Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte

Youtube par video upload karne se pahle aapko ye janna jaruri hai ki Youtube par kon konse video copyrighted hote hai or hum YouTube par kis kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Jisse future me hume copyrighting ki problem na ho or humara AdSense account ban na ho. Is post me mai aapko isi ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu ye post all YouTube users ke liye helpful sabit hogi.

Youtube par kis tarah ke video upload nahi karne chahiye

Jab koi person pahli bar YouTube par video upload karta hai to kei bar uski self created videos bhi copyright ho jati hai. Or wo sochta hai ki ye video to maine khud banayi hai fir copyright kaise ho sakti hai. Actualy, Youtube par video upload karne ke liye hume YouTube ki policy follow karni padti hai. So jis video me YouTube ki policy ka ullaghan hota hai, google use copyright man leta hai.

Google jab humari video ko delete kar deta hai to “This video is no longer due to a copyright claim.”  message show hota hai. Generally aysa kisi bhi new YouTube user ke sath ho sakta hai. Ye YouTube ki common issue hai. I sure is post ko padhne ke bad aapke sath aane wale time me copyrighting ki problem nahi hogi.

  1. Mai YouTube par kis tarah ke video upload kar sakta hu.
  2. Kya mai gaming video YouTube par upload kar ke paise kama sakta hu.
  3. Kya mai TV serial ya movies ko record kar upload kar sakta hu.
  4. Maine video khud banaya hai fir bhi copyright kaise ho sakta hai.
  5. Kya mai apni video par filmi songs use kar sakta hu.
  6. Kya mai bina sound ke video upload kar sakta hu.

Ayse bahut sare sawal hai jo YouTube user mujhse aksar puchte rahte hai. So mai chahata tha ki un sabko iska details me jawab du, Jisse unke sath dusre YouTube users ki bhi help ho sake. Isliye mai ye post mere friends or mere all visitors ke liye likh raha hu. Commnet me post ke bare me apne thoughts jarur share kare.

Youtube Par Kis Tarah Ke Videos Copyright Ho Sakte Hai

Agar aap YouTube par video upload kar ke paise kamana chahate hai to aapko YouTube ki copyright policy ache se jan leni chahiye. Jisse aane wale time me aapko koi problem na ho. Kyuki YouTube par roj 1000 log channel banate hai but copyrighting ki wajah se sirf 50-100 hi success ho pate hai. Youtube par kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Iske bare me mai aapko point se samajha raha hu.

  1. Audiovisual works: TV seral, movies seens or videos ko record kar ke YouTube par upload karna.
  2. Sound recordings and musical compositions: Kisi or ki sound (Jo pahle se YouTube par active ho) record kar ke ya fir kisi musical compatitioans ki video record kar ke upload karna.
  3. Written works: Kisi books, lectures, articles, and musical compositions books se copy kar ke video banana.
  4. Visual works: advertisements, paintings and kisi posters ki video bana kar upload karna.
  5. Video games and computer software: Koi bhi video games ya kisi software ko record kar upload karna.
  6. Dramatic works: Kisi plays yani khel ki recording karna Ya kisi or ke songs ki chori se recording karna.
  7. Legal Audio: Video ke liye sound bahut important hoti hai. But hum kisi filmi songs, dialogue abd voice ko video me add kar YouTube par upload nahi kar sakte.
  8. Stills and Images: Hum khud ki li photos ko hi video me use kar sakte hai. Agar aap kisi or ki image ka video clip bana kar YouTube par upload karoge to aapko uski permission leni padegi.
  9. Recording Location: Video banane ke liye aap kisi bhi public place, park ko shoot kar sakte ho but aapko private place video me shoot karna allow nahi hai. Jaise aap kisi dusre ka home and bussiness shoot nahi kar sakte.
  10. Your Age: Youtube par aap tabhi video upload kar sakte ho jab aapki age 17 years se jyada ho. Kyuki YouTube kabhi bhi aaapse documents verify kartne ke liye bol sakti hai.

