Hello friends, Aaj hum janenge Youtube ke naye feature YouTube Copyright Match Tool (Big update 2024) ke bare me. Youtube Copyright Match Tool Kya Hai, Kya Kaam Aata Hai Iska Use Kaise Kare? What is Copyright Match Tool – Full Guide in Hindi.
YouTube original creator ke liye ye bahut hi good news hai lekin copy karne wale (jo dusro ka content video or music copy paste karte hai) ke liye ye news bahut hi buri khabar (bad news) hai kyuki isse content owner ko pata chal jayega ki uska content kis channel par copy kiya ja raha hai.
To chaliye jante hain ki Youtube Copyright Match Tool kya hai? Youtube ko isko launch karne ki zarurat kyu padi aur is naye feature se Youtube creators ko kya kya fayda hoga?
Table of Contents
- Youtube Copyright Match Tool Kya Hai?
- Youtube Copyright Match Tool Kaam Kaise Karta Hai?
- Youtube Copyright Match Tool Se Kya Fayda Hai?
- Youtube Copyright Match Tool Kaise Use Kare?
- Video Owner Kya Kya Action Le Sakta Hai?
- 1. Archive
- 2. Message to the Channel
- 3. Request Removal
- Copyright Match Tool Se Related Sawal Jawab (Copyright Tool Question Answer)
Youtube Copyright Match Tool Kya Hai?
YouTube copyright match tool serious youtuber ke liye hai. Ye tool copy kiye gaye video aur uske channel owner ke bare me original owner ko btati hai. Iski help se youtube channels par jitne bhi video re-upload hote hai unke bare me owner ko pata chal jata hai.
Owner youtube studio me copyright videos aur unki details dekh sakta hai, uske bad use kya action lena hai wo khud decide kar sakta hai. Isse aapko copy kiye gaye video ko search karne ki jarurat nahi padegi.
Youtube me aap aksar dekhte honge ki ek hi video ko kai sare alag alag channel me upload kiya jata hai. To agar koi channel kisi dusre channel ke content ko upload karta hai uske real owner ko uske bare me pata chal jayega.
Youtube creator ke liye ye good news hai kyuki isse unke content ko koi aur use nahi kar sakega, second copy karne walo ke liye ye bad news hai kyuki wo ab kisi ke content ko copy nahi kar sakenge.
Dusro ki video upload karne walo ke liye ye very bad news hai kyuki ab unhe sabhi copyright video delete karne honge. Kyuki ab unke real owner ko jaise hi iska pata chalega wo use delete karwa denge.
Waise to Youtube khud hi copyright contents ko pakadta hai lekin is baar naye feature ke aane se har youtube channel ke owner ko bhi ye information mil jayegi ki uska content kaun istemaal kar raha hai. Jo channel copyright content use karega uski har information content ke real owner ko milegi.
Youtube Copyright Match Tool Kaam Kaise Karta Hai?
Jab aap apna original video apne youtube channel par upload karte hai youtube aapke dwara upload kiye gaye video ko scan karna shuru kar dega ki kahi kisi aur ne ye video re-upload to nahi kiya hai. Jaise hi youtube ko koi matched video milega to wo video aapke youtube studio me show hoga.
Youtube iske liye time dekhta hai, yani jo sabse pahle video upload karega uska video original mana jayega. Aap video match hone ke bad us par action le sakte hai.
Note:- is feature ka istemal sirf copyright video ko delete karwane ke liye kare, galat istemal karne par aap apne channel se access kho sakte hai ya fir aapka channel hi suspend kar diya jayega.
Youtube Copyright Match Tool Se Kya Fayda Hai?
Apne ye observe kiya hoga ki jab koi trending video hoti hai to log usko har jagah alag alag channels me hu ba hu copy paste kar dete hain. mera matlab ye hai ki use download karte hain aur waise hi upload kar dete hain apne channels par.
