Youtube par video upload karne se pahle aapko ye janna jaruri hai ki Youtube par kon konse video copyrighted hote hai or hum YouTube par kis kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Jisse future me hume copyrighting ki problem na ho or humara AdSense account ban na ho. Is post me mai aapko isi ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu ye post all YouTube users ke liye helpful sabit hogi.
Jab koi person pahli bar YouTube par video upload karta hai to kei bar uski self created videos bhi copyright ho jati hai. Or wo sochta hai ki ye video to maine khud banayi hai fir copyright kaise ho sakti hai. Actualy, Youtube par video upload karne ke liye hume YouTube ki policy follow karni padti hai. So jis video me YouTube ki policy ka ullaghan hota hai, google use copyright man leta hai.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)
- Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tarike
Google jab humari video ko delete kar deta hai to “This video is no longer due to a copyright claim.” message show hota hai. Generally aysa kisi bhi new YouTube user ke sath ho sakta hai. Ye YouTube ki common issue hai. I sure is post ko padhne ke bad aapke sath aane wale time me copyrighting ki problem nahi hogi.
- Mai YouTube par kis tarah ke video upload kar sakta hu.
- Kya mai gaming video YouTube par upload kar ke paise kama sakta hu.
- Kya mai TV serial ya movies ko record kar upload kar sakta hu.
- Maine video khud banaya hai fir bhi copyright kaise ho sakta hai.
- Kya mai apni video par filmi songs use kar sakta hu.
- Kya mai bina sound ke video upload kar sakta hu.
Ayse bahut sare sawal hai jo YouTube user mujhse aksar puchte rahte hai. So mai chahata tha ki un sabko iska details me jawab du, Jisse unke sath dusre YouTube users ki bhi help ho sake. Isliye mai ye post mere friends or mere all visitors ke liye likh raha hu. Commnet me post ke bare me apne thoughts jarur share kare.
Youtube Par Kis Tarah Ke Videos Copyright Ho Sakte Hai
Agar aap YouTube par video upload kar ke paise kamana chahate hai to aapko YouTube ki copyright policy ache se jan leni chahiye. Jisse aane wale time me aapko koi problem na ho. Kyuki YouTube par roj 1000 log channel banate hai but copyrighting ki wajah se sirf 50-100 hi success ho pate hai. Youtube par kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Iske bare me mai aapko point se samajha raha hu.
- Audiovisual works: TV seral, movies seens or videos ko record kar ke YouTube par upload karna.
- Sound recordings and musical compositions: Kisi or ki sound (Jo pahle se YouTube par active ho) record kar ke ya fir kisi musical compatitioans ki video record kar ke upload karna.
- Written works: Kisi books, lectures, articles, and musical compositions books se copy kar ke video banana.
- Visual works: advertisements, paintings and kisi posters ki video bana kar upload karna.
- Video games and computer software: Koi bhi video games ya kisi software ko record kar upload karna.
- Dramatic works: Kisi plays yani khel ki recording karna Ya kisi or ke songs ki chori se recording karna.
- Legal Audio: Video ke liye sound bahut important hoti hai. But hum kisi filmi songs, dialogue abd voice ko video me add kar YouTube par upload nahi kar sakte.
- Stills and Images: Hum khud ki li photos ko hi video me use kar sakte hai. Agar aap kisi or ki image ka video clip bana kar YouTube par upload karoge to aapko uski permission leni padegi.
- Recording Location: Video banane ke liye aap kisi bhi public place, park ko shoot kar sakte ho but aapko private place video me shoot karna allow nahi hai. Jaise aap kisi dusre ka home and bussiness shoot nahi kar sakte.
- Your Age: Youtube par aap tabhi video upload kar sakte ho jab aapki age 17 years se jyada ho. Kyuki YouTube kabhi bhi aaapse documents verify kartne ke liye bol sakti hai.
