Ek beginner blogger ke liye WordPress confusing se bhara hota hai kyuki use nahi pata hota ki WordPress par blog banane aur use manage kaise karte hai. Is post me main WordPress sikhne ki ek nahi balki 10 tarike bta raha hu, jinse aap aasani se WordPress ke bare me sabkuch sikh sakte ho.
Internet par Blogs, Websites, Forums, Online Courses, Webinars, Videos, Conference etc. bahut si jagah (place) available hai par aapko WordPress ke bare me puri jankari (full information) mil jayegi lekin newbie user ke liye sabse badi problem hai shuru kaha se kare, WordPress Sikhna Kaha Se Start Kare?
Is post me main aapko WordPress sikhne ke kuch important aur best options, place and tarika bta raha hu jaha se aap easily aur free me WordPress learn kar sakte ho.
Table of Contents
- WordPress Kaise Sikhe – WordPress Sikhne Ki Beginner Guide
- 1. Learn WordPress with Official WordPress Site
- 2. Learn WordPress with WPBegginer
- 3. Learn WordPress with ShoutMeLoud
- 4. Learn WordPress with Kinsta
- 5. Learn WordPress with ManageWP
- 6. Learn WordPress with Udemy
- 7. Learn WordPress with WP101
- 8. Learn WordPress with Lynda
- 9. Learn WordPress with WP Sessions
- 10. Learn WordPress with WPMU DEV
WordPress Kaise Sikhe – WordPress Sikhne Ki Beginner Guide
Jab maine apna first wordpress blog create kiya tha to mera bhi yahi question tha aur shayad aapka bhi yahi hoga. Agar aapko isme interest hai to yaha btaye tarike se basic WordPress sikh kar aap apni WordPress Website Launch kar sakte ho.
Top 10 Best Place to Learn WordPress:
1. Learn WordPress with Official WordPress Site
WordPress ka apna special learning wordpress blog hai https://learn.wordpress.com jis par aap wordpress sikh sakte ho. Agar aap wordpress ki officially guidelines chahate hai to aap is site ka use kar sakte hai. WordPress.com ke alawa wordpress.org par bhi aapko bahut kuch sikhne ko milega.
Kisi aur blog par aapko galat jankari mil sakti hai lekin is par aapko wordpress ke bare me 100% sahi jankari milegi. Isiliye main aapko iske bare me sabse pahle bta raha hu.
2. Learn WordPress with WPBegginer
WPBeginner blog ki main jitni tariff karu utna kam hai. Maine wordpress ko sabse jyada isi blog se sikha hai. Is blog ko specially wordpress users ke liye banaya gaya hai.
WordPress se related koi bhi problem ho is site par sabhi wp problems ka solution mil jayega. Ye ek aesi community hai jis par aapke sabhi wp sawalo ke jawab mil jayenge.
Aapko wordpress ki puri jankari free me mil jayegi. Ye meri favorite wordpress sites me se ek hai. Aap ek bar iske articles read karke dekhe. WPBeginner par aapko text content ke alawa wordpress learning videos bhi mil jayenge.
3. Learn WordPress with ShoutMeLoud
ShoutMeLoud mera favorite indina blog hai. Iske founder harsh agarwal ji time to time wordpress ke bare me unique inofrmation share karte hai. Halanki ye multi-topic blog hai but is par wordpress ki best jankari share ki jati hai. Is blog par aapko WordPress hosting, WordPress Setup, WordPress plugins etc. ki jankari milegi.
Is blog ki sabse achhi bat ye hai ki iska founder apni income report bhi share karte hai. Jisse motivation ke sath blogging se earning karne ki nayi jankari bhi milti hai.
4. Learn WordPress with Kinsta
Kinsta top class hosting hi provide nahi karta balki top class wordpress guideline resource bhi offer karta hai. Is site par aapko wordpress optimization ke bare me puri jankari milegi. WordPress setup, customize, optimize karne ke bare me janne ke liye kinsta resource sabse best hai.
5. Learn WordPress with ManageWP
ManageWP name se hi pata chalta hai ki is site par kya jankari milegi, aapko wordpress manage karne ke bare me koi bhi problem ho to uska solution yaha milega. Ye site wordpress tutorials se bhari huyi hai.
Ye the wordpress sikhne ke free tarike. Ab main aapko wordpress sikhne ke aesi website aur learning platform btaunga jo wordpress sikhne ki free and paid dono services provide karti hai.
6. Learn WordPress with Udemy
Udemy ek bahut hi achha online learning platform hai jis par aapko WordPress sikhne ke free and paid bahut se course mil jayenge. WordPress expert and teacher WordPress course develop kar Udemy par sell ya free offer karte hai. Aap time to time Udemy check karte rahe aur jaise hi aapko koi achha course mile aap use download kar le.
