WhatsApp Scam Kya Hai Aur Isse Kaise Bache (Security Tips)

Whatsapp scam se bachne ke liye ye ek choti si salah hai par security ke liye bahut important bhi hai. Yaha main aapko Whatsapp Scam Alert Text Message Kya Hai aur Is WhatsApp Scamming Se Kaise Bache ke bare me btaunga.

Whatsapp Scam

Whatsapp Scam ke dwara bahut se whatsapp users ki personal information chura li jati hai aur uska galat istemal kiya jata hai ya fir users ko phirautee ke liye pareshan kiya jata hai.

Is post me aapko whatsapp scamming kya hai aur isse bachne aur apne aapko secure karne ki tips and tricks milegi. Jinse follow karke aap apne personal data ko online leak hone se bacha sakte ho aur safe rah sakte ho.

WhatsApp Scam Kya Hai

WhatsApp Scam me user ko ek fake message milta hai jisme user ko btaya jata hai ki unki “WhatsApp Subscription” expire ho gayi hai aur wo sirf ek click karke 99 paise me lifetime service kharid sakte hai.

Is link par click karne par user ko ek phishing page par le jaya jata hai jo confidential bank details (Credit card, Debit card number, Bank account number, ATM Pin, Internet banking login ID & password etc.) ke liye puchta hai.

Actually, ye phishing page scammer, hacker ke dwara banaya jata hai jo whatsapp membership khatm hone ka fake message send kar user ki important information churane ki koshish karte hai.

In simple words, Fake message bhej kar user ko bevkoof banana aur uski personal details chori karne ko hi WhatsApp Scam kahte hai.

WhatsApp Scam Se Kaise Bache – 8 Tips

Whatsapp scamming se bachne ke liye aapko kuch jaruri bato ka dhyan rakhna hoga aur apni security ke liye kuch safety tips ko follow karna hoga jo ki nimn prakar hai.

  1. Agar aapko kisi unknown person se aesa message milta hai jisme whatsapp subscription expire hone ki bat ki gayi ho to aap use ignore kar de.
  2. Agar aapko kisi known user se aesa koi text message milta hai to use ignore na kare aur apne us karibi ko is online scamming ke bare me btaye.
  3. Aapko ye message jis friend ya related se mile use kah ki ye whatapp scam hai aur aapki personal data ko chori karta hai. Is message ko ignore kare aur ise kisi aur ko send na kare.
  4. Whatsapp par aese kisi bhi message par action lene se pahle uske sender, company, website developer ko verify kar le.
  5. Aese sabhi whatsapp messages se savdhan rahe jo aapse amazing offers ke dawe karti ho aur kisi URL par click karne ko kahte ho.
  6. Scammer fake and infected websites ke name se message karte hai so unknown person ke message par believe karne se pahle uski details check kar le.
  7. Whatsapp par koi bhi message karne se pahle ye confirm kar le ki isse aapko ya kisi aur ko kisi bhi tarah ka nuksan nahi hai.
  8. Apne android mobile me ek achha security app install karke rakhe jo fake website aur scamming ko filter kar sake.

Digital security ek shared responsibility hai jisme hum sabhi ka yogdan hona chahiye. Apne aapki security ke sath sath hume dusro ki security ka bhi khyal rakhna hai unhe iske bare me btana hai.

Aapko ye jankari choti lag sakti hai par bahut jaruri hai. Mera kaam tha apne readers ke sath share karna ab aapka kaam hai iske bare me apne readers aur friends ko btana.

Ye bhi padhe,

Agar aap is post ko useful and helpful mante hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi whatsapp scam se bach sake.

Reader Interactions

Comments (6)

  1. Boht hi achhi jankari di hai aapne sir thanks for sharing

  2. Thanks bhai mujhe malum hi noii tha ki log whatsapp se bhi scam kar sakte hai aage se dhyan rakhuga. Aap bahut hi acha kaam kar rahe ho jo logo ko is bare me aware kar rahe ho

  3. Awesome post ,sir.
    Whatsapp bussiness kya hai. Mujhe iske bare me koi article hoto zarur bataye.Plzz

  4. Thanks Bhai Aise bahut faltu msg aate hai.

  5. BHOT HI ACCHA JANKARI SHARE KIOYA HAI AAPNE SR NC POST

  6. Bahut Badiya Jankari Share Ki Aapne