Yoast SEO Plugin WordPress SEO ke liye sabse jyada use hone wala plugin hai. Jab bhi Search Engine Optimization ki bat aati hai to SEO expert Yoast SEO Plugin suggest karte hai. Lekin 2 month pahle khud Yoast SEO Plugin 7.0 Bug ki wajah se wordpress use karne wale bahut se blogger ki search ranking down ho gayi aur unka google se aane wala traffic bahut kam ho gaya. Iska reason kya tha aur yoast seo plugin ki wajah se drop huyi search ranking ko recover kaise kare ki puri jankari is post me di gayi hai.
Actually, March 6th, 2024 ko Yoast Plugin 7.0 update aayi thi aur usme developer se kuch mistake ho gayi thi jiski wajah se bahut se wp blogger ke blog ki search ranking down ho gayi thi, yaha tak ki kuch user ka traffic to 50% se bhi jyada down ho gaya tha.
Halanki yoast plugin seo ke liye sabse best plugin hai aur iska review bhi bahut achha hai lekin galti kisi se bhi ho sakti hai. Yoast team iske liye apne users se sorry bol chuki hai. Lekin hume apni search rank wapis karni hai.
Table of Contents
- Yoast SEO Plugin Ki Wajah Se Down Huyi Ranking Recover Kaise Kare
- Yoast SEO Plugin Me Kya Bug (Problem) Thi?
- Yoast SEO Plugin Bug Se Kinka Nuksan Hua?
- Mera Media & attachment URLs “NO” Par Set Tha
- Mera Media & attachment URLs “YES” Par Set Tha
- Drop Ranking Ko Recover Kaise Kare?
- Search Index Purge Plugin Kya Karega?
Yoast SEO Plugin Ki Wajah Se Down Huyi Ranking Recover Kaise Kare
Yoast 7.0 update ke bad ask.supportmeindia.com forum par ek user ne Blog Traffic 50% Decrease in Last 7 Days ki jisme 50% se jyada traffic down hone ki bat kahi gayi, iski wajah bhi yoast plugin hi tha. Iske alawa 2 aur user ke bare me mujhe pata chala.
Ek user ne twitter par post karke btaya ki uski site google me first position se completely remove ho gayi aur 3rd and 4th position par show hone lagi thi aur ab wo yoast par believe nahi karega.
Ek aur user ne btaya ki uski google rank down ho gayi hai aur use is month me $1-2k earning ka loss hua hai. Lekin bad me bug fix hone aur yoast ka new update aane par uski ranking fir se recover ho gayi.
Yoast team ke according “humare yoast seo 7.0 update me attachment url se related bug tha, jise humne jaldi hi fix kar liya lekin jin logo in bug fix karne se pahle plugin update kar liya unhe ranking drop ka samna karna pada.” Yoast team ne is bare me apne blog par attachment url bug namak post bhi share ki hai.
Yoast SEO Plugin Me Kya Bug (Problem) Thi?
Jab aap wordpress par koi image upload karte hai jo wordpress na sirf use store karta hai balki uske liye ek attachment URL page bhi bananta hai. Is page me image ke alawa koi content nahi hota.
Google Panda Algoriths ke according ye thin content me aata hai aur site par aese bahut sare pages hone par site ko google penalize kar uski ranking down kar sakta hai.
Yoast SEO plugin attachment URL ko page URL par redirect kar ise problem ko fix kar deta hai. Iski setting aap Yoast SEO plugin settings me Search Appearance >> Media setting par ja kar Media & attachment URLs option ko enable kar sakte ho.
By default yoast plugin attachment URL ko page URL par rediect kar deta hai lekin 7.0 upgrade ke bad mistake se ye feature miss ho gaya aur jin logo ne Media & attachment URLs redirection enable nahi kiya tha unke attachment URL google ne index karne shuru kar diye.
Iski wajah se bahut se users ki site ke attachment URL google ne index kar liye aur natijan unki search ranking down ho gayi.
