Blogspot Blog Ke Liye Custom Domain Name Kyu Jaruri Hota Hai

Mostly new blogger jo blogging me bilkul newbie hote hai, Blogspot par blogging ki shruaat karte hai. Kyuki blogger ek free platform hai. Jis par sabkuch free hai or ye use karne me bhi bahut aasan hai. Blogging sikhne ki nazar se dekhe to blogger free or use karne me easy hone se newbie blogger ki kafi help karta hai. Custom domain blogspot domain se behtar kyu hai.

Why to need custom domain for blogspot blog

Is post me mai aapko xyz.blogspot.com ki jagah xyz.com ke benefit ke bare me bta raha hu. Agar aap blogging me new ho to ye post padhne ke bad aapko custom domain ki achi information ho jayegi.

Blogspot free platform par blog ka domain usually yoursitename.blogspot.com hota hai or custom domain www.yoursitename.com hota hai.

Agar aap bhi blogspot par free blog user ho or blogspot.com domain use karte ho to mai aapko suggest karunga ki aap abhi se custom domain use karna shuru kar de. Custom domain se kya kya fayde hai, Iske bare me mai aapko niche bta raha hu.

Blogspot Blog Ke Liye Custom Domain Name Ki Kyu Jarurat Hoti Hai

Blogspot.com domain se aapko unlimited storage or unlimited bandwidth milta hai. But custom domain free blogspot.com se kahi jyada behtar hai.

1. Buying a Domain is Not a Waste of Money

Custom domain kharidna koi paise ki barbadi nahi hai. Aapko starting me Rs 99 me domain mil sakta hai or next aapko yearly 500+ rupees payment karna padega.

Yani aap ko only $8 to $10 dollar  har sal pay karne padte hai. Jo khas jyada nahi hai. Everyone blogger itna charge pay kar sakta hai. So 100 – 200 rupees bachane ke liye custom domain ko ignore na kare.

2. Social Media Sites

Social media sites blogspot.com domain ko pasand nahi karti hai. Jyadatar log abc.blogspot.com blog ko like nahi karte hai or wo ise ignore kar dete hai. Jiski wajah se aapko social media se kam se kam traffic milta hai.

Jab aap apni site par custom domain use karoge to social sites or social users dono aapki site ko pasand karenge. Kyuki ayse me user aapke blog ko blogger par bane free blog ki nazar se nahi ek achi website ki nazar se dekhenge.

3. People Fell Seriousness

Jab aap blogspot domain use kar rahe hote hai to reader aapko serius nahi lete hai. Ayse mai wo sochte hai ki ye koi newbie blogger hai or abhi blogging ki shuru aat kar raha hai.

Ayse mai aapke reader bhi yahi samajhte hai ki aap blogging me success nahi ho kyuki aap ek custom domain bhi buy nahi kar rahe ho to iska matlab hai ki aapko blogspot blog se koi benefit nahi mil raha hai.

Simple language me kahu to log aapke bare me sochenge ki aap ki okat 400 -500 rupees ka domain kharidne ki bhi nahi hai. Bhale hi aap blogspot domain ke sath apne blog ko kitna bhi design or behtar bana lo.

4. Make Branding

Agar aap custom domain use karoge to aap apne aapki brand bana sakte ho. Jaise apni site ke liye logo design kar sakte ho. Apni site ke liye favicon or banner bana sakte ho. Mera kahne ka matlab hai ki aap custom domain se apni site me char chand laga sakte ho.

5. You can Make Custom Email Address

Custom domain se aap apne online business ke liye custom email address bana sakte ho. Jaise mera custom email address admin[at]https://www.supportmeindia.com hai.

Custom email address par aap unlimited storage host kar sakte ho. Isse aap apni site ke contact form or blog par guest posting ko control kar sakte ho.

6. Create Google Page & Apps

Custom domain se aap apni site ke liye google apps or google plus page bana sakte ho. Or google apps and google page ko verify kar sakte ho.

Jisse aapko google plus or google apps ka custom link milta hai. Iski jankari ke liye ye post padhiye, How To Build a Google Plus Page and Google Apps.

7. Custom domain use karna bilkul wesa hi hai jaise aap apne home me ho or blogspot use karna bilkul wesa hi hai jaise aap kisi or ke house me rahe rahe ho.

8. Blogspot domain ko type karne me user ko problem hoti hai. Or custom domain ko user easily type kar sakte hai. Kyuki usme user ko blogspot type nahi karna padta hai.