Ab bahut se log to sochte hain ki chalo trending video hai main bhi upload kar ke achi views gain kar lunga. Kuch log to bas shauk se hi aisa karte hain bas maze ke lie. lekin unko ye andaza bhi nahi hota hai ki wo kisi ka kitna bada nuksaan kar rahe hain.
Jab ko Youtube owner bahut hi hard work kar ke video ko upload karta hai to use kuch ummid hoti hai us video se. jab wo acha kar leta hai to log usko re-upload karne lag jate hain. Ab wahi video agar 10 jagah uploaded rahegi to viewers us channel par na aakar dusre channels par bhi us video ko dekh lete hain.
To jo channel deserve karta tha, jise sare views milne chahiye the use nahi mil pate. Aur ye views dusre channels le lete hain. Ab aap hi socho aapki mehnat aise me bekar hi chali jaegi. Jab koi bina mehnat ke apke views le lega. Lekin Youtube Copyright Match Tool ne aise youtubers ko chain ki saans di hai jo is problem ko face kar rahe the. Ab koi bhi aapki video chori nahi kar payega.
Youtube Content Match Tool badi hi aasani se ye pata laga lega ki kisi original content ko kitni baar re-upload kiya gaya hai. Aur agar 10 channels me re-upload kiya gaya hai to un sari channels ki list apko youtube show karegi. Aur har channel ne kitna % video ka use kiya iski bhi detail wo show karega.
Youtube Copyright Match Tool Kaise Use Kare?
Agar aapka channel eligible hai is feature ke lie to apko Youtube studio ke left side me me Copyright section milega. Aapko normally usme click kar lena hai.
- Left sidebar me Copyright section me jaye.
- Ab top me Matches option select kare.
Yaha par aap similar video dekh sakte hai jo youtube par re-upload ki gayi hai. Ab aap in par action le sakte hai aur copyright video ko remove kara sakte hai.
Video Owner Kya Kya Action Le Sakta Hai?
Agar aapke video ko kisi ne upload kiya hai aur aapko ye is Tool ki wajah se malum ho gaya. Tab youtube aapko kuch feature deti hai jisse aap us channel par action le sakte hain. To main aapko batata hun ki us Original Content channel ke owner kya kya action le sakta ?
1. Archive
Agar aap channel ke owner ho aur aapko list mil chuki hai to aap chaho to bina kuchh kiye video ko chhod sakte ho. Lekin agar aap chaho to baad me action le sakte ho.
2. Message to the Channel
Ye dusra option hai jisme original content owner us channel ko communicate kar sakta hai message ke zariye aur bata sakta hai ki apne jo video dala hai wo mera content hai aur apne ise re-upload kiya hai, aap use original content ka proof dikha sakte hai. Baad me mail ke istemaal se dono bat chit aage badha sakte hain.
3. Request Removal
Aap iska istemal kar ke Youtube ko legal request bhej sakte ho matching video ko dusre channels se delete karwane ke liye. Ye request bhejne ke 2 tarike hain.
A. Scheduled: Send a seven-day notice
Is me aap channel ko request bhej sakte hain ki wo channel se video ko 7 din ke pehle remove kar le. Agar wo 7 din tak remove nahi karta to Youtube automatic video ko delete kar dega aur sath hi copyright strike bhi de dega.
B. Standard: Request removal now
Is ke zariye hum usi waqt directly youtube se request kar us video ko turant delete karwa sakte hai. Isse video to delete hoga hi sath hi channel ko strike bhi mil sakti hai.
Request submission ke bad youtube ke mail ka wait kare, kyuki youtube video ko delete karne se pahle kuch jaruri information lene ke liye aapse contact kar sakta hai.
Youtube copyright match tool se related kuch sawal jawab main yaha bta raha hu.
Copyright Match Tool Access Kaise Milega?
Ans: Abhi youtube ne ise small pilot ke liye release kiya hai. Ek time ke bad ye feautre sabhi ke channels me available hoga.
Agar Main Kisi Match Par Action Na Lu to Kya Hoga?
