Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai

Is post me mai aapko search engines friendly articles likhne ki kuch important tips bta raha hu. Jisse aapko search engine se adhik organi traffic mil sake or aap kam time me jyada success pa sako. Agar aapke blog par bahut posts hone par bhi traffic kam hai to ye post aapke liye 101% helpful sabit hogi. Kyuki is post me mai aapko blog par top list articles likhne kiSEO optimized 2 important tips bta raha hu.

Write Search Engine Optimized Top Articlesll

Mai blog par traffic badhane ke bare me bahut sare articles likh chuka hu or mai ne already Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post me blog post ko SEO optimized karne ki jankari de raha hu. But is tutorial me mai aapko aysi tips btaunga. Jinhe follow karke aap 1 sal ka kaam kuch hi mahino me kar sakte ho.

Website blog par traffic kamane ke bahut se tarike hote hai. But agar aap apne readers ko ignore kar ke blogging karoge to aapko 100% blogging me fail hona padega. Ye bilkul wesa hi metter hai jaise parents ki bat na manne par wo aapko ghar se nikal sakte hai. Same wese hi agar aap apne visitors ko ignore karoge to dheere dheere sabhi aapka sath chod denge.

Koi bhi nahi chahata ki uski site par audience ki kami ho or uska promotion ki jagah dumotion ho jaye. T ochaliye aaj mai aapko aysi tricks btata hu. Jisse aap 1 mahine me hi apne blog ki traffic ko 2 ya 3 guna increase kar sakte ho.

By the way, Hum is post me organic traffic ki bat karenge ki hum kaise search engines se jyada traffic recieve kar sakte hai.

Blog Par SEO Optimized Top List Articles Kaise Likhe

Actually, Jab hum apne blog par new post likhte hai to hume kuch bato ka dhyan rakhna chahiye. Agar aap inko ignore karoge to aapki 100 post bhi likhna bekar hi hoga. Jaha tak ho sake post ko search engine me 1 to 10 number par lane ki koshish kare.

Sabse pahle to aapko post title or post meta tag ke bare ache se samajh lena chahiye ki ye kya hai or post me inhe kaise use karte hai.

  • Post Title: Aapke reader ko post ka kya name dikhega. Jise wo pasand kar us par click karte hai.
  • Post Meta Description: Search engine aapki post me meta tag ko dekh kar hi post ko search result me show karta hai.

Post title and meta description

Post title or meta description SEO ke liye bahut important hai or jo blogger inhe sahi se use karna sikh gaya samajh lo wo success ke darwaje par pahuch gaya hai.

1. Post Title

Jab koi user search engine me apna koi topic search karta hai to search engine uske topic me use kiye gaye keywords ke aadhar par aapke blog ki post ko search result me show karta hai. Isiliye hume post ka title aysa choose karna chahiye jiski net par sabse jyada demand ho.

Example:

Maine is post ke title ko “Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai” Kyo likha. Mai ise “Blog par badhiya post kaise likhte hai” ayse bhi likh sakta tha. Maine isme SEO or top list article 2 keywords use kiye hai. Ab jab bhi koi reader in keywords se related koi bhi topic search karega to usme meri ye post bhi show hogi.

To ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki post ke topic me keywords kyu use karte hai. Ab sawal ye hai ki post ka sahi or high quality title kaise create kare.

Don’t worry, Ye impossible nahi hai. Bas aapko is par thoda care karne ki jarurat hai. Mai Blog Post Topic Ke Liye High Quality Keywords Kaise Search kare article me details se bta chuka hu ki post ke liye badhiya or top ranking topic kaise create karte hai. Fir bhi mai aapko yaha kuch or tips bta deta hu.

  • Post ka title 40 to 70 words ka hona chahiye. Kyuki search result me itne hi words show hote hai.
  • Post me jaha jarurat pade H1, H2 ,H3 ,H4 ,H5 JAHA heading istemal kare.
  • Post me kam se kam 1000 words use kare or isse bhi jyada kar sako to bahut achi bat hai.
  • Post me post title se related hi information honi chahiye. Warna search robots aapki post ko ignore kar dega.
  • Post permalink me se stop words ko remove kare.
  • Images me alt tag use kare or minimum size ki images use kare. Photos post se related hi hone chahiye.
  • Add external & internal links.

Blog post ko SEO friendly banae ke bare me mai already articles share kar chuka hu. So aap humari seo se related baki post padh sakte hai.

2. Post Meta Description

Second important metter hai post me meta tag description kaise use kare. Bahut se blogger apni post me post se unrelated meta description add kar dete hai. Jiska natija ye hota hai ki google robots post ko samajh nahi pate hai or aapki post search engines se ignore ho jati hai.