Is tarah ke sare video copyright ho sakte hai. Kei bar game ya kisi or ki recording kar ke YouTube par upload karne se video copyright nahi hota hai. But ye dar humesha rahta hai ki copyright ho sakta hai. So hume sirf self created videos hi upload karne chahiye.
Ye post YouTube policy ka ek thoda sa part hai. Mai bahut jald iske bare me details se post karunga. I hope is post me bhi aapko achi jankair milegi.
Reshu kumari
Kya hum apni video ko his mobile se load karte hai usi se YouTube me search karke pata kar sakte hai ki video upload hui ya nahi.
Ydi nahi to kaise pta karenge ki load hui.
Jumedeen khan
Kar sakte ho video manager par ja kar, yaha aapki sari videos ki list hoti hai. open this link after uploading video
Reshu kumari
Aap to mujhe picture ke madhyam se ads dikha diye prantu Maine kisi YouTube video par nahi dekhi hai. Kya aap hame ek video ke title ka name bta sakte hai taki hum uske ads par click kar ke dekh sake ki ads ka matlab kya hota hai.
Jumedeen khan
Aap ye video check karo http://www.YouTube.com/watch?v=0CdmElYRfSE
Reshu kumari
Aapne his video ke name diye WO to YouTube ke official video hai. Hmare mobile me open nahi ho RHA hai.unavailable bta rha hai.network 400 ka problem hai. Aap mujhe local video jaise malasiya ke ladki ke video ke title ka name de. Official video ka nahi. Taki him proof karke satisfied ho sake.
Jumedeen khan
Ye offical video nahi local video hi hai. Aapke pas slow internet connection hai or slow connection par YouTube videos par ad show nahi hote hai. Mai aapko ek bar fir kahunga ki aap YouTube ke bare me humare dusre articles padhe. Comments me samajhana mushkil hai.
reshu kumari
Jab hum is title ko search kar rahe the to bahut sari usi title ke video list aaya that to Maine ek par click kar di to us video ke suruwat me hi “magi” ke ad show ho RHA tha yani parchar ho rha tha.WO video to 4 minutes ki hi thi. Aap kahte hai ki ads video ke aant me show hota hai or WO bhi 5 minutes se jade ke video par. Itna confusion kaise hai apke jbab me
Bro hum jharkhand ki hu or Bihar me rahti hu to agar him AdSense me address jharkhand ke dale or video Bihar se load kare or Bihar se hi AdSense se Jode to alag alag location se koi dikat hoga kya?
Kya hum address me. c/o karke papa ke name denge to AdSense verification code aa Jaega. Village me hame koi nahi janta hai.koi problem to nahi n aaegi.
Bro hmare bank me swift code nahi hai. Hamne bank se manga to WO hame default swift code diya.Jo Delhi me hai jiska kam kewal dolled ko rupya me convert karna hai. Kya him use kar sakte hai. PNB ka swift code to pure Bihar ke kisi bank me nahi hai .
Jumedeen khan
Reshu, aapko samajhana bahut mushkil hai. meri bato ko acche se padho.
1. Short video par ads sahi se show nahi hote hai. Yani kabhi kabhi hi sho hote hai.
2. Video aap kahi se bhi upload kar sakte ho but AdSense me woh iaddress dalo jaha par aapko post mil sake. I mean aap jaha rahti ho.
3. Aa jayega aap papa ke name se hi AdSense account banao.
4. Nahi kar sakte. Aap apni aaspas ki bank ka swift code use karo ye post padho. SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
Reshu kumark
Bro aap Jo video ke name diye the o apka hi video that Jo subscribe button lgane ke bare me that. E to. 2 hi minutes ke tha ad nahi show hua. To income aapko kaise hoti hogi.mere pas 4G Jio hai network slow nahi hai. Aapke video par ads nahi dikhata hai. Kyu?