Is tarah ke sare video copyright ho sakte hai. Kei bar game ya kisi or ki recording kar ke YouTube par upload karne se video copyright nahi hota hai. But ye dar humesha rahta hai ki copyright ho sakta hai. So hume sirf self created videos hi upload karne chahiye.

Ye post YouTube policy ka ek thoda sa part hai. Mai bahut jald iske bare me details se post karunga. I hope is post me bhi aapko achi jankair milegi.

Reader Interactions

Comments (357)

  1. Sir mere youtube chanal par pahle earning hota tha par ab nahi ho raha hai.ab ad dikha hi nahi raha hai.
    Pata hai sir mera email jis number se verify huwa tha o number gum ho gya. Uske baad notification aaya ki apne email ko verify kijiye.. mai dusre number se verify kar diya us din se ye problem ho raha hai. Sir kais3 solve kare..
    Sir help me

    • Email se koi problem nahi hai. kai bar videos par ad show nahi hote Aap different browser me check kare or pata kare ki aapke channel par 10,000 views se jyada hai.

  2. plz sir aap mujhe bta sakte ho ki ek youtube account pe kitne copyrite video dal sakte hai
    2.sir aap mujhe bta sakte ho kaise aapne account pe subscriber bdha sakte hai

      • Hello sir mera Naam Rohit hai Mene abhi YouTube channel create ,,WINNER PASS GAMING ,, me pubg mobile lite ki video upload karta hu kya m ,,kine Master se adit kar सकता हूं। प्लीज गिव मी आंसर

        • हां कर सकते हो

  3. Q1 : Sir Mein apne Channel pH khud Videos Bana kr Upload krta tha pher bhe Copyright ki wajha sia band ho geya 🙁 keya wo channel Wapas Aa sakta hai ?
    Q2 : Maine New Account banaya hai Per Views he nahi hote or Video List mein Agar check kro to Video he nahi millta krna hoga ?

    • 1. Aap youtube team ko request send karo fir se activate kar sakte hai.
      2. Aap youtube ke bare me pahle thoda sikh le ki kaise youtube ka istemal karte hai.

  4. Sir, mere video ko view mil rahe hai but youtube utna view dikha nhi raha hai. Sayad isko frozen view bolte hai .to ise theek kaise kare

    • Jab koi aapke content par robots computer visit karte hai to google youtube analytics par un views ko count nahi karta. Aesa kai bar google ki glati se bhi hota hai human views ko robot views man leta hai. Aap kuch time bad analytics me check karna jo real views honge show ho jayenge.

  5. Sir kisi ka direct youtube se video download ho jata hai to kisi ka nhi aur ye message show hota hai ‘ due to copyright issue, content can not be downloaded’ mai apne channel me kaise enable karu.

    • Youtube videos download karna allow nahi karta. But kuch tricks se download kar sakte hai use stop karne me youtube team lagi huyi hai nahi aesi koi trick nahi hai.

  6. Good morning sir
    mere Youtube video ko koi download nhi kare iske liye kya karna hoga please btaaiye aap.

    • Iske liye aap kuch nahi kar sakte.

  7. Sir me youtube se kuchh sikh kar phir use apno hatho se waisa hi banaker youtube channel me dal sakta hu isse koi problem to nahi hogi.l

    • No problem.

  8. Dear
    Sir
    Kiya me YouTube se arts for example
    Paper arts sikhkar phir me video bnakar upload karunga to mujhe ya jis video se sikha use Koi problem hogi ya nhi, jaise ki copyright claim etc, please help me

    • Nahi koi problem nahi hogi aap pani aawaz me banaoge.

  9. Bro aap reply me to likhe hai ki apna Bank name and Jo swift code pta Kar rakhi ho o btao to mai tisri bar mail send ki jiska jawaab aapne nhi di. Yani aap customer care se confirm karke swift code ka jawaab Abhi tak nhi diye. Mail mere Gmail account par nhi dikha bro please confirm hokar mail send Kare ki Kon mera shi swift code hai. Please bro

    • Ok main fir se aapko mail send kar dunga.

