Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai

Is post me mai aapko search engines friendly articles likhne ki kuch important tips bta raha hu. Jisse aapko search engine se adhik organi traffic mil sake or aap kam time me jyada success pa sako. Agar aapke blog par bahut posts hone par bhi traffic kam hai to ye post aapke liye 101% helpful sabit hogi. Kyuki is post me mai aapko blog par top list articles likhne kiSEO optimized 2 important tips bta raha hu.

Write Search Engine Optimized Top Articlesll

Mai blog par traffic badhane ke bare me bahut sare articles likh chuka hu or mai ne already Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post me blog post ko SEO optimized karne ki jankari de raha hu. But is tutorial me mai aapko aysi tips btaunga. Jinhe follow karke aap 1 sal ka kaam kuch hi mahino me kar sakte ho.

Website blog par traffic kamane ke bahut se tarike hote hai. But agar aap apne readers ko ignore kar ke blogging karoge to aapko 100% blogging me fail hona padega. Ye bilkul wesa hi metter hai jaise parents ki bat na manne par wo aapko ghar se nikal sakte hai. Same wese hi agar aap apne visitors ko ignore karoge to dheere dheere sabhi aapka sath chod denge.

Koi bhi nahi chahata ki uski site par audience ki kami ho or uska promotion ki jagah dumotion ho jaye. T ochaliye aaj mai aapko aysi tricks btata hu. Jisse aap 1 mahine me hi apne blog ki traffic ko 2 ya 3 guna increase kar sakte ho.

By the way, Hum is post me organic traffic ki bat karenge ki hum kaise search engines se jyada traffic recieve kar sakte hai.

Blog Par SEO Optimized Top List Articles Kaise Likhe

Actually, Jab hum apne blog par new post likhte hai to hume kuch bato ka dhyan rakhna chahiye. Agar aap inko ignore karoge to aapki 100 post bhi likhna bekar hi hoga. Jaha tak ho sake post ko search engine me 1 to 10 number par lane ki koshish kare.

Sabse pahle to aapko post title or post meta tag ke bare ache se samajh lena chahiye ki ye kya hai or post me inhe kaise use karte hai.

  • Post Title: Aapke reader ko post ka kya name dikhega. Jise wo pasand kar us par click karte hai.
  • Post Meta Description: Search engine aapki post me meta tag ko dekh kar hi post ko search result me show karta hai.

Post title and meta description

Post title or meta description SEO ke liye bahut important hai or jo blogger inhe sahi se use karna sikh gaya samajh lo wo success ke darwaje par pahuch gaya hai.

1. Post Title

Jab koi user search engine me apna koi topic search karta hai to search engine uske topic me use kiye gaye keywords ke aadhar par aapke blog ki post ko search result me show karta hai. Isiliye hume post ka title aysa choose karna chahiye jiski net par sabse jyada demand ho.

Example:

Maine is post ke title ko “Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai” Kyo likha. Mai ise “Blog par badhiya post kaise likhte hai” ayse bhi likh sakta tha. Maine isme SEO or top list article 2 keywords use kiye hai. Ab jab bhi koi reader in keywords se related koi bhi topic search karega to usme meri ye post bhi show hogi.

To ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki post ke topic me keywords kyu use karte hai. Ab sawal ye hai ki post ka sahi or high quality title kaise create kare.

Don’t worry, Ye impossible nahi hai. Bas aapko is par thoda care karne ki jarurat hai. Mai Blog Post Topic Ke Liye High Quality Keywords Kaise Search kare article me details se bta chuka hu ki post ke liye badhiya or top ranking topic kaise create karte hai. Fir bhi mai aapko yaha kuch or tips bta deta hu.

