka interzar kar raha tha

  27. Avatar for ImranImran

    Bohat Badiya Article. Bohat ache se btaya ap ne bhai. Thank you so much bhai aur isi tarah se hmesha article publish krte rehna.. thanks again bhai

  28. Avatar for Thakur Aman SinghThakur Aman Singh

    bhaut achchi information share ki hai aapne aaj ke time main sabhi log whatsapp bahut use karte hai but uske security par kisi ka dhayan nahi jata hai thanks for give a good suggestion

  29. Avatar for yogesh kumar saiyogesh kumar sai

    bhut acchi jankari di hai bhai apne new update prapt hua aapki jankari padkar or thanks bhai

  30. Avatar for Kamal giriKamal giri

    Aapke posts ka jabab nahi. Complete information . Thanks for sharing

  31. Avatar for अनूप भट्टअनूप भट्ट

    धन्यबाद सर व्हाट्स एप्प डाटा सेफ रखने की जानकारी देने के लिए
    सर व्हाट्स एप्प GB के बारे में भी बताये की इसका उपयोग करना कितना सही है या नहीं

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Btaya to hai third party apps ka istemal na kare.

  32. Avatar for AdipAdip

    whatsapp ko secure rakhne ke liye bhut he kamal jaankari de hai apne. thanks for sharing with us.

  33. Avatar for manjeet singhmanjeet singh

    Very valuable article. you are really doing good job keep it up.

  34. Avatar for Vijay SinghVijay Singh

    Bahut badhiya information kiye ho sir..

  35. Avatar for AslamAslam

    Bahut badiya jankari share ki hai apne, whatsapp aab itna use hota hai ki kab ho jaye pata nahi chalega, new jo users hai unko kafi help milega is jankari se..

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...