      • Bro 8 February se Gmail account band hone Wala hai to ab Kya hoga.kya Kare?
        Bro koi upay dhundhe or pta Kare ki kaise bache is problem se or hame bhi btaye ki Kya karu

        • Don’t worry sirf “Chrome Browser version 53” me open nahi hoa uske bad wale veriosn 54 to 60 me work karega.

          • Bro mai Android mobile me chrome browser use karti hu to kaise pta karu ki mai kis version ka chrome browser use karti hu.
            2 or ydi version 53 hoga to is problem se bachne ke liye Kya karu

          • Iske bare me maine post ki hai blog ki latest post check karo.

          • Bro mere mobile ke Google play store me chrome browser version 55 ka hi tha isse Jada ka nhi tha mai usi ko update Kar li ab mujhe koi problem nhi n hoga

          • No problem.

      • Bro customer care se swift code confirm Karke kab btayenge?
        2 bro end screen and annotations videos me kaise or kha se lgaye?
        3 bro Adsense account open kiye to likhe Raha hai ki optimization ke liye Google analytics account ko Adsense se link Kare to kaise hoga?
        4. Bro aapki post me to blog ke liye Google analytics bnane ke bare me hai prantu YouTube ke liye analytics account kha se jayega kaise banega and kaise Adsense se jutega?
        5. Bro YouTube ke dashboard me dikhe to 2 month me income $2 hua hai or notification par notification aaRaha hai persen ho gaye notification ko Kya karu please help me

        • 1. I try jab karunga to mail kar dunga.
          2. Iske bare me YouTube par video mil jayegi wo dekh kar sikh ksate ho.
          3. Jaruri nahi hai. Agar aap reports dekhna chahati ho to kar skati ho. Analytics me publisher option par kar AdSense ko analytics se connect kare.
          4. Youtube ki report aap YouTube ke analytics feature par dekh sakti ho.
          5. Nofication kis type ki aati hai. Agar koi user aapki video par comment kare to use reply karo.

      • Sir kya mai youtube channel bananne ke bad video n upload kru aur subscribers badhate rhe jb jyada subscribers ho jaye tb video upload kru koi problem hogi….. Aur copyright se bachne keliye kya kre… Kya apna sabkuch video me dalu tb bhi copyright hota hai… Kya hm agar koi jaise kisi ko dekh jaise vacuum cleaner banau hm apne hath se thoda change krke to kya copyright ayega.. Please please help me sir…. Thanks all new youtuber

        • No problem, kisi aur ka content use mat karo abhi problem nahi hogi.

  10. 1. direct Google se image download kar ne ke bad slide video bana kar YouTube par upload karna copyright mana jaega kya?
    2. Mai mobile piano apps se song play kar leti hu agar koi song ko mobile piano apps se play kar ke screen record kar ke YouTube par upload karu to koi problem nhi hogi na? agar pahle se aisa video YouTube par ho

    • 1. Nahi aap aesa kar sakte ho but is type ki image use karo jisse kisi ko problem na ho.
      2. No problem. Kyuki aapki piano sound dusro se alag hogi.

  11. Bro customer care Kha hota hai or iska contect on. Kha se milega.
    2.Kya usse aamne samne bat nhi ho sakti?
    3. Customer care har branch me hota hai ya kewal ek bank me.
    4. bro kya swift code Wala bank me village me rahne Wala logo ka account uske village ke address par nhi Khul sakti. Yadi no to Kyu or ydi yes to kaise khulega

    • Apni bank ka name or tool free name likh kar google me search karo number mil jayega.
      aapne saamne bat karne ki jarurat nahi hai phone par sab bta denge aapko bas swift code confirm karna hai.
      Nahi kyuki local bank branch me international transaction ki service nahi hoti.
      Aap ek kaam kjiye mujhe ek mail send karo apni bank name or address ke sath main swift code pata karke bta dunga.

