Jab bhi free call karne ki bat hoti hai to Skype Free Call App sabse pahle aata hai lekin uske alawa bhi free call karne ke liye bahut sare application hai. Agar aap Windows 10 user hai to aap apne computer PC me Microsoft Store se kai sare Free Calling Apps download kar free call kar sakte ho. Yaha mai 10 Best Free Calling Apps bta raha hu.
Windows 10 computer, laptop ya mobile phone jo bhi aap use kar sakte ho usse free voice call and free video call kar sakte ho iske liye aapko bahut sare apps and software mil jayenge lekin main unme se kuch best aur best free call apps ke bare me yaha btaunga.
Agar aapko mobile se free call karna hai to aap Whatsapp, Facebook Messenger, Google Duo, Hangouts, Skype, Viber etc. ka istemal kar sakte ho aur agar aap windows desktop computer se free me call karna chahate ho to is post me btaye apps ka use kare.
Table of Contents
- Top 10 Free Calling Apps Windows 10 User Ke Liye 2024
- #1 Imo Desktop Free Video Calls and Chat
- #2 Skype
- #3 Messenger for Google Hangouts
- #4 Messenger for Windows 10 (Hifriends)
- #5 ooVoo Video Calls and Messaging
- #6 Free Call VOIP
- #7 Call Center
- #8 WebPhone Free Phone Calls and international Calling
- #9 Zalo Desktop
- #10 IseeVM for YouMail
Top 10 Free Calling Apps Windows 10 User Ke Liye 2024
Ab aapko calls ke liye recharge karwane ki jarurat nahi hai. Yaha btaye gaye apps se aap free me call kar sakte ho so inhe try kijiye aur free calling ka maza lijiye.
#1 Imo Desktop Free Video Calls and Chat
Imo desktop free video calls and chat HD interface hai jise market me sabse jyada pasand kiya jata hai. Agar reliability ki bat ki jaye to ye app Skype kya WhatsApp and facebook messenger se bhi better hai.
Iski wajah isme connection break problem nahi hai. Jab taki ki aapke internet connection me koi problem na ho ye disconnect nahi hoga. YTahi network feature ise video calling ke liye behtar banata hai. Imo app fully free hai aur unlimited interactions allow karta hai.
#2 Skype
Skype ke bare me to aapko pata hi hoga ye ek telecommunications application software product hai jo internet ke dwara computer, tablets, mobile device, Xbox one console and smartwatches ke bich video calls and voice calls karne ke liye banaya gaya hai.
Isse bhi aap apne mobile, computer, laptop, tablet se free calling kar sakte ho. Windows user ke liye ye apps best call app hai.
#3 Messenger for Google Hangouts
Ye app google ka original hangouts app nahi hai balki ek third party software hai jo users ko hangouts se connect karta hai. User isme hangout app use karke free callings ka aanand le sakta hai. Iska interface bahut hi easy hai.
Agar aap soch rahe hai ki jab google hangouts available hai to iska istemal kyu kare. Isko use karne ki wajah simple hai ye aapko hangouts se jyada feature provide karta hai.
#4 Messenger for Windows 10 (Hifriends)
Windows 10 se free calling karne ka market me hifriends app bhi bahut popular hai. Iska interface beautiful and simple hai. Ye baki apps ki tulna me bahut hi saral hai. Aap ise use karke dekhe aapo bug free experience hoga.
Aap ise video calls, voice calls and message ke liye istemal kar sakte hai. Is par aap apne photos ko friends ke sath share bhi kar sakte hai.
#5 ooVoo Video Calls and Messaging
ooVoo app apne amazing interface ki wajah se popular hai, aap ise mini-social media bhi kah sakte hai halanki ye app aapko ms store par nahi milega, ise store se remove kar diya hai.
Aap ise softonic site se download kar apne PC me install kar sakte hai. Aap is par 8 people ke sath ek sath call, messages par chat kar sakte hai.
#6 Free Call VOIP
Free call VOIP pretty light app hai jo user ko free voice calls, video call and messages karna allow karta hai. Aap is par email ID se register kar dusre user se connect ho sakte ho aur free me call kar ek dusre se bat kar sakte ho.
Iska istemal karne ke liye aapko phone number ki jarurat padegi aur haa is par aap is app se voice recording and video recording send bhi kar sakte hai.
#7 Call Center
Call center user ko apne business voice calls ko control karne ki service provide karta hai jaise wo aamtaur par call center me karte hai. Jaise wo ek time me 4 calls handle kar sakte hai aur unke bich conference bhi kar sakte hai.