Ans: Koi dikkat nahi hai, Aap match tab se video ko remove kar sakte hai, youtube keval ek bar aapko btata hai uske bad wo video fir se matches tab me show nahi hogi.
Mujhe Ek Copyright Video Mila Jo Mere Matches Tab Me Nahi Tha?
Ans: Youtube un video ko match tab me show nahi karta hai jo aapke video content ka ek small part use karte hai, ya fir kisi wajah se youtube use scan nahi kar paya ho to aap direct Webform submit kar us video par action le sakte hai.
YouTube Kaise Pata Karta Hai Ki Video Ka Real Owner Kaun Hai?
Ans: Youtube iske liye timeing dekhta hai jisne sabse pahle video upload kiya hoga usko original video mana jayega lekin real owner koi aur hai to wo content ID claim kar sakta hai.
Kya Main Ek Pure Channel Ki Report Kar Sakta Hu?
Ans: Jab koi user aapke real name, image aur personal information ke sath youtube channel ya video bananta hai aur aapko lagta hai ki wo aapka impersonated kar raha hai to aap impersonated web form par uski report kar sakte ho?
Agar aapka youtube copyright match tool se related koi aur sawal hai to aap comment section me puch sakte ho.
TO ye thi youtube copyright match tool ki puri jankari hindi me, ummid hai aapko pasand aayi hogi, agar haa to ab jaldi se ise facebook, twitter, google+ social media par share kar do.
Shivani
Agar Ham kisi Brand name ka use kr rahe hai, Ya aisa ho sakta ki by mistake kisi ka naam , content, Audio ya kisi bhi tarah ki aisi koi chiz jispr copyright strike aa sakta hai……. agr hamko ye pata karna ho strike aane se pahle to ham kaise pata kar sakte hai….!!
Please bataiye
Jumedeen Khan
Ye aapko manually hi pata karna padega.
harsh
copyright strike kb ati hai video upload krne ke baad
Sharukh khan
Youtube ke liye manpasand jaroori image ya video kha se laaye copyright free
Anand Kumar
Ek important question, yadi main kisi ka video apne channel par upload karun aur ye baat uske real owner ko pata chal jaye. Lekin uske report karne se kuchh der pahle hi yadi main wo video delete kar doon to aise condition mein kya unka report karna kamyab hoga?
Jumedeen khan
Nahi hoga, kyuki video aapke channel par nahi hogi.
Haseeb Alam
मेरे हिसाब से सभी YouTubers के लिए यह एक लाभदायक जानकारी है!
आपका धन्यवाद इस तरह के जानकारी को हमारे साथ Share करने के लिए!
Anurag Choubey
Man loo ki maine ek video copy krr diya pura and bus sound men gana add krr diya ya phir sound edit krr diya to bhi copy right lag jaegi??
Jumedeen khan
Yes copyright hoga.
Wasim Akram
Kuch bhi edit kare copyright match tool pakad lega. Ab dusre ka content kabhi bhi use na kare to hi acha hai.
Govind
अगर हम किसी वेबसाइट से शायरी अगर अपनी वीडियो में डालते हैं तो क्या कॉपीराइट आएगी
जुमेदीन खान
नहीं
Niraj kumar
बहुत अच्छी जानकारी हम सभी के लिए आपने share की है।
Thank you.
Deepak Vaishnav
यह तो बहुत बढ़िया खबर है
anoop bhatt
बहुत अच्छी जानकारी
Wasim Akram
Thank you
Sameer Khan
Bahut hi badhiya jankari di hai aapne ab jo youtube user dusro ke video apne channel par upload karte hai unki to lag gayi thanks
Wasim Akram
ji han kisi ki mehnat ka faayda ab nahi uthaya ja sakta hai youtube me.
Vikas
Sahi kadam uthaya hai youtube walo ne.
Youtube original creators ko isse kaafi faayda milega.
Nice information
Wasim Akram
Yes great feature.