Main Blogging Kyu Karta Hu Paise Ke Liye Ya… (Chalo Jante Hai)

Main blogging kyu karta hu paise ke liye ya fir kuch aur wajah se. Is sawal ka jawab main khud janna chahata hu aur shayad har blogger apne aap se bhi ye janna chahata hoga. Chaliye aaj iske bare me kuch bate aur mere blogging karne ki wajah jan lete hai jo aapko serious blogging karne ke liye motivate kar degi.

Why Do I Blogging - Main Blogging Kyu Karta Hu

Main blogging kyu karta hu ye sawal mujhse kai log puch chuke hai aur kai bar main apne aapse bhi yahi sawal puch baithta hu.

Yakinan iska jawab ajeeb hai jise main aap sabhi ke sath share karne ja raha hu. I’m sure is post ko padhne ke bad aapki blogging karne ki niyat hi badal jayegi. Ye blogging ka aesa sach hai jo aapko success blogger bana sakta hai.

Agar aap ek blogger hai to is post ko pura padhe, agar aapke pas itna time nahi hai to behtar hai aap ye post padhe hi nahi.

Why Do I Blogging – Main Blogging Kyu Karta Hu

Maine 2024 me apna first blog start kiya tha. Tab main ek student aur apne study table par hi apne laptop aur weak internet connection ke sath blogging ki shuruaat ki thi.

Main blogging me naya tha aur mere samne right blogging platform choose karne aur developing skill design work ki problems thi. Tab mujhe blogging ki ABCD bhi nahi aati thi par main ek life changing shuruaat karna chahata tha.

Us time main nahi janta tha ki main yer kyu kar raha hu bas mere dimag me khud ki website build karne ki umang thi aur maine 17 July 2024 ko blogger platform par apna first blog bana dala.

Is puri process ke bich mere dimag blog se paise kamane ya koi aur lalach nahi tha main to bas apni website banana chahata tha.

Chalo thoda mera nature ke bare me jan lete hai. “Us time main ek aesa ladka tha jo kisi bhi kaam ko zidd se karta tha” main aaj bhi wesa hi hu aur shayad yahi wajah hai ki main abhi bhi yaha hu.

Blogging ki starting ho chuki thi aur mere din-raat kaam karne ki bhi, koi goal nahi tha mera par fir bhi sari-sari raat likhta rahta tha.

Haa mujhe pata tha blog se earning ho sakti thi par kya wakai sirf paise kamana hi mere blogging karne ka reason tha. shayad nahi kyuki iska faisla yaha ho jata hai.

Har roz ki tarah main 10:00 PM par apne badroom me ja kar so gaya pata nahi kab mujhe need lagi par jab main utha to raat ke 11:00 baj rahe the aur achanak mujhe ek khyal aaye. Agle kuch hi palo me main apne home computer par typing kar raha tha.

Ye pahli bar nahi tha meri zindagi me aesa kai bar ho chuka hai. Shayad paise ke liye main kya koi bhi insan aesa nahi karega.

That is true, main paisa kamane ke liye blogging karta hu lekin sirf paise ke liye nahi. Kuch hai jo mujhe ye sab karne ke liye induce karta hai kuch hai jo mujhe hard work karne ko majboor karta hai.

Aaj main wordpress platform use karta hu aur khud ka apna boss hu. Aaj blogging mere liye business ban chuka hai. Main kisi dusre kaam se bore ho jata hu par abhi tak blogging se boring nahi huyi.

Ab sawal ye hai ki kya main future me paise ke liye blogging karunga? Ye sawal maine apne aap se pucha aur mujhe jawab mila “NAHI” bhale hi meri blogging income 0 ho jaye main likhta rahunga.

Kisi bhi kaam ko lagan se karna mera pashion hai aur logo ki help karna meri hobby hai. Blogging se meri ye dono icha puri ho jati hai.

Sabkuch clear hai, Blogging se sirf paise kamana mera main target nahi hai. Agar aap bhi yahi soch kar chaloge to aapko safal hone se koi nahi rok sakta.

Conclusion: Har blogger ki blogging karne ki ek wajah hoti hai koi money earn karna chahata hai to koi apne passion ke liye blogging karta hai lekin in dono me se jununi blogger (Obsessive blogger) hi success ho pata hai.