9. Custom domain lene ke bad aap apne blog ko ek website ki tarah look de sakte hai. Jisse user aapke blog ko blog nahi website samajhte hai. Or internet user blog se jyada website ko love karte hai.

10. Custom domain SEO ke liye better hota hai. Jisse aapko search engine se adhik traffic milega. Kyuki visitors jab search engine me koi topic search karte hai to wo xyz.com domain wale result par jyada visit karte hai.

Agar aapko domain kharidne me confusing ho rahi hai to mai aapko suggest karunga ki aap godaddy.com site se domain le kyuki ye aapko sabse better service deti hai or mostly blogger godaddy se hi domain register karte hai. Iski jankari ke liye How To Register Domain on Godaddy Website Only Rs99 post padhe.

How To Decide Good Domain Name For Your Online Business article me aap jan sakte hai ki aapki site ke liye konsa domain better ho sakta hai. Agar aapko apni site ke liye best domain ka idea nahi mil raha hai to is post se aapko kafi help mil sakti hai.

Custome domain ko blogspot blog me set p karne ke liye ye guide follow kijiye – How To Setting up CVustom Domain in Blogspot Blog.

To chaliye ab is article ke bare me comment me 4 lines me apne vichar share kijiye. Agar aapko is post ki information useful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Jisse new bloggers ko is article ke bare me pata chal sake or uski bhi help ho sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (111)

  1. Avatar for Mohd NafeesMohd Nafees

    Sir mai blogging start karna chahta hu but me thoda confused hu ki
    Domain purchased Karu ya free blogger pe kuch din blogging sikhne k baad coustom domain purchased karo
    And
    One domain name se kitne topic pe blog banaye ja sakte h

  2. Avatar for SHAILENDER SHARMASHAILENDER SHARMA

    Very Nice Article I Like It.

  3. Avatar for Aman SinghAman Singh

    Bhai custom domain add Karne ke baad Kya mujhe apni purani post ko phir se likhna padega.

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      नहीं, पोस्ट सभी वही रहेंगे बस सिर्फ उनका डोमेन चेंज होगा

  4. Avatar for संदीप यादवसंदीप यादव

    भाई हमने तो ब्लॉग बनाया है पर वह अभी सर्च me नहीं आता है और तो और उसका पोस्ट भी सर्च me नहीं आ रहा है क्या आप हमारा SEO complete kar सकते है जिससे वह सर्च me आये…

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      ब्लॉग को सर्च काउंसिल में सबमिट करने के बाद थोड़ा इंतजार करो सच में आ जाएगा

  5. Avatar for P kumarP kumar

    Main domain name purchase kr LIYA HU to blog SE earning ke liye hosting bhi jaruri hain ya nhi.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      blogger ke liye hosting jaruri nahi hai.

  6. Avatar for Kunwar Sahil DadwalKunwar Sahil Dadwal

    JDK Bhai Apne Bhut Hi Achhi Post Likhi Hai. Joh New Bloggers Ke Bhut Kaam Ayegi. Bhut Bhut Dhyawaad.

  7. Avatar for Sarabjeet kourSarabjeet kour

    hiii sir…apse ek help chahiye
    1 ) Maine Google domain se domain purchase kiya…mujhe na dns setting me prblm aa rhi h…ipv4 address add krti hu…Jo Google ne he provide kiya hai error aa rha h already used.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Kya error aa raha hai wo btati to main help kar sakta tha.

  8. Avatar for Monu khanMonu khan

    Sir Kya bina domain ke Adsense approve ho sakta he

    Exampla. xyz.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes ho sakta hai. aap blgoger me check karo earning ka option hoga us par click karke apply kar sakte ho.

  9. Avatar for RaviRavi

    Kya blog name aur ,domin name alag alag ho to join problem to nahi hogi na ,aur Bhai jaldi reply Kiya karo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  10. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Maine Godaddy se ek domain purchase kiya hai.
    http://www.electguru.com
    Customer support se help lekar maine ismein apne blog ka link add kar diya. Lekin aise mein mera blog 3 url se open ho raha hai.

    1) http://www.electguru.com
    2) electguru.com
    3) electronicsfande.blogspot.in

    Inmein se jis bhi link ko open kiya jata hai to mere blog par pahunch jata hai. Lekin saath hi browser mein wahi URL dikhta hai jise open kiya jata hai.

