Youtube par video upload karne se pahle aapko ye janna jaruri hai ki Youtube par kon konse video copyrighted hote hai or hum YouTube par kis kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Jisse future me hume copyrighting ki problem na ho or humara AdSense account ban na ho. Is post me mai aapko isi ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu ye post all YouTube users ke liye helpful sabit hogi.
Jab koi person pahli bar YouTube par video upload karta hai to kei bar uski self created videos bhi copyright ho jati hai. Or wo sochta hai ki ye video to maine khud banayi hai fir copyright kaise ho sakti hai. Actualy, Youtube par video upload karne ke liye hume YouTube ki policy follow karni padti hai. So jis video me YouTube ki policy ka ullaghan hota hai, google use copyright man leta hai.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)
- Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tarike
Google jab humari video ko delete kar deta hai to “This video is no longer due to a copyright claim.” message show hota hai. Generally aysa kisi bhi new YouTube user ke sath ho sakta hai. Ye YouTube ki common issue hai. I sure is post ko padhne ke bad aapke sath aane wale time me copyrighting ki problem nahi hogi.
- Mai YouTube par kis tarah ke video upload kar sakta hu.
- Kya mai gaming video YouTube par upload kar ke paise kama sakta hu.
- Kya mai TV serial ya movies ko record kar upload kar sakta hu.
- Maine video khud banaya hai fir bhi copyright kaise ho sakta hai.
- Kya mai apni video par filmi songs use kar sakta hu.
- Kya mai bina sound ke video upload kar sakta hu.
Ayse bahut sare sawal hai jo YouTube user mujhse aksar puchte rahte hai. So mai chahata tha ki un sabko iska details me jawab du, Jisse unke sath dusre YouTube users ki bhi help ho sake. Isliye mai ye post mere friends or mere all visitors ke liye likh raha hu. Commnet me post ke bare me apne thoughts jarur share kare.
Youtube Par Kis Tarah Ke Videos Copyright Ho Sakte Hai
Agar aap YouTube par video upload kar ke paise kamana chahate hai to aapko YouTube ki copyright policy ache se jan leni chahiye. Jisse aane wale time me aapko koi problem na ho. Kyuki YouTube par roj 1000 log channel banate hai but copyrighting ki wajah se sirf 50-100 hi success ho pate hai. Youtube par kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Iske bare me mai aapko point se samajha raha hu.
- Audiovisual works: TV seral, movies seens or videos ko record kar ke YouTube par upload karna.
- Sound recordings and musical compositions: Kisi or ki sound (Jo pahle se YouTube par active ho) record kar ke ya fir kisi musical compatitioans ki video record kar ke upload karna.
- Written works: Kisi books, lectures, articles, and musical compositions books se copy kar ke video banana.
- Visual works: advertisements, paintings and kisi posters ki video bana kar upload karna.
- Video games and computer software: Koi bhi video games ya kisi software ko record kar upload karna.
- Dramatic works: Kisi plays yani khel ki recording karna Ya kisi or ke songs ki chori se recording karna.
- Legal Audio: Video ke liye sound bahut important hoti hai. But hum kisi filmi songs, dialogue abd voice ko video me add kar YouTube par upload nahi kar sakte.
- Stills and Images: Hum khud ki li photos ko hi video me use kar sakte hai. Agar aap kisi or ki image ka video clip bana kar YouTube par upload karoge to aapko uski permission leni padegi.
- Recording Location: Video banane ke liye aap kisi bhi public place, park ko shoot kar sakte ho but aapko private place video me shoot karna allow nahi hai. Jaise aap kisi dusre ka home and bussiness shoot nahi kar sakte.
- Your Age: Youtube par aap tabhi video upload kar sakte ho jab aapki age 17 years se jyada ho. Kyuki YouTube kabhi bhi aaapse documents verify kartne ke liye bol sakti hai.
Is tarah ke sare video copyright ho sakte hai. Kei bar game ya kisi or ki recording kar ke YouTube par upload karne se video copyright nahi hota hai. But ye dar humesha rahta hai ki copyright ho sakta hai. So hume sirf self created videos hi upload karne chahiye.
Ye post YouTube policy ka ek thoda sa part hai. Mai bahut jald iske bare me details se post karunga. I hope is post me bhi aapko achi jankair milegi.
Pooja kumari
Sir please Help me
Aagar hum YouTube channel par Serial Actors Ka Offscreen Pic and Se Related Video Upload Karte Hai To Kay Hamara Channel Monetisation On Hoga.
Jumedeen khan
Nahi aap TV video ko upload nahi kar sakte.