  • Post ka title 40 to 70 words ka hona chahiye. Kyuki search result me itne hi words show hote hai.
  • Post me jaha jarurat pade H1, H2 ,H3 ,H4 ,H5 JAHA heading istemal kare.
  • Post me kam se kam 1000 words use kare or isse bhi jyada kar sako to bahut achi bat hai.
  • Post me post title se related hi information honi chahiye. Warna search robots aapki post ko ignore kar dega.
  • Post permalink me se stop words ko remove kare.
  • Images me alt tag use kare or minimum size ki images use kare. Photos post se related hi hone chahiye.
  • Add external & internal links.

Blog post ko SEO friendly banae ke bare me mai already articles share kar chuka hu. So aap humari seo se related baki post padh sakte hai.

2. Post Meta Description

Second important metter hai post me meta tag description kaise use kare. Bahut se blogger apni post me post se unrelated meta description add kar dete hai. Jiska natija ye hota hai ki google robots post ko samajh nahi pate hai or aapki post search engines se ignore ho jati hai.

Jab search robots humari post ko index karta hai to wo sabse pahle post ki short description ko index karta hai. Or agar aapne meta description me difference keywords use kiye huye ho to aapki post ignore kar di jayegi. Second important bat reader bhi search engine me post description ko dekh kar hi aapki site par visit karte hai.

So mai aapko suggest karunga ki Meta tag description post content se related hi use kare. Jis se search results me aapki post ki ranking top par rahe or aapko jyada se jyada organic ctraffic mil sake.

Finaly, Mai is post me sirf itni hi info bta raha hu. Aap agar real me search engines se traffic pana chahate ho to is post me btayi post title or meta tag ki tricks ko follow karna sikh lo. Aapke blog par bahut jald traffic badhne lag jayega.

Agar aapko is article ke bare me koi sawal puchna ho ya fir aapke pas post seo optimized ke bare me koi or suggestion ho to aap commnet me humare readers ki help kar sakte hai.

I rquested to you that share this post on twitter, facebook, google plus and share this information with your friends or other blogger.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (93)

  1. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    Hello Bhai mere blog me kya kami hai ki google search engine se to visitior aate hai lekin.
    Bing Yahoo se nahi jabki Bing.com me maine apne blog ko submit kiya hai

    Mai try karne ke liye khud ka post ya blog search karta hu to show hota hai but naye visitior nahi aate hai.
    Isme kya problem hai plz help kare.

    Aur mai Google Adsense ke Ads home page par sirf 3 hi laga sakta hun.
    Aur post ke andar kitna laga sakta hun .

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      bing ko google ki tulna me kam hi log use karte hai. aap 2-3 ads per page use karo.

  2. Avatar for Ashutosh PandeyAshutosh Pandey

    Sir me Koe post likhta hu to 24 hour me first page par aa Jata par dhire dhire oh 2nd page 3rd page par chla Jata Kese improve karu Jise first page par hi rhay

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google ab random rank deta hai. Aapki post ki humesha same position nahi hogi. Aapi post se pahle jo posts hai unse behtar karo.

  3. Avatar for nazmulnazmul

    hi broo help me
    1st -apka blog search kia jase
    support me india, to usme dikata hai india’s best blog learning blogging o kase set kia jata hai,
    2nd-mare blog me about author or bi desing kia lakin o sob ku dikai nahe deta please help
    3rd-Blog me jo name hai Or domin name Dono same hona caiye kia

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap blog ka jo name set karoge wohi google me show hoga.
      2. Iske liye ye post padho Author Box Enable Kaise Kare?
      3. Nahi jaruri nahi hai aap jo chaho name rakh sakte ho.

  4. Avatar for EmiEmi

    Thanks for tips in hindi. ise padne k bad muje seo samjne me asani hogi.