    Jaise ki yadi hum electronicsfande.blogspot.in likhkar blog open karenge to browser mein yahi url show hota hai. Jabki yadi hum electguru.com likhkar open karenge to browser mein electguru.com hi show hota hai. Lekin main chahta hoon ki in 3non link mein se koi bhi link open kiya jaye to wo sirf http://www.electguru.com par hi redirect ho aur browser mein bhi yahi link dikhe.

    Please help…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jaisa aap ka hrahe ho wesa hi ho raha hai bas electronicsfande.blogspot.in kisi or domain par redirect ho raha hai. I think .ml domain par use sahi karo.

      • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

        Please, aap hee koi aisa tarika bataiye jisse .ml se purchase kiye huye domain par redirect ho jaye.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Very simple domain setting me ja kar use .ml wale domain par forward kar do iske alawa kuch nahi karna hai.

          • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

            Sorry but, aisa to main already kar chuka hoon, tabhi to electguru.com se mera blog open ho raha hai. Meri samasya to ye hai ki abhi jo .ml wala domain mere blog mein add hai, main chahta hoon ki us domain se new domain par redirect karun taaki .ml wala link search karne par bhi new domain wala link hi open ho.

            To mere khyal se to iske liye mujhe Blogger ke setting mein kuchh karne kee jarurat hogi na? Because abhi jo new wale domain se mera blog open ho raha hai wo forward karne se hi ho raha hai aur abhi tak maine iske liye blogger mein koi bhi changing/setting nahin kiya hai.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Iske liye aap .ml wale domain ko dusre domain par forwad kar sakte ho.

    • Avatar for AnitaAnita

      Sir AdSense jodne k liye apply Kiya toh domain buy k liye suggestions aaya..Kya adsense add krne see phle domin Lena jaruri h

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        जरुरी नहीं है, आप चाहे तो कर सकते हो! वो केवल suggestion है

  11. Avatar for Aditya SinghAditya Singh

    hello sir , meri website address myteachworld.com hai , sir mai apne website par google adsense apply karna chahta hu, aap se requset hai, aap meri site ko check kar lijeye , agar koi problem ho to bta dijeye . mai use fix kar lu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem kar sakte ho.

  12. Avatar for Akshay soneshwarAkshay soneshwar

    Kya. Blogspot domain ke sath hee
    blog me chitika ke ad. Jod. Sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi.

  13. Avatar for Amul ThakurAmul Thakur

    Hello Sir Main Aapka Fan Ho Chuka Hoon Aap Bahaut Acchi Post Likhte Ho Lekin Aap Mujhe Ye Baat Bata Dijiye Ki Maine Ek Domain To Kharid Liya Hai Lekin Kya Main Blog Apni Usi Website Me Hi Likhu ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes.

  14. Avatar for rijwan rjarijwan rja

    Sir website ko bane huye 18 din huye hai add bi laga chuka hu google adsans ole ne 3 ke baad pura hoga bola tha par aj 6 din ho gaye bhai yesa kyu ho raha hai jabi 18 dino mai 50 article likh chuka hu 500 views bi a rahe hai ky problem hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka AdSense approbved hona mushkil hai kyuki aapne copyrighting ki huyi hai. Meri bhi 2 image copy ki hai baki bhi ki hogi. Google aesi site ko like nahi karta. copyrighting ko khatm karo approve ho jayega.

  15. Avatar for Sekh JasimuddinSekh Jasimuddin

    Assalamu alai kum bhai,
    Domain kharid ne ke liye to ATM card lagega. mera ATM card nehi hai. mera pass ek ATM card hai wo mera relative ka. iss Card permanent mera pas rahega. iss ATM card se domain kharid sakta hu kya.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Try kar sakte ho.

  16. Avatar for suraj baraisuraj barai

    Mujhe ek sawaal ka answer abhi tak nahi mila ki blogger me 2 domain names or multiple domain names kaise istemaal karte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Suraj bar bar comment me apne blog ka link add mat karo. Aapko blog me do ya do se jyada domain use karne hai to aap jo second domain lete ho uski site par jao or domain setting me ja kar use apne main domain par forword karo.

  17. Avatar for prasad suraseprasad surase

    Sir me jab bhi AdSense ke liye apply karane ke liye mere blogger account se AdSense ke liye sinup karata hu… Toh sabase pahale voh email and password se login karane ko kahate hai voh ho Jane ke baad vaha blog ki URL and language select karane ko kahate hai voh bhi karata hu.. But neeche Jo button hota hai continue name ka isapar click karane ke bad kuch hota hi nahi AdSense ki information firm hi nahi aata jaha par me AdSense ke liye apply karane ke liye apani details daal saku… Fir approve Aur disapprove hone ki baat toh baad me aati hai na… Ab me kya karu please bataiye….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry aapki problem blogspor.com domain hai aap domain kharid kar blog me add karo fir AdSense ke liye apply karo.