Jumedeen khan
Reshu, main YouTube par video upload bahut kam karta hu or mere income source YouTube nahi blogging hai. Aaki bate sun kar maine ek post likhi hai ye padho bahut kuch sikhne ko milega. Youtube Videos Par Views Kaise Badhaye 10 Best Tips in Hindi
Reshu kumari
Kya hum ek photo ki seen lete hue 4-5 songs ek hi video me ga kar bada sa video record karke load kar sakte hai. Taki ads hmare video par sahi se show ho sake.
2. Kya 10 minutes ke video par ads sahi se show ho payega?
Plz btae
Jumedeen khan
Haa kar sakte ho, but aap ek second ke liye socha, Aaj ke time me aesi videos ko koun dekhenga. Isiliye kuch aesi video create karo jo effective ho. Girls women ke liye YouTube par cooking, make up and home care se related topic par video banana better hota hai. Malesia ki ek ladki only cooking par video upload karti hai and wo per year 5 crore se bhi jyada earning kar leti hai. So main aapko suggest karunga ki agar aapko youtubre se paise kamane hai to ek laptop ya desktop aapke pas hona chahiye. Mobile se jo kaam kaap 1 saal me karoge PC se wohi kaam aap next 2-3 month me kar loge.
Reshu kumari
Aap to sort me jbab de dete hai. Detail se btate hi nahi hai.
Hum dehat ke log kewal mobile se dher sari video kha se or kis chij par bna sakte hai
Jumedeen khan
Oh, reshu ji better video create karne ke liye aapko PC ki jarurat padegi. Mobile se aap limited video editing kar sakte ho.
Reshu kumari
Bro kya him kisi filmi song ke dhun par koi dusra gana khud se create karke or khud ga kar load kar sakte hai.
2. Kya video fx or slideshow maker se videos bnakar load kar sakte hai.
3. Kya hum apne video par 5-5 minutes par multiple ads dikha sakte hai
Jumedeen khan
Ye sab risky kaam hai. Khud ki video banao or safe raho.
Reshu Kumari
Bro mere mobile me HD medium quality ke video 1 minute ke bhi 60-70 mb ka hota hai. Itna bada social media par kaise load kare. Agar him compress bhi kare to 1 minute par kitna mb rakhe ki Hume income bhi Jada ho or viewer bhi rating dekhkar bhage na balki subscribed kare. 1 minutes par mb size likh kar btae.
Jumedeen khan
Aap video editor se video edit karke uska size kam kiya karo. Size medum rakho jyada low karoge to video clear dikhayi nahi dega and use koi nahi dekhenga.
Reshu kumari
Hum video compressor se 640 x360 size par video bnate hai. Hume mb bhi rakhne aata hai. Hum chahe to 1 minute me 30 mb or 3 mb bhi kar sakte hai. Hmari video hamesa cline hota hai. Prantu hum aap se pu6 rahe hai ki 1 minute me kitna mb rakhe ki YouTube hame Jada paisa bhi de or viewer ko bhi dikat na ho hmari video dekhne me.kya youtub ko mb se koi matlab nahi hai? Aap hame rating kyu nahii btate? Kya dikat hai btane me? Him answers se satisfied nahi ho pa rahe hai esliye itni sawal karna pad raja hai. Sorry bro
Jumedeen khan
Youtube ko video size se koi matlab nahi hai bas video quality better honi chahiye. I mean video clear hona chahiye. Reshu main aapko clear btata hu but aapko samajhne me problem hoti hai.
Reshu Kumari
Kam se kam kitni time ke or kitni mb ke load kare ki Jada se Jada income ho or viewer bhi mile. Time or mb size time ke anusar btae plz
Jumedeen khan
Reshu ji video hum jitni behtar upload karenge utna hi better results milega. Video HDquality me upload karo medium quality ki.
Reshu kumari
Aapne Jo video par ads dikhae isse to e sabit hota hai ki google hmare throw logo ko apps install karne ka prachar karta hai.
Esa bhi to ho Sakta hai ki log video dekh ke or ads par click na kare. Is tarah hone par to income hoga hi nahi kabhi.