  5. Avatar for satyam kumarsatyam kumar

    bhai मै आपसे पहले भी पूछ चूका हूँ इस सवाल को लेकिन इसका अभी तक मुझे सही उत्तर नही मिला है क्या कारण है की बिना www के मेरा ब्लॉग सर्च इंजन में नही आ रहा है ! जब भी गूगल में गजब की दुनिया टाइप किया जाता है तो मेरा ब्लॉग नही आता है लेकिन आपका टाइप करता हूँ तो पहले पेज पर टॉप आता है क्या कारण है आप मुझे इसका सही उत्तर बातो या अगर इसमे कोई परेहानी है जिसके कारण यह नही आ पा रहा है तो वह भी बताओ आपसे मुझे बहुत उम्मीद है भाई प्लीज मेरा उत्साह कम नही हो पाए इसको लेकर !क्योकि मुझ लगता है की कंही मेरा ब्लॉग टाइटल (डोमिन ) में ही कमी हो जो की सर्च में नही आ पता है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kumar mai Iska aapko sahi or bilkul better solution bta chuka hu. Ab aap nahi samajhoge to wo aapki problem hai. Aap first blog ke domaim ko without www ke set karo or google console me blog ko ache se submit verify karo. Agar aapka blog without www ke open hoga to google next some day me aapke blog ko without www dikhana shuru kar dega. Sath hi aapke blog par badiya content or traffic v hona chahiye.

      • Avatar for satyam kumarsatyam kumar

        thanks bhai मै दुबारा करता हूँ ! इसका मतलब यह है की डोमेन में कोई कमी नही है ! लेकिन मैंने एक बात और नोट की है यह हाकी मई जब सर्च में ” अनोखी गजब की दुनिया ” से करता हूँ तो आ जाता है !

  6. Avatar for AdityaAditya

    Sir, Mera aapse ek bahut hi accha sawal hai jo aaj har blogger ke liye janana bahut hi jaroori hai –
    Blogger me Ad block Disable Code Kaise Add Kare Jise har ad block browser me AdSense ads show ho sake or hume apni puri mehnat ka result mil sake. Please agar aapne pahle se post likhi hai to link bataye ya aap is par ek post likhe.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai jaldi hi iske bare me post likhinga.

  7. Avatar for lovejeetlovejeet

    Jumedeen sach khu to aap eek dam frishte ka kaam karte hr bhagwaan ne apko logo ki help ke liye bheja hai sir mere blog myhindiblog.in hai kya me AdSense ke liye apply karu ja nhi jrur btana sir thank you
    Ek swaal or mene laptop liya hai uske liye konsa antivirus use karu or use update v kese kru plzz btana bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap quick heal antivirus use karo or aapke blog par jab 500+ traffic ho jaye to AdSense ke liye apply karna ho jayega and thanks for your good thoughts.

  8. Avatar for Pawan DiwakarPawan Diwakar

    Hey Jumedeen,

    It was nice post….you made writing articles fully optimized easy….

    a fantastic work…

  9. Avatar for sahilsahil

    Hello.. Jume.deen Bhai.mera Ek Sawal hai?
    yeost SEO Pluging main Focus Keyword kiya hota…aur Uska Istemal kaise Karte hai.?

    Muje Affiliate Ke Code Ko Post main Show Karna Koi Pluging bata De.jise ke Jariye affiliate links Ka Use kar Saku.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap yoast SEO ki ek do post padho samajh jaoge. aap google me affiliate plugin likh kar search karo bahut milenge unme se apne kaam ka plugin use kar lo.

  10. Avatar for RihanRihan

    bro post mein kaunsi size ka image ad lagau toh ctr increase hogi. please bro help me meri ctr 0.67% hai ab aapse hi ummeed hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Image aap apne blog ki template / theme ke design ke hisab se ue karo.

  11. Avatar for arif aliarif ali

    Hello sir main aapke blog par apna article post karana chahta hun to matlab aap ko bhejunga kaise aur notepad ya wordpad kisme likhun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap guest policy padho usme pata chal jayega.

  12. Avatar for Vivek BairagiVivek Bairagi

    Bhai mere kuch question

    1. Bhai jab ham apni website ko share kare to hamari website ka logo show ho na ki hamari post ki image ye ham kaise fix kare

    2. Aap keyword kon si site se search karte hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap jab website ke homepage ko share karoge to hi logo share hoga warna post ke sath post ki image hi show hogi.
      2. google sabse bada keywords research tool hai.