Yoast SEO Plugin Bug Se Kinka Nuksan Hua?
Yoast SEO official announcement ke bad ye clear ho gaya ki sirf un logo ko ranking down hone ki problem huyi thi jin logo ne bug fix hone se pahle plugin update kar liya tha.
Second jin logo ne Media & attachment URLs redirection enable nahi kiya hua hai un logo ki search ranking down huyi hai.
Mera Media & attachment URLs “NO” Par Set Tha
Kuch log janbujh kar attachment URL redirect ko disable karke rakhte hai aur kuch log galti se ya wrong setup guide ki wajah se disable karke rakhte hai, Isse koi matlab nahi hai.
Agar aapki site pat attachment URL redirection “No” par set tha to chahe aapne ye janbujh kar kyia ho ya galti aapki site par affect pada hoga aur site ka traffic kam hua hoga.
Aapko jald se jald attachment URL ko page URL par redirection enable kar lena chahiye. Iske liye aapko yoast seo media setting me toggle “Yes” par set karna hoga.
Mera Media & attachment URLs “YES” Par Set Tha
Agar aapne pahle se attachment URL redirection enable kiya hua hoga to aapki site ranking par koi effect nahi padega. Agar is bich aapki site ka traffic kam hua tha to uski wajah kuch aur hogi.
Aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai, haa aap ek bar yoast seo media setting me ja kar confirm kar le ki aapne toogle YES par set kiya hua hai ya nahi.
Drop Ranking Ko Recover Kaise Kare?
Ab bat aati hai yoast seo plugin ki wajah se dropped ranking ko recover karne ki to aapko google se sabhi attachment URL ko remove karna hoga.
Sabse pahle aap Yoast SEO media settings me ja kar Media & attachment URLs redirection enable kare.
Is settings ko karne ke bad google attachment URLs ko remove karna shuru kar dega lekin google ko all URL ko remove karne me 1-3 ya fir 6+ month bhi lag sakte hai.
Means aapki search ranking recover hone me kai mahino ka time lag sakta hai. Is problem ko solve karne ke liye yoast seo plugin team ne ek aur plugin banaya, search index purge plugin. Ye plugin attachment URLs ko google se jald se jald remove karane me help karta hai.
Search Index Purge Plugin Kya Karega?
Is plugin ko install karne ke bad all attachment URL par 410 error ( URL removed permanently) show hoga. Jisse google unhe jald se jald remove kar dega. Plugin install karne bad yoast seo media setting me kuch is tarah ka option show hoga.
Aapko ye plugin tab tak install karke rakhna hoga jab tak aapki site ke sare attachment urls google se remove nahi ho jate. Is method se aap jald jald google se attachment URLs ko remove kar sakte ho.
Agar aapko nahi pata ki aapki site ke attachment URLs google me index hai ya nahi to apni blog ki all posts, pages, categories, tags ko gin le fir google me site:domain.com or site:www.domain.com type se search kare aur total count compare kare, jyada hai matlab aapki site ke extra link google me index hai, unhe remove karna chahiye.
- WordPress Blog Post Me Table of Contents Kaise Add Kare
- WordPress JPEG Image Compression Increase Decrease Kaise Kare
Is tarah se aap yoast seo plugin ki wajah se dropped search ranking ko fir se recover kar sakte hai. Agar aapko ye article pasand aaya ho to ise social media par apni profile aur other blogger ke sath share jarur kare.
Adil Khan
भाई yoast seo premium plugin में footer menu जहां पर focus keyword और related keyphrase होते हैं blank आ रहा है इसे ठीक करने के लिए क्या करें ?
जुमेदीन खान
Plugin uninstall आरके फिर से install करो
Pradeep
Hello JDK Sir,
1) Kya 13.03.2019 ko Yoast SEO Plugins related Updates/ Bugs aaya hai.??.. kyuki mere WP Post par under SEO Meta Box/ Seo Sidebar indication Show nhi ho rahi hai….. ise kaise resolve kare.. Please reply #jdk_sir
2) SMI Forum: kya forum band ho gai hai.?.? | ya forum kuch nai updates ke sath aaye wali hai..?? | ya isme koi other blogging issue hai…??