      • 1Bro mail Kha send Karu aap mujhe mail send karne ke liye koi link dijie
        2 aap ek bar Jo mail send karne ke liye link diye the wo sawaal jawaab form me tha. Hum us form ko open Kar Rahe hai to likh raha hai ki ” aapka ad blocker on hai pahle aap off kare” to Kya kare ye ad blocker kya hota hai or isse kya faida ya hani hai

        • 1. Blog par last me contact forum ka link add hai us par karo.
          2. aap blog ko chrome browser me open karo ad blocker hone par ads show nahi hote or humari earning nahi hoti. UC browser ke URL box ke left side me ad ka icon show hota hai us par click kar ad blocker disable kar sakte ho.

      • 1Bro Mai bank name or address aapke contact par mail send Kar di par Abhi tak aap jawaab nhi diye.
        2 channel art kaise bnta hai or video me add kaise hota hai.
        3 kya bad me upload videos me channel art khud se lag jata hai bar bar lane padta hai.
        3 kya channel art me subscribe karnee ke bare bol sakte hai.

        • 1. Main mail check karunga to reply kar dunga.
          2. Kisi bhi photo editor se bana sakti hai ya google me search karo or kisi or ke channel art ko customize kar lo.
          3. yes bol sakte hai.

          • Bro mere mail tha customer care se hmara swift code ke bare me PTA karna. To aap Abhi take jawaab nhi diye 1 week ho gaya mail send kiye hue ya fir Meri mail aap tak nhi pahuchi. Jawaab Kyu nhi diye

          • Nahi apaki mail delete ho gayi thi aap fir se mail send karo main aaj hi reply kar dunga.

      • Bro mai dubara mail send Kar chuki hu swift code customer care se Sahi se confirm hokar btaye hame swift code pta Karne aata hai par customer care se confirm hone nhi aata hai
        2 bro swift code confirm hote samaye dhyan rakhiyega ki chhattarpur branch jharkhand state ka ho kyuki ek chhattarpur Naam ka as than Madhya Pradesh me bhi hai
        3 bro ek notification aaya tha ki YouTube par ki viewership ke liye videos ke last me 30 sec ka end screen and annotations lgaye to kaise lgega ye ye end screen and annotations Kya hota hai or kaise bnega.

        • Ok i try is feature ke bare me main jaldi hi article likhunga.

          • Bro swift code customer care se confirm hokar btaye mai tisri bar mail videos ke sath send ki hu aapki jawaab Abhi tak nhi Mila. Aagar aap busy ho to koi problem nhi lekin mail ka jawaab jarur dijiyega wo bhi shi se confirm hokar( RESHU )

          • Main aapke mail ka reply kar chuka hu.

  12. hello… bro
    meara YouTube channel par login karne par… Accounts HelpAccounts HelpAccountsUnable to access a Google productIf you’ve been redirected to this page from a particular product, it means that your access to this product has been suspended. Read on for more information.Your access to this Google product has been suspended because of a perceived violation of either theGoogle Terms of Serviceor product-specific Terms of Service. For specific product guidelines, please visit the homepage of each Google product you’re interested in for a link to its Terms of Service.Google reserves the right to:Disable an account for investigation.Suspend a Google Account user from accessing a particular product or the entire Google Accounts system, if the Terms of Service orproduct-specific policiesare violated.Terminate an account at any time, for any reason, with or without notice.Next steps for suspended accounts: Ifyou believe your access to this product was suspended in error,contact us.Was this article helpful?Yes…. asa likta hai… piz help me bro

    • Aapka YouTube account YouTube policy ka many time violation karne ki wajah se suspend kar diya gaya hai. Aapne google terms follow ki hai or koi copyright video upload nahi ki hai to aap is link par click kar request kar sakti ho. http://www.YouTube.com/account_recovery

  13. sir mai you tube par free emage se vedio bna kar free music jod kar video bna kar use you tube me daal sakta hu kya aur use adsans me jod sakta hu ki nhi kyonki since aur tecno vale fhoto kha se launga to jo free uplabdh hai use clip bna kar apne awaj me mix karke daal sakta hu ki nhi btaye sir

    • Image aap koi bih use kar sakte ho but music kisi or ka use nahi kar sakte.