Iska drag and drop interface ise aur bhi aasan banata hai. Is par aap call history and notes bhi save rakh sakte hai aur aap ise PC me remotely control bhi kar sakte hai. Agar aapko mini call center banana ho to is app ka istemal kare.
#8 WebPhone Free Phone Calls and international Calling
Webphone app skype ke jaisa hai lekin ye bahut hi behtreen app hai. Users software ka use karke isse free call kar sakte hai lekin international calls paid hai. Iski voice quality skype se kahi better hai lekin user ki pasand sabse pahle hoti hai.
#9 Zalo Desktop
Zalo dekstop ek simple, light aur precise voice, video and messaging app hai. Privacy ke liye sabse best aur fast hai. Iska best part hai user ko same time me users ko multiple tasks allow karna.
Is app se aap free calling ke alawa dusre apps ki tulna me quickly file transfer kar sakte ho. Ye microsoft store par available hai aap abhi try karke dekh sakte hai.
#10 IseeVM for YouMail
YouMail apne state-of-art voicemail ke liye jana jata hai. Ye android aur iOS par available hai lekin micsrosoft par nahi hai.
So agar aap iOS ya android user hai to is app ka istemal kar free voice calls, free video calls and free messages ke lyie kar sakte ho.
Ye sabhi free calling apps aapko Microsoft Store me mil jayenge aap store par jaye aur search box me app ka name type kare app mil jayega. Microsoft store me aapko inke alawa aur bhi bahut sare free calling app mil jayenge.
Ye bhi padhe,
- Smart Phone Automatically Kar Sakta Hai Ye 4 Kaam
- Ek Sath 200 Logo Ko Free Call Kaise Kare, 100% Free Service
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare taki wo bhi free calling kar sake aur comment box me jarur btaye ki aap free calling ke liye kaunsa app use karte hai.
Adip Gaurav
Great list bro.
Ashish
Bahut he acchi jankari jumedeen Bhai. Shukriya
DVL
Bro jaise aapne win.10 ka bataya waise hi win 7 ka bhi bata dovkabhi or post likh kar baut badhiya rahega
Basit
बहुत अच्छी जानकारी शेयर की है आपने और आगे भी ऐसी ही जानकारी शेयर करते रहे
Haseeb Alam
IMO aur Skype ke alawa bhi itne saare Apps hain Windows 10 ke liye mujhe nahi pata tha…
Thank you Sir, Itni Achhi Jankari Dene Ke Liye….
Karanveer singh
sir isko install kaise kare iske bare me bhi jankari de
Jumedeen khan
Very simple microsoft store me ja kar install kar sakte ho.
vijay
aapne bahut accha knowledge humlogo ke sath share kiya he par kaya hum offline free video ya fir voice call kar sakte hai
Jumedeen khan
Offline nahi kar sakte.
Rupendra Kumar
Bahut acchi jankari hai window 10 free calling apps ke baare me
Anoop Bhatt
बहुत ही अच्छी जानकारी दी आपने विंडो 10 कालिंग app की
सर विंडो 10 अपडेट बंद करने के लिए जब सेटिंग से disable करते है और जब Lappy sutdown करने के बाद on करते है तो वह आप्शन change हो जाता है क्या कोई दूसरी ट्रिक है जिससे विंडो 10 अपडेट को बंद किया जाये
Jumedeen khan
Jab aap update disabl karte ho to usi time recovery setting bhi band karo setting reset nahi hogi.
1. Windows+R button press kar “services.msc” type kar enter press karo.
2. Ab “Windows update” par double click karo.
3. In general tab select manual and click on stop.
4. In recovery tab select “Take no action”
5. Finally, click on apply than OK.
Ab PC restart karne ke bad bhi setting change nahi hogi.
RISHIKESH MISHRA
Bro… Jo apne top par image lagaya hai aur jo likha hai wp pr kaise use kar sakte hai
Jumedeen khan
Iske liye main photoscape use karta hu.
suresh
bahut hi useful jankari share kiya hai main jyada apps ke bare me to nahi janta tha but is post ko padhkar jan gya, waise main skype use karta hu wo mujhe pasand hai main aapke dwara btaye huye apps ko bhi try krunga. thanks for sharing.
Vijay singh
Apne bahut acche software ki list di Windows user ke liye
Mudasir
Main VOIP application pichle kahin maheenu se use kar raha hu. Ye bahut hi achi app hai.