Google ne YouTube me background color design change karne ka naya feature add kiya hai. Aap apni pasand anusar Dark and Light background choose kar sakte ho. Pahle iske liye chrome extension kya dusre tarike istemal karne padte the but ab aap youtube par hi background theme change kar sakte ho. Chaliye jante hai iske bare me.
Aap online video, movie dekhte ho to jahir hai youtube ka istemal karte honge. Kya aapko youtube ke default design se boring hoti hai or kya apa youtube ka design badalna chahate hai. Agar haa to pura theme design to nahi main aapko youtube ka background color change karne ki trick bta sakta hai.
YouTube ka hi ek feature hai jisse aap youtube theme background color ko dark or light color me convert kar sakte ho. Is feature ka istemal kaise karna hai uske liye niche ke step follow kare.
YouTube Background Color Change Kaise Kare
Aap chahe to iske liye Dark Background for YouTube extension use kar sakte hai but ab iski jarurat nahi hai. Iska option aapko youtube me hi mil jayega.
Step 1:
Apne device me internet browser me youtube.com site open kare or gmail ID se login kare.
- Dark Theme: Off option par click kare.
Step 3:
Ab jo windows khule usme aap dark theme select kar sakte ho.
- Activate Dark Theme option ko on kare.
Ab fir se ligh theme use karne ke liye is option ko off kar sakte hai. Example, aap ye GIF dekh sakte hai.
Is tarah se aap youtube ka background color change kar sakte ho. Agar aap youtube par video dekhne par advertisement se pareshan hai to aap VLC Media player me bhi youtube video dekh sakte ho. Iske liye aap ye post read kare.
- Youtube Video Ko VLC Media Player Me Kaise Chalaye
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke Hindi Jankari
Agar aapko ye trick pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Afreen
Great sir…
Sir mera ek question hai kya main apne website ke ad sense ko apne naye you tube channel ke saath add kar sakti hu….
Jumedeen khan
Yes kar sakte ho.
Shabbeer khan
Sir mera youtube chennal suspend ho gya h. M kya kru please help me.
Sir mujhe batao ki url kaha se adjust kru m or maine history bhi delet kr di h.please help me
Jumedeen Khan
Google ne aapka channel kyu suspend kiya hai or ab aapko kya karna hai iska mail send kiya hoga. Wo check karo ya mujhe dikhao.
Vakil
Or acchi baat ye hai ki maine jo dusri website banayi thi computer or mobile repairing ke baraeme us website ke 2 year ke baad 100₹ pure ho gaye hai maine apni ka bank account add kiya hai usse paise to transfer ho jayenge ya koi problem aa sakti hai maine swift code bhi add kiya hai .
Or mere website ki jo ads lagai hai kya vo sahi hai ya galat please check maine galti se template dusra add kiya tha magar firese vahi set kiya hai kuch html me edit karna hai so mai karoonga.
Jumedeen Khan
Yes payment mil jayega agar aapne swift code sahi use kiye hai to.
ads sahi lagaye hai but jitna kam ad use karoge utna better hai.
Vakil
Jumedeen bhai meri site me ek problem aa rahi hai jaise ki maine meri site ke domain ko renew nahi kiya hai kya karu mai bahar kaam ke liye hu isliye abhi kuch nahi kar sakta maine badi mehnat se article likhe hai magar jab mai apni site ko google concole me add karta hu to sitemaps me ek error aa raha hai HTTPS. 404 NOT FOUNT so please iska solution bataiye.
Jumedeen Khan
Aap jo sitemap url submit kar rahe ho use open karke dekho wo work nahi kar raha hai. Please submit right url.
AJAY SINGH
Hello bhai mera adsense sites se approved hai or site se adsense se income hoti hai. But 2-3 din se meri adsense ke earning double ho gayi hai.
pahele to $3-4 hoti thi. But 2 din se $8-9 hone lagi hai. Iska matlab invalid click hone laga hai kya to aise me mein kya karu plz..
Jumedeen Khan
I think ye invalid clicks hai kah nahi sakte. Agar aapko aesa lagta hai to aap kuch time me liye site se ad hata lo ya adsnese ko iski report karo.
JITENDRA SINGH
Bahut badiya information sir
Thank you for sharing information
Harshit
Hy bro kya me support me india name se YouTube channel bna skta hu kya
Jumedeen Khan
Why not but aapke content khud ka hona chahiye.
Rohit Shrivastav
बहुत ही अच्छी लेख जुमेदीन भाई….एसे ही लिखते रहिये……
Monu khan
Sir aapne acchi information share ki he good information di he
Ravi Kumar
bhaiya aapne mere comment ko delete kar diya why???
Jumedeen Khan
Comment deleted by mistake, Please ask again.
Ranjot singh
Very nice article and sir kya m ek adsence account ko apne blog ke sath sath YouTube Chanel pe bhi lga sakta hu
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho.
anoop bhatt
thanks sir is post ke liye