Jab search robots humari post ko index karta hai to wo sabse pahle post ki short description ko index karta hai. Or agar aapne meta description me difference keywords use kiye huye ho to aapki post ignore kar di jayegi. Second important bat reader bhi search engine me post description ko dekh kar hi aapki site par visit karte hai.

So mai aapko suggest karunga ki Meta tag description post content se related hi use kare. Jis se search results me aapki post ki ranking top par rahe or aapko jyada se jyada organic ctraffic mil sake.

Finaly, Mai is post me sirf itni hi info bta raha hu. Aap agar real me search engines se traffic pana chahate ho to is post me btayi post title or meta tag ki tricks ko follow karna sikh lo. Aapke blog par bahut jald traffic badhne lag jayega.

Agar aapko is article ke bare me koi sawal puchna ho ya fir aapke pas post seo optimized ke bare me koi or suggestion ho to aap commnet me humare readers ki help kar sakte hai.

I rquested to you that share this post on twitter, facebook, google plus and share this information with your friends or other blogger.

Reader Interactions

Comments (93)

  1. bhayi ans jarur dijiyega..
    1. mene hosting 3 months ke liye li he agar me 3 mahine baad hosing na upgrade karu or blogger me hi rhna chahu, to kya me blogger use kar skta hu ya nhi or agar ha to kya setting karne padeggi phir se
    2. bhayi meri alexa 3 lac par h or income bilkul b nhi abi mughe kya karna chahiye ye sirf aap hi bata skte ho ye me acchi trah se janta hu bhale hi mene phle koi galti ki ho par uska solution aap hi de skte ho.
    bhayi me jab b q karta hu mere liye bahut important hote isliye aap unka jawab dene ka kasth karna. plz

    • 1. hosting upgrade nahi karoge to aapka plan expire ho jayega. or aapki site open nahi hogi. Blogger use karne ke liye aapko WordPress blog ka backup le kar blogger me import karna padega.
      2. Dev iska jawab mai aapko kei bar de chuka hu. Income ke liye aapki site par acha traffic hona jaruri hai or aap AdSense user ho t oaapko search engine se traffic milna chahiye. sirf rank achi hone se aapki income nahi hoti hai.

  2. Jume deen bhaijaan muje aapki help chahiye
    mere pass 2 Adsense Acc he approval or jaisa ki aapne bataya google ko pata lagte hi dono account ban kar dega to mene abhi 1 account ke ads site par lagaye he or dusra me delete kar du to mera abhi wala Adsense ban to nhi hoga’? matlab ki me Google ko pata lagne se pehle hi galti sudhaar lu..

    • Yes aapko aysa kar lena chahiye. Kis AdSense account me aapki sabhi information sahi hai. My means jo better hai use rahne do. Dusre ko use mat karo. Dlete karte ho ya nahi ye aap par depend karta hai.

  3. Bhai ye tips bahut kam ki hai.

    Bahi aap ko site pichle kuch dino se theek se khul kyu nhi rahi?

    • Nahi mere blog me koi problem nahi hai. Aapke server problem ki wajah se koi error aa raha hoga.

  4. mane kal domin kharda our use blog se joda but ab blog open nahi ho raha h godaddy open ho jata h
    help fast

    • godaddy ki site par jao or apni profile me ja kar domain setting me lock option ko on karo.

  5. Sir aap ye bhi btaiye ki hostgator hosting company hume email offer karegi ya nahi. Aur ha agar humare pas domain pahle se nahi hai aur hum hostgator se hi domain khareedte hai to iska alag se charge to nahi dena padega ya hosting ke sath domain free hai. Dusri bat yadi mujhe ek hi WordPress blog host karwana hai aur mai hostgator ka pahla plan chunta hu to usme koi limitations to nahi hai aur iska price kitna hai ye jarur btana please sir reply jarur karna maine bahut ummid ke sath comment kiya hai. Please………

    • Yes aapko domain ka aextra charge dena padega. aap baby plan choose karo. usme aap kitni bhi email address bana sakte ho. iska price 500-600 per day hai. Rahul aap hostgator se baby plan lo or domain godaddy se lo. iske liye ye post read kar sakte ho Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari

  6. Sir aap mujhe ye bhi btaiye manlo mai digital ocean ki free hosting lekar WordPress install kar deta hu phir mai hosting dusri company se leta hu. To phir mai apna digital ocean wala blog ispar install kaise kar sakta hu. Please meri confusion dur kar dijiye sir kyoki mai bahut jald WordPress par shift ho raha hu. Please jaldi

    • Aap digital ocean se free hosting lete ho. Us ka backup le kar hosting par import kar sakte ho. Mai aapko suggest karunga ki aap digital se free hosting le kar sirf WordPress sikho.