जुमेदीन खान
1. Yes Bug fix update aaya hai.
2. Yes, future me new update ke sath launch hoga.
Zeeshan Khan
Bhai jaan mera to koi bhi post raink nhi ho raha hai…
Bolo main kya karonnnnnnnn.
koi meri help nhi kar raha hai……
Jumedeen khan
Acha content likho jo logo ko pasand aaye.
rovin singh chauhan
thank you so much jumedeen sir apne bahut he helpful article share kiya hai me ise jarur try karunga.
Sahil Kumar
यह मुझे अब पता चला कि मार्च के मध्य के बाद मेरी ट्रैफिक और इनकम आधी क्यों हो गई। जब गूगल में देखा मेरी साइट के कितने page index है तो पता चला कि जितनी पोस्ट हैं, उनसे दोगुने है। मुझे इसने काफी निराश किया।
लेकिन जुमेदीन भाई आपका धन्यवाद, जो आपने समय रहते बता दिया।
भाई क्या इससे साइट की ट्रैफिक फिर से (लगभग 3 महीनों में) normal हो जाएगी?
धन्यवाद।
Jumedeen khan
Ummid to hai, yoast ke plugin se jaldi problem theek ho jayegi.
sandeep
Bhai Meri Ranking 1700 se 53000 ho gayee h march ke baad. or google web master tool me bhi error aa rahe h. Stucture data error , Samajh nahi aa raha kuchh. Itni Ranking kaise down ho gayee h. Apne jo setting batai h wo to waise hi h. kuchh suggestion do.
Jumedeen khan
Google algorithms updates check karo sab samajh aa jayega.
Manoj
jumedeen bhai ek sawal h ki subdomain jaise 123.xyz.com me koi post publish kari or wahi post main domain jaise xyz.com me bhi post kare to copyright hoga ya nhi
Jumedeen khan
Copyright nahi duplicate content ki problem hogi.
shashank kuldeep dwivedi
bahut mahtvpurn jaankari diya sir aapne mai to abhi naya hu is filed me par jo pahle hai se unke liye bahut kaam ki chij hai.sir aapke liye ek blog likha hu chhota sa dhnywaad dene ke liy jarur padhiyega.
Pinki kumari
जुमेदीन सर ! आपने एक बार फिर से बहुत ही काम की और बढिया जानकारी दी है. आपका तहे दिल से शुक्रिया.
Himanshu kumar
Aapne bahut hi badhiya jankari share ki hai..
Mai jab google me apne site ko search karta hu to site ka image ka link aur title bhi aa raha hai..mai chahta hu sirf post hi search me aaye..kaise hoga solution
Jumedeen khan
Is post me btaye steps follow karo problem solve ho jayegi.
Irfan
Nycccc Articel dear… Bohat badiya tarike se btaya
Bhai blogger k liye bhi bta do k hum konsa SEO tool use karien jis se hum apna SEO theek kr sakein… Plzz Bhai
Deepak Vaishnav
meri rank pr jyada fark nah pada
Pardeep Negi
ab aap ek baat batao…………..hum to all in one seo use kar rahe hai fir bhi humara traffice 80% down huwa tha……….iska reason……..
Jumedeen khan
Agar aapne ye option disable kiya hai ya yoast plugin use nahi karte ho to traffic kam hone ki wajah kuch aur hogi. for example, march me google algorithm update aayi thi.
Mukesh Saini
bahut acchi jankari batai hai. yah bahut helpful rahi mere liye.
Akash Yadav
Sir Yoast SEO ya All in one SEO dono me se kon sa jyada acha hota hai?
Jumedeen khan
Yoast SEO best hai.