Blogging karne ka ye ek aesa reason hai jise agar aap apna lete ho to aapko blogging me success hone se koi nahi rok sakta.

At Last:

Sabkuch clear ho chuka hai main kyo blogging karta hu. Ab bari aapki hai aap bhi apne aapse puche aur pata kare ki aap blogging kyu karte hai aur agar aapki soch different hai to aaj se hi blogging ko apna passion bana le.

Agar aap sirf paise ke liye likhoge to ek time ke bad aapke blog ka the end ho jayega aur agar aap passion aur logo ki help ki soch le kar likhoge to aapka blog amar ho jayega.

I hope aapko mera ye article motivate jarur karega aur aap naye josh ke sath blgoging karenge. Ab aap kya sochte hai ye faisla me aap par chhod deta hu.

Agar aapko mera ye article pasand aaye to ise dusre blogger ke sath share jarur kare taki wo bhi apne aapko pahchan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (46)

  1. Avatar for Kirti VarshneyKirti Varshney

    Hi…
    I am kirti.i hope you didn’t forget.plz give me your no.i lost it.. I have to talk to you.i could n’t talk to you for some reasons.sorry

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Ok, I will send you a mail.

  2. Avatar for MD SAMIRMD SAMIR

    aapki is story se mai kafi prabhavit hua sir thanks for sharing.

  3. Avatar for ParveenParveen

    Thanks for this blog sir

  4. Avatar for Shahrukh vashiShahrukh vashi

    hi sir mera nam shahrukh he. meri problom ye he ki mene ek blog banaya he .us blog par add show karne he muje . lekin mujse ho nahi raha adasenc add active kab hota he? kiya add show karane ke liye domain name kharidna jaruri he? mera adsense account b approve ho gaya he. or me new blogger hu muje ku6 samaj ni aa raha he so aap mere blog par visit karke dekhona sir mujse kiya galti hui he . or us galti ka solution kiya he?

  5. Avatar for Sameer khanSameer khan

    Bahut badhiya information Di aapne Jdk bhai

  6. Avatar for Vishal MalhotraVishal Malhotra

    jumdeen bhai meri blog me ek problem a gayi gyi hai. mene apni blogger blog ke custom domain par cloudfire ssl https enable kiya tha aur usko mene sabhi search engine me with https:// ke sath sumbit kardiya tha.

    ab problem ye hai ki

    mene apne blog se https hata diya hai aur phir se search engine me without https ke sumbit bhi kardiya hai aaj 6 din ho gye hai lekin jab bhi me apne blog ko search engine me search karta hu to abhi bhi meri blog https ke sath show ho rahi hai.

    ab aap hi batao kya karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blog http ke sath open hoga to hi use google index karega.

      • Avatar for Vishal MalhotraVishal Malhotra

        me samjha nahi bhai

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          I mean aapka blog https ke sath work karna chahiye aap http to https redirection sahi se karo.

  7. Avatar for HassanHassan

    Sir mera interest blogging me hai mojhe blogging me itna shok hai ke me ek pal bhi blogging ke sewa nhi reh sakta me apna career blogging me banana chahta hun mera passion blogging hai me zindagi baar blogging hi karunga par mera father kehta hai ke me tume engineer bnao ga par mojhe engineering me interest nhi hai nhi kar paunga please sir aap btao me apne father ko kaise manwahun

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Kisi aese person se bat karo jiski bat aapka father samajhta aur manta ho aapka kaam ban jayega.

  8. Avatar for Ravi SharmaRavi Sharma

    Apka Moto Bhaut Accha hai Sir.
    Esse Hame Bhi Motivation Mila hai

  9. Avatar for Akram KhanAkram Khan

    Hi Dear Sir!

    When release Google Search Console BETA version. I have received a message “New Index coverage issue detected for site” Now my website pages ranking totally down without any issue.

    I already checked Website SEO, Robots.txt, Manual Actions, Security but there is no issue! Please help me!

    Best Regards

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No worry, aap bas ye check karlo ki aapki site ke page block to nahi hai.

