Agar aap slow internet speed, slow Wifi speed se pareshan hai to is post me aapko iska solution milne wala hai. Yaha hum Wi-fi router ki internet speed badhane ke 10 easy tarika bta rahe hai jo aapke old wifi ki speed ko bhi doguna kar denge. Apne Wifi Ki Speed Kaise Badhaye? How to Increase WiFi Speed – 10 Best Tips 2024.
Sabse pahle GPRS uske bad 2G aaya aur fir uske bad 3G – 4G internet aaya. Ab hum 5G – 6G ke aane ki baat kar rahe hai. Lekin iske bavjud bhi india me slow internet network ki problem hoti hai.
3G-4G network hone par bhi hume wifi router se utni net speed nahi mil pati jitni real me milni chahiye. Wifi speed dhimi hone ki kai wajah hoti hai. Wifi speed kaise badhaye?
Table of Contents
- Wi-Fi Ki Internet Speed Kaise Badhaye – 10 Best Tips
- 1. WiFi Ko Sahi Location Par Rakhe
- 2. WiFi Router Ko Jyada Door Na Rakhe
- 3. Obstruction Ko Remove Kare
- 4. WiFi Ko Sahi Direction Me Rakhe
- 5. WiFi Channel Switch Kare
- 6. Wifi Ko Kabhi Jameen Par Na Rakhe
- 7. Wi-fi Firmware Update Kare
- 8. Wifi Passwor Strong Use Kare
- 9. Wifi Settings Reset Kare
- 10. Wifi Repeater Use Kare
- Final Words,
Wi-Fi Ki Internet Speed Kaise Badhaye – 10 Best Tips
WiFi par internet ki speed fast karne ka easy tarika, wifi ki range kaise badhaye ki puri jankari hindi me. Top 10 ways to boost wifi speed on android, laptop and PC.
1. WiFi Ko Sahi Location Par Rakhe
Wifi router ki position pa iski internet speed par bahut asar padta hai. Aese me is baat ka dhyan rakhe ki aapka wifi router kaha rakha gaya hai? kya us location par network available hai.
Kai bar router ko niche rakhne ya uske samne samaan rakha hone par wifi ka signal aapke device tak nahi pahuch pata hai aur slow wifi speed ki problem hoti hai.
Aese me iska simple solution hai ki aap wifi router ko kisi uchi jagah par rakhe jaha se network connection me koi rukavat na aaye. Height jyada hone par Wi-Fi ko strong signal milega.
2. WiFi Router Ko Jyada Door Na Rakhe
Har Wi-Fi router ki sima hoti hai. Koi router 30 meter tak ki range ko cover karta hai to koi 100 meter tak ke area me kaam karta hai.
Is bat ka pata lagaye ki aapka wifi router kitni door tak signal bhej sakta hai aur jitna ho sake use device ke aas-pas hi rakhe, jitna kareeb rakhoge utni better internet speed milegi.
3. Obstruction Ko Remove Kare
Wifi ki rukavat ko khatm kare taki aapke device ko signal lene me koi problem na ho. Wifi ka sabse bada dushman hai – Concrete and Metal.
Strong signal ke liye jaruri hai ki aapke WiFi aur computer ke bich koi metal luggage na ho. Wifi ko basement me lagane bache kyuki diwaro ko bhedne me wifi loose hota hai jisse signal kam ho jate hai.
4. WiFi Ko Sahi Direction Me Rakhe
Wi-Fi router 360 degree angle cover karta hai, aap chahe jis direction me wifi router ko rakh sakte hai, wifi har direction me same signal send karta hai.
Isko le kar koi confusing nahi honi chahiye. Bas itna khyal rakhe ki jis direction me aapka device rakha hai wifi se us direction me koi rukavat nahi honi chahiye.
5. WiFi Channel Switch Kare
Wifi kai channels ke jariye broadcast hota hai, jisme 1 se le kar 10+ channel shamil hote hai. Jab kabhi bhi aapko wifi router signal me problem dikhe aap channel badal sakte hai.
Iske liye aapke passoftware hona chahiye jisse aap pata kar sako ki kaunsa channel khali hai aur kis channel ka network aapke system ke liye behtar hai.
6. Wifi Ko Kabhi Jameen Par Na Rakhe
Wifi ko kabhi bhi land par na rakhe, isse wifi router signal capture nahi kar pata hai. Kuch expert ka kahna hai ki wifi ko humesha jameen se minimum 2 feet upar rakhna chahiye.
Sath hi Wifi router ko Cordless phone, security alarm, microwave oven or automatic garage door openers, On TV etc. se bhi bacha kar rakhe, inse strength singal milne me adchan aati hai.
7. Wi-fi Firmware Update Kare
New wifi router firmware update ke sath aata lekin agar aap purana wifi router istemal kar rahe hai to aap use update kar le, speed badh jayegi.
Update na karne ki wajah se internet speed slow ho jati hai aur sath hi security problems bhi hoti hai so apne device ko up to date rakhna hi better hai.
8. Wifi Passwor Strong Use Kare
Kai bar user short password ya bina password ke wifi ka istemal karta hai. Iski wajah se koi aur bhi aapke wifi se connect ho kar data use karta hai.
Isse bachne ke liye jaruri hai ki aap strong wifi password set kare taki aapke alawa koi aur bina permission ke aapke wifi network ka istemal na kar sake.
9. Wifi Settings Reset Kare
Kai bar aesa hota hai ki hume pata hi nahi chalta ki kis wajah se wifi ki speed slow ho rahi hai aur humare wifi relocate, network broadcast change karne par bhi speed slo rahti hai.
Aese me aap apne wifi router ko reset kar sakte hai. Wifi reset karne par uski settings new wifi jaisi ho jayegi aur wo pahle ki taraha sahi se work karne lag jayega.
10. Wifi Repeater Use Kare
Agar aapka wifi aapke room, office, home par network range nahi le raha hai to aap wifi repeaters, wifi extender ka istemal kar sakte hai.
Repeater ki help se aapka wifi router pahle se jyada area me network signal send kar sakega. Big house user ke liye ye tarika bahut achha hai.
Final Words,
In tips and tricks ko follow karke aap apne wifi ki speed boost kar sakte ho. Jab aapke wifi ki internet speed increase hogi to aapke mobile, laptop, desktop me bhi fast speed se internet chalega.
Agar aapkop hone me slow network ki problem ho rahi hai to aap humara ye article read kare,
- Mobile Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Badiya Tarike
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
Agar aapko ye wifi speed badhane ka tarika wala post pasand aaya ho to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Bikash Kumar
Wifi or hotspot ek hi baar. Kaise khole
Sadik
Mere bhai rauter to rauter kese connect krte h mere paas ek rauter h pr kese dosre rauter se connect karoo.
Stc wifi naam h iska
sanjay verma
bahut hi acha article hai bhai useful information
Vijay chandora
Bhai bahut hi achha lekh likha bhai aapne
Thanks for sharing best article
Rashid Ansari
jabardast post bhai aapka post padhkar toh dil khush ho jaata hai please jaldi jaldi post kiya kijiye
Yogendra Singh
Maine Wi-Fi firmware update kiya hua hai fir bhi speed slow aati hai. Iske liye kya kiya jaye ye bataiye.
Jumedeen khan
Follow other steps.
s sah
thank you, very nice information.. keep writing
prakash bhai
bahut hi achha post hain bhaiya thanks aisa artical share karne ke liye
bhaskar papnai
useful information, apki post unique hoti he
Deepak
bahut acchi post hai thanks for sharing