Deepak sahu
google search console me 500, 522 and 404 error show ho raha hai isko kaise fix kare aur ye error kaise aata hai?
kya inko normally mark as fixed kar du ya fir url ko remove karu?
Jumedeen khan
1. error 500 corrupted .htaccess file ki wajah se aata hai.
2. error 522 connection timeout ki wajah se aata hai.
3. error 404 page available na hone par aata hai.
Aap .htacess file se unwanted codes ko remove karo aur timeout limit change karo, aur error 404 page URL ko sahi karo.
Deepak sahu
timeout limit kaise change karenge?
Jumedeen khan
Jo server use karre ho apache or nginx uske name ke sath google search karo is type se “how to fix wordpress timeout error on nginx”
Adip
Very helpful post for every blogger.
Hardeep Ralh
Thank u bhai aapki is guide ke liye jaise ke aapne bataya to maine site:name.com likh ke google par saerch kiya toh mujhe jo site me next page ka navigation laga hota hai woh sabhi google search me show ho rahe hai jaise page 1 page 2 toh kya yeh thik hai ja isko remove karna chahye. Agar remove karna chahiye to yeh kaise remove honge.
Jumedeen khan
Isse koi problem nahi, google pagination ko ignore kar deta hai.
Raghuvar
mera blog ka 5 mahina ho chuka hai. main regular post bhi dalata hun. lekin na ke braabar visitor hai. main seo friendly articles bhi likhta haun. lambi post bhi likhta hun. lekin koi changes nahi aa rhi hai. kya karun. plesase any suggestion..
Jumedeen khan
Content likhne ke sath sath uska promotion karo aur backlink banao.
G. P. Gautam
भाई मैंने इसके बारे में एक बार फेसबुक पढा था कि yoast प्लगइन की वजह से rankig और traffic lose हो रहा है।
वैसे, मेरे साथ नही हुआ।
अब मुझे कारण तो पता चला नही इसलिए मैंने इस खबर के बाद से प्लगइन को अपडेट नही किया। और पुराने version को ही use करता रहा।
आज आपने इस समस्या का समाधान ही बता दिया और अब तो मैं प्लगइन को अपडेट कर सकता हूँ।
बहुत बढ़िया भाई।
Jumedeen khan
Very, ab aap plugin update kar sakte hai, ab ye problem fix kar di gayi hai.
sumit kumar gupta
Bahut hi achhi jankari di hai sir aapne is post se mujhe yah pta chl gya ki media attachment ko hmesha enable karke rkhna chahiye. Thank you sir.
Umesh
Thank you for sharing this information brother muze bhi kuch dino se yehi problem aarhi thi traffic me, ab mai bhi aapke bataye huye step follow karke ek baar try karta hu. Shayd traffic recover ho jaye
Surendra kumar
Iske alawa bhi bhai search console ( html ) me duplicate title or meta description ki problem aa rahi Hai bhut dino se usko kaise think kare ,, jiski wajha se Ranking drop ho gayi . sayad ye swaal maine phele bhi pucha tha.
Jumedeen khan
Yes, I know bro, iske bare me SMI forum par bhi sawal pucha gaya hai lekin yoast team ne apne article me iske bare me nahi btaya so maine mnetion nahi kiya, ho sakta hai ye bug na ho aur yoast ne wo feature remove kar diya ho.
रिज़वान
जागरूक करने के लिए शुक्रिया,
Jitender Singh
Jumedeen bhai nice post bro
Bhai kya yoast plugin ka new setting article mil sakta hai
Jis mein hum apki traha usko update yani setting kr le
Bhai apke blog pr jab bhi auo kasam se maza aa jata hai
Asia kabhi nhi lagta ki iss mein humara koi time waste hua hai
Mai apse asie hi articles ki ummed aage bhi karunga bhai
Jumedeen khan
Ye guide follow kar sakte ho, yoast seo plugin settings kaise kare
Jitender Singh
Jumedeen sir Thanks Sir …..