      • Avatar for prasad suraseprasad surase

        Ek Aur baat ki mene kal hi apane blog ka name Aur link change ki hai… Pahale meri blog ki link janiyehindimain.blogspot.in thi. Aur Ab mene use change karake mylearnland.blogspot.in kar diya hai Q ki muze mylearnland.com Aisa domain Lena hai toh link change karane se mere blog par koi bad effect toh nahi padega na…

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Ha padega aapki sari post google me fir se index hogi tab rak aapke blog par error 404 page not found problem aayegi.

          • Avatar for prasad suraseprasad surase

            Lekin war me tab tak agar domain kharidkar apane blog me add kar Du toh koi problem toh nahi hogi na… Ya jab tak posts index nahi ho jaati tab tak wait karana padega domain lene ke liye….

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap jitni jaldi domain use karoge utna badiya hai.

  18. Avatar for nareshnaresh

    Sr aap Gretna ho sr aap mahent ho sr
    Aap ne nice aartical likhte he
    Sr aap bhot ischi jankari dete
    New blogger ko

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks naresh

  19. Avatar for shubhamshubham

    Bhai custom domain add karne ke baad seo ki sari kaam dobara karna padta hai ex.- webmaster me website add, robots.txt, meta-tages.etc

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, sabhi settings fir se karni padti hai.

  20. Avatar for abdul khanabdul khan

    bhai assalamu alaikum …thankyou so much bhai aapki wajh se aapki guidence se mera jo AdSense approve hua tha mene uspe ad bhi aaj laga diya hai…plz ek baar meri site par jaake check karle side baar me jo top pe lagaya hai aur jo post ke beech me mene lagaya hai kahi kahi pe sahi hai ki nahi…..mene aapka post padha waha se mene samjh ke kuch ad laga diye hain plz ek baar check karle..meri link par jake

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap 1 page par 3 se jyada ads use mat karo. sabhi ads show hone lag jayenge.

      • Avatar for abdul khanabdul khan

        sukhriya bhai mene 1 ad sidebaar me lagaya hai, aur post ke andar 2 ad lagaye hain jisme se ek text-img ad hai aur ek sirf text hai total 3 ad lagayen hain…sahi hai ki nahi post ke andar jo lagaya hai aap ek baar check krle…post ke andar jo place pe lagaya hun sahi hai ki nahi plz dhekh le ek baar aap bhai…

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Dono ads me ads type text and image use karo. jisse aapko jyada cpc mil sake.

  21. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Maine Google custom ke code ko theme wale search me add karna chahta hu kaise kau

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uske liye aap apearance>>editer me ja kar search.php me custom search box ka code paste karo.

  22. Avatar for Anuj godaraAnuj godara

    bhai jumedeen khaan, main aap se ek swal puchna chahta hu ki mere blog par hellobar kaam nahi kar rha, maine hellobar ki website par jakar create bhi kar liya or uske baad save and publish bhi kar diya…
    or baad me mere blog ko refresh kiya to laga nahi tha, kya mujhe uska koi plugin instal karna padega…rply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bahut si free theme me hellobar kaam nahi karta hai. Shyad aapki me bhi nahi karta ho.

      • Avatar for Saddam khanSaddam khan

        hello Bhai Mara naam Saddam khan hai me bolna chahte hu ki me domain registers karliya hai or blogger se bi jor liya hai lakin mara website open nahi horaha hai or net se chalu kar raha hu to godaddy ki site khul jari hai kya karu plz help me jum den khan

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          aap godaddy ki site par jao or domain setting me ja kar lock ko open karo.

  23. Avatar for vivekvivek

    bhai terms and condition page kaese banate hai blog pe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jaise aap post likhte ho. same wese hi apne hisab se apne terms bana lo ki reader aapki site par kya use kar sakte hai or kya nahi.

  24. Avatar for chetan kumarchetan kumar

    Jumedeen Khan ji muzhe google AdSense par ek notification dikh raha hai “We’ve recently integrated the Site Authorisation feature with Site Management. Please review your settings to ensure that they are correct” eska kya matalab hai.