Udemy par aapko text content articles, Videos milenge jinse aap aasani se wordpress learn kar sakte ho. Ye mera favorite learning platform hai aur isse maine bahut kuch sikha hai. Aap bhi ise try kar sakte ho.
7. Learn WordPress with WP101
WP101 WordPress sikhne ka special platform hai is par only WordPress ki information milti hai. Is par Udemy ki tarah bahut sare WordPress tutorials nahi hai lekin jo hai wo bahut hi better aur clear content wale hai. Beginners ke liye wordpress sikhne ka ye bahut hi achha platform hai.
8. Learn WordPress with Lynda
Lynda.com bhi udemy ke jaisi quality rakhta hai. Is par bhi aapko bahut type ke learning videos mil jayenge jinme wordpress bhi shamil hai.
Yaha aapko 3D Animation, Audio, Music, Design, Developer, Education, Earning, Marketing, Video, Web Development etc. sabke collection and guidelines mil jayegi. Aap iske free trial ka lutf utha sakte hai.
9. Learn WordPress with WP Sessions
WP Sessions wordpress learn karne ki bahut hi achhi community hai jis par aapko wordpress ki A to Z guideline milegi. Aap is platform ke through text content and videos dono tarike se wordpress sikh sakte hai. Aapko hours ke hisab se training courses videos milenge jinse wordpress sikhna bahut aasan hai.
10. Learn WordPress with WPMU DEV
WPMU DEV site par aapko wordpress plugins, theme and wordpress setup or errors ki jankari milegi. Ye free and paid service offer karta hai. Iske blog section me wordpress se related high quality content share hota hai jo kisi bhi wordpress user ke liye useful and helpful hai.
Ye thi 10 jagah jaha par aap wordpress learn kar sakte ho. In sabke alawa bhi aapko internet par aesi kai website mil jayegi jo wordpress information share karti hai. Iske liye aapko google search karna padega. Inke alawa aap humare is blog par bhi wordpress sikh sakte hai.
Agar aap already ek wordpress user hai to jahir hai aapne bhi kahi se wordpress sikha hoga. Aapke wordpress resourse kiya hai aap uske bare me hume comment section me btaye.
In sabhi me se WPBeginner wordpress sikhne ke liye meri first choice hai. Aapki nazar me inse bhi achha koi tarika ho worpdress sikhne ka to uske bare me bta kar humare readers ki help kare.
Ye bhi padhe,
- WordPress Blog Ke Liye Top 10 Premium Themes 2024
- WordPress Par Website Kaise Banaye – Full Guide in Hindi
Agar aapko ye article pasand aaye to ise dusre blogger ke sath share jarur kare.
Deepak
Sir wordpress genesis theme design kaise karte hai. Is bare me post likhiye
Deepak
Sir aap website theme design karne ke liya konsi plugin ka use karte ho. Aur aap konse pagebuilder ka use karte ho
Jumedeen khan
Main genesis framework use karta hu, jo homepage provide karta hai.
arti maurya
aapki iss post se hume bahut kuch sikhne ko mila hai
Raja
अगर ठीक यही पोस्ट मैं लिखूंगा support me india.com को 1 number पे रखूंगा
Virendra maurya
thank you sir itni achhi jankari dene k liye bahut achhe se blogging sikhane ke liye guide mil rahi h
Nikesh Kumar
Nice post bhai ji
Jay Koranga
Hi bro your aapka blog mujhe bahut pasand hai, yaha blogging se related mujhe jyadatar information mil jati hai. Mai blogger se wordpress par shift hone ja rha hu, aur apki ye vali post mere liye bahut helpful hai.
Thanku
Mukesh Saini
आपकी इस जानकारी पढ़ कर एक दम मजा आ गया . वैसे भी मुझे ऐसे ही जानकारी की तलास थी . जानकारी बताने के लिए आपको बहुत बहुत धन्यवाद्
Rupendra Kumar
बहुत अच्छी जानकारी दी है jumdeen bhai आपने बहुत दिनों बाद पोस्ट लिखा है
ranjot singh
bahut hi acha article hai harbar ki trah .. sach me wpbeginner se hum wp blog ke bare me bahut kush sikhh sakte hai mujhe bhi ye blog bahut hi pasand hai aur wp ko smjhne me mujhe is blog se bahut help mili hai
Jumedeen Khan
Yes bro mera bhi ye favorite hai.
Sahil Kumar
वैसे एक 11वी साइट भी add की जा सकती है। वो है – https://www.supportmeindia.com
Vakil
Jumedeen bhai bahut hi acchi jankari share ki hai aapne mai bhi in website pe hi padhai karta tha.
Virendra maurya
thank you sir aapne in websites ke baare mein batakar problem solve kar di.