Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Bhawanishankar@gmail shankar
Sir Maine pahle aap SE question kiya uska jawan aapne diya iske liya thanks sir.
Mera ek question hai ki Maine pahle YouTube SE Adsense account banaya tha wo work kar raha hai par me Janna chahta hu ki kya wah mera account non hosted gaya hai kyunki iske ad meri site par work kar rahe hai like sharelovequotes.com aur is par click karne par Adsense earning bhi increase hoti hai aur usme mere manage website ka option aata hai, site authentication ka option hai wo Maine enable kar liya hai.
Setting me account setting is tarah show kar rahi hai
Active products
Content
68% publisher revenue share
Search
51% publisher revenue share
Hosted aacount red colour me Gmail ID ke pass me wo bhi likha nahi hai.
Aur other product par click karne par upgrade ka option nahi aata hai aur apply for game, video ke option aate.
Parntu sir third party access me YouTube.com aata hai Jo ki Maine disable kar diya hai kyunki mujhe website SE earning karni h.
Mujhe Adsense me jyada knowledge nahi hone ki wajah SE yah mujhe confusion hai please tell me that my Adsense account hosted or non hosted , yadi yah non hosted hai to mujhe other website se AdSense nahi lunga. Nahi use me lunga.
Thanks…
Jumedeen Khan
Hosted AdSense account ka matlab hota hai ki aap only YouTube ya blogger blog par hi ad show kar sakte ho. Ab aapka account fully approved ho gaya hai ab aap apni sabhi sitrs or sath me YouTube se bh iearning kar sakte ho.
Bhawani
Thanks sir very much.
You are help every readers and blogger and tell me about my account hosted or non hosted so again lot of thanks.
Ahil
sir me apni income kese prapt karu
Jumedeen Khan
Adsense direct aapke bank account me payment karta hai. check this link Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
RAVI SHNAKAR
sir my display per AdSense ka sms nahi aaya to kiya kare so please help
Jumedeen Khan
wait karo uske siwa koi or rasta nahi hai.
Badan Singh
Sir mera you tube channel AdSense se nahi jhud pa raha hai 3100 $e jayda view hai ….sir AdSense se jodte samay save and countunu se aange nahi bad pa raha hu matlav 3rd step per nahi pahuch pa raha hu kahi baar alag alag browser se chaqe kare liya fir bhi
Jumedeen Khan
Aap browser ki history delete karke fir se try karo or check kar lo ki browser update hai.
preet verma
Sir meri YouTube video pr 2000 views hai aur dolllar ka icon Green v ho chuka hai jisse hame pta chalta hai ke monetize enabled hai but meri income abhi v 0 hai..
Why
Jumedeen Khan
Aap is post me btaye tarike se apni earning check karo Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare
ashutosh nayak
sir mera account WordPress.com par hai , kya mai advt lga sakata hu .
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho but iske liye aapko blog me domain add karna padega. Aap hosting le kar blog ko WordPress.org par transfer kar lo uske bad ad laga lena.
Ranjeet Buk
bro mere YouTube channel ke total 42000 views ho gaye hai bt meri income only 9 USd hui hai ku¿¿¿¿¿¿ and ek video pe 20000 views hai or us video ki income only 5 USD hai.. meko itna kum income ku mil ra hai plss tell…
Jumedeen Khan
Ranjeet aapne video me sahi se keywords use nahi kiye aap ye post check karo Youtube Videos Ko Google Search Me Top Par Lane Ki 7 Best Tips
Amit kunar
Sir mene you tube par video 4.5 video daali hai thode view bhi aa gye mene adesens ko bhi jod liya hai address virefy wala code abhi mere ghar par nhi aaya….kab tak aa jaye gaa. Or Maine video ko monetize bhi kar dya hai…..mujhe koi problem to nhi hogi…or sir bo code kab tak aaye ga….please sir jaldi btaa do…thanku
Jumedeen Khan
Amit AdSense hume verify code tabhi send karega jab humari earning $10 ho jayegi.
Ranjeet Buk
Bro mera ek YouTube channel hai or usse maine AdSense account se v jod rakha hai…
bt mai ek or YouTube channel banana chahta hu to kya mai Ussi purane AdSense account se iss channel ko v jod skta hu
mtlb ek AdSense account se 2 YouTube channel ko jod sakte hai¿¿¿¿
Jumedeen Khan
Haa jod sakte ho. Aap usi gmail id se dusra channel banao.
adesh
Sir ye bataiye ki you tube me 4 video upload kar diya hai fir monetize kar diya hai AdSense account approved ho chuka hai lekin view to abhi 25 hi hue hai to kya earning hogi kuchh bataye
Jumedeen Khan
Nahi hogi traffic badhao.