  25. Avatar for KaelashKaelash

    Bhai ..
    SEO kya hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SEO yani search engine optimization. Means search engine ko kaisi post pasand hai.

  26. Avatar for vivek darjivivek darji

    Aapko Mene contact form me msg kiya Ab koibhi aapka replay nahi aayaa Mene guest post Ke liye kiya tha aap ko ab Kaise me guest post bheju…Kuch simple rules banao Bhai…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vivek aap sirf 5-10 words ka message send karte ho. jiska mai aapko comment me already reply kar chuka hu. Maine oalready guest policy banayi huyi hai. google me search karo. “Guest post on supportmeindia policy”

  27. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    Bro blog commenting se aapko monthly kitne percent traffic milta hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ankit mai jitni personal information share kar sakta hu wo monthly income report me share kar deta hu. Usse jyada kuch nahi bta sakta.

  28. Avatar for subham kumarsubham kumar

    hello jume din sir…
    accutully me maine apna blog bana liya..aur ab
    mai try kar raha hu chitika add ko apne blog par dalne ki..par kuch domain releted warning mil raha…
    so sir mujhe samjh nahi aa raha..waise mai abhi new blogger hu
    sir aap mere website ko chek kar ke mujhe
    btaye ki mera 1st step kya hona chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Subham abhi aap chitika ya kisi or site ke ads apne blog par mat lagao. Isse aapko koi fayda nahi hoga. kyuki jab traffic nahi hoga to income bhi nahi hogi. aap ye post padho or isme btaye tariko se apne blog ko website me badlo Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide

  29. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    bhai jaan muje apna domian bina www. ke google me show karana hai par abhi www. laga hua hai par mene search console me jaakar bhi domain prefer karne ki koshish ki par wo kuch verification maang rha hai please meri help kijiye

  30. Avatar for hari narayanhari narayan

    Bhai mujhe ye janana tha ki google search me facebook,indiblogger aur google plus me share kiya hua mere blog ka post show hota hai use search results se kaise hatau…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Apne google plus accont me jao. waha setting me ek option hota hai ki search engine aapki activity ko index kare ya nahi. Us par untick karo.

  31. Avatar for chetan kumarchetan kumar

    Jumedeen Khan ji mera google AdSense account hosted hai magar mere google AdSense psr “show “Access and authorization” me “Show ads on other websites” ye option show nahi ho raha kya problem ho sakti hai.
    or full account appuruv karne ke liye kya karana padega

  32. Avatar for AltafAltaf

    Mera ek blog hai jisko maine AdSense par approve bhi kradiya hai aur ads show kr raha tha lekin .com domain add krne par mere blog me ads show nahi horahaa hai kya wajh hai

  33. Avatar for chetan kumarchetan kumar

    Jumedeen Khan ji ham agar free blogger template use karate hai to kya hame google AdSense apporuval mil sakta hai kya. koi problem to nahi aayagi na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      why not, Bilkul mil sakta hai. Mai bhi free template use kar raha hu or 7 month se AdSense use kar raha hu.

  34. Avatar for devdev

    bhayi sitemap ke liye alag se plugin use karu ya yoest plugin install karne ke baad alg se sitemap plugin add karne ke koi jarurat nhi he plz reply.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi jarurat nahi hai. aap yoast seo plugin se hi sitemap bana sakte ho.

  35. Avatar for vivekvivek

    bhai post dalne ke bad Bhi traffic nhi aata ab ham kaya kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap supportmeindia ki SEO se related post padho or usme btaye tarike follow karo.

  36. Avatar for vivekvivek

    bhai mera AdSense disapprove ho gya ab ham kya kare plz help karo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab hum bina mehanat ke kamayi ki sochte hai to hume nirasha hi milti hai. Aapne bhi wohi kiya or mila kya account disapproved ho gaya. Ab aapko samajh aa gaya ho to pahle apne blog par traffic badhao uske bad AdSense ke liye fir se apply karo.

  37. Avatar for devdev

    bhayi blog me ham ham jaldi index karne ke liye fetch ka ka istmaal karte the but WordPress me jaldi post index karne ke liye isi ka istemaal karu ya kuch or system hota he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap sirf yoast seo plugin ka istemal karo.

  38. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Maine custom add kar liya hai lekin me usko theme vale search me add karna chahta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      theme vale search means. sandeep pura sawal likho.

