Important note:- Apni guest post ko approve karane ke liye guidelines ko carefully read kare.
Supportmeindia ek hindi blog hai jis par hum blogging and online guide ka kaam karte hai. Aap SupportMeIndia blog par as a author guest article likhna chahate ho ye uski guideline hai.
- Note: At this time we are not accept guest posts.
Supportmeindia ko 17 June 2024 ko start kiya gaya tha tabhi se is par blogging, make money or internet ke bare me hindi me jankari share ki jati hai. Ab tak SMI par 1,000+ articles publish kiye ja chuke hai. Sabhi articles logo ki help ke liye hai.
Is blog ke alawa hum ek online hindi community forum bhi run karte hai jaha par user apne sawal puch kar apne problem ka solution pa sakte hai.
Humara maksad hai internet ke dwara Indian people ke liye hindi language me information publish karna aur unki madad karna.
Is kaam me aap bhi apna yogdan de kar humari help kar sakte hai.
Aap agar internet world me logo ke sath apna talent share karna chahate hai to aap is blog ke jariye apni knowledge ko puri duniya me pahucha sakte hai.
- Har din 1000ro log is blog read karte hai.
- Aapke article ko all world me padha jayega.
- Aapki author pic all world me show hogi.
- Aapke aur aapke talent ke bare me sari duniya ko pata chalega.
Chaliye main aapko explain karke btata hu.
Guest Post Benefits:
SMI blog par guest post karne ke ek nahi kai fayde hai. Main yaha aapko guest post karne ke fayde bta deta hu.
- Aapke name aur biography post ke sath share ki jayegi, jisse aapka name hoga.
- Aap apni knowledge sabhi logo ke sath share kar sakte ho, aapki post puri duniya me padhi jayegi.
- Internet par aapki ek alag pahchan banegi aur sabhi log aapke bare me jan sakenge.
- Agar aapme koi talent hai to aap use humare audience ke sath share kar sakte ho.
- Aap apni website ke alawa social media aur apne youtube channel ka link add kar sakte hai.
- Aapki agar koi website hai to use dofollow backlink milegi, jisse uski search rank better hogi.
- Sabse bada fayda, SMI jaise bade blog par as a author post karne se aapki brand build hogi.
- Free hosting, domain, ssl, premium theme for 1 year, aapko ye sab ek saal ke liye free milega.
Sabse badi bat jo log dusro ki help karna chahate hai unhe kisi credit ki jarurat nahi hoti, unhe dusro ki help karne me jo sukoon milta hai, uski koi kimat nahi.
Free domain, hosting, ssl, premium theme pane ke liye ye article read kare.
- SupportMeIndia Author Reward (Domain+Hosting+SSL and 5+ More)
Aapki author profile ka look kuch is tarah ka hoga, jisme aap nimn info add kar sakte hai.
- Profile Picture
- Your Name
- Website URL
- Description (Bio)
- Social Profile Link: Facebook, twitter, google+ and YouTube
For example, aap ye screenshot dekh sakte hai.
At last, aap apne aapko internet par brand banane ke sath apni site ke liye dofollow backlink bana sakte ho, apni social profile aur youtube channel ko promote kar sakte ho.
Guest Posting Rules
Aapki post ko publish karne se pahle hume kuch jaruri cheeze confirm karni hoti hai. Isliye aap sabse pahle ek bar humari guest post policy achhe se read kar le.
SMI par guest post karne ke liye aapko guest policy follow karni hogi otherwise aapko SMI community se block kar diya jayega.
SupportMeIndia Join Kaise Kare?
Agar aap humari guest post guideline ko ache se padh chuke ho aur follow kar sakte ho to aap is site par as a author guest post kar sakte ho. Iske liye hume nimn details ke sath contact kare.
- Your Full Name: Jo aap author bio me show karna chahate hai
- Your Email Address: Jisse aap login karna chahate hai
- Your Website URL: Aapki koi website hai to uska link add kare.
Aap hume Guest Post Form ya fir direct admin@supportmeindia.com par message send kar sakte ho. Aapka mail milne ke bad aapko login details bta di jayegi uske bad aap admin dashboard par ja kar login kar post write and submit kar sakte ho.
Log in on Dashboard
Login page ka look kuch is tarah ka hoga, isme aapko login username password ke sath login karna hai. Uske bad aap post likhna shuru kar sakte ho.
Agar aapko is bare me humse koi sawal puchna hai to aap contact us page ke jariye humse contact kar sakte ho.