WordPress Post Preview Page Se AdSense Ads Hide Kaise Kare

WordPress me post or page preview page dekhne ka bahut achha feature hai lekin usme adsense ads show hone se koi fayda nahi hai ulta adsense crawler errors ki problem hoti hai. Is post me main aesa tarika btane ja raha hu jisse aap wordpress post preview page se adsense ads ko completely remove kar sakte ho.

WordPress Post Preview Page Se AdSense Ads Hide Kaise Kare

WordPress post preview page me adsense ad dikhane se koi benefits nahi hota hai aur isme ad show hote bhi nahi hai khali space show hota hai. Jisse author uncomfortable feel karta hai. Isiliye preview page se adsense ads ko remove kar dena hi behtar hai.

Jab hum wordpress dashboard post editor me post likhte hai to right sidebar me preview button par click karke uska preview dekh sakte hai. Is preview page me adsense ads bhi show hote hai aur google bots ise crawl kar leta hai.

Uske bad jab hum post ko publish kar dete hai to post preview page url ko open karne par page not found error 404 issue show hota hai aur adsense me crawl error aata hai.

Isse humar iadsense earning kam ho jati hai. Upar diye gaye link wali post me maine iska solution btaya hai lekin aaj is problem ko jad se hi khatm kar dete hai.

WordPress Post Preview Page Se AdSense Ads Ko Remove Kaise Kare

WordPress post preview page se adsense ads ko remove karne ke liye aapko Ad Inserter plugin ki jarurat padegi. Agar aap iska istemal nahi karte ho to abhi is plugin ko install kar le uske ba niche ke steps follow kare.

Ab WordPress Dashboard >> Settings >> Ad Inserter option par jaye. Ab aapne jis block me ad code add kiye hai wo select kare.

  1. Lists option par click kare.
  2. Ab URLs box me *preview=true add kare.
  3. Box ke samne Black list select kare.
  4. Save all settings par click kare.

Hide Adsense Ads on WordPress Post Preview Page

Ye setting aapko sabhi ad block par karni hai. Yaad rahe aapne blog me header, sidebar, post etc. jo bhi ads lagaye hai wo ad inserter plugin se lagaye hone chahiye.

Is setting ko karne ke bad wordpress post preview page me ad code show nahi hoga aur na hi adsense ads show honge.

I hope ye jankari aapko pasand aayegi aur aapki ad crawler wali problem 100% fix ho jayegi. Agar aapko ye article achha lage to ise dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (18)

  1. मेरा ब्लॉग ब्लॉगर पर था जिसे मैंने हाल ही मे वर्डप्रेस पर शिफ्ट किया है लेकिन एक प्रॉब्लम है

    ज़ब मेरा ब्लॉग ब्लॉगर पर था तो सारे पोस्ट मे पोस्ट editor mode मे adsense code add करता था

    अब ज़ब वर्डप्रेस पर शिफ्ट हो चूका है तो सभी पोस्ट मे adsense के कुछ Code दिखते है जिसे मै एक साथ remove करना चाहता हूं कोई plugin है तो name बताए

    • एक साथ नहीं कर सकते आपको मैंने वाली 1-1 code को रिमूव करना होगा

  2. Bhai AMP version me ads show nahi ho rahe. Iska solution banatye Please

  3. Sir mere blog pr daily 16k page view hote . Jabki adsense pr 11 se 12k page view show hote hai.

    Baki page par ads show karne ki trick kya hai.

    • Aapki site ke reader me se kuch log ad blocker browser use karte hai jinme ad show nahi hote hai, isiliye adsense pageviews kam hote hai.

  4. हैलो फ्रेंड,
    मेरा सवाल आप के ब्लॉग पोस्ट / पेज लोडिंग टाइम को ले कर है। आप का पेज लोड टाइम alexa rank के अनुसार 1.234 second के आसपास है। जो की तारीफ़ के काबिल है। मैं अपने ब्लॉग की बात करूँ तो करीब 4 से 5 सेकंड का टाइम लगता है। इस प्रोब्लेम को फिक्स करने के लिए Image compress और css minify का solution बताया जाता है। मुझे अपने ब्लॉग की स्पीड आप के वैबसाइट जैसे फास्ट करनी है तो क्या क्या basic स्टेप्स लेने होंगे ? ज़्यादा complicated सोल्यूशंस मत बताइएगा। बस सिम्पल कोई solitution समजा दीजिये। थैंक्स

    • Aapko theme, database optimizing karni hogi, page speed test tool ki guideline follow karo.

  5. Bahut acchi jankari di hai aapne thanks

  6. hi, Jumedeen. Very nice article by you. Supporting in bilingual ,Bravo for your effort.

  7. Is article ko me bahut din se search kar rha tha jo aapke blog pr hindi m mili bahut acchi jankari share ki aapne.

  8. very informative article… Keep up the good work.

  9. thanks sir me is article ko kabse dhoondh raha tha.

  10. Wow Jumedeen Sir… Humare SMI ko aapne aur bhi zyada attractive bana diya hai…

    • Aap koi bhi plugin use karne se pahle uska review check kiya karo, second iske liye plugin ki jarurat nahi hai apa direct analytics me report dekha karo.

  11. Valuable information

  12. Iska Koi Dusra Method Nahi Hai.. Coding Etc Kyuki Jo User Add Inserter Use Nahi Karte Hai Uske Liye Koi Options

    • Maine google search kiya abhi aesi koi method nahi mili to plugin se kiya hai. Baki researching karne par without plugin bhi solution mil jayega.