  39. Avatar for ashutosh singhashutosh singh

    hello jummedin bro kya mai apne blog ka link dusre website par comment me dalunga to mujhe backlink milega

    aur bro mere site par visitor comment kar rahe hai to apni link bhi dal de rahe hai use mere site ke seo par asar pad sakta hai ya nahi

    aur aaj kal jyada comment kuch html type ka ho raha hai jaise aapke site ka naam hai supportmeindia isme hi pura link mil jaa raha hai comment me ye kis tarah ka comment hai aur kya isse bhi hame nuksan hai

  40. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Apne Logo kaise lagaya hai. Maine logo bana liya aur laga bhi liya hai lekin thoda niche lagana hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Logo ka size kam jyada karo. or jis size me aapko sahi lage, wo size me set karo.

  41. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Custom google searçh ko theme wale search me kaise add karu

  42. Avatar for prakashprakash

    sir
    jab koi meri site open karta hai toh home page ke bajaye first post show hoti hai lekin mujhe home page set karna hai woh kaise kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Apni site ka url btao. Mai check karke hi aapki help kar sakta hu.

  43. Avatar for CoolzCoolz

    Bhai please help me i really need your help jab bhi main koi page publish karta hu toh uska permalink automatically kuch iss tarah ho jata hai xyz.com/date/blog-page_26.html please solve kr do yeh problem bhai har bar bas digit change ho jata hai jaise 26,25,45 etc. lekin permlink post title se milta nahi hai aur page create karte time koi custom permalink ka option bhi nahi hota

      • Avatar for CoolzCoolz

        Bhai aapko mera matlab samajh nahi aaya main yeh bol raha hu ki jaise ki maine contact us page banaya lekin page ke permalink mein contact-us jaisa koi word hain hi nahi sirf blog-post_26.html hai aur bhi bohot se pages hai jiske permalink page title se match nahi karta jaise ki about us page ka permalink blog-post_36.html hai bhai please help krdo

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          First to aap apne real name se commnet karo. or maine aapko jo post btayi hai. usme btaye tarike se aap custom permalink use karo. Ye link tab banta hai jab aap page banate time uska title bad me add karte ho. aap jab bhi koi page banao to sabse pahle uska title likha karo.

          • Avatar for Dilip kumar RawalDilip kumar Rawal

            Bhai mene custom domain add kiya hai uske baad sitemap me kuch change krna hai ki nhi
            Jo mera nya url hai uske according mujhe sitemap bnana padega ki vhi chalega

            Bhai iska reply de mujhe bhi esi ka answer chahiye
            Kya search console me nye url se nyi property add kru or vapis se sitemap add kru ki nhi reply de

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            हां बिलकुल, आपको नया डोमेन सर्च कंसोल में add करना होगा और sitemap भी सबमिट करना पड़ेगा!

  44. Avatar for Az VickeyAz Vickey

    Search box scroll kaise kar sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      google me ye topic search karo “how to fix blogger widget”. aapko iske bare me post mil jayegi.

  45. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir Main Ye Janna Chahta Hu Ki nya Domain lene Se Fir Se Har chij set Karni padti hai Jaise Ki Google webmaster, Sitemap Etc Jissme Maine Blogspot Link Dali thi site Ki Domain buy Karne Ke Baad fir Se Ye sab Karna padega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha sabkuch fir se karna padta hai.

  46. Avatar for KaelashKaelash

    Mene blogspot se suru kiya tha to me koi bhi post me kisi software ko upload kese krunga. aapne kaha tha ki blog google se host hota hai jisme unlimited hosting milti hai. meri website ka naam change krna hai. Jese ki meri website hai xyz.com to me ise abc.com krna hai.. Aap smzh gye na
    Kese hoga. Mene domain godaddy se 99 me liya tha. Aur website ke liye koi bdiya template suggest kijiye…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger par text and image share kart sakte ho software nahi. ha blogger par unlimited storage milta hai. aap custom domain kharid kar blog me add kar sakte ho. uske bare me isi post me last me link diya hua hai. domain ko blog me kaise add karna hai. iske bare me mai aapko pahle se hi bta chuka hu. aap go0yaabetemplates se template download karo.

      • Avatar for Dev KumarDev Kumar

        SIR domain name ad karne ke baad mera blog open nahi ho raha,,,
        sir main kya karoon,,,

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap domain ki dns setting sahi se add karo.

          • Avatar for Dev KumarDev Kumar

            SIR ab to blog mai jo code aate aate hain wo bhi nahi aa rahe ,,,
            ab kaise ad karoon

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Kuch day bad try karo to DNS record show hoga.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...