  13. Avatar for vijay panaravijay panara

    JDK sir aap se mera 2 sawal hai muje ummid hai ke aal meri help karoge or mare Blog ko next level Tak le jane mai help Karoge ..

    #1 mai apni purani post ko seo Ready bana raha hu kus font ko change kar ke or spelling Mismtek thi kar ke to to aap Bataye ke mai Titel Chang Kar sakta hu purani post Ka in Se SEO ko problem Nahi hogi na ya problem hogi !?

    #2 aap ne bataya ke meta teg description Mai keyword Use karna to hum ek post ke description mai kitani baar keyword Use kar sajte Hai 1 baar 2 baar 3 baar bataye

    THANK YOU FOR You ….waiting…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. ha kar sakte ho mai to already iske liye bolta hu nahi koi problem nahi hogi.
      2. 1 bar description me aapko post summary add karni hoti hai yani puri post ko 15- words me likhna hai.

  14. Avatar for Haidar khanHaidar khan

    बहुत अच्छी जानकारी share की है अपने जुमेदीन भाई मैं अपने ब्लॉग पर जरूर यही rule follow करके post लिखने की कोशिश करूंगा।
    मुझे ये जानना है की हम अपनी पोस्ट मे code box कैसे Add कर सकते हैं. बिना Shortcode plugin के . और बिना preformatted के. HTML code box
    धन्यवाद ।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aap CSSand html code use karo. Iske bare me net par post padh lo.

  15. Avatar for KabirKabir

    Bahut hi badhiya tips. Khas karke Seo ke liye. Promotion to har koi hi chahta hain. Lekin jab demotion milne lage to bahut dukh hota hain. Aisa dukh main jhel chuka hooon… Lekin acchi baat yeh hain phir se mera blog patri par vaapis aa raha hain. 2 mahino ke andar kafi demotion ho gya. Seo ke liye aapki har tips lajwaab aur clearly rahti hain.

    Thanks Jumedeen bro.. .

  16. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jume deen sir mere blog par 300 page viwe par day hai 50 post par or me 6 mahine se blogging kr raha hu or AdSense ernings na ke barabr hai sir aap kya problem hai batta sakte ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf traffic problem hai aap blog ki traffic badhao earning apne aap badh jayegi.

  17. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bhai mene feedburner.google.com per subscription mail banaya hai. Lakin jab koi subscrobe karta hai toh The feed does not have subscriptions by email enabled yeh likg kar masg ata hai. Ise kaise set karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine feedburner ke bare me kuch post likhi hai unme iske bare me btaya hai wo padh lo.

  18. Avatar for Sudesh kumarSudesh kumar

    Bhaijann 1 qus he ki kya domain name lena jaruri he kese ki .com ya .in .org ya blogspot.com bhi thiek he .
    Or kya isko lene se blog me kuch fark padta he

  19. Avatar for lovejeetlovejeet

    JUMEDEEN BHAI

    MERE YE TINNO SWAALO K JWAAB DE PLZ.

    1.kuch websites par trailer or song ki videos hoti he jo YouTube par hoti he.kya essa karne se unka adseense account dispapoorved nhi hota copyright ke chakjar se.

    2.jaise aap apni website par kisi hindi song ko poora likhte he words me or download link kisi other websites ka de dete he jese 48kbps or 128 kbps lik kar song wali website bina khule hi gaana download kar sakte he usse koi problem nhi hoti

    3.kya hm fb instagram sekisi singer I photo lekar use apne blog par laa sakte he issse copyright ki koi problem tonhi hogi plzz muje jwaab de

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Kuch websites trailer ki permission leti hai jo legal hoti hai or kuch chiting karke aysa karti hai. Jab AdSense ko inka pata chalta hai to AdSense ban ho jata hai.
      2. nahi koi problem nahi hai bahut se log aysa karte hai.
      3. ha laga sakte hai.