Ajay
youtubr par or bhi log jo movie upload karte h unme to koi block worldwide nhi hota jab mai upload karta hoo to block worldwide ho jata h kya reason h batao muje
जुमेदीन खान
जो लोग ऐसा करते हैं वो कोई ना कोई ऐसी trick इस्तेमाल करते हैं जिससे मूवी कॉपीराइट नहीं होती है
Shivam Tyagi
Sir kyaa m Kisi Website Se Hollywood movie download krke apne channel p Daal skta hu. . Jayse 9xmovie.ya khatrimaza plz reply
vivek
sir kisi aur site se movies download karke upload kar sakte hai jo youtube par pehle se na ho
ya fir popular movie sceane cut karke
Jumedeen khan
Nahi, aap kisi aur ki video ko upload nahi kar sakte khud ki banayi huyi hi karo.
Ajay Bidwe
हेलो सर जी मेरा YouTube चैनल है abp Facts मैं काफी चैनल पर वर्क कर रहा हूं मेरे चैनल पर व्यूज और सबस्क्राइब bढ़ नहीं रहे जब मैं वीडियो सर्च सर्च करता हूं तो searchमें वीडियो आता ही नहीं टैग भी मैं बड़ी इस्तेमाल करता हूं डिस्क्रेशन achi देता हूं पर वीडियो सर्च में आते ही नहीं प्लीज हेल्प मी
Jumedeen khan
Check karo ki aapne videos ko private to nahi kiya hua hai.
Ajay Bidwe
थंबनेल के लिए कौन सा सॉफ्टवेयर अच्छा रहेगा और हमें चैनल ऑल ग्रो करने के लिए किस टॉपिक पर हमें ज्यादा वीडियोस अपलोड करने चाहिए और लोगों को ज्यादा वीडियोस कौनसे पसंद आते हैं प्लीज बताना☺️
Jumedeen khan
Thumbnail ke liye aap photoshop use karo second question ke liye researching karo.
Prabir Biswal
sir mujhe a jan na he ki agar koi mere video ke add pe click na karke skipadd karde to kya mera earn hogi.
.
please sir bataye mujhe .
Jumedeen Khan
Nahi.
lovely
Thank you sir aapki is post Se bahut information mile acha hua aapne ye post ki varna mera chanal start hone se pahle hi band ho jaata thank you so much sir Ji please aise post karte rahi ye
lovely
Sir aap bol rahe ho song use se copyright ho jaata hai but log to full dialogs pe mimicry kar ke daal rahe hain kisi ki image use na karo but with out music
Kaise kuch hoga na hi kisi ka sceen dalege na image but kuch aisa batao ki music daal le but copyright na aaye sir please bataiye koi idea koi aisi site hi bata do jaha se music le lo but copy right na ho reply me fast sir
Jumedeen Khan
Dear music copyright hota hai kuch log secret tips use karke music use karte hai is bare me aap video dekho. For example, aap 30 second se kam time ka music use kar sakte ho but ye youtube terms nahi youtube expert kahte hai.
Prabir Biswal
hello sir,
me apke replys me dekha ki agar me apna khudka dance video banake chhodunga to music copyrigh hogi. ok fine,
to app ,ujhe bataye ki music copyright se kese bache mujhe mujhe music copyright na ane kelia kya karna padega.
please sir details me bataye mujhe k kya karna hoga music copyright na ane kelia.
Jumedeen Khan
Legal tarika hai aap kisi ka music use nahi kar sakte. Baki fir bih log karte hai uske liye aap youtube par search karo videos mil jayegi.
prabir biswal
ok sir but mujhe or kuch clear karna jese youtube pe he malvern luis jo apna khudka dance video chhod raha he wo v pure ke pue bollywood songs pe to usk acopy raight nei ata kya.
but me wo bollywood song ko matlab modify karke edit karke music cutter se upload karunga mera dance video pe so fir v copy right ayegi kya.
Jumedeen Khan
ain already solution bta chuka hu.
कल्पना
Aap jo bhi music use krte hain unke artists ke names description me use kr skte hain aur youtube se bhi non copyright music le skte hain mgr jyada mujhe nhi pta hai
Amit Kumar
Sir, हम ये जानना चाहते हैं कि pixabay, pixels, ya pxhere jaisi website se video aur pic download karke documentary banate hain to reuse content ka case nahi aayega na
Mohammad Injamamul Haque
Hey. I’m Mohammad Injamamul Haque , How r u Sir…
(1) Agar Main Hollywood Ya Bollywood Koi Bhi Movie’s YouTube Pe Upload Krta hun to wo Copyright hoga kya
Jumedeen Khan
Yes copyright hoga.
Aman
Sir Mai , Exam me kaise likhe iske liye video bna rha hu or samjhane ke liye book ka likha hua ko thoda sa note book (copy) me likha hua hu, taki acche se samjha saku .To kya video copyright ho sakta hai plz reply me sir
Jumedeen Khan
Nahi.
