Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Md Ashfak
sir mere pass 120 view hai lekin ering nahi ho RHA 0$ btata hai place help me
Jumedeen Khan
Sirf 120 views se koi earning nahi hogi. traffic badhao or 2000 to 3000 vies hone ke bad earning ke bare me sochna.
ravi
sir mere me sign up likh kar aa raha hai to kya karu
Jumedeen Khan
aap sign up par click kark gmail id se sign in kar skate ho.
akshay daveray
hello sir
jab mai apna YouTube channel google adsenece se connect karta hu
to mujhe step 3 se aage koi page nhi khulta hai
koi bhi window nhi khulti hai
jisse mera google AdSense a/c ab tak nhi bana
hai
Jumedeen Khan
ye aapki browser problem hai browser ko update karo or cache file delete karo.
Md Ashfak
Sir app me pass koi leptop me bare mai information ho to place help me
Mere pass 1leptop hai jismai HDD password gay hai jab mai leptop KO on karta hu to HDD password mangta hai place help me
Aagar aap ke blogger friend ke pass Trick ho to place bataye
Jumedeen Khan
Sorry ashfak iske bare me aap computer shop par bat karo.
Md Ashfak
Sir hmare pass 25 video YouTube par upload hai jismai mere pass 1vieviews hai lekin earn nahi batata hai place help me
Aur mai apne bank account jodta hu to nahi jud RHA hail place bataye
Jumedeen Khan
Aapko error kya dikhayi deta hai wo btao.
Md Ashfak
Sir bank account jodne
Ke lite ads setting mai jakar payment mai jata hu to bank account list nahi aati hi
Jumedeen Khan
mujhe screenshot dikhao.
Yogeshwar rathore
Bhai mene google adcence account ke apply kiya tha mera ek youtub chanal h yogeshwar ke nam se to mene apni vedio to monetize kar li h lekin ab dikkt ye aa rhi h ki adcence ke bare mai jada jankari na hone ke karn mene ek galti kar di h ki mene direct google adcence ki websit se jakr pane youtub ke page ko adcence se jodna chaha to nene apne yotub chanal ka url na dal ke my website. Ke opction mai apna nam dal diya jis nam se meraa youtub page h to mene usme yogeshwar rathore.com jo ki esi koi bahi meri sait nHi galti se dal diy or sab kuch fill karke summit kar diy …. or ab mere pass ek massage to ye aya h ki aap ka adcence reject ho gya h ye youtub mai dikha rha or ek massage h ki aap ka account abhi review ke liye gya h aap ko 1 week ke andr massage aa jaye ga gmail par …. are bahi ab aap mere ko ye bta do ki yar mi kya kroo na hi apna accout youtub se jod pa rha hu or na hi.adcence accout par login kar pa rha hu usme not active account dikha rha h … bhai yar plese help me yar bhut jada .. btaa to photo bhi send kar do
Jumedeen Khan
First comment me aapko extra words istemal nahi karne chahiye kyuki aapki comment public hoti hai. Aap comment policy ka violation kar rahe ho par fir bhi main aapki comment publish kar raha ho so next time aesi galti mat karna.
Aapki us name se koi website nahi hai so AdSense approved anhi hoga or aapko google ek mail send karega uske bad aap fir se YouTube ke throw AdSense ke liye apply kar sakte ho.
Arjun kashyap
Thank you for this suggestion
Ramsinghdhurve
Hollo June seen kya yah each hai internet we Email padhkar or data entrey karke aur Facebook me drwra paisa kama sakte hai
Jumedeen Khan
Ha kama sakte ho but isme frauding bhi bahut hai.
Ameen shaikh
Sir ek baat puchni thi adsens se apne channel ko jodne ke liye kya videos pe 2000 se 2500 wives hona zaruri hai. Please reply me sir
Jumedeen Khan
Jaruri nahi hai but honge to AdSense jaldi approved ho jayega.
Robin Pawar
Sir Maine AdSense account banaate time us email address se nahi log in kiya jisse YouTube account hai or mujhe yaad bhi nahi ki maine kise gmail se AdSense account banaaya tha to sir mujhe kaise pata chalaga reply me
Jumedeen Khan
Aapko gmail id hi yaad nahi hai to main kya bta sakta hu apni sabhi id se AdSense par log in karke try karo jisse hoga usse log in ho jayega.
Dev
Hello sir,
Complete work hone ke baad pese konse khate me aayenge??
Jumedeen Khan
Aapke bank account me jo aap AdSense me add karoge.
Md Ashfak
Mobile se YouTube ads LGA sakte hai
Jumedeen Khan
laga sakte ho. same jaise computer se lagate hai.
Hafiz sartaj
Bhaijaan meri sari videos ka monitazion apne ap hi band ho gya hai, kya karna chahiye
Jumedeen Khan
google ne aapko iska mail send kiya hoga usme iska reason likha hai.
Hafiz sartaj
Invalid click ki wajah se monit band hua hai . to ab kya karu
Jumedeen Khan
heck this post Invalid Click Activity Ki Google Adsense Team Ko Report Kaise Kare
rupendra
ye batao ki kya AdSense acount se blog or you tube dono par ads laga sakte hai
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho.
Rock on yashraj
Apni Music ki Website ko YouTube se connect kaise kare.
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte.
Mr hola
bro meri ek video pe sponsored aa raha hai or uspe click krta hu to bhut saare product or unka prize aa raha hai ye kya hai¿¿¿
Jumedeen Khan
aap us par click mat karo wo ads hai.
Md Ashfak
Sir ads ko LGA RHA hu save continue ke aage page nahi badta hai place help me
Sir app apna WhatsApp number de sakte hai
Jumedeen Khan
please update your internet browser.
amitgangwar
sir mi aapne YouTube ko adsens se jod rha tha par mera language choose karne k bad continue par hi atak gya . aage. nhi aaya aadress farm
Jumedeen Khan
amit apne internet browser ko update karo.
anand
sir ji namaste i m anand singhal mein ye janna chahata hu ki aap apne video par AdSense ke dawara di gai ad ko kaise select kare koon se ad lagani hai koon si nahi
Jumedeen Khan
Main aapko suggest karunga ki aap sabhi type ke yani default ads use kare.
Md Ashfak
Sir monitaize mene video ko kiya hai to usme $ ka simbel bn gya hai lekin usme 3 video ka $green hai baki sab simple mai hai koi problem to nahi hoga
Jumedeen Khan
Jinme simple haiunhe fir se monetize karo or check karo ki unpar kya error show hota hai or dollar ke icon par mouse le jane par kya show hota hai.
Shakeel ahmed
Sir
Ye jo income Kaise hogi mera matlb adsens se jo paisa milega wo dirctly bank account m milega ya transfer krna padta h please sr bataiye
Jumedeen Khan
check some toher comments reply i already mention it.
raj
bhai mere video par green color ka $ mark aa raha he mene sabh video ko bhi monetize kar liya he par blue $ mark nahi aa raha he or meri video puri tarah se original he please mujhe bataye ki blue color ka $ mark kab aayega
mene abhi naya naya channel banaya he
please help me…..
Jumedeen Khan
green icon or blue icon dono ek hi bat hai.
Sanskar
Sir mobile me you tube se paisa kama sakte hai kya
Jumedeen Khan
Haa kama sakte ho.
arun kunar
Sir Maine YouTube par video upload kiya our view bhi mila YouTube par adsen lagane ka msg mil raja that lekin adsen nahi lag raja hair…
Jumedeen Khan
aapko problem kya ho rahi hai wo btao.