  20. Avatar for Sanju DangarSanju Dangar

    Vaah sir aapki post likh ne ki style realy lajvab hai, jar line dimag me utari jati hai, vaise hi aap success nahi hua, dusre se alag hai aspki fillings, aap blog ke alava sirf motivassion do to bhi aap success ho jate aapka motivasson aapki fill kamal ki hai, jab bhi me hatas ho jata hu to aapki koi bhi post read kar leta hu, or aapki post se dil me ak nayi umid jag ti hai jo hame success banane me kafi helpful hoti hai, or ye sirf aapki tarif nahi balki meri fill hai,aapke liye, or sir aap ne jo bhi post me likha hai he vo sab pe me pahele se bahut dhayan deta hu kyu ki aapki old post me bataya hai or is se bahut sare fayade bhi muje mile hai

  21. Avatar for vakilvakil

    bahut hi helpful article hai kaise hai AAP jumedeen bhai thank you. aap bahut brilliant hai aapko hath koi nahi pakad sakta Jo new bloggers hai vo so aap tik hoge jumedeen bhai. thank you very much!

  22. Avatar for S K PathanS K Pathan

    Jumedim bhai AdSense ke low CPS ads kaise pata kare. I mean ye kaise pata kare ki kis ads se ki kitni cpc aa rahi hai .
    Maan lo aaj $2.59 earn hue to kis ads se kitne income hui yah kaise pata chalega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AapAdSense par ad unit report check kar sakte hai. or adfs block option me AdSense khud low cpc ads ke bare me btata hai.

  23. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    hello, bro kya hum AdSense search box ad ko customize kar sakate hai kya. aur agar ha to jaise aapne customize kiya uska code bata sakate hai kya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha kar sakte hai. Iske bare me mai post likhunga .Thoda wait karo.

      • Avatar for shivam kumarshivam kumar

        hello sir kya aap mujhe blogger ki starting se poori information bata.because i m new user
        thanku sir

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap humari blogspot wali post read karo unme sabkuch bta chuka hu.

  24. Avatar for sonu champsonu champ

    Jumedin bhai mai WordPress pe hu or meri earning 106$ ho gyi hai or 34 din hue hain to mai konxi net banking use karu isko nikalne k liye plz suggest bro

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne earning agar AdSense se ki hai to aap AdSense me apna bank account add karo usme aapko AdSense direct payment send kar dega. Iske bare me maine post ki hai wo padh lena.

  25. Avatar for Prince AkashiiPrince Akashii

    Hello Sir
    Mera ek question hai

    Post ke liye title kitne letter ka hona chahiye

    Aur discription kitne letter ka hona chahiye

    Aur post kam se kam kitne word ka hona chahiye ?

  26. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir agar Main 1000 word ka use kru aur search descrption main 150 chracter ka toh meri post 1 page per aa sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul hogi. Manish aap supportmeindia ki seo se related baki post padho or seo ko ache se samajho.

  27. Avatar for Amar BanshiwalAmar Banshiwal

    Bahut hi badhiya jaankari hai. Keep it up

  28. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir Aap Mere Blog Ko Dekhkr Ye Bta Saktey Hai Ki Kuch kmi Toh nhi hai Aap Meri post likhne Ka trike Btaye shi sir please

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai. Bas aap footer me midle me jyada widget use mat karo.

  29. Avatar for devdev

    bhayi ans jarur dijiyega..
    1. mene hosting 3 months ke liye li he agar me 3 mahine baad hosing na upgrade karu or blogger me hi rhna chahu, to kya me blogger use kar skta hu ya nhi or agar ha to kya setting karne padeggi phir se
    2. bhayi meri alexa 3 lac par h or income bilkul b nhi abi mughe kya karna chahiye ye sirf aap hi bata skte ho ye me acchi trah se janta hu bhale hi mene phle koi galti ki ho par uska solution aap hi de skte ho.
    bhayi me jab b q karta hu mere liye bahut important hote isliye aap unka jawab dene ka kasth karna. plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. hosting upgrade nahi karoge to aapka plan expire ho jayega. or aapki site open nahi hogi. Blogger use karne ke liye aapko WordPress blog ka backup le kar blogger me import karna padega.
      2. Dev iska jawab mai aapko kei bar de chuka hu. Income ke liye aapki site par acha traffic hona jaruri hai or aap AdSense user ho t oaapko search engine se traffic milna chahiye. sirf rank achi hone se aapki income nahi hoti hai.