Jumedeen khan
Reshu, main aapse rquest karta hu ki aap YouTube or AdSense wali humari or post padho taki aapko sabkuch samajh aa sake.
Reshu kumari
Mujhe to yahi nahi pta chal rha hai ki ads video me kha or kab show hota hai or oh kaisa dikhta hai or uspar log kab click karte hai. Ye bhi to ho sakta hai ki log video dekhkar ads par click na kare.
Jumedeen khan
Reshu man aapki mail par screenshot send kar raha hu waha check kar lena.
Reshu kumari
To aap hi btaiye ki hum kitni time ke or kitni mb ke video load kare ki hame Jada se Jada faida ho or viewer bhi mile.
Jumedeen khan
Vide osab tarah ki upload karo. 5 minute se kam ki bhi or 5 minute se jyada ki bhi. Mera kahne ka matlab ye hai ki short video par ads sah ise show nahi honge or earning kam hogi.
Reshu kumari
Bro adhiktar song to 5 minutes se kam ke hi hote hai. Eska matlab Jo log song load karte hai unhe paise nahi milte hai. To kya WO log bewkuf hai. Maine to 5 minutes se kam ke bahut sari song or bhajan upload kar di to kya mujhe bhi pause nahi milenge. Plz help me.
Jumedeen khan
Wo to anhi par shayad aap kar sakte ho. Unke channel par dekho or bahut sari long videos hai. Har videos sirm paise kamane ke liye nahi banayi jati kuch importnat video 5 minutes se bhi kam ho sakti hai ya ho sakta hai ki kuch hi seconds ki ho. Agar aa paesi bahut si video upload kar dete ho to aapko isse fayda hi hoga nuksaan nahi. Kyuki aapka traffc badhega ha bas aapki earning kam hogi.
Reshu kumari
Kewal ads par clike karne se hi paise mil jaye to mb lgakar video log kyu dekhenge. Apne hi videos par dusre ke mobiles se bar bar click karke bhi to paise earn kar sakte hai. Esa bhi to log kar sakte hai. Ads kise kahte hai or e videos me hota kha par hai. Plz details me btaye. Hum videos ko kam mb me load kare ya Jada mb me kis me faida hai btaye hame.
Jumedeen khan
Reshu ji hum apne hi videos par apne ads par click nahi kar sakte. Isse google humare account ko band kar dega or hume ek paisa bhi nahi milega or na hi hum kisi friends se kah kar ads par click karwane ke liye kah sakte hai. Aap please humari AdSense se related post padho aapko sabkuch samajh aa jayega.
Reshu kumari
Bro aap kahte hai ki video par paisa nahi milta hai. Video par show hone wala ads par click karne par milta hai to hum 5-10 minutes ke videos kyu bnae. 1-1 minutes ke hi dher sari video kyu na load kar diya jay. Esa bhi to log soch sakte hai. Taking Jada paise kma sake
Jumedeen khan
Agar aap 5 minute se kam time ki video banaoge to video par ads show hone se pahle hi video khatm ho jayegi or koi bh viewer ad par click nahi kar payenga.
Reshu kumari
Bro mere pas PC nahi hai or na lene ki aukad hai. Hum mobile se video ko monetize, AdSense se jodne se lekar bank account dene tak ki kam kaise kar sakte hai. Plz help me in details. Sorry bro, dher sari Quetion ki humane prantu kya kare apni sister samajh kar maf kar dena. Ek aap hi to mere gaidline hai Jo har pal meri shayta karenge aap se merit umid Judi hai. SORRY, Plz help me
Jumedeen Khan
“Bro mere pas PC nahi hai or na lene ki aukad hai.” ye kya hai. Aap negative thinking kyo rakhte ho. Aapki okat itni hai ki aap sari duniya ko kharid sakte ho bas aapko iski taiyari karne ki jarurat hai. So please possitive socha kar aaj nahi to kal jarur aapke pas laptop hoga.