  14. Hello Sir
    Q1-kya main ek PC main 2 AdSense account use kr sakta hu?
    Q2 – kya main ek gmail se 2 YouTube channel bna kr 1 hi google AdSense se jod sakta hu?

    • 1. Yes kar sakte ho but alag alag name se.
      2. yes kar sakte ho.

  15. Bhai kya him YouTube she kisi bhi video ko screen recorder she record karke YouTube par upload kar sakte hai ya nahi, jaise wwe ki videos ko

    • Nahi nahi kar sakte.

  16. Bro Mai ye nhi pu6 rahi hu ki Uc news par news kaise load kare. Hum aapse ye pu6 Rahe the ki kya Uc news me likhe par day ki news ko padh kar or usi ke image ko use karke video bna sakte hai. Hum paper se news n pad Kar Uc news me net par ki hi news ko padh Kar record Kar ke video bna sakte hai koi problem Hoga. please say

    • Yes bana sakti ho.

      • Bro mere channel par subscriber 70 dikha raha hai parantu dashboard me 38 hi dikha raha hai. Channel par subscriber per day badh raha hai parantu dashboard me ghat raha hai ESA Kyu
        2 bro filmi song ko apni aawaj me jakar load Kar sakte hai

        • Reshu YouTube ki report update hone me 24 to 72 hours lagte hai so ek do day me show ho jayega.

      • Bro Mai Kisi ke video par comment Bhej rahi hu to nhi ja Raha hai or bta raha hai ki there is problem in comment posting. To mai kaise kare
        2. Bro Mai sabkuchh thik se karli parantu mujhe pta hi nhi chal raha hai ki kis bank account me kis swift code ko use karu. Kyuki najdik Wala bank ke swift code to use karte parantu bank manager se puchhi to wah najdik ke n bta Kar dur ke swift code bta deta hai. To hum confusion me hai. Kya sahi kya galat hai pta hi nhi Chalta.hame to lagta hai ki yah kam dehati logo ke liye nhi hai. Bro account ke mamle me Kya kare plz help me

          • Bro Mai to najdik Wala swift code pta Kar hi Leti hu parantu jab confirm hone ke liye bank manager se puchhi to wo koi or swift code deta hai to mai kise use karu confusion Jo hai dono me

          • Bank branch se nahi customer care me bat karo. Unse sirf ye pucho ki aap jis bank ka swift code use karn rahi ho wo sahi hai ya nahi. Bank kitni or dur or kitni pas hai ye google me search kar lo.

  17. sir kisi singer ka song apni awaj me gaa kar YouTube par upload kar sakte hai ya nhi

    • Yes kar sakte ho.

  18. Sir, mei ye jaanna chahta hu ki agar mei YouTube se koi video download krke (“standard YouTube license” video) usme apni khud ki voice record krke upload krta hu to kya wo copyright claim mani jaegi or usko monitize kr skte h qa??

    • Yes copyrighting ho sakti hai. Google hume kisi or ki video ya audio use karna allow nahi karta.

  19. YouTube pe copyright hone se kaise bache

    • Video or audio khud ka istemal akro koi problem nahi hogi.

  20. hello sir, kya ham apni personal website pe movies and songs upload kr sakte hai ispe koi action to nahi lega agr lega to is problem ko kese solve kiya jaye

    • Nahi nahi kar sakte.

      • sir kya aap bta sakte hai ki kyu nahi kar sakte detail main

        • Awesome question actually ye google ki terms hai or agar hum YouTube par kisi ki bhi video upload karenge to koi bhi copy hone ke dar se video upload nahi karega isse YouTube khatm ho jayega. So google ne iske liye rules banaye ha.