  30. Avatar for SurendraSurendra

    Jume deen bhaijaan muje aapki help chahiye
    mere pass 2 Adsense Acc he approval or jaisa ki aapne bataya google ko pata lagte hi dono account ban kar dega to mene abhi 1 account ke ads site par lagaye he or dusra me delete kar du to mera abhi wala Adsense ban to nhi hoga’? matlab ki me Google ko pata lagne se pehle hi galti sudhaar lu..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aapko aysa kar lena chahiye. Kis AdSense account me aapki sabhi information sahi hai. My means jo better hai use rahne do. Dusre ko use mat karo. Dlete karte ho ya nahi ye aap par depend karta hai.

  31. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    Bhai ye tips bahut kam ki hai.

    Bahi aap ko site pichle kuch dino se theek se khul kyu nhi rahi?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi mere blog me koi problem nahi hai. Aapke server problem ki wajah se koi error aa raha hoga.

  32. Avatar for arunarun

    mane kal domin kharda our use blog se joda but ab blog open nahi ho raha h godaddy open ho jata h
    help fast

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      godaddy ki site par jao or apni profile me ja kar domain setting me lock option ko on karo.

  33. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir aap ye bhi btaiye ki hostgator hosting company hume email offer karegi ya nahi. Aur ha agar humare pas domain pahle se nahi hai aur hum hostgator se hi domain khareedte hai to iska alag se charge to nahi dena padega ya hosting ke sath domain free hai. Dusri bat yadi mujhe ek hi WordPress blog host karwana hai aur mai hostgator ka pahla plan chunta hu to usme koi limitations to nahi hai aur iska price kitna hai ye jarur btana please sir reply jarur karna maine bahut ummid ke sath comment kiya hai. Please………

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aapko domain ka aextra charge dena padega. aap baby plan choose karo. usme aap kitni bhi email address bana sakte ho. iska price 500-600 per day hai. Rahul aap hostgator se baby plan lo or domain godaddy se lo. iske liye ye post read kar sakte ho Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari

  34. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir aap mujhe ye bhi btaiye manlo mai digital ocean ki free hosting lekar WordPress install kar deta hu phir mai hosting dusri company se leta hu. To phir mai apna digital ocean wala blog ispar install kaise kar sakta hu. Please meri confusion dur kar dijiye sir kyoki mai bahut jald WordPress par shift ho raha hu. Please jaldi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap digital ocean se free hosting lete ho. Us ka backup le kar hosting par import kar sakte ho. Mai aapko suggest karunga ki aap digital se free hosting le kar sirf WordPress sikho.

  35. Avatar for ManishManish

    jume deen sir Main apna ek new blog create karta hu jisme me 10 seo friendly post karta hu or mera blog english me hai or main iss google search me add karta hu or usska sitemap bhi submit karta hu to mera blog phele se jo website ya blog hai unse pahle google search me aayga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, agar aap 10 seo friendly post likhte ho to jarur aayega.