  10. Avatar for Rohit PatelRohit Patel

    Sir Godaddy ne ek new feature launch kiya hai. Sabhi logo ko use kharidna hoga. Lagta hai abhi aapne ne use nahi kharida hai jiski vajah se aapki personal email adddress or mobile number aapke ghar ka poora address Godaddy ke WhoIsSearch result me show ho raha hai, koi hacker iska galat fayda utha sakta hai.

  11. Avatar for Adip GauravAdip Gaurav

    Great Article Bro!

  12. Avatar for NehalNehal

    Aap blogging kyun karte hai iske bare me jaankar accha laga hai. Apne iss post se kayi blogger ko motivate kiya hai..

  13. Avatar for ChandanChandan

    Nice Post sir!
    mai blog ko chhodne wala tha
    but mujhe ab kuchh samajh aa gaya hai.

  14. Avatar for shabnam khanshabnam khan

    very nice information aap aise hi hame motivate karte rahe taki hum blogging se piche na hut jaye

  15. Avatar for JITENDRASINGH RAOJITENDRASINGH RAO

    Sir Vakehi me aapne Is Mukam Me Pahuchne Ke Liye Kafi Mehanat Ki Hai . Aur Shayad Kabhi BLogging Me Problem BHi Aayi Hogi .

    Mere Blogging Career Se Judi Bante :—
    1. Maine 1st Time 2015 Me Blog Start Kiya Tha ( Computer Trick Duniya ) . us Time Mera Makshad Only Internet Ki Duniya Me Apna Name Kamana Tha. Maine Isme 100+ Post Likhi Aur Kafi Mehanat Ki Thi . But Pata Nahi Ek Din Kya Ho Gya Maine Apne Blog Ko Permanently Delete Kare Diya .
    2. Fir Maine Kai Blog ( our computer world etc. ) Banaye Aur Mai Un Par work Karta but mere pas time ( Mai ek service Karta tha , raat ko home ( village ) me network Ka problem .) ki Kami thi . aur aapko Ya kisi aur ko vishvas nahi hoga ko maine blogging Nokia C2 mobile se sikhi . uske alawa mere pas koi aur laptop vagera nahi tha .
    3. fir maine ab ek blog banaya hai ( Technology In Hindi ) us par hard work karta hu . paiso ke liye nahi ,,,,,, Name Kamane ke liye .

    (plz approud kar dena jdk sir )

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Very good himmat na harne walo ki kabhi har nahi hoti.

  16. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Bahut hi behtareen baatein likhi hain aapne Jume
    Deen bhai, Halanki apni jaruratein poori karne ke liye main idhar-udhar try jaroor karunga lekin income ho ya na ho main blogging jindgibhar karta rahunga. Earning to 0 hai lekin mujhe is baat ki khushi hai ki mujhe success mil rahi hai aur din prati din badhti hi
    ja rahi hai. Bas problem to tab aayegi jab hamare saare readers hamein chhodkar youtube par chale jayenge. Lekin fir bhi main apne blog par likhta rahunga, jab tak sahi-salamat rahunga…..

  17. Avatar for bheshpratap sahubheshpratap sahu

    bhai aapne kya post likha hai padhkar maza bhi aaya aur blogging karne ka ek junoon bhi paida hua agar koi blogger blogging chhod raha hai aur usko is post ko padhne ke liye bolo to vo blogging chhodne ki baat hi bhul jayega. its very motivational post thanks bro

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Good bro isiliye to ye post likhi hai.

  18. Avatar for Salman idrisiSalman idrisi

    Sir aapne mera sochne ka najariya hi badal diya

  19. Avatar for Atul mauryaAtul maurya

    1. Sir aap ke is post ne mujhe baut kuchh sikha diya *thanks*

    2. mai sabhi se yahi ka hata hu ki आप हमारे वेबसाइट पे आते रहे ताकि जो मै जानता हूँ वो आपको बता सकू और जो मैं सीखू वो सिखा सकू !!

    3. sir aap mera blog ek baar jaruur dekhe kaisa hai koi kami to nahi hai

    4. sir aap ki har post padata hu

    5. dil se thanks aap ki wajah se me youtube se 1st payment pa gaya

    ***aap isi tarah post likhate rahe aur sikhate rahe thanks***

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Welcome and thanks bro. Bahut achha blog hai. Aap english ya hindi ek hi bhasha me likhoge to aur achha rahega.