  7. jume deen sir Main apna ek new blog create karta hu jisme me 10 seo friendly post karta hu or mera blog english me hai or main iss google search me add karta hu or usska sitemap bhi submit karta hu to mera blog phele se jo website ya blog hai unse pahle google search me aayga

    • Yes, agar aap 10 seo friendly post likhte ho to jarur aayega.

  8. Sir aapse ek help chahiye thi ki jab hum apna blog kisi bhi hosting par install karte hai to jis website se humne domain liya hai usme dns code add karna hota hai wo kaise kare iske liye aap ek post publish kar deejiye ya fir comment me hi step by step bta dijiye. Maine costumer care me bhi call kiya tha but wo sale english me bolte hai aur mujhe english aati nahi. Aur dusri bat ki jab humara wp blog ban jayega to hume isme login karne ke liye kis website par jana padega WordPress.com ya WordPress.org ya koi aur. Please jald se jald meri problem solve kar deejiye aapka bahut aabhari rahuga.

    • DNS ke bare me mai post kar dunga. log in karne ke liye aapko aysa link milega yourdomain.com/wp-admin

  9. ek baat batao khan ji mene agar ek post liki 200 word ki use baad me 1000 word ki karu tho kuch fayda hoga ya new hi likni padegi

    • Why not, 101% hoga. But post me bekar ki jankari add mat karna.

  10. bhai me apni site pr facebook hacking whats app hacking or bhi bahut hacking sikhata hu to kya mera AdSense bhi disapprove ho jayega

    • Yes, bilkul ho jayega. Jaise hi google ko aapke bare me pata chalega .wo aapka AdSense account ban kar dega.

  11. Sir Ye Post Maine puri Pdhi Hai Ye Jankari share karne ke liy thank you

  12. sir aap aapne apna template kaha se download kiya hai wih website bataye sir plz help me

    • Ye post padho Support Me India SEO Ready & Mobile Friendly Template For Blogger

  13. hello jume deen sir kya aap mera blog dekh kr bata sakte ho ki usme our kya kami hai.

    • Aap apne blog ko ache se design karo.

  14. Bro ye post my achhi trah se padh chuka hu plese ye betya ki AdSense ki tarah chitika ka ads bhi sabhi browser me show hota hi ya nahi aur ye paymen keasi karta hi

    • Sabkuch AdSense ki tarah hi hai. Bas thoda bahtut fark hai. aap direct apne bank account ya paypal account me payment recieve kar sakte ho.

  15. sir post index hone me kitna time lgta he,, 3 din ho gya but ek v index nhi huwa he,,,,, agar apne se fetch as google me jake index kare to koi prblm

    • Agar aapki site par traffic nahi hai to kei day lag sakte hai. Or traffic hai to ek din me hi index ho jati hai.

  16. Bro (1)bidvertiser blogstot par nahi laga sakte
    (2)AdSense ke alawa dusra kon sa achha hoga

    • Chitika

  17. Post me add kaise lagate hai ki next post me Add lagana na pade koi plugin hai to name batao

  18. Thanks achi jankari dene ke leyai

  19. wau helpful articles,,
    Question– bhaiya aapne jayadatar article me ye batate hai, post me kam-kam 1000 word use kare, wo bat sahi bhi hai,
    but bhaiya aisa bahut sare post hote hai, jo 300-500 me hi simit ho jate, agar bahut bada karke bhi likha to,,,,
    Q….2
    Aise mai avi jo post likhta hu filhal 15 dino wo sabhi post Google pe hindi me hai hi, nahi uske liye kitne word use karna chahiye, kyuki eklauta post hai,

    • Aap apni post me 1 bhi word use mat karo to bhi koi aapse kuch nahi kahega. Ravi yaha bat organic traffic ki ho rahi hai. Yani search engine se traffic pane ke liye aapki post me 1000+ words hone jaruri hai. Kuch important tricks me isse kam words ho sakte hai. Agar aapki post 300 words par simt jati hai to use publish karne se koi fayda nahi hai. Kyuki 100 bekar post likhne se acha hai ek badhiya post likho.

  20. bhai meri site blogspot par Facebook comment plugin maine galti se laga diya he he ab muje wo remove karna he to kaise karu plz bataye?

    • Aapne jis tarah lagaya hai. Wese hi use remove kar sakte ho.