  36. Avatar for Rahul yadavRahul yadav

    Sir aapse ek help chahiye thi ki jab hum apna blog kisi bhi hosting par install karte hai to jis website se humne domain liya hai usme dns code add karna hota hai wo kaise kare iske liye aap ek post publish kar deejiye ya fir comment me hi step by step bta dijiye. Maine costumer care me bhi call kiya tha but wo sale english me bolte hai aur mujhe english aati nahi. Aur dusri bat ki jab humara wp blog ban jayega to hume isme login karne ke liye kis website par jana padega WordPress.com ya WordPress.org ya koi aur. Please jald se jald meri problem solve kar deejiye aapka bahut aabhari rahuga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      DNS ke bare me mai post kar dunga. log in karne ke liye aapko aysa link milega yourdomain.com/wp-admin

  37. Avatar for sajidsajid

    ek baat batao khan ji mene agar ek post liki 200 word ki use baad me 1000 word ki karu tho kuch fayda hoga ya new hi likni padegi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Why not, 101% hoga. But post me bekar ki jankari add mat karna.

  38. Avatar for amitamit

    bhai me apni site pr facebook hacking whats app hacking or bhi bahut hacking sikhata hu to kya mera AdSense bhi disapprove ho jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes, bilkul ho jayega. Jaise hi google ko aapke bare me pata chalega .wo aapka AdSense account ban kar dega.

  39. Avatar for Manish SharmaManish Sharma

    Sir Ye Post Maine puri Pdhi Hai Ye Jankari share karne ke liy thank you

  40. Avatar for Reitesh KumarReitesh Kumar

    sir aap aapne apna template kaha se download kiya hai wih website bataye sir plz help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye post padho Support Me India SEO Ready & Mobile Friendly Template For Blogger

  41. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jume deen sir kya aap mera blog dekh kr bata sakte ho ki usme our kya kami hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apne blog ko ache se design karo.

  42. Avatar for BAIJNATH SHARMABAIJNATH SHARMA

    Bro ye post my achhi trah se padh chuka hu plese ye betya ki AdSense ki tarah chitika ka ads bhi sabhi browser me show hota hi ya nahi aur ye paymen keasi karta hi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sabkuch AdSense ki tarah hi hai. Bas thoda bahtut fark hai. aap direct apne bank account ya paypal account me payment recieve kar sakte ho.

  43. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir post index hone me kitna time lgta he,, 3 din ho gya but ek v index nhi huwa he,,,,, agar apne se fetch as google me jake index kare to koi prblm

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aapki site par traffic nahi hai to kei day lag sakte hai. Or traffic hai to ek din me hi index ho jati hai.

  44. Avatar for BAIJNATH SHARMABAIJNATH SHARMA

    Bro (1)bidvertiser blogstot par nahi laga sakte
    (2)AdSense ke alawa dusra kon sa achha hoga

  45. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Post me add kaise lagate hai ki next post me Add lagana na pade koi plugin hai to name batao

  46. Avatar for BAIJNATH SHARMABAIJNATH SHARMA

    Thanks achi jankari dene ke leyai

  47. Avatar for Ravi Kumar sahuRavi Kumar sahu

    wau helpful articles,,
    Question– bhaiya aapne jayadatar article me ye batate hai, post me kam-kam 1000 word use kare, wo bat sahi bhi hai,
    but bhaiya aisa bahut sare post hote hai, jo 300-500 me hi simit ho jate, agar bahut bada karke bhi likha to,,,,
    Q….2
    Aise mai avi jo post likhta hu filhal 15 dino wo sabhi post Google pe hindi me hai hi, nahi uske liye kitne word use karna chahiye, kyuki eklauta post hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apni post me 1 bhi word use mat karo to bhi koi aapse kuch nahi kahega. Ravi yaha bat organic traffic ki ho rahi hai. Yani search engine se traffic pane ke liye aapki post me 1000+ words hone jaruri hai. Kuch important tricks me isse kam words ho sakte hai. Agar aapki post 300 words par simt jati hai to use publish karne se koi fayda nahi hai. Kyuki 100 bekar post likhne se acha hai ek badhiya post likho.

  48. Avatar for SurendraSurendra

    bhai meri site blogspot par Facebook comment plugin maine galti se laga diya he he ab muje wo remove karna he to kaise karu plz bataye?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne jis tarah lagaya hai. Wese hi use remove kar sakte ho.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...