adesh
Sir jaha tak mujhe lagta hai you tube me 1000. View hone par $1 milta hai lekin meri ye samajh nahi araha hai ki total video ke 1000 view hone chahiye ki 1 video ke 1000 hone par milta hai
Jumedeen Khan
Ek video par hone par. Adesh 1000 views se aapko tabhi $1 milega jab koi aapki video ko 30 second se se jyada bar dekhega.
adesh
Thank you sir aap jankari bilkul perfect dete ho
Amit
Sir mere chainal pr sbhi video ko milakr 1000 views aaye hai… aur aapke khe anusar hmne apni chainal ko monotize kr li… kya Google addsens ko bhi jod lu ya abhi rhne du … plz my help sir
Jumedeen Khan
Abhi anhi abhi or views badhao 3000 hone ke bad karna.
sachendra trivedi
Hello sir,
mene ek nya YouTube channel bnaya hai or uspar abhi tak ek video dala or wo monetize bhi ho gya hai…par abhi tak Adsense Account nahi bnaya hai….Mujhe Adsense ke lie kitne videos ke bad apply karna chahiye??
Jumedeen Khan
2-5 videos or sabhi par 3000 to 4000 views ki.
Sarkar
Hello, JUME DEEN KHAN actually mere ek problem hai mein ek new account banay tha YouTube par and video b karib mein ne uspar 9 videos dala hai mein ne and AdSense ko b apply kiya tha aur wo approval kar liya, lekin thode din ke bad views b ache aane lage achanak mail aya hai.
Aisa hua hai bro please please mere madath karo bro…!!!
Thank you
Jumedeen khan
Aapka AdSense account invalid clicks and e kse jyada AdSense account use karne ki wajah se suspend kar diya gaya hai.
adesh singh
Sir maine kal you tube me ek video upload ki fir apne you tube account ko google AdSense se jod diya hai mera AdSense account approved bhi ho chuka hai maine apne video ko monetize kar diya hai lekin mere you tube channel ke video me ad show nahi ho rahe hai please kuch bataye jisse ad show hone lage meri video 2 minutes ki hai aur 10 view hai
Jumedeen khan
Aap dusre browser me check karo.
adesh singh
Sir AdSense account suspend hota hai to kaise pata chalta hai lag raha hai mera account suspend ho gaya hai please bataye kaise pata chalega ki AdSense account suspend ho gaya hai
Jumedeen khan
Aap adsense.com par log in karo aapko iska message dikhayi dega or aapko iska mail bhi mila hoga.
dilip gehlot
Hi sir mere YouTube pr 5000 hajar veiwer h aag kya karu muje income ho
Jumedeen khan
Video monetize nahi hai to video ko monetize karo or AdSense se connect karo uske bad kuch mat karo or achhe video upload karo apaki earning hoti rahegi.
abhishek singh
Bhai monatization ebable kaise hota h….????
Mera acount verified h..
Jumedeen khan
Is post me or kya btaya hua hai.
arif
bina AdSense ke YouTube se kamayi ho sakti hai ya nahi
Jumedeen khan
Nahi nahi ho sakti haa apa apne kisi business ka promotion kar sakte ho.
Saddam Alvi
Hi mene 2sal Pehle you tube a/c banaya tha jisme subscribers 2000se jyada h aur mene 5video upload ki thi
Mgr us time me income bare nhi pta tha.
Mgr jab mujhe pta chala ki you tube se pese kama sakte h to mene you tube par ek nya channel btaya aur usko monetize bhi Kiya fir AdSense account bnaya Mgr mujhe samajh nhi aa rha ki Mera AdSense ready h ya nhi.
Mene jis Gmail I’d se you tube account bnaya tha us par subscribers show hote h mgr mene channel bnaya to us par Koi subscriber show nhi ho rha h Mera channel h क्यों सुन रहा है अलवी ke Name se bnaya h
Jumedeen khan
Aapne alag se channel banaya hai to us par alag se subscriber show honge.
Parthiv
Maine new Channel bnaya Hai Or ek Video upload kiya h Usme Abhi 23 Views hai Maine Video ko monetize kiya hai ab Us video k Samne green dollor ka mark aa gya h Kya wo Video Monetize ho chuka h ya nhi
Jumedeen khan
Ha ho chuka hai.
anup lakra
hello sir AdSense account m paisa doller aa chuka h my use kaise nikalu sir help kijiy kaha ja k paisa nikalu kuch samajh nhi aa rha h.
Jumedeen khan
Aap apni ban kbranch me ja kar payment nikalwa sakte ho.
Sid
Bhai mene aaj subah YouTube ko AdSense se jod liya hai par abhi tak video me ads show nehi ho raha hai…
Mera video khud ki banai hui hai… Aur YouTube me bhi sab kuch thik hai…
Kya karu me
Jumedeen khan
Aap difference browser me video dekho.
Sulman Javed
Kya Pakistan me Monetisation ki sahulat availabe hai
Jumedeen khan
Ha hai.