  20. Avatar for RahulRahul

    Maine to apna pahli website dikhane ke liye banayi thi , ki mere pas apni kud ki website hai, mai website bana leta hoo.

  21. Avatar for SonamSonam

    GREAT POST.

  22. Avatar for ParvezParvez

    Blogging passion mere aaj ka nahi hai likhna start huya tha 2011 last tak but tab me just likhna pasand karta tha isi liye likhta tha…. but bad me socha kyu na logo ki help karte karte khudke bhi kuch help kardu isi liye main 2016 ko hindi blogging start kiya lekin aabhi bhi mujhe just likha pasand hai isi liye likhta hu…. aur 2011 me jis blog par likhta tha usme aabhi bhi likhta hu, aur us blog se mujhe aabhi tak kuch khas earning nahi huya… lekin us blog par main lagbhag (900 post) kar chuka hu… aur isi se pata chalta hai blogging main bhi sirf paise ke liye nahi karta ye mere liye ek passion hai jo sayed me chahakar bhi end nahi kar sakta….. Thanks nice post bahut din bad koi post padkar maja aya 🙂

  23. Avatar for arti mauryaarti maurya

    sir aapki yah thinking padh ke achha laga. bahut achha likhe hai.

  24. Avatar for SUMIT KUMAR GUPTASUMIT KUMAR GUPTA

    Sir jab blogger se wordpress par blog transfer kiye the to sabhi post ko fir se edit krna pada tha ya waise hi ho gya tha

  25. Avatar for anoop bhattanoop bhatt

    bahut badiya sir jankari denge ke liye
    sir mera blog check kar do or kuch inprovment tips dijiye please

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Bahut achha blog hai koi kami nahi hai.

  26. Avatar for anoop bhattanoop bhatt

    bahut badiya sir jankari denge ke liye
    sir hame kisi website par spam hai ya nahi ye kense pata kar sakte hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Spam checker tool se.

  27. Avatar for Suneet SrivastavaSuneet Srivastava

    Blogging is not all about earn money pahle sab money ke liye karte hai lekin phir sabka thinking hi change ho jata hai

    Blogging karne se bahut se fayde hote hai paisa to hai hi dusra knowledge ek blogger a knowledge har roj increase hota hai agar wo apne visitor ko accha content deta hai to

    SMI mera sabse fav hindi blog hai kyoki ye kewal money ke baare me nhi sochta kewal high search keywords pe ye post nhi likhte jo ye baat prove karta hai ki jDK kewal moey ke liye blogging nhi karte

    I salute you JDK

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thanks for your love and please keep it.

  28. Avatar for VishwajeetVishwajeet

    I think m paise k liye blogging karta hu. Par mera yahi target ni h mere ko etna paisa ni chahiye ki m badi gadi kharidu. Mera main target h mai ek brand banau. Mera target apni ek brand site h par thodi modi earning v ho present m or future m v taki meri jarurat puri ho or ghar wale mujhe n dante.
    Mera main target money ni apni ek brand site banani h.

  29. Avatar for YADWINDER SINGH BAGGHAYADWINDER SINGH BAGGHA

    Sahi Baat Hai Dost ,

  30. Avatar for AnishAnish

    Sir bahut acchi post likhi hai aapne….. Blogging ke baare me

  31. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Same story Mujhe Bhi Apni Website Banani Thi… So Aapki Help Se ban Gai.. 2nd Paise Bhi Chahiye Mai April 2017 Tak bogging Paise kamane Ke Liye hi Kiya Uske Bad Mai Dusre Filed Se Money Earn Karne Laga Ab Blogging Se Income Aaye to Bhi Karunga Aur Na Aaye to Bhi Karunga Kyuki Mai Isse dur Rah Rahe Aap Jaise Insan Se Connect Hu…..

    Sayad Agar Mera Pass blog Nahi Rahta to Mai Tech,Business,Etc Me Itna Mind fast Nahi Rahta Mera

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes blogging se hum har roz kuch naya sikhte aur sikhate hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...