Manoj
Sir, jab wo payment confirm kar mere bank a/c me transfer Kar denge to kya mere bank a/c se money transfering ka charge katega? agar katega to kitna? Please help me!
Jumedeen Khan
Yes, jab aapko payment milega to pata chal jayega. Aapke mobile par message aa jayega.
Manoj
Sir, mujhe apki help ki jarurat hai please help me sir! 1)sir mere SBI bank branch me swift code available nahi hai , swift code 100 km door ke SBI bank branch me available hai to vaha ka swift code use Kar Sakta Hun? 2)sir jaisa ki Apne bataya hai ki Adsense hamari payment swift code Wale bank me hi send karta hai to fir paise mere bank a/c me kaise ayenge kyunki mere bank branch to swift code Wale SBI bank branch se 100 km door hai aur mere bank branch me to swift code available bhi nahi hai! ye mujhe kuchh samajh me nahi aaya Raha , please sir is cheej ko thoda detail me samjhane ki kripa kare! Kyunki beginner Hun is feild me . 3)sir adsense ke liye apply Karne ke liye hamara YouTube a/c (Chanel) kitne din Purana hona chahiye Aisa koi rule hai kya? 4) ya mere new Chanel par ek hi din me 10000 views aa jaate hain to mai uske turant Baad Adsense ke liye apply Kar Sakta Hun? Ya isme koi problem hai?
Jumedeen Khan
1. Yes aap apne bank se sabse jyada nearby bank ka swift code use kar sakte ho.
2. Don’t worry wo payment confirm kar aapke bank account me transfer kar denge.
3. Nahi but aapke channel par minimum 10k views hona jaruri hai. Yes kar sakte ho.
Peeyush kumar
Sir bhut saare channel aese h jinhone movies wagera upload kr rkhi hai lakho mai unke subscriber hai unke channel pe videos mai aids aate hai ….woh bhi khi na khi se videos download krke upload krte hoge apne channel pe..to unke account pe aids kyu show hote hai ….kya woh usse earn bhi krte hai
Jumedeen Khan
उनकी सारी कमाई movies owner के पास चली जाती है, और ज्यादातर movie channel certified है
vashad
Sir Maine suna h agar hum kisi video ya film ka 30second take ka video cut kar upload kare to copyright nahi aata to hum 30second ka video upload kar paisa kama sakte h
Jumedeen Khan
Nahi, ye trcik hai jo humesha work nahi karti. For example, aap 10-15 second ka video upload karke dekh le.(on extra channel)
Vijay yadav
Sir agar hum YouTube par sabse jada earn karna wale logo ke bare me batye or unka earning dikhaya tu kya ye legal hai ya unlegal
Jumedeen khan
Yes.
Vijay yadav
sir agar hum kisi bhi gane pe apni dance video banaye tu kya ye copy right hoga
Jumedeen Khan
Music copyright hoga.
Raghav
Sir agr mai khud ki solo videos like bb ki vines bna k apne channel pe dalu to koi copy right to nai hoga
Jumedeen Khan
Nahi.
suresh kumar gautam
Hlo ,
kya youtube or blog par ek hi adsense account use kar sakte hai.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
suraj kumar
sir kya mai apne you tube channal par indian product (maggy darry milk.etc) ka tv advertise video uplode kru to ye copyright ho sakta hai kya
2 or agr uplode kr deta hu to kya kya punisement ho sakti hai mere or mere youtube channal k liye
Jumedeen Khan
Aap agar illegal kaaam karoge to problem to hogi hi.
Akash
Par YouTube par to ek hi trailler download market bahut sare logo ne upload Kiya hai unke channel par strike Kyo nhi aate
Jumedeen Khan
Ye editing ka kamal hai. Bas aapko google ko bevkoof banane ka tarika aana chahiye.
Shabbeer khan
Sir maine youtube par bahoot chennal dekhe jin par filmi video aur gaane h. Unpar copyright kyu nahi aaya. Agar mai aisa karu to kaise karu sir .please tell me.
Jumedeen Khan
Iske liye apako video editing karni hoti hai or aap aese videos me Creative Commons Licence use kare.
imuru
Agr koi 18+ video upload krega to ye legal hoga ya illegal???
Jumedeen Khan
Illegal
Ibraheem Behlim
Bhai kya mujhe ye bta skte hai ki agr me google se HD pictures downlod kar ke use apni videos bnane me use kru to copyright ki problem to nahi hogi…. plzzzz bhai reply kijiye. mujhe is reply ki bhut jrurt hai.
Jumedeen Khan
Dusro ki image use karne me rsik to hoga hi. Behar option hai free stock image sites se or khud ki mage bana kar use karo.