Youtube Channel Ko Delete Kaise Kare? YouTube hume single ID se -5 channel create karne ki permission deta hai. Ye baat aap sab jante honge or shayad aapke youtube par kai channel bhi honge. YouTube par bahut se aese users bhi hote hai jinhone ek ID se bahut se extra channels create kare huye hai jinse wo apne kisi ek channel ko theek se manage nahi kar pate hai. Isiliye aaj is post me main aapko YouTube par extra channel ko permanently delete aur hide kaise karte hai ke bare me bta raha hu.
YouTube se bahut se log ek hi channel se achi earning kar rahe hai. Wo isliye kyoki wo sirf ek hi channel banate hai or ek channel ko achhe se manage karte hai. Bahut sare channels ki tulna me ek channel ko manage karna aasan hota hai. Bahut sare channels use karne walo ke dimag me ek bat jarur aati hogi ki YouTube par extra channels ko hide ya delete kaise kare.
Agar aapke pass ek ya usse jyada channel hai jinki aapko koi jarurat nahi hai to main aapko suggest karunga ki aap bas apna ek personal channel banaye taki aap use puri tarah manage kar sako baki faltu ke channels ko delete kar de.
YouTube channel ko delete karne ki simple tricks hai. Isliye main is post ko jyada badha nahi karna chahata to aayiye ab main topic par aate hai ki YouTube channel ko remove kaise karte hai or agar aap apne channel remove nahi karna chahte hai to aap apne channel ko hide bhi kar sakte hai. Aayiye jante hai.
YouTube Channel Ko Hide Or Permanently Delete Kaise Kare
YouTube channel ko delete ya hide karna bahut simple hai aap 2 to 3 steps me apne channel ko remove, delete ya hide kar sakte ho bas aap is post ko step by step follow kijiye.
Step 1:
Sabse pahle YouTube.com webste par jaye or jo channel aapko remove ya hide karna hai use open kijiye. Ab right side upar people icon par click kare. Ab ek dabba aayega usme YouTube Settings icon par click kijiye.
- Apne profile photo par click kare.
- Settings icon par click kare.
Step 2:
Jaise hi aap YouTube Settings icon par click karoge uske baad ye page open hoga. Is page me aapko Advanced par click karna hai.
- Advanced option par click kare.
Step 3:
Advanced par click karne ke baad ek new page open hoga. Us page me aapko Delete Channel ke button par click karna hai.
- Channel delete karne se pahle check kar le ki apa sahi channel delete kar rahe hai, ab delete option par click kare.
Step 4:
Delete channel par click karne ke baad yaha aapse password re-enter karne ke liye kaha jayega. Agar aapko apna channel remove ya hide karna hai to Password check kijiye or sign in par click kijiye.
- Password re-enter kare or Sign in par click kare.
Step 5:
Sign par click karne ke baad ek new page open hoga. Us page me 2 options honge. Aap apne channel ko hide karna chahate hai ya aap apne channel ko permanently delete karna chahate hai. Aap jo chahe kar sakte hai.
- I want to hide my content: Agar aap apne channel ke content ko hide karna chahate hai or delete nahi karna chahte hai to 1 option par click kare.
- I want to permanently delete my content: Agar aap apne channel content ko permanently remove karna chahte ho to 2 option par click kare.
Aap chahe jis option ko chun sakte ho main aapko yaha dono options ke bare me bta chuka hu. Agar aapne first option select kiya hai to ye step follow kare.
Step 6:
Jaise hi aap I want ho hide my content option ko select karoge to usme kuch or options show honge. Aap niche screenshot dekh sakte ho.
- Agar aap apne channel ke videos ko hide karna chahte hai to yaha tik kijiye.
- Agar aap apne channel page, name, channel art, icon, likes, comments and subscriptions ko hide karna chahte hai to yaha tik kijiye.
- Dono option par tik karne ke baad HIDE MY CONTENT button par click kare aapka content kuch der me hide ho jayega.
- Agar aap apna channel permanently delete karna chahte hai to ye I want to permanently delete my content option select kijiye.
Step 7:
Agar aap channel ko delete karna chahe rahe hai to aapne “I want to permanently delete my content” par click kiya hoga. I want to permanently delete my content option ko select karne ke baad isme kuch or options show honge. Aap niche screenshot dekh sakte hai.
- Your videos
- Comments that you made on YouTube
- Your replies and thumbs-up on comments
- Your massage
- Your search and watch history
- Agar aap ye sab permanently delete karna chahte ho to is option par tik kijiye.
- Ab DELETE MY CONTENT button par click kar dijiye.
Jaise hi aap delete my content button par click karenge to aapko apna content confirm karne ke liye kaha jayega. Aap apna channel name type kar OK button par click kar dijiye. Bas ab aapka channel permanently delete ho jayega.
To guys is tarah se aap apne channel ko delete ya hide kar sakte ho and bekar ke extra channel se chutkara pa sakte ho or agar aapko is process me koi problem ho to comment me bata sakte ho.
Agar aapko YouTube channel ko delete kaise kare ki jankari pasand aaye to ise social media par share jarur kare.
Neeraj Kumar Yadav
सर मेने अपना चैनल डिलीट किया था क्या उसको वापस ले सकते है क्या please help mi
जुमेदीन खान
Contact to google.
Golu
Kya youTube account permanantly delete karne par …baad mai account recovery ho sakta hai.. Kya please help me
जुमेदीन खान
नहीं
shashi kumar
Sir mera 2 channel hai..agar main dusra channel delete kru to kya phala channel to delete nhi ho jayega..
Jumedeen khan
Nahi, nahi hoga.
Sameer Khan
Bhai Youtube pr mera chanel pr 6700+ Subscribers aur lagbhag 60 dollars ho gaye hai.
YouTube Address verify bhi ho gya hai.
Ab Yadi mai apne Youtube channel ka name change kar lu to payment me koi problem to nahi hogi.
Jumedeen Khan
No problem. Adsense account name change karne se problem hai.
Mohd Amir
Assalawalekum janab
apne bht hi achi post share ki hai or y kafi usefull bhi h jo apne btaya hai HIDE and HIDDEN k bare mai or apne jis tarike smjhaya hai wo to bht hi acha lga bcoz apne step by step smjhaya hai or pics bhi add kiye hai jisse ki logo ko ache se smjh mai aa jaye…
very nice post..
Abhinav Ranjan Jha
Helpful Information. Happy to read.
Sumit Mishra
Hello Sir..….
1. Apne Naya Channel Banaya Hai Usme Custom link Kaise Lagaya
2.Custom link to 100 subscription ke Baad hota Hai Fir Kaise?
Jumedeen Khan
Apa yahi comment second time kar rahe main iska already reply kar chuka hu.
niraj bari
Good Information, I would like to know about your YouTube promotion, Can you share some of your tips and can you please share the way you promote.
Jumedeen Khan
Check this post Youtube Videos Par Views Kaise Badhaye 10 Best Tips in Hindi