Maine aapko pahle hi btaya tha ki mobile or desktop dono ki ek hi process hoti hai. Aap mobile me chrome browser me YouTube ko open karo or Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare post me btaye tarike folloow karo.
Reshu kumari
Video ko monetize karke AdSense se jodne ke bad aagar koi video fir dale to kya use fir se monetize karna or adSense se bar bar jodna padega.kya YouTube par upload karne wala usi name se 2-3 gmail id nahi rakh Santa.plz help me bro
Jumedeen Khan
Nahi aap ek bar me bhi sabhi vidoes ko monetize kar sakte ho. reas this post sabhi videos ko ek sath monetize kaise kare.
Reshu kumari
Bro humne 4-5 gmail Id bnali or 2 gmail Id se ek hi name se channel bhi bnali lekin hamne ek channel ke sare video or channel ko bhi delete kar di lekin gmail id ko delete nahi ki hai . or wahi video fir se bnake dusre gmail Id se wahi name ke channel par dale to copyright ho gai or hame password ek ke siway kisi ke nahi malum hai or mobile se Hume naya channel bnane bhi nahi aata hai him kya kare plz help me bro Emidiatly
Jumedeen Khan
Aapne pahle wale channe lar se video delete kar di ha iso copyright nahi hongi.
Reshu kumari
Prantu kya ek hi name se channel or dher sari gmail Id rakh sakte hai koi problem to AdSense ko nahi n hoga. Kya kare kisi ke password had hi nahi hai plz help me bro emidiatly
Jumedeen Khan
Reshu ji aap itni sari ID ki jagah ek hi channel banao to better hai. Jo ID kaam ki na ho unhe avoid karo.
Reshu kumari
Password yad hi nahi hai. Kya ek hi name or details ke dher sari Id rahne par kisi ek se YouTube par video upload karne se koi problem hoga. Avoid kaise hota hai
Jumedeen Khan
Agar aap bhaut sari gmail ID banaoge or bar bar ID change karke log in karoge to google aapki ID ko band kar sakta hai. So limit me google account use kare.
rajat
bhai mere saare video copyrite bata rahat th kuch din bad monitizing ka option bhi band pada hai maine saare video delete kar diye mera aacount block to nahi ho jayega
Jumedeen Khan
Nahi hoga kuch time bad kuhd ke video create karna.
vicky kadukar
hello sir , mene you tube p 200 vidios uolod ki thi or unke viwe be ache khase aa rahe the , bs kuch copyriths 5 vidios thi
so googls ne mera acount ko add dena band kr diya he , ab gogle ki taraf se ek mail aaya he jo me apko batana chahta hu
What if you can’t resolve your copyright or community guidelines issues?
>
> If you can’t resolve your existing copyright or community guidelines
> issues, we may reinstate monetization on your account after 3 months if you
> meet the following criteria:
>
> 1. You didn’t have any new copyright or community guidelines issues
> within the past 3 months.
> 2. You use your account in compliance with our policies, for example
> by uploading content that you have the right to monetize.
>
plz help me , kya mera acount p fir se add dikhai de sakti he ?
Jumedeen Khan
Aap first apne channel par se sabhi copyright videos ko delete karo or agle 3 month tak copyright video upload na karoge to google fir se apaki videos par ads show karna shuru kar dega.
jinal
hum YouTube par video upload karte hai wo video copyright hai ya nahi wo kaise jan shakte hai
Jumedeen Khan
Aapki video ke same likha hoga ki aapki video copyright hai.
Ramesh kumar
1…sir YouTube mein hum chanel kaise banaye..,……….. 2… Sir YouTube chanel banane ke liye pc chaiye
Jumedeen Khan
Nahi aapko YouTube channel alag se banane ki jarurat nahi hai. Aap YouTube.com par ja kar apni gmail id se log in karo. Bas ban gaya aapka channel